WordPress platform par blog banane ke liye aapko hosting ki jarurat hoti hai. Bahut si websites hosting provide karti hai. But hostgator or bluehost sabse jyada popular hai. Jaha tak mujhe pata hai hindi blog ke liye hostgator ki hosting best services deti hai. Agar aap hostgator ki hosting use karte ho to is tutorial me aapko hostgator par add on domain add karne ki details me information milegi.
Agar aapne hosting nahi li hai to pahle aap Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Article padh kar hostgator se hosting buy kare or Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare post padh kar hostgator par WordPress blog install kare. Yaad rahe mostly blogger baby plan use karte hai jisme sabkuch unlimited hota hai.
Jab hum hosting lete hai to hume uske liye ek domain ki jarurat padti hai. Or agar aapke pas pahle se domain hai to aapko wo domain hosting company par provide karna padta hai. Iske liye aapko domain site par DNS record add karna hota hai. Exaply aapne hostgator se hosting li hai or godaddy se domain liya hai to aapko godaddy site par hostgator ka diya DNS record godaddy site par add karna hai.
Mai is article mai aapko DNS record ko add karne ke sath hostgator par add on domain yani jisse humne hosting li hai usse alag dusra domain kaise use karte hai. Ye kuch sawal hai jinke jawab aapko is post me mil jayenge.
- Hostgator Par Multiple Domain Kaise Use Kare?
- Hostgator Par DNS Record Kaise Manage Kare?
- DNS Record ko Domain Site Par Kaise Add Kare?
- Hostgator Hosting Par Other Domain Kaise Add Kare?
- WordPress Par DNS Management Setting Kaise Karte Hai?
By the way, Ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki is post me hum kiske bare me bat karne wale hai or aapko isme kis tarah ki information milne wali hai. So read carefully.
Hostgator India Hosting Par Additional Domain Kaise Add Kare
Agar aapke pas hostgator ka baby ya business plan hai to aap hostgator par unlimited domain use kar sakte ho. To chaliye ab mai apne topic par aata hu or bat karta hu ki kaise hum hostgator hosting par add on domain manage kar sakte hai.
Sabse pahle aap hostgator par apne cpanel par jaye or apni ID se log in kare. Iske liye aap ye link bhi use kar sakte hai. “Yourdomain.com/cpanel” yaha aapko wo domain use karna hai jisse aapne hostgator se hosting li hai.
- Ab aap scroll down kijiye or Domains options me Addon Domains par click kijiye. Aap chahe to left side search box me addon type kar ke bhi is features ko search kar sakte hai.
Ab jo page khulega. Usme aapko apna domain add karna hai.
- Apna new domain add kare. Yaha aapko www ya http ke bina doamin add karna hai. or agar aap chahe to “subdomain or FTP Username” ke samne apne domain ke liye username chage kar sakte hai ya fir domain ka hi username set kar sakte hai.
- Domain ke liye password set kare.
- Add domain par click kare.
Ab aapka domain to hostagator par add ho chuka hai. But abhi ye kaam nahi karega. Iske liye aapko domain site par hostgator hosting ka DNS record add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Hostgator Hosting Par Domain DNS Record Kaise Manage Kare article padhiye. Isme aapko domain DNS record server ki puri setting karne ki jankari mil jayegi.
Isi tarah aap hostgato hosting par unlimited domains add kar sakte ho or ek se jyada WordPress blog install kar sakte hai. or agar aap se kahi koi galati ho jaye to aap domain ko remove kar fir se add kar sakte hai. Iske liye aap hostgator cpanel > domains > addon domains par jayer or domain ke samne remove par click karke domain ko delete kar de.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
I hope aapko is post me di gayi jankari pasand aayegi or aap isko follow karke hostgator par par additional domain add kar sakte ho. Or agar aapke pas is bare me koi or information ho ya fir aap is post se related koi sawal puchna chahate ho to comment section me apne vichar share kar sakte ho.
Plz feel free and share this article with other WordPress user and sharew this post on social media with your friends.
Bhai you are doing great job very helpful post.
Mera question hai main domain purchase kiya hostgator.com se and hosting hostgator.in se baby plan usme 2 ad on domain h to Kya hm 2 domain aur chla skte h
Manage domain me name server 1 and 2 change kr Diya next ab next ab kya kya krna h please btayen.thank you
Yes, lekin multiple website host karne se server par load padega.
hello sir pls tell me me hostgator ka shared hosting use kar rha hu. or primary domain par cloudflare ka free ssl (https) install kiya hua hai. ab kya me apne addon dimain par bhi cloudflare se free ssl install kar sakta hu?
Yes kar sakte ho, no problem.