Duplicate Content Kya Hai ? SEO Me Hone Wale Fayde aur Nuksan

What is Duplicate Content ? Internet par sabhi sites par content publicly share hote hai, website owner content read karne ke liye publish karte hai but kuch log dusri website or blog ke content copy kar lete hai. Aesa karne se unki site ka future lagbhag khatm ho jata hai. So aaj main aapko is post me duplicate content kya hai or isse hone wale fayde or nuksan ke bare me detail se se bta raha hu. Sath hi ye bhi btaunga ki isse SEO par kya effect padta hai or hume kya kya nuksan hota hai.

Duplicate content

Google kis tarah ke content ko duplicate manta hai ? Ye janna har ek blogger ke liye jaruri hota hai. Becouase sabhi blogger kahi na kahi kisi na kisi se sikh kar hi likhte hai. I sure blogging apne thoughts share karne ke liye hai but humari bate humari writing skill kisi or se bhi match ho sakti hai.

Isiliye hume blog par content wirte karne se pahle ye pata kar lena bahut jaruri hai ki internet par kis type ka content duplicate mana jata hai. Kyuki duplicate content problem ki wajah se google hume penalty bhi de sakta hai. Maine already 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai post me btaya hai ki google kis tarah ke articles ko penlize kar sakta hai.

Jo blogger to story ya motivational content likhte hai unhe duplicate content yani copywriting ki parshani jyada hoti hai kyuki story or motivational quotes ko badal nahji sakte. Mostly, aese blogger kisi book, news paper, magazine ya other place se sikh kar post likhte hai. Is bare me mujhse kei blogger puch chuke hai.

Google ke anusar internet par 25% to 30% websites, blog par duplicate content hota hai. Matlab internet par 30% people ko copywriting se hone wale nuksan ke bare me bilkul bhi pata nahi hai or wo sirf dusro ka content chori karte rahte hai.

Google har ek content ko filter karke search result me show karta hai. So agar aapki site par 20% se jyada duplicate content hua to google aapki site ko penalize kar sakta hai.

What is Duplicate Content ?

Duplicate content us content ko kahte hai jo internet par ek place ya URL se jyada jagah par show ho raha ho. I mean jab ek hi content ke internet par kisi site par multiple pieces ho to unme se ek orignal content ke alawa baki sabhi duplicate content hote hai.

Kuch log sochte hai ki google ko kaise pata pata hai ki kounsa content original hai or kounsa duplicate to main aapse kahna chahunga ki google bahut smart hai or wo achhe se janta hai ki konsa content original hai. Kyuki itne time se wo yu hi world me toper search engine nahi hai. Use is sab ka experience hai.

However, search engines multiplecontent ko bhi search engine me show karte hai but always original content ki position hi first hoti hai. Baki sabhi ki search rank poor hoti hai or agar google ne aapki site ko penalize kar diya to aapki site search me show honi hi band ho jayegi.

Ab sawal ye uthta hai ki jab search engines ko duplicate content ka pata chal hi jata hai to hume is bare me pareshan hone ki kya jarurat hai. Actually, jis tarah insaan se glati hoti rahiti hai theek wese hi google jaise search engine se bhi galtiya ho jati hai or wo real ko fake or fake ko real samajh leta hai.

Wese kei bar search engine se mistake ho jati hai or wo duplicate content ko original man kar use top position me dikhane lag jate hai or asali content ki search rank down ho jati hai. Aese main aapko google ki help karni hogi or use btana hoga ki real content kounsa hai. Iske liye google ne bahut si algorithms bana rakhi hai.

Examples, aap google ke DMCA forum me copyright content ki report kar sakte ho. Iske bare me maine Copied Content Ki Google DMCA Form Me Report Kaise Kare post me pahle se btaya hua hai. Aapke report karne ke 24 to 48 hours me google copyright information ko google search results se remove kar dega.

1. Kis Type Ka Content Duplicate Content Mana Jata hai ?

Sabse bada sawal hai ki kis tarah ka contentt copyright hota hai ? So main yaha aapko kuch tips bta deta hu jinse aap easily pata kar sakte ho ki kis type ka content duplicate mana jata hai.

  1. Story, shayari, ghazal, motivation quotes, great man thoughts and thoughts copyright nahi mane jate hai.
  2. Universal truth yani jo bate sach hoti hai or jinhe change nahi kar sakte wo copy nahi mani jati. Jaise – Mahatma ghandhi humare desh ke ratrpita hai. Is tarah ka koi bhi content duplicate nahi mana jata.
  3. Kisi famous person ki life ke bare me, uske thoughts ke bare me likha hua copyright nahi mana kata.
  4. Muhaware or kahawate bhi copyright nahi hoti.

But google se kei bar mistake ho jati hai or wo humare original content ko bhi duplicate samajh kar use search results se remove kar deta hai. Isiliye hume jitna ho sake kisi bhi type ke duplicate content ko avoid kanra chahiye.

Actually, humare content ke kisi or ke content se match hone par bhi copyrighting problem ho sakti hai. Kabhi kabhi humari writing skill kisi se match ho jati hai or google use duplicate samajh leta hai. So humesha sabse alag likho or best likho.

2. Duplicate Content Se SEO Par Kya Effect Padta Hai ?

Duplicate content ka site SEO par bahut bura asar padta hai. Isse na sirf aapki site ki search rank down hogi balki google aapki site ko penality bhi de sakta hai or agar aesa hua to apak isite google search results se humesha ke liye delete / remove ho jayegi.

Iska bsabse bada nuksan ye hai ki kuch duplicate content ki wajah se aapki site ke best top clear, fresh and original quality content ki bhi search rank down ho jati hai.

I mean duplicate content ki wajah se aapki badhiya post bhi google me rank nahi kar pati hai or aapko search engine se na ke barabar traffic milta hai. Google only original source wale content ko hi top position par show karta hai.

Agar koi duplicate posr share karta hai to uska blog sirf tab tak safe hai jab tak koi google se uske khilaf report na kare. Jaise hi koi google ko uski site ki report karega to google us site ko humesha ke liye search result se remove kar dega.

Duplicate Content Ke Fayde (Benefits) Aur Nuksan:

Duplicate content se koi fayda nahi hai only nuksan hi hai. I mean isse aapko 0% fayda or 100% nuksaan, simple words me kisi ke content copy karne se aapko ko ifayda nahi hona wala ulta isse aapka career or aapki site ka future kharab hoga. Main yahya aapko duplicate content se hone wale nuksan ke bare me point se bta deta hu.

1. Never Success:

Aap kabhi bhi success nahi ho sakte. Agar aap sochte hai ki aap copy paste karke paisa, naam kama sakte ho to aap bilkul galat hai. Internet par har second me lakho log apna online business start karte hai. Aapko ye jankar hairani hogi ki unme se 50% log copy pasting karne ki wajah se apna career kharab kar lete hai.

Success sirf wohi log hote hai jo imandari se kaam karte hai. Dusro ke tukdo par palne me or khud kama kar khane me din rat ka fark hota hai. Dusro ke piche chalne se aap humesha unke piche hi rahoge agar aapko mahan banna hai or dusre logo e aage nikalna hai to to aaopko unse behtar work karna padega.

Maine jab blogging ki starting ki thi to mere pas blogging ke liye koi idea or koi information nahi thi but aaj maine blogging ke bare me bahut kuch sikh or samajh liya hai. Sath hi maine apne sath apne user ko bhi us bare me btaya hai. Main sirf ek student tha par aaj main blogging se lakho kama raha hu. Aap bhi aesa kar sakte ho.

So please apne aapko andhere me rakhne se koi fayda nahi hai or duplicate content ka rata chord do isme aapko safalta nahi milne wali. Agar aap sachumuch ek successful blogger banana chahate ho to right way follow karo. Apne blog par apne thoughts share kar ke logo ki help karo taki log aapko pasand kare.

2. Only Time West:

Everyone know, long content likhne me kafi time lag jata hai jab aap 2000 to 5000 words ki original post likhna shuru karoge to aapko isme lagbhag 3 to 5 hours ka time lagega or ho sakta hai ki isse bhi jyada time lag jaye. Kuch log khud article na likh kar dusro ka articles copy karke direct apen blog par paste kar dete hai.

Wo sochte hai ki long content likhne ki kya jarurat or dusro ke content me thoda bahut far badal karke google ko murkh banate hai. But iska sach ye hai ki ek din google unki site ko penalize kar dega or unki site par search traffic 0% ho jayega.

Iska sabse bada nuksan unhe ye hoga ki duplicate content unka original content bhi google penalize kar dega. Suppose ek person ne kisi or ki 10 post copy ki or khud 50 post likhi hai to jab google uski site ko penalty dega to uski 10 duplicate post ke sath 50 post bhi bekar ho jayegi. Ab aap samajh sakte ho ki usne jo waqt 50 post likhne me lagaya hai wo 10 post ki wajah se west ho gaya.

Main aapko suggest karunga ki aap sirf apni likhi post hi apne blog par share kare or jitna ho sake sabse alag likhe. Dusro se milti julti post chahe uska ek ek word aapne type kiya ho wo bhi copyright ho sakti hai.

3. User & Search Engines Both Avoid You and Your Site:

Agar aap kisi or ka content chori karte ho to ye sirf kuch din hi chalega or ek din aesa aayega ki aapka career tabah ho jayega. Jaise jaise logo ko pata chalega ki aap copy pasting karte hai or duplicate content likhte hai to wo aapki site par aana band kar denge or aapki site ka traffic kabhi increase nahi hoga.

Search engines bhi aapki site ko search results me show karna band kar ignore karne lag jayegne. Google is bare me bahut clever hai wo sirf quality content ko hi top position me show karta hai. Isi wajah se kuch blogger ko search engine se better traffic na milne ki problem hoti hai.

Isure, agar aap fresh and original content wirte karoge to google use next kuch hi seconds me index and crawl kar search results me show karne lag jayega or uski search rank bhi first page par hogi but agar aap duplicate post share karte ho to aapki post 2-3 day ya isse bhi jyada time me google me show hogi or kuch time bad humesha ke liye remove ho jayegi ya fir us page ki search position bahut down ho jayegi.

Iska matlab duplicate content ki wajah se search engine or aapke reader dono aapko avoid karne lag jayenge. Ab ye aap bhi soch sakte ho ki aese me aapki blogging or aapko online business kitne din tak chalega.

Iska sabse bada nuksan ye hai ki aap or aapki site google or user ki nazar me gir jayegi or google aapki site ko black listed kar dega. Jiska result ye hoga ki wo aapki site ki new posts ko index karna band kar dega or user aapki site par visit karna band kar denge.

4. Google Will Banned Your Site For Adsense:

Google ko copy pasting bilkul bhi pasand nahi hai. Agar aapki site par duplicate content share kiya jata hai to google aapki site par se AdSense advertisement ko bann kar dega.

Yes ye sach hai, internet par aesi lakho wensite or blog hai jinko google AdSense team ne permanently block kar diya hai or un par future me kabhi AdSense se earning nahi kar sakte.

Hindi blogger ka main income source google AdSense hi hai so agar aap bhi hindi blogger hai or aap dusro ka content copy kar rahe hai to iski wajah se aapka future kharab ho sakta hai.

Suppose, abhi aap AdSense se 10,000, 20,000 to 50,000 kama bhi rahe hai or aapka income source only AdSense hi hai. Aese me agar google aapki site ko AdSense advertising ke liye bann kar de to aap par bahut badi mushibat aa sakti hai.

5. No Anyone Support You:

Aese bahut se blogger hai jinko blogging me 1 ya 2 nahi 5 year se bhi jyada time ho gaya hai but abhi tak wo apne blogging ka hosting charge and other charge pay karne layak earning nahi kar pate hai or sabse badi problem unke pas itne time ke bad bhi user support bilkul bhi nahi hai.

Meri nazar me 2 aese blogger hai jinhone 7 year pahle blogging start ki thi but dono me din rat ka difference hai. Ek aasman tak pahuch chuka hai or per month 25,00,000 to 50,00,000 rupees earn karta hai. Second uski tulna me dusra blogger mushkil se 50,000 monthly earn kar pata hai.

Dono me fark sirf itna hai ki ek apne thoughts blog par share karta hai or dusra books, news paper, magazine and other story ko copy karke lbog par share karta hai. Sirf itna hi nahi dono ke behavior me bhi bahut antar hai.

Maine dono se bat ki hai ek lakho kama kar bhi simple person ki tarah life enjoy karta hai or dusro sirf kuch hazar kama kar bhi logo se sidhe muh bat tak nahi karna chahata.

Dono blogger hai or dono ne same year me blogging ki shrurat ki thi but dono aaj aesi position par hai ki kahi se bhi matching nahi ho sakti. So aap bhi tay kar le ki aapko kis type ka blogger banna hai.

Conclusion,

Finally, duplicate content issue ek aesi bimari hai jo aapke blog ke sath aapko bhi kha jayegi. Agar ise buri lat kaha jaye to galat nahi hoga. Ise jitni jaldi chord de utna better hai. Ye failed ki wo nishani hai jo aapka galat raste ke siwa koi achha rasta anhi dikhati or na hi aap iske raste par chal kar kabhi kamyab ho sakte ho.

I hope upar btayi gayi bato ko padhne ke bad aap aaj or abhi se duplicate content ko avoid karna shuru kar doge. Agar aapko safal banna hai to aapko aesa karna hi hoga.

Warna iski wajah se apaki site ko google se penalties mil sakti hai or aapki site psr organic traffic 0% ho sakta hai. Blog se earning karne ke liye organic traffic most important hai so aapko google se better traffic chahiye to aapko google ki nazar me apni site ko best banaye rakhna hoga.

Agar aapko is post me share ki gayi janakri pasand aaye or aapko isse help mile to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 50 )

  1. sir ye blogger ki post me keyword kaise dalte he

    Reply
    • Iske liye aap SEO se related post check karo or keyword use karne ke bare me jankari pata karo.

      Reply
  2. Nice Blog
    first Thanks for Sharing your Experience by this way.

    Jumedeen ji
    Me 30days se ek blog pe work kar rha hun posts likhne ka or share krne ka
    Me ye janna cha rha hun
    uss blog me AdSense enable Admin ka he hai
    or me vi usme Admin
    hu. bt vo Jo Earning ho rhi h $ me vo Me vi dekhna chata hun bt vo Erning sirf vo he dekh rhe hai vo Earnings mujhe v dekhna hai
    Eske liye kya krna hoga jisse Earning mujhe vi show ho .

    plz. Solve this problem

    Reply
    • Aap jaisa kah rahe ho wesa nahi hota aap mujhe apne blog ke bare me kuch or btaoge ki apane blog kis platform par banaya hai.

      Reply
  3. Agar kisi ne hamare pure article ko copy kiya aur apni site par dala to sirf usko nuksaan hoga ya hamari site par bhi affects padega?

    Reply
    • Uska to nuksaan hoga hi ye to clear hai but kei bar google humari hi post ko suplicate samajh leta hai. Aese me aap uski report kar google se uski post remove karwa do to better hai.

      Reply
  4. bhai aapki poat mujhe bahut chi lagi sahi kaha aapne hum orignal post likne me 1 ya 2 gante lagate hai or ye copy paste karne bale copy kar le jate hai mera ek sawal hai men ek blog banaya hai or uska name mene shoutmehinglish rakha isse koi paresani tho nahi hogi aage

    Reply
    • Bilkul hogi aapko humesha reader shoutmehindi ka copy paster samajhenge. Sabse alag name se blog banao.

      Reply
  5. actually jumedeen ji ye atricale mere apna hai lekin is atricle ki Jo title hai wo pehle ham nehi check ki , is article ki title same ho gaye hai or ek post ke saat , is liye mere post show nehi ho rahe hai,kya ab ye title Chang kar sakte hai.

    Reply
    • Bilkul kar sakte hai.

      Reply
  6. Sir mera SBI Par account hai par mera branch ka Swift code nehi hai sirf IFSC code hai, to me abhi kya kare AdSense se payment kis traha le sakta hu plz sir help me 🙁

    Reply
  7. usefull jankari share ki hai apne. but mai ye janna chahta hu ki blog banane ke kitne time baad blog par traffic ana shuru ho jata hai

    Reply
    • Aapke post publish karne ke bad koi bhi apaki post padh sakta hai. traffic ke liye aap post ko social media nad other method se promote karo.

      Reply
  8. jumedeen ji mere ek article me add by Google ki jagah par Indonesia ki bhasa dekhai de rahe hai , mare har post 2-3 hours ki ander index ho jate hai,lekin ye article 1 days ki baad index huya hai. iska Baja kya hai please bataye.

    Reply
    • Sundar ji aap browser ki history dleete karke blog open karo problem solve ho jayegi. Second is post me maine ye bhi btaya hai ki post jaldi index kyu nahi hoti hai. Iska reason hota hai duplicate contnet share karna.

      Reply
  9. sorry bor..apko fir se comment kiya me apko pichhli post me kai comment kar chuka hu.
    jaisa apne bola tha old unit ko delete karke new ad lagao kiya but show nahi hue .
    maine send feedback send kiya ki meri website par ads show kyo nahi ho rahe . to koi reply nahi mila.
    to me apse ye janana chahta hu jaise maine YouTube se AdSense ko create kiya. wo other email. se banaya.
    or meri jo website he wo or email se he jaise apne alag alag post me jankari di he multple gmail ad karna,or site ad karna wo sab follow karke kiya sab success ho gaya.
    or daily jo maine email AdSense me ad kiya tha us daily AdSense se msg aa raha he your account fully approved
    me iska msg apko pichhli post me de diya tha apne bola tha apka a/c full approved he ap ads laga sakte he.
    to YouTube wale AdSense me other gmail ad karke ads lagane ka koi or tarika to nahi. he
    4 din ho gaye ads abhi tak show nahi hue.

    Reply
    • Ravindra aap bina gmail id AdSense me add kiye sirf site ka link AdSense me add karke us par add dikha sakte ho. Yes apane mujhe jo message dikhaya hai usme fully approved btaya gaya hai but ho sakta hai google ne galti se wo mai lsend kiya ho ya fir aapko sirf YouTube par ads dikhane ka message mila ho. Aap ek bar AdSense setting me ja kar site management me jao or waha apne blog ka link add karo. Ad apane blog me lagaye huye hai so ab aapke pas ek hi rasta hai aap 2-7 day AdSense ka wait karo. ads show hone lag jayenge.

      Reply
      • thik he bhai me ya wait bhi kar leta hu
        agar nahi hua to fir me us site ke liye ek other email se ek or AdSense create karke try kar sakta.hu.

        Reply
        • Haa kar sakte ho but first ye try karo.

          Reply
  10. Nice post
    i hope all readers happi to read All post

    JUMEDEEN ji mujhe Aap se help chaiye thi Mera blog Jiska Web address

    tricksnoffer.tk

    hai Mere blog pe visitors

    60% India, 30% USA, 10% other country se aa rhe hai out of India. like- Malesiag, Nepal , Indonesia and so on.

    Av mujhe Apna blog Another blog pe ADD Karna hai Traffic Increase karne ke liye toh Eske liye
    kya Instruction Follow krun Mene bhaut se blog pe padha likin samjh me nahi aya
    Please JUMEDEEN ji
    Aap mujhe Guidence de ki kyse Add krun Dusre blog me.

    And Thanks For Sharing All Knowledge full Tricks

    i Am alwys Reading your Blog Daily.

    Reply
    • Bahut simple hai aap other blog par apne blog ka link, banner, guest post share karke promotion kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment