Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare – Site Management

Google ek se jyada AdSense account banana allow nahi karta hai. Agar aapke pas 1 se jyada website hai to aap ek hi AdSense account se apni 4-5 site ya blog par ads laga sakte ho or earning kar sakte ho. Iske liye aapko apni sites ka URL AdSense account me add karna padega. Jiski jankari mai aapko is post me bta raha hu.

Adsense Site Management

Agar aap ek se jyada AdSense account use kar rahe ho to yaad rahe google ko jaise hi iske bare me patachalega wo aapke AdSense account ko band kar sakta hai. Isliye ek hi google AdSense account use kare. Jisse aapko future me problem na ho.

Aap ek AdSense account se apni 4-5 site par ads laga sakte ho. But aapki sabhi sites differance category ki honi chahiye. Yaha mai aapko kuch important bate bta raha hu. Jinhe follow karne ke bad hi aap AdSense ke ads 1 se jyada site par use kar sakte ho.

  1. Sabhi sites par alag alag tarah ki jankari honi chahiye. Aap ek hi jankari ko dusri website par publish nahi kar sakte.
  2. Aap ek hi content ko 2 differance language me 1 se jyada site par share nahi kar sakte. Ye Black Hat SEO mana jata hai. Jiski google bilkul permission nahi deta hai. Or aysi site par AdSense ke ads nahi laga sakte.
  3. Adsense ke ads lagane ke liye aapki site par kam se kam 500 pageviews per day hone chahiye. Jisse 300 pageviews google search engine se ho. Sath hi aapka blog google webmaster guidelines ko follow karta ho.
  4. Website par hacking ya kisi bhi parkar ke s*xy or hinshak jankari nahi honi chahiye.
  5. Adsense bahut si bhashao ko support nahi karta hai isliye website ki language Adsense Support Language me se honi chahiye.

In sabhi terms me sabse jyada jaruri bat hai aapki dusri site par pahli site se matched content nahi hona chahiye. Warna aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai.

Adsense Account Me Website URL Kaise Add Karte Hai

Sabse pahle aap adsense.com site par jaye or apni gmail id se log in kare.

  1. Right side me setting gear icon par click kare.
  2. Settings par click kare.
  3. Site Mnagement par click kare.
  4. Yaha apni site ka URL (Link) add kare. example – xyz.com
  5. Ab ADD SITE par click kare.

Add Site URL in Adsense

Bas ab aapki site AdSense se connect ho chuki hai. Ab aap add ki gayi site par bhi ads laga sakte ho or earning kar sakte hai.

Ye bhi padhe:-

  1. Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips
  2. Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
  3. Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2024 – Earn Money
  4. Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
  5. Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai
  6. Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
  7. Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
  8. Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
  9. Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
  10. Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari

Agar aapko AdSense ke bare me or koi bhi jankari chahiye to aap humari AdSense se related or bhi post padhe. Or agar aap AdSense ke bare me koi sawal puchna chahate ho to niche comment me puch sakte hai. Sath hi is post ko apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 91 )

  1. Zayan faisal

    Sir AdSense m add site m Kya daale konsi website Url kaha s lena padega

  2. Shahid Ali

    sir kya blog aur YouTube me ek ads
    lagaa sakte hai

    • Jumedeen khan

      Yes laga sakte ho.

    • Arvind Kumar

      Sir url kise kahte h or ese kaha se kharide

      • Jumedeen Khan

        url mean web page link, for example, “domain.com/sample-page”

    • Dhani

      Kya hum e-commerce ya shopping website ko bhi Google AdSense se connect Kar sakte hai?

  3. Aman

    hello sir. maine apne blog ka domain change kiya hai. adsense account me domain kaise change karu. ya phir new wala domain bhi add domain me jaker add kr du. purana wala delete kru ya phir usko ese he rhene du. pls explain sir.

    • Jumedeen khan

      is post me btaye tarike se new domain ko add kar do, old domain ko unverified kar do.

  4. Hansa Juhi Rani

    Sir mere AdSense account me dusri website add kiya hai.

    My site me jakar new website add kiya. fir verify button bhi on kiya.

    Uske bad hamne blog theme me ke niche PUB – ID script (jo pahla blog apply karte waqt mila tha) paste kiya. Uske baad sare ads new blog me lagaye hain.

    Par AdSense hame ye notification bhej raha hai.

    “In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites that you don’t own. To avoid lost revenue, make sure that you add these sites to your verified sites list in My Sites.”

    Hame kya karna chahiye ab?

  5. Shailendra Tiwari

    Sir your article helpful for my website thank you very much

  6. sharif ahmed

    hello sir mera youtube se bana hua hosted adsense account he ab me isme apni website add karna chahta hoon lekin jab website ka url daalkar submit kar raha hoon to submit ka button work nahin kar raha hai plz meri help karein

    • Jumedeen khan

      Aap top level domain add karke dekho like .com, .org

  7. shristi sharma

    sir absence ke liye kitna traffic hona chahiye kam se kam

    • Jumedeen Khan

      Daily minimum 300 to 500

  8. Vijay

    Hello sir plz guide me meri site 3month purni hai me usme abhi thoda thoda kaam karta hu usme terrific 200ya 300 aa jata hai me adsence ke liye apply karna chahta hu i think 100post me dal chuka hu me chahta hu adsence approve ho jaye kya karna chahiye mujhe plz help me

    • Jumedeen Khan

      Apply karo ho jayega.

    • Motilal kanojiya

      Muje bhi addsens pe kam karna hai kese kare
      Apna url kese banasaka hau

      • जुमेदीन खान

        इसके लिए आपको domain buy करना पड़ेगा

  9. Pankaj

    Ek approve AdSense account mai apni dusri blogspot blog jisme 3 post hai aur 1 month old hai. Kya mai ise add kar sakta hu

    • Jumedeen Khan

      custom domain hai to kar sakte ho.

  10. Govind Prajapat

    Sir maine AdSense ke liy apply kiya hai
    But sir Google AdSense ko site se connected karne ke liy WordPress me code ko kha paste karte hai. Google AdSense ke liy kuchh important plugin bta do sir

    • Jumedeen Khan

      Aap blog widget me code add kar sakte ho like sidebar, header ya footer.

  11. anuoam srivastava

    Sir mera adsense a/c youtube se connect tha than m use blog se bhi kr liya but sir wo massege aata h n approval ka adsense ki trf. Se wo nhi aaya kya maine ad bhi lga liya but show nhi ho rha to mujhe kya krna chaiye Sr aap meri site ek baar dekh k btaiye kya prblm ho rhi h

    • Jumedeen Khan

      Aap wait karo google ke aapki site ka review karne ke bad ad show hone lag jayenge.

  12. Ajinkya

    Hello sir maine blog ko non-hosted ke liye submit kiya par jab me submit par click krta hu tu aisa aa raha he. ” We apologize for the inconvenience, but we are unable to process your request at this time. Our engineers have been notified of this problem and will work to resolve it. ”
    Aisa kyu ho raha he please help me,
    Aur kya meri site AdSense ads show ke submit hui he.

    • Jumedeen Khan

      Kafi logo ko ye problem hai but iska solution mushkil hota hai.
      Aap firefox bro me try karo agar na ho to apna sawal AdSense forum me submit karo.

  13. Umesh Chavan

    hello bro,

    AdSense setting me jakar my sites me aur ek site add kar di hai. aur uske aage verified par right mark show ho raha hai, to kya ab mai us new site par ad code laga sakata hu kya.

    • Jumedeen Khan

      Yes laga sakte ho.

  14. Rahul Pradhan

    sir me ek blogspot par ek blog bona liya.Aur me earning karne ke liye Google AdSense add kar rahatha.but nehi hua 1-Google account verify done 2-wibsite verify failed Hua.me apna wibesite besthindilovers.blogspot.com dal dia but nehi hua .please Sir btau me konsa wibesite dal Lu.error code-directly add google AdSense from your wibesite.kya karu

    • Jumedeen Khan

      Aap blog dashboard par ja kar dekho waha earning ka option hai us par click karke AdSense account banao.

  15. ajay gupta

    Very important jankari nice article
    ## jumedin sir ###

  16. Manish Sharma

    sir site add karne ke baad ad unit me bhi site ki link daalni padegi

    • Jumedeen Khan

      Nahi.

      • kadir

        Sir mene bhi adsense ac bnaya h but ban nhi rha kya eske liye khud ki site hona jruri h…plz help me

        • Jumedeen Khan

          Yes.

  17. septadeep

    Sir maine blog ke liye Domain liya aur use set bhi kar diya but ab AdSense ke ad show nhi ho rhe. jab naya domain hatata hun to show hote hai.
    kya karna hoga

    • Jumedeen Khan

      New domain ko AdSense site management me add karo.

  18. Rahul Kumar Yadav

    dear respective my ideal, mera ek blog tha blogger par askmelink naam se isi se AdSense approve kiya tha aur ab maine ise WordPress self hosted par move kar liya hai aapki post padh kar blogger par mera url askmelink tha aur WordPress par tricksind.com dono ko AdSense ac. me add kar diya hai redirection set hai. ab ye bataye ki askmelink.com par ads to show hoge nahi. ads tricksind.com par show hoge to fir AdSense ban to nahi hoga aur mujhe kya karna chahiye;;

    • Jumedeen Khan

      Aap already sabkuch kar chuke ho ab kuch nahi karna hai bas blog ko complete WordPress par transfer karne ke bad blogger par se data remove kar dena.

  19. Pradeep Rajput

    Sir; Mera BlogSite Domain ( [dot] IN ) se Register hai; Kya Main Dusre ( [dot] COM )se; (dono domain) same Sitename Register kar, CPANEL par “Domain Mirror” se Link Kar Sakta hu….

    .IN or .COM domain dono ek-dusre ke site mirror / re-direct (click hone par same site open) ho; because Site me Organic Traffic jyada hoti hai….

    Isse Adsense A/c par (new domain [.com] se) koi Effect to nahi Hoga…..??

    • Jumedeen Khan

      Aapki site ka primary domain ek hi rahega. Aap ek site par 2 domain use nahi kar sakte but aap domain ko dusre domain par forword kar sakte ho. Iske liye aap jis domain ko dusre domain par redirect karna hai uski setting me jao or forword option par click karke apne main domain ko add karo.

  20. krishnachandra

    Sir mera YouTube awr blog dono par ads lagana chats hun YouTube par to ads show hote hai par apke es post ko follow karke Maine apne blog ka url krishnachandrate.blogspot.in/ ko AdSense site management me ad karna chaha to msz show hota hai Ki “krishnachandrate.blogspot.in is not a valid public domain name” sir aisa kyu Ho rha hai awr ab Mai kya karu plz help me

    • Jumedeen Khan

      Aap site management me xyz.com domain use kar sakte ho so iske liye aapko domain lena hoga or use blog me add karna hoga. Uske bad yaha add karo fir ad lagao.

      • krishnachandra baghel

        sir matlab mujhe domain name kharidna hoga pahle ? aur agar kharidna padega domain to eske liye konsi site par jana hoga …

        • Jumedeen Khan

          Godaddy site se kharid sakte ho.

      • Bhavik Kothiya

        Sir Meri link add nhi ho rahi Kya kru mai plz batavo na. Website add krne k liye domain Lena jaruri hai kya

        • जुमेदीन खान

          Yes, agar aap blogspot user ho to aap direct blogger.com par ja kar setting se apply karo.

  21. arvind chauhan

    bhai ak page pr ak generate ad code ko kitane baar laga sakte hai ak baar ya kai baar

  22. sunil bhargav

    New domain ko blog , Google search console me add karne ke baad kya ise AdSense me bhi add karna padta hai kya and Google analytics me bhi add karna hai kya, agar add Karna padta hai to kya uske add karne ke baad free blogspot.com ko hatana padega kya

    • Jumedeen Khan

      Ha hatana padega.Maine jo aapko blog banane ke bad kya kare wali post btayi hai usme iski puri jankari hai. Plz visit

  23. prahlad

    Plz help

    Q 1)We’ve recantly integrated the site authorization future with site management,please review your setting to ensure they are correct…

    Maine jub mera dusra blog site management me add kiya tab
    Muje ye notification mila hai AdSense ki aur she…usme kya settings karni hai.

    2)Maine free domain liya hai .cf use me use karna nahi chahta kya me phir she blogspot.com use kr sakta hu aur use kar sakta hu to isse mera AdSense account disapprove to nahi hoga?

    • Jumedeen Khan

      Aapne adsesne me dusr isite ka link add kiya hai. Uska message hai. Disapproved nahi hoga. but us par aap AdSense ke ads nahi laga sakte.

      • prahlad

        Lekin sir AdSense ka rules to yahi hai ki ap AdSense ka code 3-4 website pr laga sakte ho…dono ki email Id ek hi hai?

        2)muje mera domain hatana aur phir se blogspot.com use karna hai?

        • Jumedeen Khan

          Ha AdSense se aap apni sabhi sites par ads laga sakte ho but blogspot.ocnm site par nahi. custom domain wali site par. Matlab aapko koi dusra domain buy karna padega.

  24. prahlad

    Sir,Mera AdSense account approve ho gay aur is approved blog me Ads bhi show ho rahe hai lekin mere dusre blog me ads show nahi ho rahe hai..Maine site management me is blog ko add kar diya hai…plz help

    • Jumedeen Khan

      Adsense aapki si site ka review karega. uske bad ads show hone lag jayenge.

      • prahlad

        Sir,1 blog me to already ads show rahe hai…
        Pkthakor143.blogspot.com isme ads show ho rahe hai,lekin dusra blog pkthako143.blogspot.com isme ads show nahi ho rahe hai…dono ka emal Id ek hi haihair

        AdSense ka rules Thai hai ki 1 blog me ads show ho jayo to iske bad hum 4-5 blog me wo use kar sakte hai

        • Jumedeen Khan

          Ads show nahi honge to aapko iska AdSense message send karega. Usme iska reason mil jayega.

  25. surendra rsdp

    Hello bhai , mai dausa district me rehta hu aor puree district me SBI ka swaift – bic code nahi toh mai Alwar Yaa Jaipur Ka Swift Bic Code use kar sakta hu kya ? aor mera bank Ac Mahwa ,Dausa me hai

    • Jumedeen Khan

      Saurendra aapke area ke bare me aap mujhse behtar jante hai. Isliye ye aapko pata karna hai ki aapki bank ke sabse najdiki konsi bank lagti hai. Ha ye confirm hai ki aap apne bank ke najdiki bank ka code use kar sakte ho. fir chahe wo dusre district me ho.

  26. Ashish sahu

    Maine AdSense apne blogger blog se aprove liya tha, but mujhe apne selfhosted WordPress blog par bhi ads lagane hai. Isme koi problem to nahi hoga.

    • Jumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hai, dono blog par ads laga sakte ho.

  27. ramesh kumar sharma

    mr. jume deen ji namskar,
    mane pahle blog par ads lagaye hai . ads lagane ke baad me google AdSense a/c me site manegmant me blog ko add kiya hai .kya koi problam to nahi hogi kya sir yahi hame kuchh karna baki hai to aap mahe bataye.
    thanking you.

    • Jumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hogi.

  28. rohit

    Hello sir YouTube par maine ak video upload kiya tha usme acting hamari thi lekin gana arjit ka tha jo ki ak bahut badhe singer h to mujhe YouTube ki tarf se notice ane laga aur meri video bhi monetize nhi thi to aisi video upload karne ke kya karna hoga kya main aisi video uplaod kar sakta hu plz sugget me

  29. Sandeeo kumar

    Bhai mere menu sahi kar do Maine apko Facebook par message kiya hai

    • Jumedeen Khan

      Ok, mai aapko facebook par reply karta hu.

  30. Manish

    Sir aap meri site dekhe aur ye bataye ki mera navigation menu sahi SE kaam nahi kar raha hai please muje bataye ki me kya karu aur maine ek do din pehle naya templates install kiys to bhi kaam nahi kar raha hai sahi SE.please jara acche SE check karna tab malum padega sir.

    • Jumedeen Khan

      Manish aapki site open nahi ho rahi jo mai aapko suggest kar saku. sahi link btao.

  31. sonu

    bro agar ham site management me website add nahi karte hai. phir bhi AdSense code lagate hai create karke par AdSense ke niyam ka palan kare to isse koi dikkat nahi chahiye

    • Jumedeen Khan

      Agar aap AdSense me site add nahi karte hai or us par ads lagate hai to aapka AdSense account band ho jayega.

  32. Sandeep kumar

    Bhai Maine Facebook par message kiya hai check kar lo please

  33. zishan ali gulzar

    sir blog me do domain name add krna he kaise kare,, jaise pahle se mera .in he ur usme .com add krna he,,, kaise kare, blog me option nhi de rha he,
    ek bat ur sir dusra domain nam add krenege to fir se ,, webmaster, alexa me submitt krna padega

    • Jumedeen Khan

      Aapne jis site se domain liya hai. us par domain profile me ja kar domain ko dusre domain par forword kar sakte ho.
      Aap blog ke main domain ko search console me add kare. Baki jaruri nahi hai.

      • zishan ali gulzar

        sir ek bat ur apne btaya ki only search console me submit krne, to usme double blog ho rha he, ur dono domain se ek hi page khulta he, to copy content nai na hoga

        • Jumedeen Khan

          Nshi nahi hoga. aap search console me ek hi domain add karo. dusra add nahi hoga kyuki aap verify knahi kar paoge.

  34. Sandeep kumar

    Menu create karke try kar liya nahi ho raha hai

    • Jumedeen Khan

      Aap mujhe facebook par contact karo. Mai aapki setting kar ke deta hu.

  35. Sandeep kumar

    Bhai apne Jo bataya vo bhi kiya phir bhi menu mobile me show nahi ho raha hai

    • Jumedeen Khan

      Theme change karne ke bad bhi show nahi ho raha hai to aap ek bar ne menu create karke try karo.

  36. pardeep

    bhai app na site ma kon sa template laga rakha ha.
    kya app ya mujha send kar sakta ho.

    • Jumedeen Khan

      Mai mytheshop ka ribbon template use karta hu. Aap bhi kar sakte ho.

  37. Mo Aziz

    jumedeen bhai
    mujhe alexa widget me no data kyu show ho raha hai
    meri site me bhi aur apki site me bhi mujhe no data show ho raha hai
    aisa kyu ho raha pls mujhe bataye

    • Jumedeen Khan

      Ye alexa ki missing service ki wajah se hota hai. don’t worry ye alexa ki problem hai. apne aap solve ho jayegi.

  38. Sanjay

    Sir m Aapse ye puchna chahta hu ki mere Facebook page PR agar 100000 like h to mujhe kitne rupees tak mil skte h agar m use sell kru to plz Sir reply me on my email address

    • Jumedeen Khan

      Sanjay aap yahi sawal mujhse 3 bar puch chuke ho. Plz don’t epeat your comment. aapko koi kitne paise dega ye page kharidne wala hi bta sakta hai. Or 100k original page like karna hasi majak nahi hai. Isme salo ka time lag jata hai. Sirf muh se kahne se kuch nahi hota hai.

  39. Anuj godara

    ADsense ka account approve karvane ke liye kitni post blog par hona jaruri hai.

    • Jumedeen Khan

      Adsense account ko approved karane ke liye post ki sankhya nahi. aapki site ki valuablity check ki jati hai. Yani ki aapki site par kaha se kitna traffic aata hai or aap real me logo ke liye acha kar rahe ho or aap apna work ghoogle terms ko follow karke kar rahe ho. Adsense account banane ke liye aapke blog par 500+ pageviews per day hone chahiye or aapko blog seo friendly hona chahiye.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...