SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare

Swift BIC code kya hai or apni bank brach ka Swift BIC code Kaise pata kare? Is sawal ka jawab lagbhag har ek AdSense user janna chahata hai. Swift code ki wajah se bahut logo ko google AdSense ka payment nahi mil pata hai. Isliye mai is article me aapko swift bic code ke bare me kuch important bate bta raha hu. Sath hi kisi bhi bank ka swift code pata karne ka tarika bhi bta raha hu.

What-is-SWIFT-BIC-Code-All-Information-About-SWIFT-Code

Google AdSense india me wire transfer ke throw payment karta hai. Jiski full information maine Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare post me already btayi huyi hai. Adsense par apna bank account add karne ke liye hume IFSC or SWIFT Code ki jarurat hoti hai.

IFSC code to hum aasani se pata kar lete hai but SWIFT BIC code sabhi bank branch khas kar ke local bank branch me available nahi hota hai. Jisse hume swift code pata karne me bahut confusing hoti hai. But is post ko padh kar aapki ye confusing dur ho jayegi.

Google AdSense me swift code galat add karne se bhi AdSense us bank ko payment kar deta hai. Isliye swift code ke bare me ache se confirm karke hi AdSense payment form me sahi information bhare. Jisse aane wale time me aapko payment mil sake.

SWIFT BIC Code Kya Hai – What is SWIFT BIC Code?

Swift code Business Identifier Codes ka standard format hota hai. Isko internation money transfer ke liye use kiya jata hai. Swift code se bank country, bank location, bank branch or bank ka pata chalta hai. Swift code me in charo ke code hote hai. Ise hum is screenshot se samajh sakte hai.

Swift BIC Code Example

Is screenshout se aapko aasani se samajh aa gaya hoga ki swift code kya hai.Or ye kya kaam aata hai. Ab humko apni bank branch ka swift code janna hai. To chaliye iske bare me bhi mai aapko details se bta deta hu.

SWIFT BIC Code Kya Hota Hai Or Kisi Bhi Bank Branch Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare

Apni bank branch ka swift code pata karne ke liye mai aapko yaha par jo tricks bta raha hu unhe ache se padhe or samajhe uske bad hi action le. Kyuki jara si galati se aapko AdSense ka payment nahi milega.

Bahut si local bank branch me swift code available nahi hota hai. Ayse time me hum apni bank branch ke najdeeki kisi or bank branch ke swift code ko google AdSense me use kar sakte hai. But swift code usi bank ka hona chahiye. Google iski hume permission deta hai.

Example, Aapka account state bank of india me hai to aap najdeeki kisi state bank of india ka hi swift code istemal kar sakte ho. Google AdSense me swift code use karne ke 2 tarike hai.

  1. Apni bank branch ka swift bic code use kare.
  2. Or agar aapki bank branch me swift code available na ho to apni bank ke sabse pass wali bank ka swift code use kare.

Ab mai yaha aapko swift code pata karne ka jo tarika bta raha hu. Use carefully padhe. Mai chahata hu ki aapko swift code ke bare me ek ek step samajh me aaye or aapko koi problem na ho.

Sabse pahle aapko pata karna hai ki humari bank branch me swift code available hai ya nahi. Iske liye aap apni bank ke customer care me call kar sakte ho. Agar unka jawab na ho to humare pas second option hai ki hum kisi najdiki bank ka swift code use kare. Iske liye hum online internet ki help lenge. Internet par aysi bahut si site hai jo aapko sabhi banks ke swift bic code ki information deti hai. Mai yaha aapko aysi hi ek site ke bare me bta raha hu.

  1. Sabse pahle aap ifscswiftcodes.com site par jaye or sabse upar SWIFT Code par click kare.
  2. Ab apne country yani india par click kare ya fir ye link open kare All swift code in INDIA.
  3. Aapka kis banke me account hai uska name select kare .Jaise state bank me hai to state bank select kare.
  4. Apna state select kare.
  5. Apna city select kare.
  6. Apni branch select kare. Agar aapki branch me swift code available nahi hai to apni bank ke sabse pass wali bank select kare.
  7. Yaha par aapki bank ka swift code hoga. Or iske niche uski sari information hogi.

Search Swift BIC Code

Is tarah se aap online kisi bhi bank ka swift code pata kar sakte ho. But yaha ek sabse badi problem hai ki aap jis nearby bank ka swift code use kar rahe ho. Wo real me aapki bank branch se sabse jyada pass me hai ya nahi. Agar aapko ye confusing hai to chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu.

Sabse Najdeeki (Nearby) Bank Ka Konsi Hai Kaise Pata Kare?

Agar aapne galat bank ka swift code AdSense me add kar diya to AdSense to us bank ko payment kar dega. But wo bank aapko payment nahi karegi. Isliye carefully apni bank ke sabse najdeeki bank ka hi swift code use kare. Iske liye aap google ki madad le sakte ho.

  1. Upar btay site par aap Country > Bank / institution > State tak aasani se pahuch jate ho.
  2. Uske bad aata hai City, jisme un cities ke name hote hai jaha par swift code wali bank hoti hai.

Aapko yaha par jitne bhi cities ke name mile aap un sabhi ki apni bank branch ke address se duri pata kare. Iske liye aap google search engine me ye topic search kare. “Your Bank Address Name to Swift Code Bank Address Name Kilometers“. Jaise:- Alwar to Neemrana Kilometers. Ab jaise hi aap enter key button dabaoge aapke samne ek maps open hoga. isme aapko sari infomrmation mil jayegi.

Check Your Nearby Bank Branch Swift Code

Is tarah aap sabhi bank ki duri pata kare or jo aapki bank ke sabse najdeeki ho usi bank ka swift code use kare. Confirm karne ke liye ek bar apni bank ke customer care me call jarur kare or apni nearby bank ka swift code confirm jarur kare.

Finaly, Mai aapse ke bar fir se kahna chahunga ki swift code AdSense me add karne se pahle aap ache se confirm kar le ki aap sahi code use kar rahe ho ya nahi. Is post me btaye tarike se aap sabkuch pata kar sdakte ho. Fir bhi mai aapse kahunga ki  aap ek bar customer care me call karke confirm jarur kare.

Agar aapko is post me share ki gayi janakri better lage to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 140 )

  1. Sir please reply
    Sir मेरा खाता “बड़ौदा राजस्थान क्षेत्रीय ग्रामीण बैंक” (Baroda Rajasthan Kshetriya Gramin Bank) में है लेकिन जब मैं वहाँ गया तो उन्होने कहा यह होता क्या है फिर मैं नजदीक वाली साखा मे गया तो उनका भी यही जबाब नहीं मिला
    क्या करू?

    Reply
    • Aap is post me btayi site se nearby bank ka swift code use kar sakte ho.

      Reply
  2. Sir mei apni nazdik bank ka swift code use to karunga leki money mere hi branch account me yahi sir ki jis bank ka swift code use karunga usme aaygi.
    Plz help me sir.

    Reply
    • Paisa apake hi branch wale account me aayega.

      Reply
  3. Sir namaskar mera Acount ICICI Bank me hai aur net par check kiya to india me kewal 54 ICICI bank ke paas swift code hai. Mera acount raigarh chhattishgarh me hai aur net par mera najdiki swift code waala branch Bhuwneshwar odissa me bata raha hai jo 411 KM door hai dusra indor me 990 KM hai. Sir bhuwneshwar 411KM waala daal sakta hoon na jayaada doori hone ki wajah se koyi problem to nahin hogi?
    Ak sawaal aur sir Raigarh me SBI ka aswift Code hai kya mai sbi ka Acount khulwaa kar use kar sakta hoon? Adsense acount khilte wakt ICICI bank ka acount daala tha kya ab sbi daalne se koyi problem to nahin hogi please jawwab zaroor dein samajh nahin aa raha kya karoon?

    Reply
    • Yes, aap j osabse kareeb hai uska swift code use karo, good, SMI adsense payment ke liye sabse best hai.

      Reply
    • sir plz jawab dein mai kya karu branch gaya to wo mumbai ka swift code de rahe hain aur bol rahe hain ke wahin se humaare branch me paisa aata hai aur aapke post ke anusaar nazdiki branch ka swift code dalna hai wo bhuwneswar me hai main kya karu branch waalon ka diya mumbai ka swift code daalu ya nazdiki branch bhuwneshwar waala I AM TOTALY CONFUSE PLEASE HELP ME

      Reply
      • Aap nearby wala use karo.

        Reply
  4. Sar ji me bhiar se hu or mera A/ c jharkhand hai to koyi dikat hai kya

    Reply
    • Nahi, bank account wala address adsense address se match hona chahiye.

      Reply
  5. jumedeen bhai mera bank account allahabad back me hai aur me jabalpur mp se hoon par swift code sirf bhopal ka bata raha hai jabalpur ka nahi kiya ham bhopal ka use kar sakte hain

    Reply
    • Main already bta chuka hu ki aap nearby bank ka use kar sakte hai ab aapke sabse karib konsi bank hai ye aap mujshe behtar jante hai.

      Reply
  6. sir swift code ki jagah ifsc code dikha raha hai site me

    Reply
    • Check carefully.

      Reply
  7. Plz Help Me Sir,

    mere adsence account me 137 doller ho chuke he but mere village ki bank me swift code availval nhi he kisi bhi brance ka, mere village se kareeb 70 kilometter ke dusre city lucknow me usi bank ke 5 branch ka swift code availval he kya mai unhi me se kisi ek branch ka swift code use kar sakta hu

    Reply
    • Dear main fir se yahi kahunga ki nearby branch ka code use kar sakte ho.

      Reply
  8. Hello sir , mere chhote bhai ka youtube channel bana He but uska bank account nhi He kya Mai apna bank account google adsence me dal sakta hu plz

    Reply
    • Nahi aap uske name se adsense account banwa sakte ho, wese adsense forum me iske liye haa kaha gaya hai aap ek bar waha confirm kar le.

      Reply
  9. Thanks for reply sir! bahut achha kaam kar rahe hain app. Ham sabhi visitors ki duwayen apke saath hai ekdam Dil se! Request hai ki aage bhi aap hamari aise hi help Karte rahen!

    Reply

Leave a Comment