Adsense Ads Lagane Ke Liye Kya Blog 6 Month Purana Hona Jaruri Hai?

Blogspot par jo hum free blog banate hai. india me us blog ko 6 month se pahle connect nahi kar sakte hai. blog dashboard me iska option disable rahta hai. jab maine blogging starting ki thi to maine bhi blogger par free blog bana kar starting ki thi. or jab mujhe iske bare me pata chala to maine iska soluvation pata kiya or mujhe pata chala ki hume blog bana kar 6 mahine ka intjar karne ki jarurat nahi hai. hum 6 month pahle bhi blog me AdSense ke ads laga sakte hai or paise kama sakte hai.

kya AdSense ke ads lagane ke liye blog 6 mahine purana hona jaruri hai.

Sir kya hum 6 mahine se pahle blog me AdSense ke ads nahi laga sakte. or laga sakte hai to kaise plz details me btaye” ye sawal mujhse kuch day pahle Surjit ne pucha tha. iske alawa kei or bhi new blogger mujhse ayse sawal kar chuke hai. aaj un sabhi ki problem ko mai is post se solve karne ki koshish karunga.

Blog me Adsense Disable Hone Ki wajah Kya Hai?

India me hum blog ko 6 month se pahle google AdSense se connect nahi kar sakte hai. iski wajah hai india me bahut jyada fake id se banaye gaye AdSense account. isi tarah pakistan, bangladesh, china and kuch or country me bhi AdSense kuch time disable rahta hai. hum real id use karte hai. iske liye AdSense ne blog ko AdSense se jodne ke liye 6 mahine ka time diya hua hai.

Magar kahte hai ki jab ek rasta band ho jaye to god 100 raste khol deta hai. bas aap me un 100 rasto me se kisi ek raste ko khojne ki himmat honi chahiye. to chaliye mai aaj aapko iska solution bhi bta raha hu. yani ki ab aapko 6 mahine ka intjar karne ki koi jarurat nahi hai.

“Aap blog banane ke bad jab chaho AdSense ke ads laga sakte ho or paise kama sakte ho.”

aAdsense account banane se pahle ye post pad le kyuki AdSense ke rules bahut shakht hote hai. so aapko AdSense ke bare me kuch bate pahle hi pata chal jaye to aap aage galti nahi karoge.

  1. 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
  2. Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye

Blog Me 6 Mahine Se Pahle Adsense Ke Ads Kaise Lagaye?

Iske humare pas 2 important tarike hai. mai yaha aapko dono ke bare me bta raha hu. aapko jo pasand aaye choose kar lena. jisme ek me AdSense disable hone ka risk jyada hai or dusre me kam.

1) Create blog>>register domain>>create AdSense account:

iska matlab hai ki aapko sabse pahle blog banana padega. uske bad domain register karke blog me add karna hoga fir blog me 10-15 achi post share karni padegi. or jab aapke blog par 300+ pageviews per day hone lage to AdSense account banana hai. or jab AdSense account approved ho jaye to ads code blog ki post me add kar ads laga sakte hai.

  1. Sabse pahle blog banaye. blog banane ke liye yaha click kare.
  2. ab ek domain register karke blog me add kare. Domain Name Kya Hai or Domain Kaha Se KharideGodaddy Se Rs99 Me Domain Register Kaise KareBlog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasanand Ka Domain kaise Use Karte Hai.
  3. blog banane ke bad blog me 10-15 posts, page banaye or blog ko ache se design kare. iski jankari ke liye ye post padiye Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide.
  4. post share karne ke bad blog ki traffic badhaye Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike.
  5. jab aapke blog par 300 se jyada pageviews per day hone lage to direct AdSense account banaye. AdSense account banane ke liye ye post pade Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Jankari

Mai aapko upar bhi bta chuka hu ki isme AdSense account disable hone ka dar jyada rahta hai. kyuki new blogger hone ki wajah se AdSense aapke talent, content ko dekh kar account diasable bhi kar sakta hai.

So aysa kya kare ki AdSense aasani se approved ho jaye. ghabraye nahi mai aapko iska aysa tarika bta raha hu ki aap bina blog banaye bahut hi aasani se 4-5 din me AdSense account ko approved kara sakte ho.

2) Youtube Se 4-5 Day Me Google Adsense Ko Approved Kare:

iske liye aapko apne YouTube channel par 4-5 video upload karne honge. yad rahe video aapke banaye hi hone chahiye. jab aapke videos par total 2000 -3000 views aa jaye to youtbue channel ko monetize kare. or  uske bad AdSense se connect kare. iski adhik jankari ke liye ye post pado Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode. agar aapki video copyright nahi huyi hai AdSense account 1-3 day me approved ho jayega. aaproved hone ke bad aap AdSense setting me ja kar apne blog ka url AdSense account me jodna padega. or 1-2 din me aapka AdSense account completly approved ho jayega.

  1. sabse pahle YouTube.com par ja kar apni gmail id se log in kare.
  2. uske bad 4-5 vide o upload kare. video upload karne ki jankari ke liye ye post pade. YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye
  3. video par views badhane ke liye apne videos ko social media par share kare.
  4. jab aapki video par 2000 se jyada views ho jaye to YouTube channel ko AdSense se jodna hai.
  5. AdSense se jodne ke bad jab aapka AdSense account approved ho jaye to aapko hosted AdSense account ko complete approved karna hai. iski jankari ke liye yaha click kare.

In dono tario me se aapko jo bhi tarika acha lage wo follow kare. or jab aapka AdSense account complete approved ho jaye to aapko AdSense ke ads blog me lagane hai. uski jankari ke liye ye post pade. Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai.

I hope aapko is post se pata chal gaya hoga ki ab aap 6 mahine se pahle blog me ads bhi laga sakte ho or ruppes bhi kama sakte ho. to chaliye ab is post ko apne facebook account par share kijiye jisse or bhi new blogger ko iske bare me pata chale or unke 6 month west na ho.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 73 )

  1. Aahil

    Sir mere blog ko 20 din huye he. Or 8 post upload ki he. Me jab apne blog ko Google search krta hu to dikhai nahi deta aesa Kyu ? Plz help

    Reply
    • जुमेदीन खान

      अपने ब्लॉग को सर्च काउंसिल में सबमिट करो उसके बाद आपके ब्लॉग की पोस्ट गूगल में दिखने लग जाएंगी

      Reply
  2. Kamal Akhtar

    Hi Sir
    Kisi ek topic pe blog compelet karne me agar hame 3-5 days ya ek hafte lagne wale hain to kya hame blog Pura ho Jane pr hi post karna hai Ya fir day by day ek din me jitna bhi Hua post kr sakte hain….Please sir

    Reply
    • Jumedeen khan

      Regular post karne se hi aapko traffic milega.

      Reply
    • Vikash Marabi

      Regular POST karo…..

      Reply
  3. Girraj Raghuwanshi

    please koi meri help karo , mere blog ko abhi 15-20 din hue hain or mere blog ki earning me google adsence open ho gya jiske baad mene us par ragistration kar diya or mujhe id bhi male dwara mil gaii. or usme ab likha aa raha hai ki your adsence ac is awaiting for approval…matlab kab tak approve ho jayega to kya 6 mahine baad approve hoga

    Reply
    • Jumedeen khan

      wait 1-2 week me ho jayega.

      Reply
  4. Mohammad Anwaar

    Sir Bina domain ke adsense se approval letter sakte kya

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes le sakte hai.

      Reply
  5. Arman yadav

    mughko ek batt nahi samajh aati aap sirf post ka title likhte ho vo clickable ho jata hai aur jab hum likhte hai to nahi hota.
    Example. Blogger per ad kaise lagaye.

    Ye clickable nahi hai.
    Lekin jab aap likhte ho to clikable ho jata hai

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Main usm link add karta gu.

      Reply
  6. Luqman

    sir! me bhe new blogger hun and apke is post se bahut help mili mujhy. SMI Blog mera favorite hai aur daily read karta rehta hun. Thanks

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...