Google Disavow Tool Real Me Work Karta Hai Ya Nahi?

Google disavow tool ka istemal kar hum apni site ke backlinks me se bad backlinks ko remove kar sakte hai taki wo google unhe humari site ke backlinks me count na kare aur humari site ki search rank down na ho. Lekin kya ye tool real me work karta hai ya nahi? Aayiye jante hai Does Google Disavow Tool Really Work or Not? – Guide for 2024.

Does Google Disavow Tool Really Work

Bahut se users ki shikayat rahti hai ki unke bad backlinks ko disavow karne ke kai month baad bhi unki search rank recover nahi hoti hai, jisse wo samajhte hai ki google disavow tool work nahi karti hai.

Lekin aesa nahi hai google disavow tool aaj bhi proper work karti hai bas aapko ise sahi se samajhne ki jarurat hai.  Yaha par hum 2 sawalo ke jawab janne wale hai?

  • Does Google Disavow Tool Really Work?
  • How Much Time will it Take to Disavow Bad Backlinks?

Chaliye main aapko explain karke btata hu taki aapko sabkuch clearly samajh aa jaye.

Does Google Disavow Tool Really Work (Hindi)

Is post me aapke bahut se sawalo ke jawab milne wale hai aur google disavow tool ke bare me aapki confusing door hone wali hai.

1) Kya Google Disavow Tool Real Me Work Karta Hai?

Yes, google disavow tool perfectly work karta hai lekin ye tool bad backlinks ko backlinks me count hone se rokta hai unhe backlink site se remove nahi karwata hai.

Isiliye aapko backlink disavow karne se pahle site owner se contact kar unhe remove karane ki koshish karni chahiye.

Sirf unhi unnatural links ko disavow kare jinhe aap manually delete karne me unable ho. Ek aur baat agar aapki site spam links ki wajah se google me rank kar rahi ho to google penalize ke bad uski rank recover nahi hogi.

2) Bad Backlinks Ko Disavow Hone Me Kitna Time Lagta Hai?

Ye aapki website par bad backliks number par depend karta hai. Agar kam bad backlink hai to 1-2 day me disavow ho jayenge aur links bahut jayda hai to isme 1-2 month bhi lag sakte hai.

Kyuki google ko aapki bad backlinks list ko read, analyze and apply karne me time lagta hai. Isiliye jab aap bad baclinks list submit karte hai to aapko isse pahle ki list ko remove karna hoga.

Taki google jald se jald aapki submit ki gayi backlink list ka review kare unhe aapki site ki search rank decrease hone se bach jaye.

In my experience, google disavow tool se 1,000 backlinks ko disavow hone me lagbhag 1 month ka time lagta hai. Aapko 1 month bad site search rank me changes dekhne ko milenge.

Conclusion,

I hope aap logo ko google disavow tool work karta hai ya nahi aur bad backlinks ko disavow hone me kitna time lagta hai ka jawab mil gaya hoga.

Agar aap apni site ke bad backlinks ko disavow karna chahate hai to niche di gayi guideline read kare,

Aur agar google disavow tool ko le kar aapka koi question ho to aap comment section me puch sakte hai.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 10 )

  1. kumar

    nice article jumedin sir ek saval h

    mere blog par 5 hajar se jyada nofollow backlink h or me inhe hatana chhata hu. kuch site h jinme backlink ki matra 125 ya 600 is tarah bta rha h yani ek root domain or usme kitne backlink h vo to ise kaise hataya jae kyo ki kuch hi site se mujhe 5000 no follow link mil chuke h jiski vajh se problem create ho rhi h

    Reply
    • Jumedeen khan

      site owner se contact karke links remove karwao.

      Reply
  2. Vishal Sharma

    Jumedeen Bhai kuch log aap ki site ka link bad site par share kar rhe hai, maine kuch dino phle check kiya tha

    Reply
    • Jumedeen khan

      I know and disavow all bad backlinks

      Reply
  3. Aman Jaiswal

    Nice article sir ji

    Reply
  4. rajput dharmesh

    BAHUT achhi jankari hai uske liye aapko thanks

    Reply
  5. Sanjay jadav

    Mano maine yesterday ek bad backlink disavow karne ke liye ek list submit ki aur aaj ya agle 30 dino me agar dusri koi bad backlink disvaw karna chahu to muje pahle wali jo maine submit ki thi use remove karna hai, aur dusri submit karni hai, to jab dusri submit karu tab usme ek hi bad backlink add karni hogi ya pahle jo kar chuka hoo use bhi add karni hogi?

    Reply
    • Jumedeen khan

      ahle jo kar chuke ho wo link bhi add karni hai.

      Reply
  6. Juhi Rani

    Ye mera bhi experience hai ki bad links ko remove karne baad traffic me badalav 1 month baad hi dikhata hai.

    Reply
  7. Mohammad sajid

    Bahut achi post mene bhi kal hi kiya hai ye sab ab dekhte meri website engineering exams par iska kya fark padta hai uspe bahut si bad backlink bana di thi kisi ne bahut achi jankari share ki hai

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...