New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. is post me aaj hum isi ke bare me bat karenge. jisse aap ko pata chal sake ki blog ko AdSense ya kisi or advertising site se kab connect karna chahiye. or new blog banane ke bad kab paise kama sakte hai. iske liye kam se kam kitne visitors or pageviews hone jaruri hai.
Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. new blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. or wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account block ho jata hai. in my case maine ayse bahut log dekhe hai. mai un sab new blogger se kahna chahunga ki mehanat karne se pahle uske fal ki icha karoge to nukshan hi hoga. agar aapko success blogger banna hai to sirf apne kam par dhyan do jab aap mehanat karoge to paisa khud be khud aapke pas aayega. bina mehanat ke duniya me kahi bhi kuch bhi nahi milta hai.
Blog Kaise banaye?
Blog banane ke sabse popular 2 platform hai. ek blogspot or dusra WordPress. inme se WordPress paid hai or blgspot free hai. new blogger ko mai blogger ke liye suggest karunga kyuki ye bilkul free or manage karne me aasan hai. or google ka banaya hone se ye SEO friendly hota hai. iske bare me asdhik jankari ke liye aap Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pado isme aapko dono ki puri jankari mil jayegi.
- Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Adsense Kya Hai?
Adsense ek advertising site hai. jise google ne hi banaya hai. AdSense ads par click karne ke paise deti hai. AdSense se paise kamane ke liye aapko ek blog website banane ki jarurat padti hai. blog bana kar usme aapko AdSense ke code lagane hai. aap blog me jaha AdSense ke code lagaoge waha ads show honge. or jab koi in ads par click karega to aapki income hogi. iski adhik jankari ke liye ye posts padiye.
Agar aap AdSense ke bare me jyada nahi jante hai to mai aapko bta du ki AdSense ke rules bahut shakht hao or unka ulaghan karne par AdSense aapko block kar sakta hai. mai iske bare me bahut post kar chuka hu so AdSense ke bare me or jyada jankari ke liye aap supportmeindia ki Adsense se related post padiye. ya fir aapko english aati ho to aap AdSense policy par bhi AdSense ke rules ki jankari pa sakte ho.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Jab AdSense aa[pki site ko review karta hai to aapki site me niche di gayi jankari check karta hai. mai yaha aapko iske bare me kuch bate bta raha hu. jinhe follow karke aapka AdSense account block ya ban nahi hoga.
- Traffic: Adsense account banane ke liye aapke blog par per day 500 pageviews google search engine se aaye visitors se hone chahiye. agar aap isse kab pageviews hone par AdSense ke liye apply karoge to AdSense approved ho bhi jayega to kab traffic ki wajah bahut jald disapproved ho jayega.
- Content: aapke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai. so AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 5000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 10+ post honi chahiye.
- Author Talent: jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai. yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai ko bhi check karta hai. or agar aapki post ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account approved nahi hoga.
- Copyright Content: aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.
- Bounce Rate: bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.
- SEO: AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.
- Blog Design: AdSense account apply karne se pahle apne blog ko ache se design kar le. usme jaruri widget add kar le. in my case mai aapko simple design ke liye kahunga. kyuki simple design ko visitors sabse jyada pasand karte hai. or AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi. or kam se kam waqt lagega.
- Create Page: AdSense account banane se pahle apne blog par about us, privacy policy, contact us page bana le. google search engine or AdSense dono ko ye page pasand hai.
- Sitemap: apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.
- Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.
Ummid hai ab aapko blog banane ke bad AdSense account kab banana chahiye ki jankari mil gayi hogi. to ab aapko kisi se bar bar puchne ki jarurat nahi padegi. or na hi AdSense approved na hone ki problem ka samna karna padega.
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
Is post me btayi bate follow karke aap aasani se AdSense account bana sakte ho. or agar aapko iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte ho. sath hi agar aapko is post me achi jankari mili ho to is post ko share karna na bhoole.
Abhishek Meena
Aapka yah article blog ko AdSense se approve karane me bahut madad karega. Thanks for posting this helpful Article. Bro. me bhi aapke jaisa hi ek Contact Us wala Page banana chahta hu jisme Name, Email, Website, aur msg. dalne ke liye alag alag boxes ho to aisa Contact Us wala Page banane ke liye mujhe kya krna hoga.
Jumedeen Khan
Aap iske bare me google me search karo kuch blogger ne iske step btaye hai unhe follow karke bana sakte ho.
Abhishek kumar
Sir mai godaddy se websitehindi.com domain kharid chuka hun . Kya blogger se jodne ke liye hosting lena jaruri hai. Plz help
Jumedeen Khan
Nahi
Name :Abhishek
Hai,,,,
Sir me janna chata tha ki blog banne ke kitne din baad AdSense par apply kar sakte hai
Plz maddat kijiy muche
Jumedeen khan
Is post me or kya btaya hua hai kam se kam post ko padh kar comment kiya karo.
DEEPAK VAISHNAV
thank u so much sir,property delete krke fir se verify krne se verify ho gya…..
Jumedeen khan
Welcome bro.
raza
aapne hindi language ka estemaal karte huwe english phont me apni post likhi hai. kya ese addsence sahi manta hai. agar mai apna blog esi tarah likhu jaise me es coment me likh raha hu. to kya addsence approve ho jayega.
Jumedeen khan
Haa likh sakte ho.
deepak vaishnav
sir mera blog google search console se verify nhi ho rha he, html tag choose krke try kiya tha plz help me
Jumedeen khan
Error kya aata hai.
DEEPAK VAISHNAV
we were’nt able to verify your property
ye likha hota he
Jumedeen khan
Aap property ko delete karke fir se verify karo or blog me verify code sah ise add karo.
Dinesh singh
sir,mere blog ka design,contant,seo,traffic sab theek thak h. Phir mene AdSense ke liye apply bhi kiya tha lekin aaj 8 din ho gye mere pass google ka koi mail nahi aaya h.
ab mujhe kya krna chahiye..plz help me sir
Jumedeen khan
Aapke aps AdSense ke mail ka wait karne ke siwa or koi rasta nahi hai. Please wait.
Dinesh singh
sir aap mere se fb pr bat kar sakte ho kya??
plz sir help chahiye aapki thodi si..aapki badi karpa hogi sir
Jumedeen khan
Aap mujhe sham 8pm par facebook par message send karo.
Aman Morwal
Bhai maine ye 1 sal pahele YouTube se AdSense account banaya tha..ab ye band ho gaya.
Bhai abhi maine abhi blogger ki website se apply kiya hai…bhai meri help karo plz…mujhe kuch samajh nhi aaraha bhai..aur bhai amanmorwal68 wali gmail id to bahot pahele hi band ho gai..ab kya karu bhai.
Jumedeen Khan
Aap diffrence id se AdSense account ke liye apply karo ya 10-15 day bad isi id se apply karo.
Aman
Bhai plz help me.Mai jab google AdSense ke par save and changes par click karka hu tab wo waha hi atka raheta hai…kuch kuch show hi nhi karta..bhai help me
Jumedeen Khan
Ye aapke internet connection ya browser ki problem hai. Aap kisi or browser me ya is browser ko update karke try karo.
Aman
Sir maine ye 1 mahine ho gaye atak jaata hai sir…..connection bhi acha hi hai…..lekin aap rahe hai to dekhte hai sir…..cyber cafe mai jaakar dekhta hu sir……Thank u…bro….
Jumedeen Khan
Apne browser ko update kar lo problem solve ho jayegi yA Firefoz me try karo.
Aman
Thank u bro…..jaise hi chrome ko update kiya ho gaya.abhi work kar raha hai….thank u so much.
Dinesh singh
Help sir..mereko aapse blog ke regarding kuch puchna h
Jumedeen Khan
Bilkul puch sakte ho.
Dinesh singh
sir mere blog ka name or link phle alag tha tb uspe jyada post or traffic nahi thi tabhi mene adsens ke liye apply kar diya tha but us time disapprovel ho gya tha or ab mene blog ka pura design,name,link sb change kr diya fir AdSense ke liye apply kiya to your wabsite wala option ediot nh ho rha tha usme vo phle wali wabsite ka hi name aa rha tha..phir bhi apply kar diya to mere is wale blog pr adsens approve hoga ya nahi hoga??..jb me earning wale button pr click krta hu to ye lika hua aa rha h..”Your AdSense account is awaiting approval.”
plz help me
Jumedeen Khan
Abhi aap google ke mail ka wait karo. Mail aayega to usme sabkuch pata chal jayega. wait please.
shorab
Bhii mena aaj morning me you tube open ki Fir mena left side me click kiya to vha top pr sign in tha mena use pr click kiya to vha meni email I’d address save ho gyi uske bd maine niche upload pr click kiya or ek 2 min ki video upload kr di h too ab muje kya karna h jise muje money mill ske.. Plzzz help me bro.
Jumedeen Khan
Aap ye post padho YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Amit kumar
thanks for the great post.. greatly describe the huge points to consider..
Kamal
एक बार गूगल एडसेंस का अकाउंट बन जाने पर कितनी वेबसाइट पर ऐड लगा सकते है
Jumedeen Khan
Aap apni 4-5 sites par AdSense ads laga sakte ho jyada par lagane se AdSense account ban hone ka dar rahta hai.
maham khan
sir agar aap koi bhi keyword choose karke website banao jissey aap apni website pe traffic laana chahte hon toh konca framework acha rehta hai WordPress ya aaj kal jo new aaye hain jaise laravell codeignitor ?
Jumedeen Khan
WordPress ek blogging platform hai or framework design ko kahte hai jaise mere blog par ek tarah post layout or dusri side sidebar show hota hai. Is time world me genesis framework sabse jyada famous hai.
आपका दोस्त
विज्ञापन साईट पे दिखाई क्यू नहीं देती
Jumedeen Khan
Aap chrome browser me site open karo.
farhan
Sir mene ek shayari ka blog banaya he ab shayari to bahot choti hoti he to kya is se mera AdSense account approved hone me kuch problem hogi ..?
Or ager me bahot sari shayari jaise 200-300 us k baad apply keru AdSense ke liye to koi problem nai hogi na..?
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hogi but aap ek post me ek se jyada shayari bhi use kr sakte ho.
farhan
Or sir mera blog blogger pe he to aap mere shayari wale blog ke liye koi ache template suggest ker sakte ho..?
Jumedeen Khan
Aap template for “shayari blog likh kar google me search karo”
Aman Morwal
Hello sir aapne bahot achi tarah explain kiya hai. Sir mene bhi blogging karna chalu kiya hai par mujhe ye nhi samjh mai aaraha ki mai mere blog ki traffic kese bhadhau agar sir help kar sako to acha rahega.
Jumedeen Khan
Maine traffic increasing ke bare me kuch post likhi hai wo follow karo.
Sanjay
Sir mujhe mere AdSense account ka status pta mRNA h ki kya WO mere blog se connect hua ya nhi .mere pas pahle se YouTube ka AdSense account h Maine using se apne blog ko connect kiya h . Or ye b btana ki mujhe kaise pta lgega ki khi mera account block to nhi ho gya h
Jumedeen Khan
Aapko AdSense ke mail milega or aap adsense.com par log in karke dekh lo waha hosted account likha hua nahi hoga.
krishnachandra baghel
sir kya camtasia 8 photo studio ke traiyal version me record hui video ko hum bina watermark ke YouTube per uplode kar skte hai plz ye kaise hoga detail me bataiye
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. Aap google me iske bare me search karo koi post mil jayegi.
krishnachandra baghel
sir mai apne blog me godaddy se liya hua domain name setup karne ki kosis kar raha hun but mai esme ulajh gaya hun ye ho ni paa raha hai plz meri madad kijiye kya aap mujhe team wiever se mere website ki setup kar denge plzzzzzz
Jumedeen Khan
Aapko problem kya ho rahi hai. mai aapko yayhi par uska solution bta dunga.