Meri Website Ka Traffic Down Kyu Hua? (Identify Guide for 2024)

Aapki website ka traffic suddenly down hone ke kai reasons ho sakte hai. Iski google analytics code removed jaisi simple wajah bhi ho sakti hai or google penalty jaisa big reason bhi ho sakta hai. Is article me hum “Meri Webite Ka Traffic Kyun Kam Hua?” ki detailed discuss karenge. Why My Website Traffic Down? – Identify Guide for 2024.

Why My Website Traffic Dropped?

Website ka traffic tdown hone ki kai wajah hoti hai, so hume kai saari cheezo ko check karna hota hai. Agar aap bhi apni site ki traffic drop hone ki wajah janna chahate hai to yaha aapko iski detailed guide in hindi milegi.

Yaha main website traffic dcrease hone ke ek-ek reason ko explain karke btaunga. Aap is check list me btaye tarike se apni website traffic down hone ki wajah ka pata laga sakoge.

Why My Website Traffic Dropped? – Identify Guide in Hindi

Agar aapki site ka organic traffic 30%, 50%, 70% ya fir 90% loss ho gaya hai to is checklist ko carefully read kare, ye traffic down reasons ka pata lagane me aapki help karegi.

1. Tracking Code Problem

Agar aap google analytics me traffic down dekh rahe hai to iski ek wajah aapki site se analytics tracking code remove hona bhi ho sakta hai.

Aap nimn configure karke is issue ka pata laga kar solve kar sakte hai.

  • Analytics tracking ID: Analytic tracking code ko check kare ki aapne sahi ID add ki huyi hai ya nahi.
  • Analytics tracking code issue: Kai bar site ko update karte time by mistake tracking code remove ho jata hai, aap ek bar confirm kar le.

Sath hi ye bhi pata kar le ki aapki site ke all post or pages ko analytics track kar raha hai.

2. Your Website is Offline?

Site running me koi technical issue ya server issue ho sakta hai. Confirm kare ki aapki site online hai (offline nahi) or correctly work kar rahi hai.

Aap uptime service (Pingdom Uptime Monitoring or UptimeRobot) tools ka istemal kar pata laga sakte hai ki aapki kitne time online rahti hai.

3. Redirect Behavior Changed?

Redirection ka upyog user aur search engines ko old page se new page par redirect karne ke liye kiya jata hai. Google permanently moved page ke liye 301 redirection suggest karta hai, rediect behavior change hone par site search rank drop ho jati hai.

Pata kare aapki site ka redirect behavior change ho gaya hai ya nahi, iske liye aap apni site ke kisi bhi page ko without www or https ke browser me open karke dekh sakte ho or redirect checker tools ka bhi istemal karke pata laga sakte ho.

4. Search Behavior Changed?

User search behavior season ke hisab se change hota rahta hai. Agar aapki site par 10% to 20% traffic loss hua hai to iski ek wajah ye bhi ho sakti hai.

  • Compare traffic: apni site ke old year and this year ke traffic ko compare kare aur pata kare ki ya wo same hai, iske liye analytics use kare. Agar result different hai to ye bhi pata kare ki organic traffic kam hua hai ya koi dusre source ka.
  • Identify audience search value: Aapne jin keywords ke liye post likhi thi unki search value check kare, keywords search value down hone par site traffic bhi down hoga.

Aapko ye pata karna hai ki last year or this year ke traffic me kya difference hai, kis source se traffic kam mil raha hai.

5. Search Results Changed?

Aapke jo bhi pages google me top rank kar rahe hote hai, google search results change hote rahte hai jisse aapke ranked keywords ki position up/down ho jati hai.

For example, ab google top me youtube videos display karta hai to aapke article ke #1 rank karne par bhi aapko search engine se pahle se kam traffic milega.

Iska pata karne ke liye aap own search console tool performance report me CTR or impressions data check kar ranking down hone ka karan pata kar sakte hai.

6. Content Crawling Issue?

Kya aapne without follwing SEO best practice apni site design, web structure or domain ko change kiya hai aur aapne confirm nahi kiya ki kahi aapki configuration google bots ko allow karti hai ya nahi.

Iske aur bhi kai karan ho sakte hai,

  • Web server issue: aapki site jis server par host hai usne google bots ko block kiya hua hai.
  • Robots.txt: Aapki site ke robots.txt file se bots block hai.
  • Meta tags: aapne by mistake meta tag se google bots ko disallow kiya hua hai.

Confirm kar le ki search bots aapki site ko proper crawl kar rahe hai ya nahi. Iske liye aap google search console fetch as google or URL Inspection feature ka istemal kar sakte ho.

7. Content Indexing Issue?

Small technical configurations bhi indexing issue ka karan ban jati hai. Ho sakta hai aapne galti se apni site ke pages ko non-index kar diya ho ya fir aapne aesi koi javascrit ka use kiya ho jinse content ko index hone se rok diya ho.

Pata kare ki google aapki site ko properly index kar raha hai ya nahi,

  • Google search console Index coverage report check kare aur site:example.com type se google search kar pata kare ki index page decrease to nahi huye hai.
  • Aapki site ke search pages search console me show ho rahe ho aur google search engine me nahi, iska bhi pata kar le.

Aap new google search console me URL Inspection tool se pata kar sakte hai ki konsa url kyu index nahi hua hai.

8. Google Search Console Misconfiguration

Check kare ki aapne search console settings nahi badli hai aur badli hai to koi mistake nahi ki hai. Search console ki wrong setting site ki search rank par negative affect karti hai, jaise ki

In galat setting s aapki site ki search ranking down ho jati hai, in sabhi points ko verify kare aur koi issue ho to use fix kare.

9. Web Security Problems

Agar aapki site ko koi hack kar leta hai, ya fir aapki site me koi malware or spam script include ho jati hai to google aapki site ko security reason se penalize kar search results se down ya delete kar deta hai.

Google search console me jaye Security issue section me check kare ki google se aapki site ko penalty to nahi mili hai, agar haa to is problem ko solve karne ke liye google ki webmaster help for hacked sites guideline follow kare.

10. Manual Penalty

Agar aapki site ka traffic day by day down ho raha hai aur aapko site par crawl, indexing, server, redirect and above reasons me se kuch bhi issue nahi mil raha hai to ho sakta hai google ne aapki site ko manually penalty di ho.

Google webmaster guidelines ko follow na kare aur google search terms ke against kaam karne par google aesa karta hai, jaise ki unnatural incoming links, keyword stuffing aur cloakingpaid backlink, spamming karke site rank boost karna.

Agar aesa hai to affected site ko appropriate clean-up or optimization karke google se reinclusion review ke liye request karni hogi taki google fir se aapki site ko ran kde sake.

11. Bad Backlinks

Bad backlinks website search rank down karne me major role play karte hai. Aapne site rank increase karne ke chakkar me low quality backlinks generate kar liye ho ya fir aapke competitor ne janbujh kar aapki iste ke liye spam backlink generate kiye ho.

Iska pata lagane ke liye aap backlink audit tool ka istemal kar pata kar sakte ho ki aapki site par kitne bad backlinks hai fir unhe google disavow tool se disavow kara sakte ho.

12. Google Algorithm Update

Google algorithms update ek bahut bada karan hai websites ki ranking dropped hone ka, jab bhi google algorithm update lata hai to uske terms ke according new rules ke against sites ki search rank down ho jati hai.

Google algorithms update check kar aur unke btaye solution ko follow karke apni site ki down rank ko recover karwa sakte hai.

Google time to time apne search algorithms ko update karte rahta hai, iske liye aap latest update ko check karte rahe aur uske rules ke according apni site ko optimize karte rahe.

Conclusion

I hope is “Website Traffic Down Hone Ki Wajah – Identify Checklist 2024” checklist ko read karne ke baad aapko apni site ke traffic down hone ki wajah ka pata lag jayega aur ab aap use fix kar site traffic recover kar loge.

Lekin agar aesa nahi hai aur aapko is checklist me aapki site ke traffic drop ka reason nahi mila hai to aap hume comment section me apni query btaye hum aapki aur behtar help karne ki koshih karenge.

Aur agar aesa koi point hai jo maine is list me add nahi kiya hai to uske bare me bhi comment karke btaye, aapka point is list me add kar diya jayega.

Also read,

Other websites ki help karne ke liye aur is type ki problem face karne wale blogger ke sath is post ko jarur share kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 27 )

  1. nancy

    Hey sir meri website ki ranking first page se 7th page par aa gayi hai and mene apke blog ki sab points ko check kia but i didnt fine any issue in my site can you please help me

    Reply
  2. Zezari

    Add the site UptimeControl.net to the article, because only they have a 3-minute site availability check interval on the free plan.

    Reply
  3. Tariq khan

    Mujhe cricket m Boht interest hai to kya cricket par bloging Kar sktaa hooon..

    Reply
    • Jumedeen Khan

      हां बिलकुल कर सकते हो

      Reply
  4. Nirmal

    Sir meri ranking pichle mahine bhi same date ko down ho gyi thi spam score ki vajah se aur aaj bhi aisa hi huva hai. Mera aapse question hai jo backlink google search console me dikhte hai jaise vh bad backlink hai to unhe disavow kar du . Sir agar ho ske to meri help kar dijiye aapse kuch swal puchne hai plz.

    Reply
      • Nirmal

        Sir bad backlink ko dunde kaha se

        Reply
        • जुमेदीन खान

          ऊपर दी गयी पोस्ट में इसके बारे में भी बताया हुआ है

          Reply
        • Nirmal

          Sir google search console me jo link hote hai unse hame pata chal sakta hai . Ya koyi paid tool use karna chahiye

          Reply
          • जुमेदीन खान

            हां, आप SEMRush, Ahrefs का इस्तेमाल कर सकते हो

Leave a Comment

I need help with ...