Youtube Videos Par Views Kaise Badhaye – 10 Best Tips in Hindi

YouTube Blogging ke bad internet se online paise kamane ka dusra sabse badhiya tarika hai. Bahut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Youtube se paisa kamana bahut aasan hai. Aapko sirf video create karke YouTube par upload karne hote hai but new YouTube partner ko apne videos par views kamane me problem hoti hai. So aaj main aapko is post me kuch aes itips bta raha hu jinhe follow karke aap apne YouTube channel ka traffic increase kar sakte ho.

Increase Youtube Views

Youtube platform ek aesi jagah hai jaha aapko har tarah ki movies, songs, videos, dialogue and other qualities ke videos mil jayenge. People YouTube par bahut tarah ki videos upload karte hai but unme se kuch logo ki videos par millions views hote hai or kuch ki videos par bahut kam views hote hai.

Internet par YouTube sabse popular videos upload karne ka platform hai. Latest moves trailer, short films, treditianal media etc. har tarah ki video is par available hai. Maine bhi YouTube se already achhi earning ki hai and i hope aap bhi YouTube se paise kama rahe honge agar nahi to aap humari YouTube Se Paise Kaise Kamaye Full Guide in Hindi poste padh kar iske bare me jan sakte ho.

Actually, ye humare smart work ka kamal hota hai. Ek insaan apni video par 10,000 views nahi kama pata or ek insaan daily lakho views kama leta hai. Agar aapke sath bhi YouTube videos par views anhi hone ki problem hai to is post me btayi tricks aapke liye hi hai.

Youtube Views Increase Kaise Kare Top 10 Effective Tips

However, Youtube par more views pana koi easy work nahi hai but agar aap right steps use karo to apni videos par quite effectively views increase kar sakte ho or achhi earning kar sakte ho. Agar aap attractive, worth-watching content wale videos upload karte ho to ye tips aapke liye master trick sabit hogi.

1. Use an Effective Title for Videos

Bilkul website / blog content ki tarah hi YouTube videos ke liye bhi title most important hota hai. Aap jab bhi YouTube par koi new video upload karte ho to aapse uske liye custom title set karne ke liye kaha hata hai. Ye title video thumbnail ke sath show hota hai. So aap jab bhi video upload kare to uske liye koi badiya title choose kare.

Video ka title user ko sabse jyada impress and attract karta hai. Ek behtar title jiski search rank or impressing achhi ho aapke lakho views dila sakta hai. Video topic ka achche se search engine optimization kare or usme top level keywords add kare. Iski adhik jankari ke liye aap ye post padhe Youtube Videos Ko Google Search Me Top Par Lane Ki 7 Best Tips.

Humesha research karke video title select kare. Aap google keyword planner tool par mostly used keywords search kar sakte hai. Iske alawa aap semrush jaisi other keyword researching tool par bhi keyword search kar sakte ho ya fir aap direct google me keyword tool ka istemal kar sakte ho.

2. Create a Blog for Your Youtube Channel

Aapka YouTube channel search engine se quality organic traffic receive kar sakta hai but agar aap apne YouTube channel ke liye ek blog bana lo to or bhi jyada badhiya hoga. Ye bilkul kisi bhi kaam ke 4 chand lagane jaisa hai.

Kyuki aap na sirf blogpar apne video share karke unka promotion kar sakte ho balki blog par bhi google AdSense ke ads laga kar usse bhi earning kar sakte ho. Isse aap ek kaam se do tariko se paise kama sakte ho. Aapke YouTube videos ka promotion bhi hoga or aapki YouTube se alag extra earning bhi hogi.

Iska sabse good benefit ye hai ki aa pYouTube par video ka title select karne ke bad use blog par kisi or title se share kar sakte ho. Isse aapko ek hi videos par search engine se 2 topics se traffic milega.

Suppose aap YouTube par “How to Increase Youtube Views 20 Effective Tips” title se video upload kar rahe ho to aap isme kuch SEO optimizing karke title ko change karke blog par share kar sakte ho or jyada organic traffic kama sakte ho.

Sath hi aap videos ko blog me post me embed bhi kar sakte ho taki user direct blog par hi video dekh sake. Bahut se pro marketer is tips ko follow karte hai. Ek aesi post jisme use related video bhi add ho search engine me uski top position hoti hai.

Iske alawa aap blog content me apne YouTube videos ke link and YouTube channel ka URL bhi add karke traffic increase kar sakte ho and aap blog post me direct YouTube subscribe button add karke YouTube subscribe list increase akr sakte ho.

  • Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)

3. Use Custom Beautiful Effective Thumbnails

Youtube ne logo ko attract karne ke bahut sare features diye huye hai. Jaise video ko or jyada attractive banane ke liye custom thumbnail add karna ka feature diya hua hai jo bahut hi shandar hai. Yeh truly YouTube par views badhane ka significant factor hai.

Main aapko personally suggest karunga ki aap har ek video me custom thumbnail set kare. Iske bina video adhura hota hai or customer ko jyada impress nahi kar pata hai. Agar aap ek achhi thumbnail video par set kar lete ho to usi se aapko achha traffic mil sakta hai.

Iska main reason ye hai ki bahut si video par random thumbnail better nah ihoti hai or usi ki wajah se user us video ko aovid kar dete hai. So aap us video me custom thumbnail design karke add kar do to video adhik attractive ban jata hai.

Agar aapko lagta hai ki aap har bar video ke liye thumbnail kaha se create kare to iska sabse achha tarika hai ki aap apne video ke kisi acche seen ka screenhot laga kar usi video par set kar sakte ho. Isse aapka time west nahi hoga or aapko thumbnail design karne me ghanto nahi lagane padenge.

4. Add Better and Clear Description

Jis tarah blog post ke liye long content jaruri hota hai theek wese hi video ke liye description bahut hi jaruri hai. Bahut se people video dekhne se pahle uski details read akrna pasand karte hai ki is video me kya kya hai. Video ko deeper look dene ke liye description jaruri hai.

Video description me aap major keywords and other ralted keywords use kar sakte ho or agar aapki is video ke bare me koi post hai to aap uska link yaha add kar sakte ho ya apne blog and other community ke bare me yaha likh sakte ho.

Iske alawa aap isme apni social profile links and other details bhi add akr sakte hai taki user aapse connect rah sake.  Video description add karne se aapke YouTube channel ki reputation badhti hai.

Bahut se user jo video dekhne se pahle video description padhna padand karte hai. Unke liye aap description me video me btayi jankari ke 4-5 step btaye isse log aapki video me jyada interested honge.

5. Never Miss Socila Media Networking Sites

According to personal experiences and suggestions, sirf facebook twitter par hi content share karna enough nahi hota hai. Agar aa paea sochte ho to aap bilkul galat ho or aapko abhi iske bare me or sikhne ki jarurat hai.

Social media all online business me ahem role karta hai. Iske bina apne content ko promote karna bahut hi mushkil ho jata hai. Agar aap abhi tak apni videos ko faceboo, twitter, goog_ and other social site par share nahi karte ho to abhi se shuru kar de.

Social metworking platform ke alawa aap social bookmarking sits and othe communities par bhi apni videos ko share kare. Reddit bhi videos share karne ke liye achha results dene wala platform hai kyuki ye discussion ke liye effective platform hai. So is par bhi apni videos share kare.

Social media par videos ka promotion karne ka bahut importance hai but inme sabse jyada facebook important hai. Is par aap na sirf video ko share kar sakte hai balki apne friends ko apna channel subscribe karne ke liye invite bhi kar sakte hai.

Aap content jitna compelling hoga facebook user use utna hi pasand karte hai. Bahut se log jo blog par post read nahi karna chahate. Wo video ke throw sabkuch sikhna chahate hai so aap helping videos bhi creat kar sakte ho. In par aapko jyada traffic milega.

6. Read Google Guideline for Youtube SEO

Ye metter sabse important hai kyuki isi se aapki YouTube videos google me high rank par aa sakti hai. Google YouTube videos ko top par lane ke liye videos quality check karta hai. Iske liye usne YouTube ke liye different algorithms bana rakhi hai.

Google ye nahi dekhta ki aapke video me kya hai balki isse pahle google ye dekhta hai ki video kis bare me hai or sabse first me video ki description and other details se video quality ka pata lagata hai.

Main aapko suggest karunga ki agar aapko apne videos par search traffic badhana hai to aap google guidelines ko follow karna shuru kar do. I sure iske bad aap videos par aasani se achha search traffic kama sakte ho.

Agar aap future me apne aapko ek successful online marketer ke roop me dkehna chahate hai to aapko google ki terms read karni chahiye. Isse aapko bahut uch sikhne ko milega or fir aap achha work kar sakoge.

7. Keep Optimal Length for Videos

Youtube par better and googd results pane ka ye ek or achha tarika hai. Jab koi user aapki video ko dekhne aata hai to wo sabse pahle video ki length check karta hai ki use uski kaam ki information kitne time me milne wali hai.

Har koi kam time me puri information janna chahata hai par short video upload karne se koi fayda nahi hota ulta isse aapke YouTube channel ki value dwon ho jati hai.

In my experience, agar aap mujhse kahoge ki hume YouTube par kis size or kitne time ki videos upload karni chahiye to main aapko suggest karunga ki aapki video minimum 3 minutes se jyada ki ho r video jyada long bhi na ho and short bhi na ho. I aapko 3 to 5 minute se jyada time ki video upload karni hai.

Mera yaha kahne ka matlab ye nahi hai ki aap YouTube par 5 minutes kam time ki video upload nahi kar sakte ho. Aap kar sakte ho but mera kahne ka matlab hai kmi short video me log kam interest lete hai or agar aap google AdSense se earning karte hai to aapko long video par focus karna chahiye.

8. Build Your Networking

Last but not least, Aap ab tak YouTube use kar rahe ho kya aapka experience kuch nahi kahta or kya aap apne hisab se apne YouTube channel ko promote nahi kar sakte. Aap great ho agar aa paesa kar sakte ho.

Apne friends and other logo se apni video ke bare me bat kare or unhe kah ki aage mujhe kis tarah ki video banani chahiye or inme se aapko konsi video pasand hai.

Logo ko apne YouTube channel and videos ka lin kshare karne ke liye kahe or aap kisi popular blogger ke liye  video bana kar use uski post me embed kara sakte ho.

Aapne ab tak YouTube ko use karte huye bahut kuch sikha haga ki aapko kin galatiyo se nuksaan ho raha hai. Usi ke hisab se apne kaam ko behtar banaye or humesha logo ki bato me aane se pahle apne deemag se soche ki aapko kya karna chahiye.

Final Words,

Ye tips aapko YouTube par lakho view dila sakti hai or aapke pas thousands people honge. In sab bato ko samajhe or effective content release kare. Ye aapki videos kogoogle search me top par lane ke liye badhiya tarika hai. Translate english to hindi

By the way, agar aapke pas koi other way hai YouTube par views badhane ka to uske bare me humare reader ko comment me jarur btaye.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 90 )

  1. Naitik gupta

    Sir mai education video banata hu par view nahi aate my channel name
    THE EDUCATIONAL TUTORIAL
    please help me sir please please mera channel grow karwa dijiye sir please

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...