Reddit Se Website Aur Blog Traffic Increase कैसे कर पूरी जानकारी

Agar aap apni Blog/Website ki Traffic badhana chahate hain aur apni site par zyada se zyada viewers lana chahate hain to Reddit aapki isme madad kar sakta hai. Is post me main aapko bataunga ki Reddit aur Subreddit kya hota hai aur inka istemal karke kaise hum apni website/blog ka traffic increase kar sakte hain?

Reddit Se Website Traffic Increase Kaise Kare

Agar aap ek Blogger hain to aap apne blog me traffic lane ke liye bahut tarah ke method istemal karte honge. Sare bloggers basically facebook, instagram, Google Plus, linkedin etc. social media sites ka istemal zarur karte hain.

Same In social media sites ki tarah hi reddit ka use karke aap heavy traffic apne blog/website me la sakte hain.

reddit interface

Main aapko reddit social media site se judi har information dunga jiska istemal kar ke aap achhi traffic la sakte hain. Ise aap achche se use kar sake iske liye ye post pura padhe. To chaliye jante hain reddit ke bare me pure vistaar se.

Reddit Kya Hai?

Reddit basically ek American based Social media site hai jisko social news sharing, discussion aur web content rating ke liye istemal karte hain. Ye ek bahut hi popular platform hai jisme har tarah ki category aur niche se related content publish aur share kiye jate hain.

Is social media platform ki popularity ka andaza isi baat se lagaya ja sakta hai ki ye website monthly 234 million unique visitors ko attract karti hai aur ye America me #3 most visited website hai, world me #6 ki rank me aati hai.

To agar aap ek naye marketing site ki talash me hain to reddit aapke liye behtar option sabit ho sakta hai. Jo aapke plan ko successful bhi bana sakta hai.

Abhi tak to aapko iske baare me aur adhik janne ki ichha badh gai hogi. Hai na?

Lekin aage badhne se pehle aapko meri batayi hui baaton ka khayal rakhna bahut zaruri hai. Kyu ki kisi bhi service ko hum sahi se istemal karenge tabhi uska fayda hume milta hai.

Reddit khas tor par community par based hota hai. Agar redditors ko ye shaq hua ki aap sirf aur sirf marketing ke lie hain aur blog links ko har jagah paste kar rahe hain to fir chizen aapke lie buri ho sakti hain.

Isiliye aap apne posts ke zariye zyada se zyada knowledge aur information share kare aur visitors ko apne ache content se attract kare.

Subreddit Kya Hota Hai?

Reddit aisa platform hai jisme har tarah ki category aur niche par jakar post kar sakte hain. Yahan par users hi alag alag category aur niche ko banate hain in categories ko hi Subreddit bola jata hai.

Reddit me jitne bhi posts published hain wo kisi na kisi subreddit ke andar hi hote hain.

Reddit bahut sare Subreddits ko milakar bana hua hai. Subreddits owner apne subreddit ke lie rules aur regulations banate hain jinhe unke users ko follow karna zaruri hai. Agar koi rules ko break karta hai to fir use subreddit se ban kar diya ja sakta hai.

Jab bhi koi user kisi subreddit ko join karta hai post karne ke lie to post publish karne se pehle use terms and conditions pura achhe se padh lena chahiye . Kyuki har subreddit ke rules different hote hain. Ye mera personal experience hai jo main aapke sath share kar raha hu.

Agar aap hindi subreddit join karna chahate hai to in links ka istemal kar sakte hai.

Note:- Jab koi user account 30 day purana ho jata hai tabhi wo subreddit create kar sakta hai.

Reddit Me Post Publish Karne Ka Tarika

Reddit me post publish kaise karte hai, ye janna bhi jaruri hai, Isme post publish karne ke liye 2 option diye jate hain.

  1. Link
  2. Text Post
Reddit post karne ki method

1. Link:

Jab hum kisi external site ke post ko reddit ke andar publish karna chahte hain to simply link ko lakar paste kar dete hain. Ye website ya blog ki traffic ko increase karne ka sabse achha tarika hai.

Jaise hi hum link ko paste karte hain to ye title aur description automatic read kar leta hai. Uske baad simply hume post ke according niche ko select kar lena hai.

Perfect niche milne ke baad kaam aur bhi aasan ho jata hai kyu ki bas hume use submit kar dena hota hai.

2. Text Post:

Jab hum apne sare content ko reddit ke andar hi text form me select kar ke publish karte hain, to is tarah ke post  ko Text post bola jata hai.

Post Ko Publish Karte Waqt Dhyan Rakhne Wali Baaten

Reddit me bahut sare subreddits hain jinme se kuchh subreddit aise hain jinki traffic zabardast hai aur kuchh ki kam. To sabse pehli baat jo hume dhyan me rakhni hai wo ye hai ki aise subreddit ko chune jo post ke according hi niche wala ho.

Yani ki agar apki post dress ke bare me ho to uski subreddit clothing ya fashion related hona chahiye.

Jab tak Post ke according niche wala subreddit nahi milta to use publish karne se koi faayda nahi hai. Proper subreddit ko search karna hi sabse important kaam hai apko isme thoda time lag sakta hai.

Lekin ek baar perfect subreddit milne ke baad traffic ko apni website par drive karna kaafi aasan ho jata hai.

Dusri baat jiska khayal rakhna hai post ko publish karne se pehle wo ye ki subreddit ki perfect niche ke sath uski traffic bhi achhi honi chahiye.

Bahut se aise subreddits hain jinki traffic har mahine lakhon me hai. To thoda time spend kare ek perfect niche aur traffic wale subreddit ko search karne ke lie.

Reddit Kaise Kaam Karta Hai?

Jab koi Post publish kiya jata hai to use log Upvote ya downvote dete hain. Jis post ko maximum Upvote milta hai wo Reddit ke front page me show ho jata hai.

Reddit upvote and downvote decides ranking

Front page me pahunch jaye fir to jo traffic aati hai wo ek chamatkar se kam nahi hota hai. Itni heavy traffic hoti hai ke aap uski kalpana bhi nahi kar sakte hain.

Main aapko bas ek example dena chahta hu iski traffic ka. Agar kisi normal website me ye traffic chali jaaye to mostly us website ke page bhi open hone band ho jayenge.

Reddit Account Ko Humesha Safe Kaise Rakhe

Maine aapko ye pehle bataya hai ki, Reddit me bahut sare subreddits hain jinme alag alag community ke owners ne apne according especially rules aur regulations bana ke rakha hai.

To agar hum rules ko follow nahi karte hain to as a result hume uska nuksan uthana pad sakta hai.

To main aapko yahan kuch tips de raha hu jiske zariye aap reddit account ko ban hone se bacha sakte hain. Aur hamesha safety ke sath reddit ka istemal kar ke apni website ki traffic ko badha sakte hain.

  • Kisi bhi subreddit me post ko submit karne se pehle uske terms aur conditions ko pura padhe aur dhyan se har line ko padhe.
  • Jis niche ka post ho use usi niche ke subreddit me submit kare. Kisi alag niche ke subreddit me use submit na kare.
  • Apni blog/website ke post ki link ko sirf ek hi subreddit me submit kare. Alag alag subreddits me submit karenge to fir account ban ho sakta hai.

Agar aap upar bataye gayi baaton ko sahi se follow karte hain to fir reddit se aapko bahut fayda milega. Lekin agar aap kisi rule ko follow nahi karte hain to aapka account band ho sakta hai.

Isse bura ye bhi ho sakta hai ki aapke domain ko bhi ye block kar de, Jisse future me kabhi bhi reddit me us domain ke post ko share nahi kar sakenge.

Doston ye post aapko kaisi lagi. Agar isse related koi bhi sawal hai to aap comment box me jakar puchh sakte hain. Main aapke har doubt ko clear karne ki koshish karunga.

Avatar for Wasim Akram

About Wasim Akram

मैं वसीम, हर रोज़ Technology से Related नई नई चीज़ें सीखना और दुसरो तक पहुँचाना मेरी hobby है. अगर आप भी चाहते हैं की हर रोज़ कुछ नया सिखने को मिले तो आप इस ब्लॉग से जुड़े रहे.

Comments ( 31 )

  1. bajrang Lal

    बहुत ही बढ़िया जानकारी शेयर किया सर आपने

    Reply
  2. Ahmed nawaz

    Good work Kia aap Hindi Blog Trafic ke Liye Kuch Subreddits bata Sakte hen ?

    Reply
  3. Nitin

    kya reddit se hindi blog per bhi traffic le skte ha sir

    Reply
    • Wasim akram

      Ji han bilkul aa sakti hai iske lie badhiya hindi subreddits apko search karni padegi.

      Reply
  4. puran mal

    bahut hi badhiya jankari share ki hai aapne. me pahle redit par bahut post link share kiya karta tha lekin muje koi bhi faida nahi huwa. lekin ab me aap ki post ko follow karta hu aur dekhta hu kaya hota hai.

    Reply
    • Wasim Akram

      Reddit Ko badhiya se use karo agar hindi post hai to hindi me popular subreddit search karna padega. Agar English hai to english ke search karo. Result zarur behtar milega.

      Reply
  5. Rachit Kumar

    Very nice article this is very helpful for new bloggers very nice but plz tell me how you use picture in your blog

    Reply
  6. Jay

    Bahot badiya bhaai , isske baare me suna tha aaj thoda jaan liya. Thoda aur iske baare me batate jaise-: account kaise banaye, apne blog se related subreddit kaise search kare ?…etc. to aur achha lagata.
    So phir bhi bahut achha laga …

    Reply
    • Wasim Akram

      Han zarur.

      Reply
  7. Vishvajit Rao

    Thanks for sharing this post. Sir kya hum reddit se hindi blog par traffic la sakte hai.

    Reply
    • Wasim Akram

      Han bilkul.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...