YouTube Support Team Se Contact Kaise Kare – Top 5 Ways

Ek YouTube ko YouTube Creator Support Team se contact karne ki sabse jyada jarurat hoti hai. Is post me YouTube Se Contact Kaise Kare ke bare me details se btaya gaya hai. Yaha YouTube Support Team se contact karne ke 5 tarike btaye gaye hai. Aapko jo tarika acha lage aap usse youtube se sampark kar sakte hai.

YouTube Support Team Se Contact Kaise Kare

Agar aap bhi ek youtuber hai to simple hai aapko report abuse, security, copyright and privacy issues ke liye youtube se contact karne ki jarurat padi hogi aur aap ye post padh rahe hai matlab aap abhi youtube se contact karna chahate hai.

YouTube ko email and call ke through direct karne ka tarika har location par available nahi hai. Lekin fir bhi aap youtube support team se 5+ ways se contact kar sakte ho.

YouTube Se Contact Kaise Kare – YouTube Se Contact Karne Ke 5 Tarike

Mujhe youtube se contact karne ki jarurat padi aur aakhir me mujhe iske kai raste mil gaye jo main yaha aapke sath share kar raha hu taki aap log aasani se youtube se contact kar sako.

1. YouTube Help Forum

YouTube support team se contact karne ka sabse achha aur aasan tarika hai Youtube Help Forum. Aap youtube help forum par ja kar apna sawal puch sakte hai.

YouTube Help Forum

Aap is forum par sawal puche aapko youtube support team and youtube expert se har sawal ka jawab mil jayega.

2. YouTube Help Center

YouTube team ne youtube ke liye A to Z guideline share ki huyi hai. Yani aapko youtube par kuch samajh nahi aa raha ho ya koi problem ho rahi hai to us bare me aapko youtube articles mil jayenge.

Iske liye aap YouTube Help Center par jaye aur aapko jis type ki help chahiye wo category select kare.

YouTube Help Center

Aap youtube bottom and left sidebar navigation me bhi help option par click kar youtube help center par visit kar sakte hai.

3. Report Abuse

Agar koi user aapki videos par abuse comments kar raha hai ya fir youtube ki guideline ke against work kar raha hai to aap youtube se contact kar uski report kar sakte ho.

Iske liye aap https://www.youtube.com/reportabuse par visit kar apne browser me youtube reporting tool open kare. Ab yaha par aapko kai sare options dikhayi denge aapko jis type ki report karni hai wo select kare aur niche diye step follow kare.

YouTube ki har video, channel par report icon hota hai aap us par click kar kisi bhi video ya channel ki report kar sakte hai.

Report abusing

Is tarike se aap kisi bhi video, user, channel ki youtube ko report kar sakte ho. Google aapki report ka review karne ke bad aapko mail karega us mail ka reply karke aap youtube se aur koi sawal bhi puch sakte ho.

4. Contact YouTube via Email

Agar aap ek youtuber hai aur aapko youtube creator ke regard help chahiye to aap specially youtube creator support team ko email ke through contact kar sakte hai. YouTube team ko email karne ka tarika ye hai.

  1. Iske liye aap apne computer browser me YouTube.com site open kijiye aur us channel se login kijiye jisse related aap youtube team ko contact karna chahate hai.
  2. Ab scroll down kijiye aur bottom menu me Help option pa click kare. ( Latest version me ye option left sidebar me show hota hai.)
  3. Ab ek popup tab open hogi usme Need more help? > Get Creator Support par jaye.
  4. Ab ji type ka aapka issue hai wo category select kare.
  5. Ab Email Support par click kare. (Ye option tabhi show hoga jab aap iske liye eligible hai.)
  6. Ab Contact the Creator support team link par click kare.
  7. Ab yaha aap youtube support team ko email send kar sakte ho.

Contact youtube via email

Agar aapko email ka option nahi mitla hai to iska matlab aapka channel YouTube Partner Program se connect nahi hai. Matlab aapke channel par 4,000 hours watch time and 1,000 subscribers nahi hai.

Aese me aap second option Send feedback par click kar youtube se via email cotnact kar sakte ho.

5. Send Mail to YouTube

Aap youtube ko mail ya letter send karke bhi samparak kar sakte ho. Iske liye aap youtube contact us page https://www.youtube.com/t/contact_us par visit kare. Scroll down kar page bottom me jaye.

Yahas par aapko youtube additional contact information mil jayegi. Ye YouTube headquarter address hai jis par aap via mail contact kar sakte hai.

YouTube Contact Us

Lekin ye USA citizen ke liye better hai. Aap USA me rahte hai to is method se youtube ko contact kar sakte ho aur +1 650-253-0001 par fax message bhi send kar sakte ho.

Is tarah se aap YouTube ko 5 tarike se contact kar sakte ho. I hope yee guideline youtube user and creator dono ke liye useful and useful sabit hogi. Agar aapko inke alawa youtube se contact karne ka koi aur tarika pata ho to uske bare me comment section me jarur btaye.

Agar aapko ye article achha lage to ise social media par apne friends (mostly youtuber) ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 18 )

  1. Hamari video per water mark laga hua hai YouTube ki video per Ham Bina watermark ke mobile per video kaise banaen please bataiye

    Reply
  2. Please re open my suspended channel
    By mistake has been suspended channel

    Reply
  3. यूट्यूब टीम हमारा चैनल करो क्यों नहीं कर रहा है 1 साल से मेहनत कर रहा है

    Reply

Leave a Comment