Blogger Blog Ke Domain Ko Without www Ke Kaise Set Kare

Hi friends aapne dekha hoga ki jab hum apne blog ko apne browser me open karte hai to hum bina www lagaye apne blog ko open nahi kar pate hai. Aaj main aapko blog ke url me se www ko hata kar sirf domain name enter karke open karne ka tarika bta raha hu. Jaise meri website ka URL https://www.supportmeindia.com hai jabki aap ise bina www ke bhi open kar sakte ho. type kar ke bhi open kar sakte ho. Chaliye jante hai ki blog ke domain ko without www ke kaise set karte hai.

Iska sabse achha benefit ye hai ki aapke reader aapki website ko bina www ke ya www ke sath kaise bhi open kar sakte hai or aapki post bhi read kar sakte. Isse aapki site par traffic increase hoga or visitors aapki site ko jyada pasand karenge.

Agar aap apne blogger blog ko bina www ke open karna chahate ho to is post me btaye sirf 1 step se aap apne blog ke url ko bina www ke set kar sakte ho to chaliye agle 1 minute se pahle hum ye kaam kar lete hai.

Blog Ke Domain Ko Without www Ke Kaise Set Kare?

Blog ke domain ko www ke bina set karna jyada hard nahi or is post ke step follow kar aapko ye simple lagega. Aap bas is post ke step follow kijiye.

Step 1:

Sabse pahle aap www.blogger.com website par jaiye or log in kijiye or apne blog ka dashboard open kijiye.

  • Apne blog ki setting me jaiye.
  • Basic par click kijiye.
  • Blog address ke samne apne blog ke link par edit option par click kijiye.
  • Ab save par click kijiye.

set without www

Bas save par click karne ke bad setting complete ho jayegi. Ab aap apne blog ko bina www ke open kar sakte ho. Ek bar aap apne blog ko open karke dekh lijiye ki aapka blog without www ke open ho raha hai ya nahi ho raha hai.

Agar aapka blog without www ke open nahi ho raha hai or aapko is post ko samjhne me koi problem ho rahi hai to aap mujhe comment me apni problem bata sakte hai.

Agar aapko blogging ke bare me adhik jankari chahiye to aap hamari site par blogging se related post read kijiye aapko details se jankari mil jayegi.

Agar aapko blog ke domain ko without www ke set kaise kare post achhi lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki unhe bhi iske bare me pata chal jaye.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 91 )

  1. Shamim Ahmad

    Hello Sir. Maine Aaj hi Domain Name buy kiya hai .in wala GoDaddy se
    Mera Blog www. vestigeknowledge. in

    Lekin Bagair www ke Open nahi ho raha hai please help me
    Maine Try kiya to usme ye ye likha aa raha hai ki top level domain ko without www ke add nahi kar sakte
    Please solution Batayein Big Bro

    • Jumedeen Khan

      अभी आपका ब्लॉग without www के open हो रहा है

  2. Pritam

    mera blog abhi bloger domain par hi he or me google me bina https:// k bina website open kar raha hut to open nahi ho raha he
    give me sollution

    • जुमेदीन खान

      आपका ब्लॉग removed बता रहा है, मतलब आपने ब्लॉग को डिलीट कर दिया है

  3. jagani vivek

    Sir mera blog par mene settings kardi hai to bhi mera blog www. ke binaa nahi khulraha or DNS me 4 code bhi dala hai to bhi nahi khul Raha GoDaddy me redirect karte hai, Google DNS code dala to coming soon dikha Raha hai to please help me sir

    • जुमेदीन खान

      सेटिंग करने के बाद थोड़ा इंतजार करो, खुल जाएगा

  4. sachin patel

    Sir please reply dena…….

    Sir Mera blog WWW ke sath hi Google me show ho raha he. And jab me without WWW se search karu to kuch aisa likha hua aata hain.

    This web page is parked FREE, courtesy of GoDaddy.com New .COMs
    Our sir mera dusra problem ye he ki meri post google show ho rahi hain bt post description koi or language me show ho raha he….

    • Jumedeen khan

      Aapne jab domain blog me add kiya to us time DNS work nahi kar raha tha aur google ne page index kar liya, ye issue apne aap fix ho jayega. Google site post ke liye kisi aur ka nahi aapke page me se content le kar description show kartahai.

  5. Sumit Mishra

    1. Sir Baat Abhi aisi hai.. Ki Maine Google Ka Officially Blog Check Kiya Hai Usme Bina Www Blog Open ke Bare Me Padha Tha Usme Likha Tha Ki Pahle Google Ke 4 IP Address Add Karna Hai DNS Ke A- Record Me . ..
    Uske Baad Blogger Dashboard Me Ana Ha Basic Me Aur Redirect Me Tick Krna Hai Matlab Jistarah Apke Post Me Bataya Gaya Hai…

    2. To Mera Kahna Yeh Hai.. Google
    IP Address Add Karna Jaruri Hai..

    3. Aap Apna Experience Bataaye Jab Aap Blogger Me The Tab Aapne Kya Kiya Tha
    Taki Mai Bhi Follow Kar Saku.

    • Jumedeen khan

      Yes maine kiya tha. Blogger google server par host hota hai uska ip use karna hota hai.

  6. ashvni

    mera domain set hua hai par .ip address should not be found aa raha hai.to sir aap muze ye bataye ke “ip address blogger pe kaha hota hai jo numeric hota hai” plz sajest me.

    • Jumedeen khan

      Aapko ip address ki jarurat kaha pad gayi?

  7. Suresh bukeliya

    Webmaster jo site setting karte hai bhai wo nahi ho raha. Vaha site verified karne ko kah rahe hai .

    Meri site verified hai usme

    Par jo pehli verify thi maine usko remove kar diya or uska code bhi template se remove kar diya

    Sirji koi rasta bataye jise mai www or non www website dono ko webmaster tool verified karke site setting kar saku

    • Jumedeen khan

      Dono ka verify code ek hi hota hai, aap fir se site search console me submit karo aur verification method select kar code blog me add karo.

      • Suresh bukeliya

        Sirji aapne kaha vese kiya par webmaster me site setting hai usme http://www.example.com wo verify nahi ho raha

        Site webmaster me successfully submit ho gay hai

        Sirji muje www non www jo site me hai o karna hai usme verify karne ko kah rahe hai

        Aap meri site check kijiye na sirji

        • Jumedeen khan

          Usko verify karne ki jarurat nahi hai default hi rahne do.

  8. JITENDRA SINGH

    Nice Information Sir ,

  9. SSC HINDI

    Jumedden Ji mujhe aapki yah Post Bahut Hi Pasand Aayi , kya aap bta sakte hai ki aap Up Me Meet Up kab Karenge , jawab jarur Dijiyega

    • Jumedeen Khan

      Abhi up ke liye plan nahi hai future me karenge to aapko bta diya jayega.

  10. sunil sinha

    mere site me bina www ke open karne se sida godaddy ke page open ho raha hai aur www ke sath hi open ho raha hai jabki apke bataye huye pure step follow kiya hu please help me

    • Jumedeen Khan

      Givwe your site link.

  11. Mahendra

    Hello sir photo to uplod hone lagi hai
    Parntu treffic nahi mil pa raha hai blogging karte huye 6 mahine se uper ho chuke hai or 20 post hi avhi tak likhee hai
    Kya kam post hone ke karn treffic nahi mil paraha hai ya kuchh or wajh hai please sir ek bar mere blog ko jarur chake karke dekhen

    • Jumedeen Khan

      Achhi post likho or unka social media par promotion bhi karo.

  12. Mahendra

    hello sir mene 3 din pahle domain liya or ab post likhne par usme photo add nahi ho rahi hai kya karu

    • Jumedeen Khan

      Image upload karne par kya error aata hai.

  13. yash

    Sir main abhi new web site Bnai aur post bhi dal di per google seach kerte h to meri website show nhi kerti plz help me

    • Jumedeen Khan

      Abhi aap or psot likho site ko search console me submit karo or site ki SEO setting sahi se karo search me aa jayeg.

  14. Yuva Thakur

    brother mera blog bhi bina www ke open nahi ho raha hai apki post ko padh kar maine saari settings acche se kar diya lekin abhi tak nahi khula waise blogger blog par jo address aa raha hai wahaan pahale se hi www likha hua hai maine use hatane ki kosis ki lekin waha likh aa raha hai kya aap apna maujuda domain hatana chahte hain isliye maine kuch ni kiya aapke bataye anusar wahi sab kar diya

    • Jumedeen Khan

      Changing karne ke bad thoda wait karo without www ke open hone lag jayega.

  15. Monoshree

    sir, mera site google pe without www bhi aara hai but sath sath ” This web page is parked FREE, courtesy of GoDaddy.com New .COMs …” message bhi aaraha hai. check karke bataye ki kya problem hai?

    • Jumedeen Khan

      Aap apni site ko search console me submit karo or 1-2 week bad check karo results change ho jayega.

  16. Deepak M Jain

    sir me apko blog ka kafi purana reader hu. mene bhi ek blog bnaya hai or domain bhi liya hai but mera blog http://www.jaminchakkar.com bina www ke open krne par godaddy ki website khul jati hai, muje kya settings krni hogi

    • Jumedeen Khan

      Domain ko proper work karne m24 to 48 hours tak ka time lagta hai thoda wait karo.

      • Vishwajeet

        mera bhi yahi problem tha 5 day ho gye problem solve nhi hota goddy page open ho jata hai.

  17. Sanjay

    Sir mene DNS setting me jakar 2 canal bhar CIA for bhi website par blogspot hi show ho raha hai

    • Jumedeen Khan

      DNS canal means sawal pura likho.

    • faisal

      non www se www blog subdomain blogspot ko blogger m redirection 301 kese set aur fix karen

      • जुमेदीन खान

        Uski jarurat nahi, www set karne ke baad auto redirect ho jayega.

  18. Abhishek Meena

    Hello Bro. Mene aaj hi godaddy se domain buy kiya hai and aapki posts ki help se use apne blog me bhi submit kr diya hai and aapki is post ko bhi use kr chuka hu bt fir bhi jb me http://www.achchiduniya.com open krta hu tb to mera blog sahi se open ho jata hai bt jb me www ke bina apna blog open krta hu to godaddy ka ek page open ho jata hai ise solve krne ke liye kya krna hoga ??

    • Jumedeen Khan

      Aapka blog without www ke open ho raha hai no problem.

      • Abhishek Meena

        bro ek baar only achchiduniya.com par jakr dekho godaddy ka page open ho raha hai…

        • Jumedeen Khan

          Mere pas aapki site hi open ho rahi hai aap browser ko cache file delete kar try kaor ya mozilla me check karo.

  19. SHAHID AFRIDEE

    Hello bhai maine aapke sare step ko sahi sahi follow kiya hai phir bhi mera blog without wwww. ke open nahi ho raha hai aisa kyu ho raha hai kya aap mujhe bata sakte hai plz…..

    • Jumedeen Khan

      Aapka blog bina www ke open ho raha hai. No problem

    • sumit

      Hy sir !
      Mai apni site pr logo kaise laga skta hu..?

  20. kamleshparihar

    sorry sir main aapki baat ko samjha nahi kis feature ko avoid karun kis ko nahi. plz clear

    • Jumedeen Khan

      Search console me jo www or without www ke site ulr set karne ka feature hota hai use use mat karo. google aapki site ko bina www ke search me show karega.

  21. Kamlesh parihar

    OK sir jab hum blog ko bina www ke set karte hai to kya google search console me blog ko add karne par www use karna padega ya without www ke set karna padega.

    • Jumedeen Khan

      Nahi aa pis feature ko avoid karo.

  22. sumit

    sir blogger me Blog Address kese Cheng kre

    • Jumedeen Khan

      blog dashboard setting me jao ab url option par click karke uska link change karo.

  23. vijay bhogayta

    mene kal Domain name liya he or ad bhi ho gaya he lekin meri site bina www ke open nahi hoti mene aap ne jo setting ki he wo ki lekin bina www ke open nahi hoti

    • Jumedeen Khan

      Aap ye setting sahi se karo.

  24. Abhishek Meena

    Bro ye post se related question nahi h sorry
    mene aaj hi apna blogspot ka url change kiya hai to mujhe ab url change krne ke baad blog me kis kis setting ko edit krna hoga and search console and google analytics pr bhi dobara new account banana hoga ya fir purane url wale account se hi kaam chal jayega

    • Jumedeen Khan

      Post se unrelated questin sawal jawab forum me pucha karo.
      first aap blog ki post me se internal links ko change karo. uske bad blog ko google webmaster me fir se submit karo.
      Nahi aapko fir se account banane ki jarurat nahi hai gwt par jao or olnd domain property ko delete karke new domain add karo.

  25. viram Singh

    Mere liye bahut kam ki jankari mera blog bina www hone LG gya thanks sir.

  26. Bishal Bhati

    meri site bina www ke open nahi ho rahi hai sirf www lagane pr hi open ho rahi hai. without www ke kaise open karu mujeh domain ko kharide 2 month ho gaye hai pr abhi tk vo bina www ke open nahi ho rahi hai

    • Jumedeen Khan

      Is post me btaye tarike se domain ko bina www ke set karo.

  27. Bishal Bhati

    Hello sir,mai hindimehow.in ka owner hu meri site ko redirect krne ke bad bhi site open nahi ho rahi hai goddady ke page pr pahucha deta hai

    • Jumedeen Khan

      Domain ko proper work karne me time lagta hai. Thode time bad work karne lag jayega.

  28. Akash sharma

    Hy main ne apne site pe template lagaya jb wo lag gya to jo tamplate mai pic tha wahe pic mera site pe v hai use kaise hatau
    Sharmatrick.blogspot.in

    • Jumedeen Khan

      Mujhe aapke blog par koi image nahi dikh rahi aap kis image ki bat kar rahe ho.

  29. namdev

    Sr maine apne blog pr CNAME code jaise apne btaya tha maine kr diya h or save bhi ho gya hai or jaise is post me btaya bina www k bhi redirect pr click krke save kr diya hai lekin abhi tak meri site google search ingine me abhi tak nahi ayi

    • Jumedeen Khan

      Namdev google search me aane me site ko waqt lagta hai. Kuch day me aa jayegi.

  30. parth

    bina domain kiye WordPress website me advertisment kaise lagaye

    • Jumedeen Khan

      Bina domain kharide nahi laga sakte.

  31. satyam kumar

    मैंने कर दिया है परन्तु मेरा ब्लॉग फिर सर्च में नही आ रहा है ! क्या करू
    दूसरी बात यह की आप मुझे एक चीज और बताई मैंने आपकी ब्लोगिंग से जुडी साडी पोस्ट पढ़ी हो लेकिन मै एक चीज नही समझा पा रहा हूँ जैसे की हम सर्च डिस्क्रिप्शन में कोइन से वर्ड डाले टाइटल वाले या पर्मालिंक वाले या फिर अलग से क्या इसमे हिंदी के वर्ड भी डालने चाहिए
    क्योकि मैंने चेक किया है की जब मै पोस्ट को सर्च कर रहा हूँ तो वह सर्च में नही आ पा रही क्या करना हो सकता है !

    • Jumedeen Khan

      Satyam maine har post me iske bare me btaya hai ki post description me sirf aap post ke bare me hi words likh sakte ho. Usi bhasha me likho jis bhasha me post likhi ho. Bro sirf padhne se kuch nahi hota. Ache se samajha karo. Aapke setting karne ke turant bad search result show nahi karega. Isme time lagta hai. 1-2 day wait karo.

      • satyam kumar

        sorry भाई मै आपके नियम तोड़ रहा हूँ क्योकि मुझे कमेंट का बॉक्स इसमे शो नही हो रहा है इसलिए यह करना पड़ा ! मेरा सवाल पुराना है की मै अपने डोमेन को बिना www के सेट कर चुका हूँ आज करीब एक महीने से ज्यादा हो गया है लेकिन फिर भी इस key word के साथ ( gajab ki duniya ) पेज पर नही आता है अगर में इसको हिंदी फॉण्ट में लिखू तो आ जाता है ! दूसरी बात अगर हिंगलिश में duniya ki anokhi jhalak लिख सर्च करू तो आ जाता है ! आप प्लीज एक बार देख लो
        कंही इसमे मेरा डोमेन नाम तो जिम्मेदार नही है ! क्योकि गजब नाम से बहुत वेबसाइट बनी हुई है

        • Jumedeen Khan

          Satyam aapka blog gajabkiduniy.com google me index hi nahi hai or na hi aapka blog open ho rah hai dns error show hota hai. Maine site:example.com se search kiya hai aapka koi bhi page google me indexed nahi hai.

  32. vishal chaudhary

    Layout me kya fill karna rehta hai..

  33. zishan ali gulzar

    sir nhi ho rha hai, ye msg de rha he, — Blogs may not be hosted at naked domains (ex: yourdomain.com). Please add a top-level domain (www.yourdomain.com) or subdomain (blog.yourdomain.com).

    • Jumedeen Khan

      Aapne DNS address sahi add kiya hai ya nahi ek bar confirm karo. agar koi mistake ho to fir se dns record domain wali site par add karo. uske bad 1-2 hours wait karo ho jayega.

  34. Neyaz Ahmad

    Blogger par godady se domain lene par kya hosting lena jaruri hai?

    • Jumedeen Khan

      Nahi blogger free hai us par hosting ki jarurat nahi padti hai.

  35. Abhishek Prasad

    hello apne blog se powered by WordPress ya tempalte ke company ka naam kaise hataye

    • Jumedeen Khan

      Maine hosting le kar blog banaya hai. Jisme powered by WordPress ka option nahi hota.

  36. Aaliya

    WordPress se blog ko blogger me kese transfer kerte he please Btay…….,

    • Jumedeen Khan

      Bahu simple hai WordPress blog ka backup le kar blogger blog par upload kar do.

  37. mahendra

    First off I want to say great blog! I had a quick question that I’d like to ask if you do not mind.

  38. Manoj kumar

    Sir mai apne blog ko Google par dekhna chahta hu .sir Google par kaise aayega or sir mai apni pictures Google par show Karna chahta hu .sir help pls

  39. ved parkash

    hello sir
    aapne apne blog par cetegri kese lgai
    jese home or make money WordPress or blogger mughe bhi btaye m bhi apne blog par lgana chata hu.

  40. aryan

    sir mera ek help kar dijiye sir jaisa ki aap ke domain me bina www ka show hota hai agar hum karna chahte hai to kaise bina www ke show hoga plz help me sir

    • Jumedeen Khan

      upar jo post me step btaye hai unhe follow karo. domain bina www ke set ho jayega.

  41. avvi sharma

    blogger ki setting pta nhi kya kya ho gya jo kuch kuch option hide ho gye..kya kru.
    post and comment ka option hai hi nhi jo visiters comment kr ske.pls helkp me

    • Jumedeen Khan

      blog ki template fir se upload karo, sari setting reset ho jayegi. comment box setting me ja kar eable kar lo.

  42. Rockland

    Hi, its nice article regarding media print, we all know media is a
    fantastic source of information.

  43. Muhammad Abrar

    Bhai domail kaha sy kharidain blog k liye?

Comments are closed.

Ad

I need help with ...