Hello supporters, Aaj main aapko bataunga ki blog me apni pasand ka domain name kaise use kare. Shayad aap bhi chahte honge ki aapke blog ka URL aapki pasand ka ho. Jaise meri site ka URL supportmeindia.com hai. Agar aapke blog me bhi aapki pasand la URL hoga to aapko bahut achha lagega. Isliye is post me main yaha bataunga ki apne blog me blogspot.com ko hata kar apni pasanf ka domain kaise use karte hai.
Google ne hume apne blog me apna khud ka domain name add karne ki permission deta hai. Ab hum apni pasand ka domain blog me add kar sakte hai.
Blog me domain name add karne se aapka blog website ki tarah lagega or aapke blog par users bhi increase honge. Sabse achhi bat, agar aapke blog ke URL me se blogspot.com hat jaye to logo ko aapke blog ko khojne me aasani hogi.
Domain Name Kaha Se Kharide
Aap domain sell karne wali site se domain buy kar sakte hai. Jaise Godaddy.com ya domainindia.org. Ye dono site aapko 80 se 90 rupees me domain register kar dengi.
Agar janna chahte hai ki doamin name kaise buy karte hai ye post padhe. Domain Name Kaise Buy Kare. Is post me domain buy karne ki puri jankari hai.
To ab main man leta hu ki aapne domain buy kar liye hai or ab aap apne blog me add karna chahte hai to aaiye jante hai aapke domain ko blog me kaise add kare.
Apni Pasand Ke Domain Ko Blog Me Kaise Add Kare
- Sabse pahale blogger.com site par jakar login kare or blog ki settings me jaye.
- Ab jo new window opem hogi usme aapke blog ka URL kuch is type ka hoga jaisa maine niche screenshot me bataya hai.
- Yaha par aapko +step a 3rd party URL for your blog par click karna hai.

- Yaha aapko apna domain name type karna hai. (Yad rahe blogger bina www ke domain support nahi karta hai. Isliye apne domain ke aage www jarur add kare.)
- Ye code aapko apne domain me verify karna hai jiske bare me main aage bata raha hu.
- Bas ab save par click kare. (Save karne ke bad error dikhayega is psr dhyan na de.

Blog Ke Server Code Domain Website Par Kaise Add Kare
Ab aap us site par jaye jis site se aapme domain register kiya hai. Us site par login kare. Login karne ke bad my domain par click kare.
Note:- Main aapko yaha par domain india website ke bare me bata raha hu. Jo sabse kam paise Rs 99 Rupees Me Domain Register karti hai. Agar aap aesa nahi kar pao or koi problem aaye to comment me bataye.
- Sabse pahale godaddy site par jaye login kare or apne domain par click kare.
- Ab domain ke samne active par click kare.

- Sabse pahale DNS Management par click kare.
- Manage CNAME select kar le.
- Yaha aapko www dalna hai.
- Blogger par se first code ko copy karke yaha paste kar de.
Isi tarah aap dusre code ko bhi add kar sakte hai. To dono code add kare or save changes button par click kare.
In points ko samjhne ke liye is screenshot ki help le.
Settings successful hone ke bad wapis apne blog par jao or save button par click kare.
Agar abhi bhi error aa raha hai to kuch time wait karna padega so wait kare kyuki domain ko verify hone me kuch samay lag sakta hai.
Is tarah aap apne blog ka domain chane kar sakte hai. Ab aap aasani se apne domain ko apne browser me type karke apne blog par aa sakte hai.
Filhal aap browser me www.example.com enter karke apne blog ko open kar sakte hai. Agar aap bina www ke sidhe apne blog ko open karna chahte hai niche wali post ko padho.
I hope aapko is post me jarur helpful jankari mili hogi agar ha to is post ko social media par share jarur kare.
Meri website hindimirror. com par ye error aata hai ki
"Hindimirror.com no longer parked by godaddy" isko kaise dur kare ?
Domain work nahi kar raha hai aap godaddy care me call kare.
Sir, maine blogger me custom domain add kr liya hai. Lekin mai ye chahta hu ki mai apne blog ke shuruat vali link *******.Blogspot.com ko khatam kar doo, aur jab search karu to ye dikhe "this blog is temporarily removed" . Meri website bas mere custom domain "www.*****.com"se khule. Jis tarah supportme*****.Blogspot.com search krne par batata hai.
Please help,, request u
Is comment ka reply jaroor dijiyega sir,,, please
Aap bas blog me custom domain add kar do uske kuch time bad google me aapki site only www.example.com se hi open hogi.
Sir, kya search console mr mujhe www.****. Blogspot.com ko remove kar apna custom domain add krna padega. aur sir, mera adsense account approve nahi ho rha, insufficient content bata rha hai, jabki maine 30 contents likh chuke hai, meri website khol ke bata diJiye ki kya dikkat hai.
Yes abhi or post likho or traffic badhao
sir mane go daddy se domin lekar mere blog se connect kar diya hai adsense ke code phi head me paste kar diya hai.
ab aage kya karu bhi bato na main apne add esme laga sakta hu ya nahi .adsense review kab tak karega
mere blog par jaker check karo na kya kami hai bhai.
mere blog ko aapke blog jaisa kaise banu aap konsi template use karte ho
Adsense lagane se pahle thoda traffic badha lo or humar iseo and blgospot wali post check karo jo jaruri ho wo read kar osabki jankari mil jayegi.
thanks you bhai, jab bhi mujhe koi jarurat padti hai blogger me, main apki ye website dekhta hu, bahut help milti hai, aapke karn hi meri website blogspot ki aaj .com me badal pai.
Thanks bhai
1. Maine apne blog me template uplod ki hai. But lAyout me edit show ni ho rHa hai mins blogger me layout me click karne par gadget edit nahi ho raha aadha hisa cut jata hai.
2 . Is vajha se me kuch bhi remove ni kar pa raha hu
Pls give me answer
Koi or theme use karo.
sir abhi mene bhi naya website shuru kiya hai wordpress pe aur mein usko google pe kaise rank kraau
vaise to mein agar apne article ka title google pe search krta hun to website aa jata hai lekin koi aur keyword use krlun to nhi aata
Blog ko search console me add karo.
Lekin bhai mai har ek post me post description use krta hu...fir ye problem kyu ho rhi hai.???..pls meri help kro..
No worry aap description use karte ho to google apne aap index kar lega.
Bhai ek problem hai...Jab Google pe mai apni post search krta hu toh Post show to hoti hai magar unke niche wali lines ajeeb si hoti hai Jaise uske niche about us privacy policy jaise pages ke words rehte hai...bhai inhe kaise fix karu..pls help me..
Post description use karo.
Editing your theme so it mixes HTTP and HTTPS may affect the security and user experience of your blog when it is viewed over HTTPS.
bhai iska kya meaning hai plz tell me.. aur solution bhi btana and google adsence approval mil gya hai but add show nhi hota abhi tak feb m blog bnaya tha
Iska solution maine Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare post me btaya hua hai.
Bhai maine aaj maine aapke kehne pe Godaddy support team se baat ki or mujhe solution mil gya. Mere domain me jo problem thi wo solw ho gyi or aaj maine acche se apna domain apne blog me laga diya..thank you so much bhai...bus ab mujhe ye bta do k domain add krne ke baad ab mujhe apne blog me kya kya changes karne honge..or ek baar mera blog dekh ke btaa dena sab theek hai ya nhi bhai....Thanks Again
Ab aap apne blog ko sahi se design karo or SEO friendly banao.