Google Search Engine Me Top Rank Pane Ki 3 SEO Tips

Google me top rank pane ki bahut sari tips and bahut sare tarike aapne padhe or sune honge magar aaj main aapko google search engine me top rank pane ki 3 SEO tips bta raha hu. Agar aap in three ways ko follow kar lete ho to google and other search engines me aapki site ki posts and pages top me show hongi. In 3 tariko ko follow karne ke liye aapko kisi bhi tarah ka search engine optimization karne ki jarurat nahi hogi. Koi bhi website owner and blogger inko follow karke apni blog site ki search rank better bana sakta hai.

Top 3 SEO Tips

Kisi bhi website ko success banane ke liye us par good Organic Traffic hona bahut jaruri hai. Without search traffic ke site ko successful banana bahut mushkil hai. Google adsense and other advertisement ho ya other koi bhi earning source ho website se earning karne ke liye search traffic most important hai.

Har koi chahata hai ki uski site par jayda se jyada audience aaye or uske pas millions traffic ho shayad aap bhi aesa hi chahate hai. So agar ha to is post me btayi information ko carefully read kare or achhe se samajh kar in 3 SEO tips ko follow kare kyuki in three ways ko follow kiye bina aap kisi bhi tarike se apni site par organic search traffic nahi la sakte.

Website Ko Google Me Top Position Me Lane Ki 3 SEO Tips

Aar aap ek blogger hai to aapne bahut sare SEO factor ke bare me padha or suna hoga or unme kahi na kahi in tips ke bare me bhi btaya hoga. So aapko lag sakta hai ki inka to mujhe pahle se pata hai. Aesa na soch kar in 3 SEO tips par dhyan de or in par achhe se kaam kare taki aapki site ki search ranking increase ho sake.

Koi bhi search engines yahi chahata hai ki wo apne visitors ko sahi or achhi jankari provide kare taki user jo search kare unhe uski right information mil sake. Google bhi yahi chahata hai ki uske users ko sahi jankari mile taki use jyada se jyada log pasand kare or us par wishwas kar sake.

But kuch website owner ya bloggers search engines me wrong information share karke cheating karte hai or bad content share karke users ko bharmit karte hai. In bad content owners se bachne ke liye or user ko sahi jankari provide karne ke liye google jo policy terms banata hai unhe follow karne ke liye hum jo ideas banate hai wo SEO kahlata hai.

Ek second ke liye hum SEO ko bhool kar ye soche ki google humse kya chahata hai to humare dimag me 3 points honge.

  • Content Quality
  • User Support
  • Website Linking

Yani hum jitna achha content write karenge utne hi jyada audience hume pasand karenge or utna hi jyada humari website ko dusre website owners link karenge. Inhi 3 SEO tips par search engine tika hua hai. Agar aapki site in 3 points me pass ho jati hai to search engines khud be khud aapki site ko achhi rank denge. Because google clear kahta hai ki aapki site ko jitne jyada users like karnege hum aapki site ko utni hi achhi rank denge.

To chaliye ab main aapko in three points ke bare me achhe se samajhata hu ki google kis tarah se aapki site ke pages ko in points se top rank me show karega.

1. Quality Content

Hum sab jante hai ki hum jitna achha work karenge people hume utna hi jyada pasand karenge or utni hi jyada humare kaam ki sarahna hogi. Blogging me ye formula bilkul same tarike se kaam karta hai. Aap jitna achha content likhoge log aapko utna hi support karenge.

Jab user google me koi keyword search karta hai to google use better se better page dikhana chahata hai taki use uske pasand ki jankari mil sake or google ko ye millions websites me se kuch websites ko top me lana hota hai. Iske liye wo apne robots ke through aesa content search karta ho jo bilkul user ke dwara search kiye gaye keywords se related ho.

Yani google bhi wohi chahata hai jo hum chahate hai ki jo humari site par aaye use uske kaam ki sahi jankari mile. But kuch log un keywords se traffic pane ke liye aadha adhura content likh kar content share kar dete hai. Yani ye log topic ke liye sahi jankari share na karke sirf jaruri keyword ka istemal karte hai jo ki bilkul galat hai.

Hum jis topic par likhe achhe se or har point ko explain karke likhe sath hi kisi or ke content ko copy na karke apne talent se dusro se alag or user ko aasani se samajh aane wali basha me likhe to google use baki content se jyada like karta hai.

For example, ek topic par 10 person content write karte hai to google ko unme se kisi ek ko top par show karna hoga iske liye wo un sabih ke content ka review karke us content ko top me show karta hai jisme topic ke bare me sahi jankari hogi or jisme sahi tarike se btaya gaya hoga.

2. User Support

Jaisa ki main upar bta chuka hu ki hume short content yani aadhi adhuri jankari na de kar kisi bhi matter ko sahi se explain karna hai. Kyuki user usi site par visit karna pasand karega jis par use har sawal ki right and full information mile.

User support isi se banta hai baki aap kitne bhi tarike follow kar lo traffic buy kar lo kuch time bad aapke pas utna hi support hoga. So agar aap chahate ho ki har koi aapki or aapki site ke content ki parshansa kare to aapko sahi se puri jankari share karni hogi.

“Kahte hai ki insan apne dharm se nahi apne karm se mahan banta hai.” Aap jitna achha kaam karoge log aapko utna hi pasand karenge. Bilkul wese hi aap apni site par jitna achha content share karoge utne hi jyada log aapke content ko read karenge or ek din aesa hoga ki aapke new article ka thousands people wait kar rahe honge.

Jis site par jitna jyada user support hoga google use utni hi achhi rank dega, Ye confirm hai. SEO expert aapko bahut sare terms and google algorithms ke bare me to bta denge but koi bhi ye nahi btayega ki google aapse ya aapki site se kya chahata hai.

Google koi bhi SEO service offer nahi karta hai or na hi wo kisi ko iski permission deta hai so SEO expert ke chakkar me padne se achha hai aap apni site par user support banaye. Bas itna yaad rakho ki aapki site ko jitne jyada log pasand karenge google bhi aapki site ko utna hi like karega.

3. Linking or Link Building

Google websites ko sirf ek nazar se nahi dekhta hai balki wo website content quality, user experience, site loading speed time, website design etc. ke aadhar par site ko value deta hai. Aapki site ki jitni jyada value hogi utni hi better search rank hogi.

For example, agar koi aapse behtar content likhta hai but uski site ki speed aapki site ke jitni better nahi hai to google speed value ke hisab se uske content se pahle aapke content ko show karega. But problem tab hoti hai jab sabhi tarah se 2 ya 2 se jyada site ke content ki value same hi ho. Aese me kise top me show karna chahiye ye decide karna mushkil hai.

Aesa hone par google linking ke aadhar par website ko rank deta hai. Jis site par jitne jyada backlink honge use utni hi jyada rank di jayegi. So quality content or user support ke alawa aapki site par quality backlinks ka hona bhi jaruri hai.

Backlink ka matlab hota hai kisi or site ke page me aapki site ke page ka  link add karna. Simple words kisi or ki site par se users ko aapki site par aane ke liye referral link add karna.

But koi bhi robots, tools, software ki help se apni site ko bahut sari websites se link kar sakta hai. Iske liye google ne linking ko 2 part me bant diya hai. 1. High Quality backlink or 2. Low Quality backlinks.

Ek high quality backlinks 1000 low quality backlinks se jyada important hota hai. Yani site ko 1000 bekar ki sites se link karne ki jagah kisi ek achhi site se link karna jyada behtar hai. So jaha tak ho sake achhi website se hi banklink banaye.

Kisi bhi website se high quality content milega ya loq quality iske liye aap us site ki Domain Authority and Page Authority pata kar le. Iske liye aap moz rank tool Open Site Explorer ka istemal kar sakte hai.

Conclusion,

Ye 3 tarike hai jo aapki site ko uchaiyo tak le ja sakte hai. I know ye aapke liye bahut simple hai but sabse jyada karkar hai or aapki kamyabi ke liye jaruri hai. Bahut sari SEO terms par kaam karne se achha hai aap in 3 tariko ko follow kare aapki site ki search rank 101% increase hogi.

Agar aap real me apni site ko success banana hai to in points par kaam karna shuru kar de warna aap pahle ki tarah SEO formulas ko follow karke site search rank increase karne ki koshish karte rahe. Main apni taraf se aapko sirf salah de sakta hu.

Finally, main itna kahunga “chor ko pakadna chahate ho to chor ke piche mat bhago chor ki maa ko pakado wo khud be khud aapki bat manega. Search engine ke liye mat likho apni site ke users ke liye likho google khud hi aapki site ko achhi rank dega.” Maine bahut sari SEO tricks dekhi or follow ki hai but in 3 seo tips ke jitni koi bhi kargar nahi huyi hai.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par pane friends and other bloggers ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 79 )

  1. Sujata Shah

    Hello
    Such a great and informative article. Thanks for sharing

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...