YouTube Par Video Upload Kaise Kare (Naya Tarika 2024)

YouTube paise kamane ka sabse achha way hai par YouTube se paise kamane ke liye aapko YouTube ki achhi jankari hona bahut important hai. Aaj main aapko YouTube par video upload karne ka sahi tarika bata raha hu. Kyuki bahut se new youtubers ko YouTube par video upload karne ki puri jankari nahi hoti. Agar aapko bhi YouTube par video upload karne ki jankari nahi hai to is post ko last tak padhe.

video uploading trick

YouTube Par Video Upload Kaise Karni Chahiye

Sabse pahale YouTube.com website par jaye or agar login nahi hai to apne gmail account ki ID se login kare.

Agar aapne gmail account nahi banaya hai to ye Gmail Account Kaise Banaye post padhe or gmail par account bana le.

YouTube site ke home page par pahuchne par upar right side upload button par click kare.

Upload button par click karne par ek new video upload window open hogi. Jaise humne niche screenshot me dikhai hai.

video upload karne ka sahi tarika

  1. Yaha par click karke apne computer me se video ko select kare. (Aap apne computer me se video ko mouse se utha kar yaha patak sakte hai. Video upload hona start ho jayegi.)
  2. Isse aap apne google+ videos ko direct upload kar sakte hai.
  3. Yaha par click karke aap direct apne camera se video create karke upload kar sakte hai.
  4. Yaha se aap apne photos ka slide show create karke bhi upload kar sakte hai.
  5. Google+ par chat karte huye video bana kar bhi upload kar sakte hai.
  6. Yaha se aap apne pahale se upload kiye gaye video ko edit kar sakte hai.

Jab aap apne video ko select karoge or jaise hi video upload hona shuru ho jayegi to ek new window open hogi. Jaisi humne niche screenshot me dikhai hai.

YouTube video editing

  1. Aapka video kitne parsent upload ho chuka hai wo yaha se pata chal jayega.
  2. Yaha par aapko apne video ka title dalna hai.
  3. Yaha par aapko apne video se related jankari fill karni hai. Jaise aapke video me kya hai or is video ka sambandh kis kis se hai.
  4. Yaha se aap apne video me tag add kar sakte hai.
  5. Yaha se aap apne video me ye set kar sakte hai ki aapke video ko kon kon dekh sakta hai.
  6. Yaha se aap message ke sath apne video ko google+ or twitter par share kar sakte hai.
  7. Yaha se aap apne video ke sath koi message bhi bhej sakte hai.
  8. Yaha se aap apne video ko apni playlist me add kar sakte hai.
  9. Jab aapka video upload ho jayega to yaha 3 thumbnail hogi aap inme se kisi ek ya apne computer me se kisi or thumbnail apni video me set kar sakte hai.
  10. Video upload karne ki puri settings karne ke bad publish button par click kare.
  11. Yaha se aap us video ko dekh sakte hai jo aapne abhi upload kiya tha ki ye video aapke baki videos me aaya hai ya nahi aaya hai.
  12. Yaha se aap or video upload kar sakte hai.

To is tarah aap apni video ko puri settings ke sath upload kar sakte hai or agar aapko video upload karne me abhi bhi koi problem aa rahi hai to comment me bataye.

Ab aapne YouTube par video upload karna to sikh liya hai par ab aapko ye janna hai ki apne video se paise kaise kamaye jate hai.

Uske liye ye post padhe:- Apni Videos Se Paise Kaise Kamaye

Agar aapko koi or jankari chahiye to aap hamari site ko subscribe kar sakte hai sath hi aap chahe to humese social media FacebookTwitter, Google Plus, par jud sakte hai.

Sath hi agar aapko YouTube par video upload kaise or kis tarah se karni chahiye ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 140 )

  1. Mera YouTube pr views kese nehi aara he

    Reply
  2. Sir isme video uploading ki privacy kitni type ki hoti h public private or unlisted in 3 ke alawa or bhi koi chauthi hoti h kya…

    Reply
  3. hello sir maine jio phone se video to upload kar diya h lakin wo public nahi ho raha h kuch tips batayein

    Reply
  4. Supportmeindia ek najariya hai apni language ko janne or parkhne ka isse ham online sabhi jankari ko ghar baithe prapt kar sakte hain mera experience hai ye.

    Reply
  5. Hi,ye subscribe or bell or koi bhi ikon pehle se usme hote hai ya kuch or karna padta hai

    Reply
    • Pahle se hote hai lekin video me subscribe button lagana padta hai.

      Reply
  6. Sir plz mera bhi channel hai par subscribe bahut kamm hai sir koy tips batao taki Mai asani sai subscribe badha saku sir plz koy tips di jiyai

    Reply
  7. Hamne bhi Youtube channel start kar liya hai sire.bahut achi jankari di apne.Thanx sir

    Reply
  8. Good evening sir! Mai maximum kitne videos upload Kar Sakta Hun Q1-ek din ke andar? Q2-ek saptah ke andar? Q3-ek mahine ke andar?

    Reply
    • Jitne aap kar sako. No limit.

      Reply

Leave a Comment