Sabhi search engines managing, ranking and returning search results 3 process me work karte hai. But bahut se logo ko iske bare me koi idea nahi hota ki search engine work kaise karte hai or kaise search box me humare queries type karne se results show karte hai. Aap sabhi ko iske bare me jarur pata hona chahiye ki google, bing, yahoo and other search engines operate kaise karte hai. Google search work kaise karta hai?
Yaha mai aapko sirf google search engine ke work karne ka tarika bta raha hu but other search engines ki bhi working process lagbhag same aysi hi hoti hai. Agar aap search engine se traffic kamana chahate ho to aapko iske bare me jarur pata kar lena chahiye.
Google Search Work Kaise Karta Hai? Full Information in Hindi
Google search CRAWLING & INDEXING, ALGORITHMS and FIGHTING SPAM 3 part me work karta hai. Jise aap is image se clear samajh sakte ho.
1. Crawling and indexing: Google content ko index karne ke liye web crawlers software ka istemal karta hai. Jise googlebot kahte hai jo web pages ke look, quality or links ko check karta hai. Humari post ko jab google ke crawlers check karte hai to sabse pahle humari site ke sitemap ka review karte hai or link to link post ko index karte hai. Google search ki ye first process hoti hai. Google khud se jyada content me ye dekhta hai ki isme readers ke liye kya better hai or unhe isse kitna fayda ho sakta hai. Isi wajah se unki site bhi google me index hoti hai jo crawling & indexing ke liye koi extra work nahi karte.
Agar koi website owner apni site ko manually index karana chahata hai to wo robots.txt file use kar sakta hai. Iski help se aap apne personal content ko googlebot se hide kar sakte ho.
2. Algorithms: Algorithms ek computer program hai. Internet par iske bare me aapko lakho webpages mil jayenge but iske bare me bahut sare webpages me likhne ki jarurat nahi hai. Simple language me ise google ki terms kahna bura nahi hoga. Google ne bahut sari algorithms service shuru ki huyi hai jo original quality content ko index karne me google ki help karti hai. Typicaly, algorithms google search service ko improve karne ke liye engineers ka idea hai. Google engineer ek series banate hai ki kaise google ko or jyada behtar banaya jaye or kaise web pages ko index kiya jaye. Jisse google visitors ko sahi janakri mil sake.
3. Fighting Spam: Everyday millions website owner spam pages create karte hai jo kisi ke liye bhi helpful or useful nahi hote hai. Unse sabhi ka nukshan hi hota hai. So google unka manualy review karke ya automatically algorithms ki help se spam pages ko fight kar remove karta hai.
Agar aap is image ko apne blog ki post me add karna chahate ho to ye code copy karke apni post me html section me add kare.
<a href="https://www.supportmeindia.com/how-google-search-engines-operate/" target="_blank"> <img src="https://www.supportmeindia.com/wp-content/uploads/2016/06/How-google-search-engine-work-full-image-processing.jpg" title="How google search engine work full image processing" alt="How google search engine work full image processing" width="700" height="6353" /></a>
Internet par kuch log google ki search engine optimization tips and techniques ka galat fyada utha kar keywords repeating karke apne content ko google search me first page par lane ki koshish karte hai. Jisse search engine or uske reader par bad effect padta hai. Isiliye google sirf unhi pages ko achi position me show karna chahta hai jo google webmaster guidelines ko follow karta hai.
Finally, Mai aapse kahna chahunga ki jitna aap upar di gayi image se google search work ko samajh sakte ho utna words content se samajhana mushkil hoga.
I hope aapko ye article pasand aayega or isse aapko google search ke work karne ki process ke bare me achi information milegi. So ise other blogger ke sath share jarur kare.
Swift code Kitne Km dur tak ke baranch ka accept karti hai, yani mere Ghar se 150 km kya accepted kare
Ye post padho SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
Sir ji maine AdSense approved Kisi aur blog se ki, hai Ab Aap hame ye bataye site management me jo pahlee blog ka link tha, Jisse approved karwaya,
Q – maine dusre blog me AdSense ko use karna chahta hu, Aap hame ye bataye site management me kon sa url rehne de, approved wala ya jisme add laga rahe hai, uska bhi kyuki usme ek hi blog add hoga
Aap jis blog par ads use kar rahe ho uska link add karo.
Bro hum AdSense account me Apne bank account Dalna Chahte hai, kya Iske liye kitne doller honi chahiye, mere 20 dollar pure ho chuke hai.
aapke account me $10 hone ke bad aap pin verify karo uske bad bank address dal sakte ho.