Google Webmaster Guidelines Kya Hai or SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hai

Google search engine se organic traffic pane ki bat ho ya google AdSense ko approved karane ki dono me google webmaster guidelines ko follow karna jaruri hota hai. Aapne iske bare me suna or padha bhi hoga. Yaha is post me mai aapko iske bare me full information bta raha hu ki webmaster guidelines kya hai or ye website blog ke liye kyu important hoti hai. Ise kyo follow karna chahiye.

what is webmaster guidelines

Google webmaster guidelines ko follow karne se aapki website google ko aasani se mil jati hai, site ke content fast index hote hai and search rank increase hoti hai.

Google ne bahut se algorithem banaye hai. Agar aapki site google webmaster guidelines ko follow nahi karti hai to google aapki site ko search results se removed ya humesha ke liye delete bhi kar sakta hai. Isiliye apne blog ki google me achi postion banaye rakhne ke liye sabhi website owner or blogger ko webmaster guidelines ki basic jankari honi chahiye.

Google Webmaster Guidelines Kya Hai Full Information in Hindi

Webmaster guidelines ke most 2 part important hote hai. General guidelines and Quality guidelines.

Part 1: General Guidelines:

A. Help Google find your pages:

Is part me aapko google ki aapki site ke content ko index karne me help karni hai. Jiske liye aap ye step follow karo.

  1. Images alt: Other site par aapki site ke pages ka links ho, aap apni site me other site ka link add kare, referral traffic receive kare, images me alt attribute tag add kare.
  2. Create Sitemap: Apne blog ke liye sitemap generate kare or use google webmaster tool me submit kare. Sath hi apne blog ke footer me sitemap link add kare. Isse aapka blog google me fast index hota hai.
  3. Links limit: Post content me limit internal and external links use kare, Jarurat se jyada links use na kare.
  4. Web server: Ye clear kar le ki aapka web server sahi se work kar raha hai ya nahi. Web server me error aane par aapki site ki search rank me fark padta hai.
  5. Robots.txt file: Apni site ke personal content ko hide karne ke liye robots.txt file istemal kare. Jisse google aapke private data ko index nahi kar sake.

B. Help Google understand your pages:

  1. Useful, information-rich site banaye or us par clearly and accurately description content likhe.
  2. Post content me ayse words ko use kare jo google me sabse jyada search kiye jate hai.
  3. EnSure, pata kare ki aapki site ke <title> elements and alt attributes descriptive, specific, and accurate hai.
  4. Apni site ka simple or clear design kare.
  5. Content management system (for example, Wix or WordPress) use karte ho to ye pata kar le ki aapki site ke pages google search me index ho rahe hai ya nahi.
  6. Google ko aapki site content ko ache se samajhne (fully understand) me help kijiye. Sirf unhi site se apni site ko connect kijiye jo google friendly ho. Example, CSS, javascript files se google ko site index karne me problem hoti hai. So apni site par kam se kam CSS and javasript file use kare.
  7. Website ke error 404 and other error pages ko fix kare, Sath hi google search console me crawl error or URL parameters ko bhi fix kare.
  8. Agar aapko lagta hai ki kisi link se aapki site par bad effect pad sakta hai to uske link me rel="nofollow" use kare.

C. Help visitors use your pages:

  1. Post contet me text ke alawa images, videos and links bhi add kare.
  2. Pata kare ki aapne aaj tak apni post me jo bhi link add kiye hai wo sahi work karte hai ya nahi. Iske liye aap online broken link checker tool use kar sakte hai.
  3. Keyword stuffing se bache.
  4. Apni site ko optimize kar loading time ko kam kare. Fast loading website ko search engines or visitors dono pasand karte hai. Iske bare me adhik janakri ke liye aap ye post padhe. How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips
  5. Website all device friendly honi chahiye. Iske liye apne blog ko sabhi device screen size ke hisab se design kare, Aapki site laptop, desktops, computer, tablets, Iphone, ipad, android, black berry jaise all smartphones mobile me ache se open honi chahiye.
  6. If possible, Agar ho sake to apni site ke liye HTTPS security use kare.
  7. Yaad rahe aapke sabhi content aapke readers ke liye useful, helpful and interested hone chahiye. So only quality original content hi publish kare.

Part 2: Quality guidelines:

Webmaster guidelines ke is part ko to aap name se hi samajh gaye honge, Kyuki aap sabhi jante ho ki quality content kya hota hai. Fir bhi hum yaha par iske bare me thodi bat karenge. Ho sakta hai aapko inme se koi new metter pata chal jaye.

Google deceptive or manipulative behavior wale content ki tulna me google original quality content ko jyada like karta hai. Means bekar ki information or jod-tod kar likhi gayi post se jyada google ek badiya or khud ke dwara likhi gayi post ko jyada pasand karta hai.

Agar aapko lagta hai ki google webmaster guidelines ko follow kiye bina aapki site google me top position bana sakti hai to aap 100% galat hai. Past time me google aysi bahut si sites ko banned kar chuka hai. Yani ki google ko abuse karna bahut badi galati hogi.

Agar koi aapki site ke content ko copy kare to aap hand to hand uski google DMCA form me report kar sakte hai. Isse google copy paste karne wali site ko search result se remove kar dega. Or agar wo blogspot.com blogger platform par bana blog hai to google use delete bhi kar sakta hai. Aap aysi kisi bhi spam site ki google ko report kar apni site ko secure kar sakte ho.

Site par content likhne ke basic principles:

  1. Make pages primarily for users, not for search engines: Apne readers ke liye quality content likho na ki sirf search engine ke liye.
  2. Don't deceive your users: Apne users ko dhoka mat do. Unki pasand ka khyal rakho or unse ache relation banao.
  3. Aap search engines friendly content likho. But apne content me topic ke bare me full information likho. Taki aapke visitors ko aapke content ko padhne me nirasha na ho.
  4. Users se advice lijiye or khud bhi sochiye ki apni website ko unique, valuable, or engaging kaise banaya jaye. Apni site ko sab like kare aysi bana do.
  5. Continue and fix time par blogging karo. Apne users ko daily kuch time online live chating me do. Jisse aapse jyada se jyada people connect ho sake.

Avoid the following techniques:

Website ko google me achi postion me lane ke liye aapko na sirf webmaster guidelines follow karne ki jarurat hai balki aapko kuch bad work se bhi bachna hai. Jinme se kuch ke bare me mai aapko yaha bta raha hu.

  1. Automatically generated content
  2. Participating in link schemes
  3. Creating pages with little or no original content
  4. Cloaking
  5. Sneaky redirects
  6. Hidden text or links
  7. Doorway pages
  8. Scraped content
  9. Participating in affiliate programs without adding sufficient value
  10. Loading pages with irrelevant keywords
  11. Creating pages with malicious behavior, such as phishing or installing viruses, trojans, or other badware
  12. Abusing rich snippets markup
  13. Sending automated queries to Google

In sabhi ke bare me details se janne ke liye aap google ke is page par visit kare, Specifc guidelines.

Finally, Aapko is post me google webmaster tool ke bare me achi jankari milegi or isse aap apne blog ko google search me better postion me la sakoge. Maine ye article google ki webmasters guidelines padh kar write ki hai. So future me isme changes bhi ho sakte hai. Adhik jankari ke liye aap weekly, monthly google guidelines read karte rahe.

I hope aapko ye article pasand aayega. Agar mai sahi hu to please is post ko social sites par apne friends ke sath share jarur kare.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

120 Comments

Comments ( 120 )

  1. Meri sabhi post ke sirf title hi google search mai dikhne lage hai baaki content image,video sab gayab ho gaye hai please bataaye kya problem hui hai.

    Reply
    • Aapne robots.txt file se media and other content ko hide kiya hua hai. Robots.txt file achhe se use karo ya use hi mat karo.

      Reply
  2. hlo sir
    mere WordPress blog me jetpack me to 10-20 hi traffic bata raha hai but analytics me 150 bata raa hai... to yeh possible ho skta hai kya?? or agr ho skta hai to jetpack me itna kam kyu bata raha hai??

    Reply
    • Nahi ye possible nahi hai. Aap jetpack me check karo usme sahi report btata hai. Agar next time bhi aysa hota hai to aap jetpack plugin ko uninstall karke fir se install karo.

      Reply
  3. Hello jume Deen sir. Meri. 28 post me se sirf. 2 post hi google webmaste me index ho rahi. Mujhe. Sir eska solution batai

    Reply
    • Aap apni post ko google webmaster tool me fetch karo.

      Reply
  4. ASSALAMUALIKUM
    JUME DEEN KHAN BHAI
    MUJE MERE SAITE KA SEO ADS KARANA HAI AAPSE PRSNEL BAAT KARNA HAI BHAI AAPKA NO DO YA MUJHE ISS NO PE WATSAAP YA CALL KARO PLZ 1 BAAR PLZ 1 BAAR

    Reply
    • Sorry sameer mai sirf aapki help kar sakta hu.

      Reply
  5. hello jumedeen bhai kya aap aj domain kharidkar de sakte hai maine 1 month waiting ki hai.Please Please bhai na mat kehna

    Reply
    • Ok aap mujhse facebook par contact karo.

      Reply
  6. bro meri theme ka page navigation kaam nhi kr rha h next last nhi likha aa rha hai direct counting aa rhi h like 1,2,3,4,5,6,7 aise aap meri website ko check kr sakte hai kya.

    Reply
    • ribbon option me ja kar page navigation ko enable karo.

      Reply
    • Bro maine kiya tabhi bhi next prev kaoption nhi aa rha direct aa rha h

      Reply
      • Ok aap index.php me ja kar next preveiws page ki limit set karo. waha jaha bhi iski coding mile usme 5 se kam number likho.

        Reply
        • Bro coding hi bta do kya h mai dhund rha hu pr mil nhi rhi aur shi krta hu to website kaam krna band kr deti h kya karu

          Reply
          • Tushar mujhe coding ke bare me itni jyada informtion nahi hai. Aap theme ko uninstall karke fir se install kar sakte ho.

  7. hello jume deen khan ji,

    maine apne naye blog ki shuruaat ki hai aur aapke is post ko padhkar SEO ke bare me jankari mili.

    main ise apne blog me apply karungi taki hame bhi google se traffic mile.

    dhnybad.

    Reply
  8. Sir,, apne blog post ke andar kisi dusre blog ka link dene se koi effect hai,,seo me koi fark padega

    Reply
    • Nahi koi problem nahi hai. But aap jis blog ka link de rahe ho wo google guidelines ko follow karta ho.

      Reply
  9. Mene apne blog me nya template upload kar liya he. Par template ko edit kese karte he. Jese template me sabse upar drop down menu me categories kese add karte he. Mere blog me har post ke niche artikel terkait naam se kuch likha aa raha he use hataye kese. Aur coding kya hoti he

    Reply
    • Aap blogger template me jao or jo aapko delete karna hai wo search karke delete kar do. Editing karne ke liye aapko blogger ki coding sikhni hogi.

      Reply
  10. Meri site php platform par hai to go daddy par ham konsa plan choose kare windows or linux

    Reply
    • Aapko jo better lage wo choose karo.

      Reply

Leave a Comment

Blogging

5 Buri Aadat Jo Aapke Blog Ko Growth Karne Se Rokti Hai

Har kisi me buri aadate hoti hai. Ek blogger me bhi kuch bad habits hoti hai jo uske blog ko growth karne se rokti hai aur audience uske blog ko kam pasand karte hai. Aaj yaha main aapko Top 5 Bad Blogging Habits ke bare me bta raha hu agar…
Continue Reading
SEO

Your Site Has No Hreflang Tags Language Error Ko Fix Kaise Kare

Your Site Has No Hreflang Tags
Main Hreflang tags ke bare me already article likh chuka hu. Is post me main aapko Google Search Console Tools International targeting language error Your Site Has No Hreflang Tags issue ko fix karne ke bare me step by step with screenshot btaunga. Agar aap ek blogger ya website owner hai…
Continue Reading
Blogging

Mobile Phone Se Bina Antivirus Ke Virus Delete / Remove Kaise Kare

Delete smartphone virus without format and antivirus
Smartphone m virus aane par hume mobile ko factory reset karke virus delete / remvoe karna padta hai jiski wajah se humare mobile ka all data photos, videos, movies, songs, music, games, important apps and other personal data delete ho jata hai. But aaj main aapko aesa tarika bta raha hu…
Continue Reading
t20 win
x