Blogging Kis Topic Par Start Kare – 20 Popular Topics 2024

Blogging discussion and informational website hai jis par aap apne thoughts share karke online public ki help kar sakte hai or apna business grow kar sakte hai. Aaj internet par millions blogger online hai or multiple niche par blogging kar rahe hai. Inme se kuch topics wale blog most popular hai. Aaj hum unhi ke bare me mbat karne wale hai.

Blogging niche topics ideas

Agar aap consumer engagement, revenue growth karna chahate ho to aap bilkul aesa kar sakte ho. But bahut sare log blogging karna chahate hai lekin wo ye decide nahi kar pate ki unhe kis topic par blog banana chahiye or unke lbog ka niche kya hoga.

I mean new blog starting karne walo ke liye What do we blog about? bahut bada question hai or iska simple sa answer bhi hai.

Jab aap blogging starting karne ke liye kisi blogger ya website owner se bat karoge to 90% blogger ka jawab hoga ki

Aap us topic par blogging shuru kare jo aapko pasand ho or jis par aap long time tak writing kar sako

These answer is absolutly right. Matlab Ye jawab bilkul sahi hai.

But mostly log is answer se satified nahi ho pate hai or wo fir bhi apne blog ke liye correct niche select nahi kar pate hai. So aaj main aapko is post me kuch most popular blog topics ke bare me btane ja raha hu. Jinme se aap kisi bhi niche ko choose kar apne blog ko popular bana sakte ho.

Blogging Ki Shuruaat Karne Ke 30 Most Popular Topics Ideas in Hindi

Aapko sirf itna pata hona chahiye ki aap kya karna chahate ho or aapko kya karna chahiye or aap logo ke liye kya kar sakte ho. Yaha par btaye gaye kafi famous hai or aap inme se kisi bhi niche ko select kar blogging me successful ho sakte ho.

1. How to series

Internet par bahut sare aese blog hai jin par helping articles yani how to wale content share kiye jate hai. Google par user isi se related jyada searching karte hai.

Example ke liye aap wikihow.com site ko dekh sakte ho jis par how to articles share kiye jate hai or ye site bahut hi jyada popular hai.

Agar aapko blog ke liye koi good niche nahi mil raha hai to aap how to series par content likhna shuru kar sakte ho or logo ke sawalo ke jawab de kar apne blog ko pupular bana sakte ho.

2. Politics

Politics topic ek aesa topic hai jis par jitna likhoge kam hai. Log iske bare me bahut jyada padhna chate hai. Jab election hote hai to us year me ye topic most popular ban jata hai.

Aap poltical topis me poltical leaders ke bare me likh sakte ya fir aap iske kisi bhi point ko focus kar writing kar sakte ho.

3. Recipes

Blog par traffi graw karne ka recipes bahut achha tarika hai bahut sare blogger mostly ledis blogger pakwane ke bare me content likhti hai.

Agar aap women ho to ye topic aapke liye best ho sakta hai. Kyuki isme humesha kuch na kuch new item banane ke bare me articles likh sakte ho or khane pakane ki cheeze humesha change hoti rahti hai.

4. Beginner Guides

Bahut sare user aese hai to internet par online kuch na kuch sikhna chaahte hai. Agar aap logo ko kisi topic me guide kar sakte ho to aapko guiding par apna blog bana sakte ho.

WPbeginner.com ek aea blog hai jo only WordPress platform  par guiding content likhta hai or kafi popular bhi hai and main khud bhi ek blogging guider blogger hu jo aapko yaha is post me blogging topic ke bare me guide kar raha hu.

5. Frequently asked questions

Aksar log content padhne se jyada sawal puch kar direct apni problem solve karwana chahate hai. Aap kisi niche ko choose karne ke sath sath blog par sawal jawab service bhi enable kar sakte ho.

Aese me agar aap apne blog par logo ko jaldi or sahi jawab de sakte ho to aapke blog ko popular hone se koi nahi rok sakta kyuki aap thak sakte ho but user aapse question puchte huye nahi harenge.

Google question answer site ko sabse jyada pasand karta hai. Is time google par isse related 6,37,00,00,000 results available hai. Agar aap lucky ho to aapki site in sabhi me top par ho sakti hai.

6. Interview

Internet par bahut sare blogger work kar rhae hai or user content se jyada unke bare me janna chahate hai. Aese me agar aap bloggers ke liye special interview wala blog banate ho to aapka blog bahut kam time me popular ho sakta hai.

Is time interne bloggers se ocean ki machliyo ki tarah full bhara hua hai. Aese me aap navik ban kar is ocean me apni image highlight kar sakte ho.

7. Product Review

Hum jab bhi kisi product ko online purchange karna chahate hai to use buy karne se pahle uske bare me jankari pata karna chahate hai but kei bar hume kuch product ki jaruri information nahi mil pati hai.

Maine internet par bahut sare aese blog dekhe hai jo only product review par content likhte hai or unka main topics bhi nahi hai. Sabse achhi bat ki ye ye blog bhi kafi popular hote hai.

8. Tech Support

Bahut sari companies hardware and software technology services offer karti hai. Aap tech support blog bana kar techniqal support bana sakte ho or in company ke sath deal kar sakte ho.

Internet par aapko Microsoft, Google and facebook par aapko millions articles mil jayenge jin me technogy se related knowledge share ki jati hai. Examples, Digital Inspiration tech blog iska sabse bada udaran hai.

9. Internet Stars

Internet par kis field me kya or kon log famous hai. Is bare me blog banana bhi aapko kam time me popular bana sakta hai.

Aap most people ke bare me likhna hai jaise “Top indian blogger 2024”. Isse aapko bahut sare biggest internet stars follow karenge or aapka traffic easily increase hoga.

10. Upcoming Events

Jab bhi koi upcoming event ho to aap uske bare me articles likh kar readers ko notification de sakte hai. isse log aapke blog ko sabse jyada like karenge.

Aaj har koi kuch na kuch new sikhna chahata hai aese me aap blgo par new last update news par ocntent likhenge to user aapke regular reader ban jayenge.

11. Funny Stories

I know aaj ke time me har koi apne work ko le kar serious hai but duniya me aese logo ki aaj bhi kami nahi hai jo funny stoires read karne me interested hote hai. Mostly indian people funny information padhna pasand karte hai.

Agar aap me logo ko hasane ka or kuch na kuch funny karne ka talent hai to aap bilkul is topics par blog bana sakte ho. Iski sabse achhi bat ye hai ki aapko articles likhne ke ideas ke liye problem nahi hogi.

12. Motivational Story

Hum jab thak jate hai ya hume kisi kaam me nirasha milti hai to hum jarurat hoti hai ek sahare ki jo humari too chuki power ko fir se jod sake.

Isme kei bar kuch logo ki kahi bate bahut kam aati hai or hare huye insan ko fir se ladne ki sikh de jati hai. Jisse hume fir se apna kaam complete karne ki taqat milti hai.

Agar aap logo ke lite inpirational or motivational content likho jo i hope public aapke blog ko like karegi. Kyuki achhikhabar.com or hindisoch.com jaise bahut se blogger hai jo motivate karne wale contentlikh kar logo ki help karte hai.

13. Travel

Isme koi shaq ki bat nahi hai ki travel ek most popular blog topic ho sakta hai. Log humesha journey karte rahenge or aap always logo ke liye writing karte rahenge.

World me jab bhi koi person apni journey start karna hai to wo isse related jankari internet par jarur search karta hai. Abhi google me travel se related 66 thousand million se bhi jyada search resulta hai.

14. Productivity Tips

People humesha apne kaam me or jyada better karna chahate hai. Isme aap unki help kar sakte ho. Bahut sare bloggers aese hai to blogging me kamyab hone ki tips search karte rakhte hai.

Aap blogging, technology jaise topics par productivity tips share kar ke logo ki help kar sakte ho. Examples, Blogging me logo ke help karne me shoutmeloud.com ek best blog hai jo most popular blog hai.

15. Advice or Consult

Jis tarah love me rose yani gulab ka phool important hota hai usi tarah har subject me lifehacks and lifehacker ye dono word important hai.

Logo life enjoy karne ke liye tips search karte rahte hai. Aap life adivces ke bare me content likh kar logo ko motivate kar sakte ho.

16. Troubleshooting Guides

Hum koi bhi work kar le har kaam me kabhi na kahi koi issue aa hi jata hai. Aesa koi work nahi hai jisme kabhi koi problem na ho.

Internet par WordPress and Blogspot 2 most popular blogging platform hai. Inko use karne wale blogger ko bloggging me problems aati rahti hai.

Aese me aap troubleshooting guides wale content likh kar logo ki help kar sakte hai. Aese blog par bahut jyada traffic hota hai jo logo ki pareshaniya solve karte hai.

17. Interent of Things

Aaj internet logo ko ek dusre se jodne me itna aage nikal gaya hai ki ise big ocean kahna bura nahi hoga. But abhi bhibahut sare aese person bhi hai jo internet ke bare me bilkul ya bahut kam jante hai.

Aap aese logo ke liye internet topic par blogging kar sakte ho or logo ko internet ke bare me or internet ki importance ke bare me bta kar unhe internet ki jankari share kar sakte ho. Blogging ke liye ye sabse better niche hai.

18. Virtual Reality

Internet par aesi bahut sare fake websites hai jo big offer ka lach de kar logo ko bewkoof banati hai or illegal tarike se work karti hai.

Agar aapko isme interest hai to aap virtual reality wala blog bana sakte ho jisme aap logo ki fraud people or companies ke bare me sahi jankari de kar motivate kar sakte ho.

Examples, Abhishek mishra jo apne YouTube channel ke throw frauding ke bare me reality information share karte hai.

19. Myth – Debunking

Internet ek aesi jagah hai jis par aap name or paisa dono kama sakte ho. Kuch log sochte hai ki internet se paise anhi kama sakte. Ye ek aesa myth hai jise sun kar mujhe hansi aati hai. Sirf yahi hi nahi iske alawa bhi bahut si aesi bate hai jo sirf bakwas hoti hai.

Logo ko bahut si cheezo ke bare me galatfasmiya hoti hai or wo unse connect hone me darte hai. Aap is topics par blogging kar sakte hai or logo ko sahi jankari de kar apne blog ko pupular bana sakte hai.

20. Sourced News

Source news and media ttention ek great way hai jisse aa pblog par lotof traffic kama sakte ho. Har field me update hoti rahti hai. Agar aap logo tak iski notification pahuchane me intereset ho to aap sourced news topics wala blog bana sakte ho.

Aap kisi main topics par news update article likh kar blog traffic ko dominate kar sakte ho. Mostly, aap google search engine ke bare me content likh sakte ho. Examples, bahut sare blogger or main bhi google SEO ke bare me psts write karta hu. Jisse logo ko apni site google me top par lane me help milti hai.

Conclusion,

Popular topics aate jate rahte hain so main aapko suggest karunga ki aap apne interest ke topics par blogging kare or blog ka niche aapki pasand ka hoga to aap kabhi bhi us topic par work karne se parhez nahi karoge or aapko kabhi thakan mehsoos nahi hog.

Jab hum apni pasand ka kaam karte hai to usme humari puri lagan hoti hai or hum usme jarur kamyab hote hai. Jabki jo hume pasand nahi wo kaam marne me humara man nahi lagega or hum wo kar nahi payenge.

Sppose, Agar hum aesa koi kam karte hai jisme hume interest na ho to kuch time bad humara usme interest kam ya khatm ho jayega or hum use chord denge.

I hope aapko is post me btaye blog topics ke ideas pasand aayenge and aap inme se kisi bhi niche par successfully blogging kar sakoge.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 144 )

  1. Jumedeen bhai ,
    आप बहुत शानदार काम कर रहे हो | मुझे आपका राइटिंग स्टाइल बहुत अच्छा लगता है | मैं आपके ब्लॉग को काफी डीनो से फॉलो कर रहा हूँ |
    धन्यवाद गाइड करने के लिए |

    Reply
  2. sir main health blog Hindi mein shuroo karana chaahata hoon kya yah sahee hoga
    plz advice do

    Reply
    • Kar sakte ho, but competition bhi dekh lena.

      Reply
      • Ager sport abdate per blog wright ki jay tu growh gr gai.

        Reply

Leave a Comment