Free Theme Template Use Kyu Nahi Kare (Pros and Cons)

Free Theme Kyu Use Nahi Kare? Free Template Kyo Use Nahi Karni Chahiye? Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons) in Hindi. Ji ha dosto is post me main aapko blog me free theme / template istemal na karne ke bare me jankari dunga taki aapki aankhe sach ko dekh sake or aap jan sako ki free theme template use karne ke kya fayde or kya nuksan hai.

Why not use free theme or templates

Ham Indian free sunate hi apne common sense ko chordkar use pane ke liye crazy jo jate hai. Jaise:- Abhi koi company 500 MB data free de to use pane ke liye turant apne personal information uske sath share karne ke liye ready ho jate hai. Isse hame keval economical loss hi nahi ho sakta hai, balki koi cyber criminal hamare name ko misuse bhi kar serious crime kar sakta hai.

Recently Jio Users ke Aadhar number sahit personal informations leak ho gaye the. Isse koi bhi misuse kar sakta tha. Aap achhi tarah se janate honge, reality men koi free product deta hai to uske badle vo kuch naa kuch (jaise – personal information, permition) jarur leta hai.

Iska sabse bada example hai Truecaller, jo chand paiso me aapke mobile ka behas personal contact list ko apne server par save kar leta hai aur puri duniya me public kar deta hai.

Abhi haal hi me maine ek client ke mobile number ko truecaller website par check kiya to main jan kar  hairan rah gaya ki us Client ka Name, Full Address, Full Picture, Email show kar raha tha. Yeh comapanies sidhetaur par privacy policy ke sath khilwad kar rahi hai.

Yeh baat rahi hamare personal life ki jahan ham koi earning nahi karte hai tab bhi hamare personal information ko istarah ki companies pane ke liye khub jor lagati hai.

Free Theme Kyon Use Nahi Karna Chahiye

Lekin socho? Hamare blogging life me kya hota hoga ?  jahan 90% hindi bloggers free themes or free templates use karte hai. Matalab sidhe taur par ham apne blog ka full control kisi dusre person ke hatho me de dete hai.

WordPress platform ho ya fir google blogspot blogger platform dono par log blogging karte hai or internet par lakho free theme or templates mil jayegi. I sure bahut se theme providers good themes provide nahi karte or users ke sath dhoka karte hai.

Because is tarah ki themes / template me malicious code hote hai, jo regularly blog se related information jaise subscriber email id, username, password etc send karta hai, jo theme developer ke sever par save ho jata hai.

Ha, sabhi free themes free templates me malicious code nahi hote, par vo SEO Friendly & Fast bhi nahi hote. Matalab is tarah ki free theme keval promotion ke liye develop kiye jate hai.

Isme SEO ka hard code Schema.org tag ko implement nahi kiya jata hai. Jiske karan SEO Optimized post hone ke bad bhi Search Engine Google blog par traffic send nahi karta hai.

Isliye Free Theme use nahi karana chahiye, aage main iske piche ke kai reasons ko points me bata raha hun.

Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons)

Free theme or template use karne ka fayda sirf itna hai ki aapko uske liye pay nahi karna padta. Free theme use karne ke nuksan is prakar hai. Main aya wordpress theme or blogspot blogger template dono ki bat kar raha hu.

1. SEO Enabled and Clean Code Na Hona

Free themes me ki gai coding clean nahi hoti hai, jisse theme loading ke samay kai unusefull HTTP requests create karta hai, jo blog ko slow kar deta hai. Jisse sabse big bad impact Mobile User Experience par padta hai.

Isko lekar Google ne kuch mahine pahle hi clear kar diya tha, jo Mobile Users ka khyal nahi rakhega, uske blog ki ranking ko down kar diya jayega.

Aur vahi SEO Code Skima.org ke tags free theme me nahi hone ke karan blog ke desktop version par bhi traffic behad kam milate hai.

2. Data Stealing

Bad intension vale developer, jise hacker kahte hai, ve keval theme isliye develop karte hai ki big money earn kar sake.

Iske liye ve theme me malicious code ko hide tarike se implement karte hai, jo anonymously blog se related data ko send karta hai, jo hacker ke server par save ho jata hai.

Hacker un data ko marketing companies ko sell kar big money earn karta hai. Yahi karan hota hai ki hamare mobile inbox ya mail inbox me aise message mil jate hai, jiska hamane kabhi subscription liya hi nahi.

Kya aap jante hai is tarah ke khel me hamare email id ko kitane bar sell kiya jata hai, ye naa to aap bata sakte hai aur naa hi main. Tab to jahir si baat hai hamara email id kiske-kiske pas maujud hai, vo bhi nahi jaan sakte hai.

Is tarah ki theme ko nulled aur cracked theme kaha jata hai, ye aisa isliye kaha jata hai ki hackers sabse popular theme jaise Newspaper theme ki original copy me apne spying code install kar dete hai aur use free me offer karte hai.

Aur koi bhi new blogger bina kuch jaane khushi-khushi install kar leta hai aur anjane me hacker ko daily free data dene vala agent ban jata hai.

3. Unsafe Future

Theme me malicious code hone ke karan blog ka pura control (blog ka future) hackers ke hatho chala jata hai. jise vo kabhi hack kar sakta hai. lekin vo tab tak nahi karta hai, jabtak blog popular ho na  jaye.

4. Redirecting

Is tarah ke malicious code aggressive hacker implement karte hai, jo theme install hone ke pahle din se hi blog ki traffic ko apne partner website par redirect kar dete hai.

Is tarah ki coding bade intelligent tarike se ready kiya jata hai, jo har samay infected blog ki traffic ko redirect nahi karta hai, balki jab traffic jyada hota hai. yani is problem ko asani se pakda bhi nahi jaa sakta hai.

Isi tarah vo kai infected blogs se traffic ko redirect kar apne partner websites par send karta hai. Jiske vo money earn karte hai.

Iske alava vo apne hacking website par send kar sakta hai, jahan greedy offers dekar aapke blog ke users ko apne jaal me fansane ki koshish kar sakte hai.

5. Waste of Money and Time

In last, infected free theme ke karan blog par achhi traffic nahi milata hai, jisse money earn karne ke bajaya hosting aur domain ke liye spent money aur time waste ho jate hai.

6. No Regular SEO Updates

Free Theme keval promotion ya specific object ko pura karane ke liye banaya jata hai. Isliye Regular SEO updates milane ka chance hi nahi banata hai. Jabki Google every 6 months SEO changes karta hai.

Jiske anusar jo Blog ke changes kar leta hai, uski traffic stable bani rahti hai, jabki free theme vale blog ki traffic down ho jati hai.

In Last Words,

Big Mango Tree pane ki chah rakhne se pahle good quality ki seed, nutrition products use karana padta hai. Isi tarah successful blog banane ke liye good quality ki theme ki jarurat hoti hai. Uske bad hi aap pakke mango ki dher ki tarah rupees ke dher kama sakte hai.

Without money invest kiye aap blogging me jo 10 year me kar paoge wo money invest karke 2 year me kar sakte ho. Agar aapko nahi pata ki blog ke liye money invest kaise karte hai to aap humari ye post read kare, Website Ko Behtar Banane Ke Liye Money Invest Kaise Kare.

Ummid karta hun aap is post ko like kiye honge or aap free template or theme use na karne ke bare me achhi jankari mili hogi.

Agar aapko mera ye article achha laga ho to aap mera pahla Guest post padh sakte hai, jisse aap apne blog ki speed increase kar sakte hai Blog Ko Sahi Se Speed Up Karne Ke Bare Me 7 Jaruri Tips.

I hope aapko ye post achi lagi hogi agar aapko lagta hai ki ye sahi hai to is post ko social media par share karke humari thodi help kare.

Avatar for Ravi Kumar

by: Ravi Kumar

Hey Readers, I am Ravi Kumar, A Simple Tech Blogger, Who Like To Play With Blogs' Speed, SEO and Design. Do You Want To Join Me in The Play?

Comments ( 131 )

  1. Sir agar mai premium them kisi se lekr use kru to kya dikt ayegi Kya copyright bhi aa skta hai

    Reply
  2. Sir hume koi Paid Theme ke baare bataye

    Aur koi aachi hosting ke baare me bhi.

    Sir ek last question agr hum apna custom domain blogger me use kar rahe. lekin hosting lene ke baad kya hum usi domain ko apni nayi hosting se connect karna chahate hai toh wo kaise kare please bataye.

    Reply
  3. Thanks bhai

    Reply

Leave a Comment