Google Search Engine Me Indexed Pages Kam Kyu Hote Hai

Search Engine Me Indexed Pages Kam Kyu Hote Hai? Google me index web page URL number ke kam hone ke reasons. Google search engine me indexed webpages ka achanak se kam hona ek badi problem hai. Aapke sath bhi aesa hua hoga. Aaj hum isi ke bare me bat karenge ki search engine me index ho chuke pages number kam kyu hote hai iski wajah kya hai. Search engine me index URL ka decrase hona search rank ke liye sahi hai ya fir galat. Is guide ko follow karne ke bad aapki index pages ke kam hone ki confusing door ho jayegi.

Indexed Pages Dropped

Website ke pages ka google and other search engine me index hona bhar hi search result me top par aana nahi hai. Jo page index hai wo rank karega jaruri nahi hai. Aap search console me Fetch and Render feature ke dwara kisi bhi post ko index karwa kar top me la sakte ho but kuch time bad wo google se drop ho jata hai or apni real position par rank karta hai.

But problem tab hoti hai jab humari site ke indexed URL kam ho jate hai. Last  Sunday ko mujhe Sunil Sharma ka ek mail mila “Hi bro 3-4 day pahle meri site ke google me 1000+ links indexd hai but ab 800+ hi hai. Iski kya wajah se or ye SEO ke liye better hai ya bad.” Sunil ji aapne bahut hi achha sawal pucha hai. Main chahata tha ki iska jawab aapke sath baki sabhi website owner and blogger ke sath share karu taki wo bhi iski wajah jan sake.

So chaliye main aap sabhi ko search engine me index site URL number ke kam hone ki wajah bta deta hu.

Search Engine Me Indexed Pages Ke Drop Hone Ke 5 Reasons

Actually, Iski kai wajah ho sakti hai like googlebots aapki site ke pages ko index nahi kar pa rahe hai ya fir aapko google se penalty mili hai. Yaha main aapko search engine me web pages ke dcrease hone ke kuch important karan bta raha hu. Agar aapki site me ye kami hai to use jald solve kar le.

1. Website Page Properly Load Nahi Ho Rahe Hai

Achhe se check kar le ki aapki site ke sabhi pages proper open ho rahe hain. Ho sakta hai aapki site ka server down ho or site pages load nahi ho rahe ho ya fir aapne domain DNS record sahi se add kiya hai ya nahi.

Check kare ki aap 200 HTTPS Header Status use kar rahe ho. Iske liye aap Xenu, DeepCrawl etc. tools ka istemal kar sate ho. Sath hi site ki loading speed bih check kare or jaha tak ho sake 100% uptime hosting use kare.

Content ka status 200 hona chahiye agar aap SSL certificate use karte ho to check kar le ki aapki site par 301 redirection hai or proper work kar raha hai.

2. Aapne Recently URLs Change Kiye Hai

Kai bar post pages ka URL change karna hota hai ya fir aapke sath galti se aesa ho gaya hai. Search engien wsese to old URL ko kafi time tak results me show karta hai but agar wo proper load nahi ho raha hai to google use de-index kar deta hai.

Mostly, ye issue site migration ke time jyada hota hai. Agar aapne site ko dusre platform par move kiya hai to same URL use kare ya fir redirection sahi se kare.

3. Duplicate Content Issue Ko Fix Na Karna

Aapki site par sabih pages sahi se laod ho rahe hai, Error 404, same content ke ek se jyada page hona, etc. problems ko solve na karna bhi iski wajah ho sakti hai. Google duplicate content pages ko search engine se remove kar deta hai.

4. Website Pages Time Out Ki Problem Hai

Mostly websites par page time out 30 second ka hota hai. Agar aapka content 30 second me load nahi hota hai to time out issue show hota hai. Ya fir aapne time out time badha rakha hai to iski wajah serve bandwidth ho sake hai.

Apni site ke liye top level hosting use kare or prapt storage par site host kare. Sath hi web hosting monitor use kare or time to time check kare ki aapka server proper work kar raha hai.

5. Search Engine Bots Aapki Site Ko Alag Tarike Se Dekhte Hai

Bahut bar search engine robots humari site ko us nazar se dekhte hai jo hum nahi chahate hai. Example, aapka content SEO friendly nahi hai or aap without google term follow kiye content likh rahe ho.

Agar aap chahate ho ki google and other all search engines  aapki site ko like kare to aapko SEO ke bare me sikhna hoga.  Agar aap janna chahate hai ki search engine me aapki site ke kitne URL index hai to ye ye post read kare Search Engines Me Aapki Website Ke Kitne URL Index Hai.

Ye the 5 big reason jinki wajah se search engine me indexed pages number kam hote hai. But main aapka btana chahunga ki har bar index pages ka kam hona bura nahi hota hai. Agar aapke low quality content ko remove kar deta hai to aapke high quality content ki search ranking badh jati hai. Jisse aapko jyada traffic milta hai.

In points ka khyal rakhe or time to time check karte rahe ki aapki site ke sabhi pages properly open ho rahe hai ya nahi.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 63 )

  1. md shehzad

    Sir mene 5 days pelhe ek post publish kiya tha par wo index hi nahi ho raha hai kiu?

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...