Youtube Channel Par Subscribers Badhane Ki 20 Best Tips

Youtube  video bana kar online money earn karne ka sabse acha way hai. google ne YouTube par ye service di huyi hai ki aap YouTube par video upload kar ke AdSense ads ke throw online paise kama sakte hai. but uske liye YouTube par aake 5000-10000 subscribers hone chahiye. jo aapke video upload karne par aapki video dekh sake or apne friens ke sath share kar sake. aaj is post me mai aapko YouTube subscribe badhane ke 20 important ways ke bare me bta raha hu. aap inhe follow kar ke apne YouTube channel ke subscribe badha sakte ho.

Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tips

Youtube par 1,00,00,000 se bhi jyada log video upload kar ke paise kama rahe hai. inme se kuch log 1 crore monthly bhi kamate hai. agar aap bhi YouTube se paise kamana chahate ho to maine iske bare me details se btaya hai. aap chae to humari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post pad sakte hai or YouTube se paise kamane ki jankari pad sakte hai.

Youtbe par kitne log video upload karte hai or YouTube unhe kitne paise payment karta hai. iske bare me adhik jankari ke liye aap YouTube stats form par ja kar check kar sakte hai.

Agar aapke YouTube channel par 10,000 subscribers hai or aapko video banane ki basic jankari hai  to aap 10,000 to 30,000 per month aasani se kama sakte ho. ab important bat ye hai ki itne sare YouTube subscribers pane ke liye kya kare. apne YouTube channel par 10,000+ subscribers badhane ke liye aapko YouTube par niche diye gaye step follow kar kar video upload karni hai. or aap bahut jaldi apne YouTube channel par subscribers increase hote dekhoge.

  • Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)

Youtube par jyada paise kamane walo me wo log sabse aage hai jo kisi na kisi technology ke bare me jankari ki video banate hai. examply jaise mai supportmeindia ke liye video banata hu. aysi video ko public jyada dekhti hai.

Becoz aaj ke is badlte jamane me log ek jagah par sabkuch ki jankari pana chahate hai. jo ki unhe video me aasani se mil jati hai. aap chahe to humare YouTube channel par blogging related videos dekh sakte hai.

Youtube Par Subscribers Badhane Ke Top 20 Tarike

Agar aapka allready koi YouTube channel hai or aap is waqt YouTube par video upload karne wale person ho to achhi bat hai or agar aapka koi YouTube channel nahi hai to pahle aap apna YouTube channel bana le or use monetize kar le. uske bad ye post pade or apne YouTube subscribe badhane ke bare me sikhe.

Wese agar aap achhi or logo ke kam aane wali video banaoge to log aapko khud be khus subscribe karenge. but is post me mai aapko jo tarike bta raha hu. unhe follow karke aap apne viewers ko or jyada lubha sakte ho.

1. Make Complete Setting Your Youtube Channel

Youtube par work start karne se pahle apne YouTube channel ko complete set up kar le. jaise YouTube banner, video message, verification, custom links etc. isse aapke viewers ko aapke bare me puri jankari milegi. jab koi aapki video dekhega or use aapki video pasand aayegi to aapke channel par jayega or aapke bare me thoda bahut janne ki koshish karega.

Agar use aapke YouTube channel par aapke bare me complete jankari mil jayegi ki aap yaha kyo or kiske liye video upload karte hai to wo aapke bare me jan kar subscribe jarur karega.

Uncomplete channel ko 10% users bhi subscribe karna pasand nahi karte hai. isliye ye meri highly recommend hai ki YouTube par adhik subscribe pane ke liye sabse pahle apne YouTube channel ki complete settings set kare.

2. Personalize Video Thumbnails

Video upload karte time video ke liye video se related koi acchi thumbnail banaye or video par set kare. bahut se new YouTube users ise ignore karte hai. YouTube viewers video thumbnail ko dekh kar bahut jyada dekhna chahate hai.

Video tumbnail ke bare me janne ke liye aap ye post padiye YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye. Ye bat shayad aap bhi folow kar chuke hone. aapne YouTube par video thumbnail dekh kar bahut si video dekhi hongi. to ye step apni video par bhi follow kar sakte ho.

3. Create Youtube Channel Trailer

Youtube ne YouTube users ke liye ek bahut hi acha feature diya hua hai channel trailer add karne ka. isme aap apne channel ke bare me video bana kar set kar sakte hai. ye trailer auto play hota hai. jab koi aapke YouTube channel ko open karega to sabse pahle use ye trailer dikhega. YouTube channel trailer banane ke liye yaha click kare.

Jis tarah new movie release hone par uske bare me short video bana kar trailer bana kar audience ko dikhaya jata hai. jisse log us movie ko jyada like kar sake. same wese hi aap apne YouTube channel ke liye ek shoer trailer bana sakte hai or apne channel par subscribers badha sakte hai.

4. Add Subscribe Button in Video

Add Subscribe Button in Video

Youtube ka ek feature or bhi hai YouTube watermark ka jis se aap apne video me subscribe button add kar sakte ho. isse jab koi aapki video dekhega to wo video me show hone wale subscribe button par click kar ke direct aapke YouTube channel ko subscribe kar sakte ho. iski adhik jankari ke liye ye article follow kare Youtube Videos Me Subscribe Button Kaise Add Kare.

Aapne YouTube par bahut si videos me subscribe button ka option dekha honga. aap iske liye humara YouTube video me subscribe button add karne wala video bhi dekh sakte hai.

5. Create 3-5 Minutes Videos

Aksar dekha gaya hai ki YouTube par 3-5 minutes ke video ko log sabse jyada pasand karte hai or sabse jyada dekhte hai. iski sabse badi wajah hoti hai ki log sochte hai ki sirf 5 minutes ka video hai isme meri kitni MB lagegi. yaha mera matlab ye nahi hai ki aap 1-2v minutes ke hi video banane lago.

Becoz 3 minutes se kam time ke videos par AdSense ads show hone me problem hoti hai or agar aapke video me ads show nahi honge to aapki income kaise hogi.

Jyada long video bana kar apne viewrs ko boring nahi kare or jitna ho sake utne short video me viewers ko samajhane ki koshish kare. isse log aapko jyada pasand karenge.

6. Edit Video Before Upload

Video ko YouTube par upload karne se pahle usme jaruri editing kar le or usme se bina kam ki files ko hata de. isse viewers ko boring nahi hogi. sath hi aap video editing karte samay apne video me extra features bhi add kar sakte hai. jisse aapke visitors video ko or bhi pasand kare.

Video upload karne se pahle editing bahut jaruri hoti hai. agar aapke ek video me bhi bina kam ki jankari mili to log aapko unsubscribe kar sakte hai.

7. Optimize Video Descriptions

Actually YouTube par features option me aysa option hota hai jisme aap ek jagah apne new video ke liye default descriptions add kar sakte hai. so bahut se log ek bar isme apni details likh kar use fir optimize nahi karte hai.

Jisse aapke visitors ko aapke sare videos par ek hi description dekhne ko milti hai. natijan koi ek bar aapke video ki description padne ke bad dubara us par focus nahi kartya hai. so aap har bar video upload karte time video ke bare me jarur likhe.

Slw internet connection use karne wale viewers viseo dekhte time jab video browsing ruk jati hai to video description padna pasand karte hai. ayse me agar aap video desription me video ke bare me or apni website ya dusre videos ke links add kar de to viewers aapke dusre videos par bhi ja skata hai.

8. Use Keyword In Video Title

Video upload karte time video ke title me top keyword use kare. jisse aapki video search engine me achi position me aa sake or aapko jyada viewers mil sake. ayse me aapko jyada audience milenge to aapke channel pa subscribes bhi badhenge.

Youtube video ko bhi aap blog post ki tarah SEO friendly bana sakte hai. jis se aapko search engine se acha result mil sake.

9. Comment on Other Videos

Dusre YouTubers ke videos par commnet kare. jaha tak ho sake latest video par commnet kare. ayse me jab koi aapki commnet ko dekhega to wo aapke YouTube channel par aa sakta hai. or aapko subscribe kar sakta hai. many success YouTubers is tricks ko follow karte hai. aap bhi try kar sakte hai.

Comments ek sabse acha or free tarika hai apne YouTube channel ko viral karne ka. agar aap video banane me ghanto time laga sakte ho to 1-2v hours nikal kar other videos par commnets bhi kar sakte ho.

10. Share Video on Social Media

Youtube par video upload karne ke bad use facebook, google plus, twiiter jaisi social sites par bhi share kare. isse social users ko aapke video ke bare me pata chalega or wo aapke videos dekh sakte hai. aapke YouTube channel ko subscribe kar sakte hai.

Agar aapka koi YouTube channel hai to jahir hai aap facebook, twitter social network use karte honge. to social sites ka fayda uthaiye or apne videos share kar ke apni income increase kijiye.

11. Create Platform on Social Sites

Jab aap YouTube par video upload kar ke paia kamana hi chahate ho to apne YouTube channel ke name se facebook twitter, google+ par account bana le or apni new video ko un par share kare. isse social users aapse social media par direct contact kar sakte hai.

Apne YouTube channel ke liye facebook par page banane ke liye facebook par page kaise banate hai post padiye or apne YouTube channel ke liye google+ par page banane ke liye Google Plus Par Page Kaise Banaye post padiye.

Yha platform se mera matlab sir faccount se nahi hai. aap apne YouTube channel ke liye social site par page bhi bana sakte ho.

12. Ask & Invite Your Friends

aaj kal har koi internet use karta hai or sabka social sites  par account bana hota hai. so aap apne friends ko YouTube channel ko subscribe karne ke liye kah sakte ho.

aap sirf apne friens ko subscribe karne ke liye invite kar sakte ho. ads par click karne ke liye nahi. aysa karne par aapka AdSense accont ban ho sakta hai.

13. Optimize Video Meta Data

Video meta data video ke title, description, thumbnails and tags ko kahte hai. aap jab bhi video upload kare to video ki meta data set kiya kare. aap pahle se upload kiye gaye videos ki bhi meta data optimize kar sakte hai.

Iski adhik jankari ke liye humari YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye post padiye. isme aapko video meta data optimize karne ki puri jankari milegi.

Video meta tags editing sabse important hoti hai. ise ignore kar ke aap YouTube par apne video viral nahi kar sakte. so ab tak na ki ho to ab is tips ko follow karna start kar de.

14. Use Youtube Subscribe Button on Your Site

Use Youtube Subscribe Button on Your Site

Agar aapki koi website blog hai to aap usme YouTube subscribe button add kar ke bhi apne YouTube channel par subscribers badha sakte hai. YouTube ne iska option allready diya hua hai.

Aap YouTube subscribe button bana kar use apni website ya blog me add kar sakte hai. isse aapki site ke visitors aapko direct site par subscribe kar sakte hai.

agar aapki koi website ya blog nahi hai to aap humari Website or Blog Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post pad kar agle 5 minutes me apni free website bana sakte hai.

15. Add Subscribe Details Video Ending

Apne viewers ko video ke end me YouTube channel ko subscribe karne ke liye kahne se bhi YouTube channel par subscrib badhaye ja sakte hai. aap jab bhi koi video banao or use edit karo to video ke end me text or voice kaise bhi jaisa aapko best lage. viewsers ko channel subscribe karne ke liye kah sakte hai. YouTube par most popular YouTubers is tips ko follow karte hai.

Jaha tak ho sake video ke last me aap voice me hi ending subscribe message add kare. boecoz text message se jyada voice message par viewers jyada focus karte hai.

16. Focus Your Viewers Interest

Kuch log  lagatar video upload karte rahte hai. ye soch kar ki jab video bahut sare upload karunga to subscribers or viewrs badh jayenge. aysa nahi hai aap bina matlab ki video upload karke YouTube se paise nahi kam sakte hai.

Agar aapko YouTube se paise kamane hai to apne viewers ke interset ke hisab se video bana kar upload karo. iske liye aapko apne subscribers ka interst pata karna hoga. don’t worry YouTube par iska option allready hota hai. aap YouTube analytics par apne viewers ke interest ka pata kar sakte ho ki aapke visitors ko kya pasand hai or kya nahi hai.

Agar aap apne subscribes ke interst ko focus kar ke video bana kar upload karoge to aap 50 videos upload karne se pahle hi 1,000+ subscribers recieve kar loge. becoz ayse me aapko koi unsubscribe nahi karega. or agar aap aysa nahi karenge to subscrbie badhne ki jagah aapke channel par subscrbie kam ho jayenge.

Becoz aapke subscribes ko jab unki pasand ki videos nahi milegi to wo aapke channel ko faltu samajh kar unsubscribe kar denge.

17. Make Partnership With Other Youtubers

Aap YouTube par jaisi bhi jankari ke video bana kar share kar rahe ho. aapko usse related YouTube par or bhi 10-20 channels mil jayenge. aap unke sath partnership kar sakte ho or apne channel par subscribe badha sakte ho. isse aapke sath aapke partner ko bhi fayda hoga so wo aasani se man jayenge.

Jab aap kisi YouTubes ke sath partnership karoge to uske or aapke visitors ek ho jayenge. or isse aapke or uske dono ke channel par subscribe badhenge.

18. Don’t Copy Other Talent

Kabhi bhi kisi or video maker ke video banane ke tarike ko copy na kare. video aap apne hisab se apne tarike se banaye. jisse internet par aapki alag pahchan ban sake or aapko log jyada pasand kare. bahut se log aysa karte hai or aakhir me unhe paise ki jagah YouTube se nirasha milti hai.

Aeyse log aksar isi problem me rahte hai ki itni achi video banane ke bad bhi koi unki video dekhta kyu nahi. unse mai kahna cahunga ki copyright content ko koi bhi visitos pasand nahi karta or search engine bhi block kar deta hai.

Copy karne se aapki video search engine me show nahi hogi or natijan aapko viewers ke name par ek bhi users nahi milega.

19. Add Other Videos

Youtube par video upload karne ke bad usme other videos add kare. jisse aapki videos dekhne ke bad viewers aapki dusri video bhi dekh sake. iske liye aap video editng option par ja kar add a channel option par click karke apni videos ko add kar sakte hai. ye videos video ke right side me show hote hai.

aap chahe to yaha par apni site ka link bhi add kar sakte hai. or apne veiwers ko video se related jankari de kar jyada subscribers prapt kar sakte hai.

20. Create Latest News Videos

Last me mai aapko sabse important trick btane ja raha hu. jo upar di gayi 19 tips se bhi badh kar hai. actually aaj kal har koi new se new janna chahata hai. jiske bare me usne pahle kabhi na suna ho. ayse me agar aap new new news par video bana kar upload karo to log aapko 100% like karenge.

Or aap bahut jaldi YouTube par popular ho jaoge. kyuki log new jankari ki video khud dekhne ke sath sath dusro ko bhi uske bare me btate hai.

Ye ek aysi trick hai jisse aap 6 month se pahle 10,000+ subscribers kama sakte ho. aaj ke is badlte jamane me aapko per day 1000ro new news mil jayegi. so try now and make money online on YouTube.

I hope aapko ye post pasand aayegi. or aapko isme kuch new sikhne ko milegi. to ab is post ko share kar ke apne dosto ke sath sath meri bhi help kijiye.

Becoz jab aap is post ko apne dosto ke sath share karoge to unko to iska pata chalega hi muhe bhi aapki help se or jyada visitors milege. to aap meri help karna chahate hai to abhi post ko share kijiye or ha humare YouTube channel ko subscribe karna na bhoole.

Ye post maine un YouTube users ke liye likhi hai jo mujhse bahut bar subscribers or video par views ke bare me pareshan the. ummid hai un logo ko is post me apne sawalo ke jawab mil jayenge.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 128 )

  1. Hiba mobin

    Subscriber kaisy badhya

    Reply
  2. Omkar

    1k subscribe please support kar ba do

    Reply
  3. AMAN jogi

    Nice op

    Reply
  4. Ritunjoy daimary

    Bhai subcribe kaise banana

    Reply
    • Zakaullah

      Mere subscribe badha do

      Reply
  5. नीरज दानू

    यूट्यूब साइकिल आकार बढ़ाने हैं कैसे बढ़ाओ मुझे जो कोड दो जिसमें कोई भी मेरा चैनल देखे तो पहले सब्सक्राइब किए बिना मेरे चैनल को नहीं देख सकता

    Reply
  6. Ayush

    Is video mein 200 ke subscriber aana chahie

    Reply
  7. Singar Arun official

    मेरा Youtube वीडियो गलरी से डिलेट होगया है हमारी मदत करे

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap fir se add kar sakte ho featured option me ja kar.

      Reply
  8. kolachiarbaz

    Bhai subscriber kase badhau

    Reply
  9. mukesh

    youtube par subscribe kaise badhaye

    Reply
  10. Karan

    Bhai subscriber kase badhau

    Reply
    • Sahid

      Subscriber banana chahti ho

      Reply
      • Kuldeep kumavat

        Kumavat
        10k

        Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...