Google Website Ko De-Index Kyu Karta Hai (15 Big Reasons)

Website ko google search engine me top rank dilane ke liye bahut se tarike, formula, tricks, rules follow karne hote hai lekin aapki ek galti se google aapki site ko search engine se de-index kar sakta hai. Is post me main Google Website Ko DeIndex Kyo Karta Hai 15 Badi Wajah bta raha hu taki aap apni site ko deindex hone se bacha sako.

Google Website Ko DeIndex Kyu Karta Hai

Suppose, aapki site google me top rank kar rahi hai aur agle hi din jab aap apni site ko google me search karte ho aur koi result nahi milta hai (Yaha tak ki domain search karne par bhi 0 results show kar raha hota hai) to aap kya karoge.

Aese me aapke dimag me ek hi sawal aayega ki aakhir aapki website/blog deindex kyu huyi, aapse kya mistake huyi hai jiski wajah se google ne aapki site ko search engine se remove kar diya hai. Chaliye main aapko btata hu ki kin kin wajah se aapki site google se deindexed ho sakti hai.

15 Badi Wajah Jo Aapki Website Ko Google Se DeIndex Kara Sakti Hai

Google aapki site ko deindex kyu karta iski bahut si wajah hoti hai lekin main yaha unme se 15 badi wajah bta raha hu. In galtiyo ki wajah se aapki site ke URL google se kam ho sakte hai aur google aapki site ke kuch pages ko noindex kar sakta hai.

1. Cloaking

Cloaking search engines aur visitors ko different content dikhane ka tarika hai. Jaise ki aap apni hi site ke kisi page ka link dete ho lekin us par click karne par wo kisi adult content site par redirect ho jata hai.

Cloaking IP address ya URL redirect karke kiya jata hai. ye site owner ya hackers ke dwara kiya jata hai. Jaise hi search engine robots ko iska pata chalta hai wo us site ko deindex kar deta hai.

2. Spam

Google un sabhi web pages ko search engine se remove karna chahata hai jo uski webmaster guidelines rules ke against work karte ho.

Google ke according aesi sabhi websites ko google deindex kar deta hai jo nimn tarike istemal karti ho.

  • Automatically generate content
  • Sneaky Redirects
  • Participating in link schemes
  • Hidden links
  • Scraped contents
  • Participating in affiliate programs
  • Sending automated queries to Google
  • Creating page with malicious behavior, such as phishing or installing viruses, trojans, or other badware

Agar aap inme se koi bhi tarika follow karte hai to aaj hi band kar de warna bahut jald aapki site google se deindex hone wali hai.

3. Free Hosting

Free hosting ke bare me to aapne suna hi hoga. Actually, free hosting jaisi koi cheez nahi hai, free service dene wale kisi na kisi tarike se apni service ki value nikal lete hai. Free hosting provider bhi aesa hi karte hai. Jaise ki,

  • Aapki site ke pages ko third party site par redirect kar dete hai
  • Aapki site ke pages par third party ads display karte hai

Google ne clearly free hosting use karne wale ko spammy warning di hai. Agar aap google ki is penalty se bachna chahate hai to koi achhi aur SEO-Friendly Web Hosting use kare.

4. Spammy Structured Markup

Google humesha aapke web pages ko samajhne ki koshish karta hai aur schema markup isme google ki help karti hai.

Agar aap wrong and misleading content ko markup karte hai ya markup content ko invisible banate hai to google aapko penalize kar sakta hai.

Google schema markup penalty se bachne ke liye humesha structured data guidelines follow kare.

5. Keyword Stuffing

Keyword stuffing prehistoric SEO tactic hai jisme google par website ki ranking me herfer karne ke liye keywords numbers ke sath web page (meta tag, meta description) me keyword istemal karna shamil hai.

For example, aap health se related content likh rahe hai aur chahe rahe hai aur usme blogging keywors shamil karte hai. Aesa karna galat hai aur google aesa karne wali sites par action lega aur use deindex kar dega.

6. User Generated Spam

User generated spam un logo dwara banaya gaya hota hai jo commenting method se spam linking karne ki koshish karte hai. Ye kaam user manually, ya robots se karte hai.

Agar aap wordpress use karte hai to akismet plugin ka istemal kare. Kuch aur tarike bhi hai jisse aap spam comments ko stop kar sakte ho.

Agar aapki site par bahut jyada spam comments aate hai to aapko is issue ko fix karne ki jarurat hai. is type ki penalty se bachne ke liye sabse achha tarika hai aap spam comments ko apni site se remove kare aur future me spam comments ko approve hi na kare.

7. Duplicate Content

Duplicate content ki problem tab hoti hai jab log kisi dusri site ke content ko same to same copy kar apni site par publish karte hai.

Duplicate content ka matlab humesha kisi aur site ke content ka use karna nahi hota hai balki agar aap apni hi website ke ek content ko fir se dusre page me share karte ho to bhi duplicate content ki problem hoti hai.

Is issue ko fix karna warna google aapki site ko search engine se deindex kar sakta hai. Isse bachne ke liye google ki duplicate content guideline read kare.

8. Thin Content

Mere experience se quality content write karna aasan nahi hai. Iske liye kafi researching karni padti hai. Google apne users ko better se better jankari uplabadh karna chahate hai isiliye wo aesi sites ko search engine se remove karna chahata hai jo quality content share nahi karti hai.

Kuch log dusri sites ke quality content ko chura kar apne content ko better banane ki koshish karte hai. Jo ki duplicate content hota hai to kuch log machine content publish karte hai. Google aesi kisi bhi website ko deindex kar deta hai ya fir uski ranking bahut jyada down kar deta hai.

9. Machine Content

Bahut se website owner aur blogger khud se original content nahi likhte hai balki machine content ka istemal karte hai. Isiliye wo kabhi kabhi shortcut lete hai jaise content chori karna jo ki google guideline ke against hai.

Wo content write karne ke liye human writers ko hire karne ki bajaye computers ka istemal karte hai. Computer program bhi human ki tarah se kaam karta hai lekin kuch galtiya ho jati hai.

Google aese kisi bhi content ko deindex kar deta hai jo google webmasters guideline ke against ho aur iski koi guarantee nahi hai ki computers iske under work kare. Ye koi human hi kar sakta hai.

10. Malware Attacks

Website ka google se deindex hone ka ek bada reason malware attack bhi ho sakta hai. Agar aapki site hack ho jati hai to hacker aapki site me Malicious Code add kar dete hai jise dekhte hi google aapki site ko google se remove kar deta hai.

Aesa un websites ke sath hota hai jo cheap ya free hosting, loose password use karte hai aur site security par focus nahi karte hai.

11. Buying Links

Website pages ko google me top rank dilane ke liye quality content ke sath sath quality backlinks banane bhi jaruri hai lekin kuch log backlink buy karte hai jo google guideline ke against hai.

Agar aap bhi backlinks buy karne ki soch rahe hai to rukiye, google ko is bare me pata chal gaya to aapki site ki rank boost hone ki jagah site google se gayab bhi ho sakti hai.

12. Spam Blog Commenting

Kuch bloggers spam commenting se backlink build karne ki koshish karte hai. Unhe lagta hai ki wo bahut smart hai aur same comment ko multiple blogs par publish kar dete hai.

Aesi comments me mostly blog ke bare me ya post ke bare me achhi achhi 1-2 line likhi hoti hai taki site owner easily us comment ko approve kar de. Ye galat hai, google aesa karne wali sites ko deindex kar sakta hai.

13. Low Quality Guest Posting

Hum apni site se related content wali site se backlink banane ke liye guest posting method istemal karte hai. Kuch log sirf backlinks ke liye guest post karte hai aur low quality content share karte hai.

Agar aapko guest posting karni hai to samne wali site ki value ke according content provide karo, low quality content se na sirf us site ka nuksan hoga balki guest post karne wale ki site ko bhi problem hogi.

14. Link Exchange

“Aap meri site ka link apni site ke pages me add karo, main aapki site ka link apni site ke pages me add karta hu.” kya achha tarika hai backlink banane ka aur isme mehanat bhi nahi lagti lekin afsos google ise pasand nahi karta hai.

Google usi backlink ko value deta hai jo content value ke hisab se add kiya gaya ho. Link exchanging karna band kar de warna google ko jaise hi iske bare me pata chalega aapki site deindex kar di jayegi.

15. Paid Links

Apni site ke liye advertisements karna achi bat hai aur ye google guidelines ke against nahi hai. Lekin gaalt tarike se kiya gaya promotion aapki site ko google se remove kara sakta hai.

For example, adult ads dikha kar logo ko attract karne ki koshish karna, so honestly ad run kare koi problem nahi hogi warna google aapki site ko bahar ka rasta dikha sakta hai.

Koi bhi apni site ko google se de-index karna nahi chahata, agar aap bhi aesa nahi chahate hai to upar btayi galatiya na kare, aur sahi tarike se content share, publish and promote kare aapki search rank bani rahegi.

Agar aapko search rank increase karni hai to aap webmaster guidelines rules ke according formulas ko follow kare, aesa koi bhi kaam na kare jo aapki site ko google se remove kara de. Dirty tactic ka istemal na kare.

Ye bhi padhe,

Agar aapko ye jankari achhi lagi ho to is post ko social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 15 )

  1. Punita Kumari

    Sir मैं Hosting Hostinger use करता हूं ।मेरे wordpress Blog के 162 page index था अब वह घटकर 156 हो गया हैं और रोज घटते ही जा रहा हैं। , Solution बता dijye । please ।

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...