Jaha high quality backlinks se website search ranking increase hoti hai wohi bad backlinks se site ki search rank down ho jati hai. Agar aap in bad links ko Google Disavow Tool se remove kar do to inka site rank par google search rank me koi effect nahi hoga. Yaha main google disavow links tools se bad backlinks ko disavow karne ki step by step with screenshot guide share kar raha hu. Disavow Links Guide 2024.
Bad backlinks kisi bhi website or blog ki search ranking improve karne me helpful hote hai lekin kuch logo ne ise apne competitor ki site ki search rank down karne ke liye galat istemal karna shuru kar diya.
Wo competitor ki site ki rank down karne ke liye spam links generate tool se bad website se link generate karte hai. Kuch webmaster is negative SEO me safal bhi huye.
Bing or google ne isse bachne ke liye disavow tool launch kiya taki spammer valid sites ki rank decrease na kar sake. Disa
Table of Contents
Google Disavow Tool Kya Hai?
What is Google Disavow Tool in Hindi: Google disavow ek aesa tool hai jisme aap apni site ke sabhi bad links ko submit kar google ko bta sakte ho ki in links ko aapki site ki search ranking me count na kiya jaye.
Ye google search console tool ka hi part hai aur bilkul free hai jiska istemal har ek webmaster kar sakta hai. Bad backlinks ko remove karne ke liye ye sabse achha tool hai.
Jab aap aap site owner se contact karne ke bad bhi bad links ko delete nahi kar pate ho to aap un links ko is tool se disavow kar sakte ho.
Uske bad google un bad links ko filter kar dega aur aapki site ke backlinks me count nahi karega. Isse aapki site ki search rank down nahi hogi.
Google Disavow Tool Ka Sahi Tarike Se Use Kaise Kare
Yaha main aapko google disavow tool ko use karne ka sahi tarika btaunga kyuki aapke galat tarike se backlinks ko disavow karne se bhi site rank drop ho sakti hai.
Bad backlinks ko remove karne ke liye hume 2 kaam karne hai.
- Make Bad Backlinks List
- Submit Bad Backlinks to Google Disavow Tool
Main yaha dono ke bare me step by step with screenshot details se explain karke bta raha hu taki aapko sabkuch clearly samajh aa jaye.
Website Bad Backlinks Ki List Kaise Banaye
Sabse pahle aapko all bad backlinks ki list banani hai jinhe aap disavow karna chahate hai. Aap google webmaster tools se apni site ko point karne wale backlinks ki list download kar sakte hai.
Ya fir aap third party tool like Semrush ya Ahrefs jaisi third party tools ka upyog kar sakte hai. In par aapko all news links and dead links mil jayenge.
Sabse pahle hum google search console backlinks list download karenge. Iske liye aap google search console par jaye.
- Left sidebar me Search Traffic >> Link to Your Site par jaye.
Yaha se aap backlinks linst download kar sakte hai. Yaha par aapko Download this table, Download more sample links or Download latest links ka option milega.
Backlinks download karke aap unka manually review kare aur unme se bad backlinks ko filter karke unki text file banaye. Aap bad links ko alag karne ke liye semrush or ahrefs ki backlink audit tools ka bhi istemal kar sakte ho.
Lekin fir bhi aapko all links ko manually review kar lena chahiye taki koi quality link disavow na ho, I know isme time lagega lekin ye better hai.
Agar aap complete domain ko disavow karna chahate hai jisse aapko bahut saare spam links mil rahe hai to uske liye aap domain:example.com aur sirf URL ko disavow karna hai to uske liye per line one URL add karna hai.
File .txt
format me honi chahiye. Bad backlinks ko disavow karne ke liye file ka look kuch is tarah hoga.
# ask for link removal but got no response http://example.com/sample-post.html http://www.example.com/paid-links.html # domains domain:example.com domain:www.example.com
File completely create karne ke bad uska ek bar fir se review kar le taki link disavow karne me koi problem na ho aur aapki site par bad effect na pade.
Website Bad Backlinks Ko Disavow Kaise Kare
Bad backlinks ko disavow karne ke liye aapko google disavow tool par ja ja kar apni banayi gayi bad links ki list ko submit karna hai.
Step 1:
List ready hone ke bad Google Disavow tool par jaye aur drop down me us domain ko select kare, jisme aapko bad links disavow karne hai.
- Disavow tool par jaye.
Step 2:
Next page par fir se Disavow Links par click kare.
- Choose File par click karke links list ko browse or upload kare.
- Submit button par click kare.
Step 3:
Backlinks list ko submit hone me kuch seconds ka time lagega. Process complete hone ke bad submit ki gayi files ki details show hogi ki aapne kitne domains aur URLs ko disavow kiya hai.
- File upload hone par Done par click kare.
Congratulations! Aapne successfully bad backlinks list ko google disavow links tool me submit kar diya hai. File submit hone ke bad aapko ek confirmation mail aayega.
- Aap Disavow Links par click karke confirm kar sakte hai ki file submit huyi hai ya nahi.
Aapke backlinks disavow karne ke bad aapki site ki down huyi rank ko recover hone me 1-2 week ka time lagega. Kyuki google un pages ko re-crawl and index karega.
Agar future me kabhi aap backlinks file me aur links add karna chahate hai to aap disavow files ko download kar usme new links add karke fir se disavow tool me submit kar sakte ho.
Important Note:- Google disavow tool ka istemal tabhi kare jab aapki site spam links se affected ho otherwise ye aapke liye nahi hai.
Main aapko suggest karunga ki disavow tool ko use karne me jaldbazi na kare aur ise tabhi use kare jab aap confirm ho jaye ki aap kya kar rahe hai.
- Google Penalty Se Bachne Ki Top 3 Master Tips and Tricks 2024
- 50 Reasons Jinki Wajah Se Google Aapki Site Ko Penalize Kar Sakta Hai
Is tarike se aap bad backlinks se apni site ki search rank ko down hone se bacha sakte ho aur pahle se down ho chuki site ki search ranking recover kar sakte ho.
Agar aapka google disavow links se related koi sawal hai to comment section me puche aur btaye ki ye guideline aapko kaise lagi.
Agar ye article aapke liye helpful and useful ho to ise other webmaster ke sath share jarur kare.
Adil Khan
Bhai Saheb
Search console Top linking sites me
174.138.43.128 aur prvcy.one
Type ki kaafi backlinks bhi show ho rhi h iska kya matlab h
Jbki inme koi url nhi h kya mujhe inko bhi disvaw karna chahiye
Adil Khan
Aur pinterest.in par maine create ki but iske alawa pinterest.co.kr jaisi sites par bhi h inko bhi disvaw krna hoga ?
Jumedeen Khan
जो लिक आपकी साईट से relevant नहीं है उन्हें disavow कर सकते हो
Deepak Sahu
sir maine bad backlinks ki list bana li hai notepad me but wo notpad file save nahi ho rahi. notepad file ko kis name se save karna hai?
maine onlinedailytips.com.txt ke name se save kiya hai.
जुमेदीन खान
Save होना चाहिए, आप इसमें से (.) हटा कर save करो और फिर भी save न हो तो जो error आए वो बताओ
Deepak Sahu
file upload hi nahi ho rahi. kai baar file alag alag tareeke se rename kar ke dekh liya lekin yahi error show ho raha.
“The file must have a .txt extension. Please try another file.”
जुमेदीन खान
आपकी फाइल txt format में नहीं है, आप सही फॉर्मेट में फाइल क्रिएट करो, इसके लिए आप desktop पर right click कर New >> Text documents सेलेक्ट करके फाइल बनाओ
Nitin Kumar
Bhai iss post me jo aapne code likhe hai .txt ke niche jo hai copy ho jata hai baki bas content protect hai aisa kaise set hota hai
Jumedeen khan
Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
Manish
Hello Sir, Hamare website par 200 se above fake links hai, mene disavow august me kiya tha, but mujhe abhi tak koi mail nahi aaya, aur ab 200 se jyda fake links ho gaye
Please Suggest me ….
Jumedeen khan
Ho sakta hai, aapki site ka traffic un links ki wajah se kam na hua ho so disavow karne ke bad bhi result nahi mila.
Manish
Actual mere Traffic 50% loss huwa hai…
So please aap help kariye, ki ham kya kare…
Jumedeen khan
bad links ko disavow karo.
sanjay verma
useful information bhai but agar hame subdomain use karna ho to kaise kare www ko kaise set kare
Jumedeen khan
example dekho www or non-www dono ke bare me btaya hai.
BS.Gusain
Thanks for valuable post !
sir, maine 35 url disallow kar diya hain,
but mujhe abhi koi confirmation nahi aaye.
kya wo sare url disallow ho jayegi , jo maine submit kiye hai hain notepad file me ?
must reply !
thanks
Jumedeen khan
Links disavow karne ke bad aapko mail aayega, agar na aaye to fir se bad links file disavow karo, aapko 1-2 week me result milega.
Sanjay
Hello bro!
Thanks for this post. Ek question hain maan lijiye ek site hain “www.spm.com/index html” jo ki spam hai aur mujhe isse Disavow karna hain. to main is domain ko apne note pad me kis trah likhunga
example 1:
domain:spm.com
ya phir example 2:
domain:www.spm.com
ye subdomain wale me doubt hain. Waiting for your repsonse!
Sanjay.
Jumedeen khan
Very simple, aapko agar www subdomain disavow karna hai to www add karo aur agar domain ke all subdomain ko disavow karna hai to only example.com use karo.
Sanjay
Hmm! Thanks aur disavow file submit karne ke baad kya yeh backlinks webamaster tools inbound links section se remove ho jayenge? Agar nahi to in future phir se disavow file create karne me problem nahi hogi. Please solution.
Jumedeen khan
Nahi honge, in future bhi aapko same method use karni hogi.
Pravin Kumar
Sir aapne bahot achi info di hai Isse hamare blog par jo bad Backlinks ko google disavow tool ka use karke bad Backlinks door karege