Nofollow Noreferrer Noopener Tag Ki Puri Jankari Hindi Me

Nofollow Noreferrer Noopener Kya Hai or Iska Istemal Kyo Kare? Is post me main aapko blog content me external links add karne mar attribute tag Nofollow Noreferrer Noopener ke bare me jankari dunga. Ye kya hai or inko kaise or kyu use kare. Kis tag ko kab use kare or kis tag se kya fayda hota hai. In new security features tags se SEO par kya effect padta hai, Referrer policy, Referrer data. External value in sab ki jankari is post me mil jayegi. Outbound links me hone wale meta tags “Nofollow Noreferrer Noopener” ki puri jankari hindi me.

Nofollow Noreferrer Noopener ki Jankari

Aapne WordPress blog content me outbound external links add karte time target=”_blank” use karne ya Open link a new tab choose karne par link me rel=”noopener noreferrer” attribute tag dekha hoga or aapko is referrer data se confusing huyi hogi ki ye kya hai or isko istemal karne se kyta fayde hai? Ye SEO ke liye sahi hai ya nahi. Aaj hum is post me Nofollow, Noreferrer, Noopener meta tag ke bare me details se janenge.

Ye security update November 2024 me aayi thi. WordPress me 4.7.4 version me rel=”Noreferrer Noopener” add ki gayi. Jo sirf external links par add hoti hai. Ye referrer part ko remove karne ke liye hai. Agar aapko iske bare me pata nahi hai to apne blog ki old posts ke external links check kar le usme aapko ye attribute mil jayega.

Nofollow Noreferrer Noopener Kya Hai Iska Istemal Kyu Kare

Is tags ko dekhne ke bad apake dimag me ye sawla jarur aayega ki ye sab kya hai or main inka istemal kyu karu mujhe inse SEO me kya fayda hoga. Main yaha aapko isi ke bare me btane wala hu.

1. Nofollow:

Iske bare me to sabih jante hai shayad aap bhi. Rel=”nofollow” tag ka istemal un links me kiya jata hai. Jinko hum google search engine se hide karna chahate hai. Nofollow tag add karne par google bots us links ko check nahi karte hai. For example, affiliate links and other sites ke external links.

Iski adhik jankari ke liye aap ye post read kare Nofollow Or Dofollow Tags Ki Puri Jankari Hindi Me.

2. Noreferrer:

Referrer ka matlab HTTP request se hota hai. Jab koi user page A se page B par visit karta hai to hume pata chal jata hai ki ye user page A se aaya hai. Iske theek ulta agar aap nahi chahate ki page A se page B par jane par pata na chale ki user page A se aaya hai to aap rel=”noreferrer” tag ka istemal karte hai.

Ye attribute search engine ke liye nahi browser ke liye hai. Web page A se web page B par jane par browser HTTPS referrer header send nahi karega. Iska SEO par koi impact nahi padta. Ye sirf web browser ke liye hai.

3. Noopener:

Ye attribute security ke liye hai jo aapki information ko hide karta hai. Kai bar hackers aapki site ke external links ko Javascript ya kisi or method ki help se kisi or page par redirect kar dete hai or user ke us link par click karne par wo sahi page B ki jagah page C par pahuch jata hai. Is phishing attack se bachne ke liye rel”noopener” tag ka istemal karte hai.

Is tag ka istemal karne se browser referrer information share nahi karta. Ye “window.opener” ko khatm karne ke liye hai.

Ab aapk oachhe se samajh aa gaya hoga ki Nofollow Noreferrer Noopener Tag kya hai or inka istemal kyu or kis iliye karte hai. Yaha main aapki ek or confusing door kar deta hu. Kyuki bahut se logo ko nofollow or noreferrer me fark karne me problem ho rahi hai.

4. Noreferrer Policy:

  • No-follow: Google se link hide karne ke liye.
  • No-referrer: Browser information send na karne ke liye.
  • No-opener: URL ko phishing traffic se bachane or secure karne ke liye.

Nofollow or Noreferrer Me Kya Difference Hai

Nofollow and Noreferrer Me Kya Fark Hai? Shayad aapne bhi is bare me socha hoga ya fir abhi soch rahe ho. Isko main is tarah samajha raha hu.

  1. Nofollow: Iska istemal gogole search engines ko URL check na karne ke liye kiya jata hai.
  2. Noreferrer: Iska istemal browser security ke liye kiya jata hai. Taki aapke site ke traffic me external links count na ho.

Isko aap point 4 se se or achhe se samajh sakte ho. Maine waha short me bta chuka hu.

Nofollow Noreferrer Noopener Ka Istemal Kaise Kare

Aapko jis link me Nofollow Noreferrer Noopener tags istema lkarni hai. Uske HTML code me aap rel=”nofollow”, rel=”noreferrer” and rel=”nopener” tag add kar sakte ho. Iske bare me to shayad aapko pata bhi hoga.

Magar bahut kam logo ko pata hota hai ki in sabhi ko ek sath kaise use kare. Agar aap 3no tags ko ek sath istemal karna chahate ho to is tarah se akr sakte ho.

<a href=”” rel=”nofollow noreferrer noopener” target=”_blank”></a>

Is tag se na to browser aapke information send karega or na hi aapko phishing traffic ki problem hogi or na hi google aapke link ko check karega. Iska istemal un links ke liye karna chahiye jinko aap kisi hi tarah se apni site se connect nahi rakhna chahate. Jaise:- Affiliate links, Unknown sites.

Actually, mostyle bloggers and website owners affiliate links use karte hai so ye security update affiliate marketing ke liye bahut hi achhi aayi hai. Balki yu kaho ki ye iske liye hi hai.

Note:- Agar aap WordPress user hai to aapko ye sab karne ki jarurat nahi hai. Aapke link me “Open link a new tab” option select karne par automatic ye tag add ho jayega.

Ye thi Nofollow Noreferrer Noopener ki jaruri jankari jo har blogger and website owner ko pata honi chahiye. I hope iske bare me jankar aapko bhi achha laga hoga or next time aapko apne content me Nofollow Noreferrer Noopener tag istemal karne me problem nahi hogi.

Kuch logo ka kahna hai ki rel=”Noreferrer Noopener” tag use karne se SEO par bad effect padta hai. Actually, Isse SEO par koi fark nahi padega. Ye sirf kuch people ka vahem tha. Aesi sabhi bate jhoothi hai. Aap bina kisi pareshani ke iska istemal kar sakte ho. For proof, you can check this article Rel=”noreferrer noopener”: SEO issues.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par other bloggers ke sath share jarur kare taki unko bhi iske bare me pata chal sake.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 30 )

  1. sagar

    sir plz solve my query mai ek forum website se backlink le raha tha to rel=”noopener noreferrer” aa raha hai kya mujhe dofollow backlink milega

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Yes

      Reply
  2. Javid sumara

    Aslamu alekum

    Bhai meri blog website hai usme noopener tag aa raha hai. Uska matlam me ye samjh ke vo nofollow link hai… Me GP primium theme use kar rahu hu. Noopener ki jaga pe me Dofollow karta hu to bhi vo noopener ho jata hai… Pl help… Mene aapka article YouTube se

    Reply
  3. Tinku Sharma

    Jumedeen bhai.. Maine ek website ke liye guest post likha tha.. To backlink check karne ke liye maine inspect element kiya to usme no-opener tag use kiya gaya hai.. To kya mujhe do-follow backlink Mila ya Nahi?

    Reply
    • जुमेदीन खान

      es milega, ye sirf phishing traffic e bachane ke liye hai.

      Reply
  4. Rakesh Kumar

    bhai jab hum kisi big brand par post likhte hai jaise amazon, netflix, samsung, youtube etc. to hme apni post me en brand ko dofollow link dena chahiye na nofollow ya fir sirf text me likhna chahiye

    Reply
    • Jumedeen khan

      external links ke liye nofollow better hai.

      Reply
  5. sultan singh

    bahut kaamal ka post hai bhy…..bahut hi asaan tarike se samjaya hai link tags ke bare me

    Reply
  6. Neha

    sir in 2 tag ka use kya hota hai or jab hum koi article submit karte hai to 1 article mein kitne link publish karne chahiye hum ko 1 ya 2 link…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Jitne links ki jarurat ho utne hi add karo ba unrelated links add nahi karne hai.

      Reply
  7. Ritika

    hello sir, mujhe aap ke blog bahut ache lagte hai…Aap ne abhi tak se AMP ki koi post nahi dali hai…AMP kya hota hai, AMP ke Advance and disadvantage kya hai or seo mein kya help hoti hai AMP ki please ye post jaldi se jaldi karo sir…

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Thank for suggestion jarur karunga.

      Reply
  8. Sunil

    Vary nice post..

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...