Your Site Has No Hreflang Tags Language Error Ko Fix Kaise Kare

Main Hreflang tags ke bare me already article likh chuka hu. Is post me main aapko Google Search Console Tools International targeting language error Your Site Has No Hreflang Tags issue ko fix karne ke bare me step by step with screenshot btaunga.

Your Site Has No Hreflang Tags

Agar aap ek blogger ya website owner hai aur aapne apni site ko google webmaster tools me submit kiya hua hai to aap Google webmaster tool par ja kar Search Traffic >> International Targeting >> Language option par ja kar dek hsakte hai aapko ye error milega.

Your site has no hreflang tags. Google uses hreflang tags to match the user’s language preference to the right variation of your pages.”

For example, aap ye screenshot dekh sakte hai.

Your Site Has No Hreflang Tags

Agar aapki site par ye error nahi hai to bahut achhi bat hai aur agar hai to aap niche btayi guideline carefully read karke is problem ko fix kar sakte hai. Website better SEO ke liye is issue ko fix karna jaruri hai.

Your Site Has No Hreflang Tags Issue Ko Fix Kaise Kare – 100% Gaurranted

Yaha par main aapko “Your Site Has No Hreflang Tags” issue ko solve karne ka jo tarika btaunga wo mera ajmaya hua hai aur 100% work karega. Aapke is tutorial ko follow karne ke 24-48 hours me ye problem fix ho jayegi.

Actually, Hreflang attribute ka istemal kisi bhi language and country ko target karne ke liye hota hai. Agar aap ek hindi blogger hai to jahir hai aap hindi language aur India country ko target karna chahega aur agar aap english blogger hai to aap English language and UK, USA ko target karna chahegne.

Iske liye aapko apne blog ke homepage <head> section me Hreflang tags add kar google ko bta sakte hai ki aap kis language and country ke users ko target karna chahate hai.

Hreflang tag generate karne ke liye aap humari Website Blog Me Hreflang Tag Kyu or Kaise Use Kare post read kare. Is post me aapko ek Hreflang tag generator milega jisse code generate karne par ek meta code milega.

Agar aap hindi language aur country India select karte ho to aapka code kuch is tarah ka hoga.

<link rel="alternate" href="https://example.com/" hreflang="hi-in" />

Isme hi yani hindi aur in yani India add kiya hai jisse “hi-in” banta hai. Isi tarah aap english language aur us country ke liye “en-us” add kar sakte ho.

Agar aap same language aur country choose karna chahate hai to ye code copy kar example.com ki jagah apna domain replace kar apne blog aur website ke homepage <head> section me add kar de.

Yaad rahe ye hrelfang tag only homepage <head> section me add karna hai. Agar aap direct blog <head> section me code add karoge to wo site ke all pages par show hoga. So only homepage par code add karne ke liye ye tarika follow kare.

Add Hreflang Tag in WordPress Homepage:

Iske liye aap apne wordpress blog ki theme ke header.php folder me ye code add kare.

 <?php if (is_home()) { ?>
 <link rel="alternate" href="https://example.com/" hreflang="hi-in" />
 <?php } ?>

Agar aap header.php access nahi kar pa rahe hai to aap wordpress functions.php me ye code add kare.

function smi_function() {
 if ( is_home() ) {
 echo'<link rel="alternate" href="https://example.com/" hreflang="hi-in" />';
 }
}
add_action('wp_head', 'smi_function');

Add Hreflang tag in Blogger Homepage:

Blogger me hreflang rag code add karne ke liye aap blogger Theme HTML code me ye code add kare.

<b:if cond='data:blog.url == data:blog.homepageUrl'>
 <link rel="alternate" href="https://example.com/" hreflang="hi-in" />
</b:if>

Aapke ye Hreflang attribute site me implement karne ke 24 to 48 hours me “Your Site Has No Hreflang Tags” ki problem solve ho jayegi aur aapke search console me Your site has no hreflang tag errors ka message show hoga.

Your site has no hreflang tag errors

Congratulations! ab aapki problem solve ho chuki hai. Isi hreflang attribute se aap apne site ko international country ke users ko target kar sakte ho.

Hreflang tags ka istemal international targeting ke alawa multi-language content wali sites me bhi hota hai. Jaise Hindi, English, Urdu and others language wale content wali websites aur blogs.

Aap Hreflang tag ka istemal kar google ko bta sakte ho ki aap kitni bhashao me content likhte ho taki google un languages ke users ke liye aapki site pages ko search engine me dikha sake. Iski jankari ke liye aap upar badd ki huyi hreflang tag use karne wali post read kare.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise duse bloggers and website owners ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 34 )

  1. meri site pe me hindi or english dono me blog dallta hun. or mujhe bhi ye error show kar raha hai . kaun sa href language tag lagana hoga or kahan pe. pl guide .

    Reply
  2. jumedeen bhai mujhe bhi hreflang errors ka samna karna pad raha hai. mere search console me bhi 2 hreflang errors dikha raha hai. mai ye poochhna chahta hu ki kya in errors ke aane ke baad nayi posts ko index hone me dikkat hoti hai? mai isliye poochh raha hu kyonki is error ka mail mujhe 7 din pahle mila, aur uske baad maine 3 post publish ki hai jo kabhi search results me aa rahi hai aur kabhi gayab ho jaati hain. kahin ye is error ke kaaran to nahi ho raha? bataiyega jaroor bhai.

    Reply
    • Aap jab tak iske bare me achhe se samajh na lo, use mat karo.

      Reply
      • Bhai Meri site Hinglish aur Hindi me hai uske liye ahreflang Kya hoga…

        Reply
        • दोनों की लैंग्वेज सेम ही है, आपको इसकी जरूरत नहीं है

          Reply
  3. yeh bahut hi aacha guide kiya aapne, meri website main english aur hindi dono language main blog post main hai.

    Thanks

    Reply
  4. Sir jaisa apne btaya mujhe vaisa kiye bht time ho gya maine code copy karke ke niche paste bhi kiya but problem solve hi nhi ho paa rhi h sir pls help

    Reply
    • Isme thoda time lagta hai code add karke thoda wait karo.

      Reply
  5. Hi brother i did that same thing but it saw me no return TAG error in webmaster tool. Please help me brother. I am using blogger platform

    Reply
    • Ise update hone me thoda time lagta hai. Add karne ke bad thoda wait karo.

      Reply
      • Brother they saw 700 herflang TAG and they saw me 149 herflang TAG with errors. And the error is “no return TAG error”

        Reply
        • Aapne same code all pages me add kiya hai. Hreflang tag specific page me add karna hota hai.

          Reply
          • Bro herflang TAG sirf home page ke liye hota he ?

          • Hreflag tag use page ke liye hota hai jisko aap 2 language me likhte ho.

  6. Apni site me broken link kaise check kare dost

    Reply
  7. Sir, main kevl Hinglish me hi likhta hun. to please btaye ki mujhe ye lgana jruri hai ya nhi.

    Reply
    • Nahi because aapki bhasha hindi hi hai.

      Reply
  8. thank you brother ,meri site mai kafi dino se usa ka traffic a raha hai jisse site ka bounce rate kafi increase ho gya,shayd isko use karne se kam ho jaye.

    Reply

Leave a Comment