Jyada Ads Use Karne Se Site & SEO Par Kya Effect Padta Hai

Recently, Hal hi mai google ne AdSense per page three ad unit limit ko remove karne ka announce kiya tha. Iske bad bahut sare blogger and website owners (jo google AdSense use karte the) ne apni site par 3 se 5 ya 7 ad unit per page use karna shuru kar diya. Sab sochte hai ki unki isse jyada income hogi. Haa, isse aapki earning increase ho sakti hai, 100% gaurantee nahi hai. Website par adhik advertisement ads use karne se site and SEO par bad effect padta hai. Jisse site ki search rank down ho jati hai.

Are you know more ads killing your site and SEO

Agar aapko google ke per page ad limit remove hone ke announced ka pata nahi hai or aap uske bare me janna chahate hai to aap humari Google Adsense Ad Limit Per Page Policy Removed post read kare. Agar aap google AdSense ki ads limit se pareshan hai or AdSense se jyada income karna chahate ho to aap abhi apni site par 3 ad unit se jyada ad use kar sakte ho.

In this post, is article me hum website blog par jarurat se jyada ads use karne se kya effect padta hai ya adhik ads aapki site or SEO ko kaise kill karte hai ke bare me bat karenge.

Let’s go and put more ads in the your site pages and make more money form google adsense. Shayad aap bhi yahi soch rahe honge. But isse pahle ki aap apni site par jyada ads place kare usse pahle ye jan le ki site par jyada advertising use karna aapki site & SEO dono ke liye khatarnak sabit ho sakta hai. I mean isse site or search rank dono par bura asar padta hai.

I sure google ne AdSense per page 3 ads limit hata di hai or aap ab ek se jyada large and responsive size ke ads use kar sakte ho. But abhi bhi aap 100% freedom ho kar ads use nahi kar sakte kyuki google ne valuable content ke anusar ads use karne ki advice di hai. Agar hum is rule ko follow nahi karte hai to humari AdSense CPC low ho jayegi. I mean without valuable content ke aap jitne jyada ad unit use karoge aapki CPC utni hi kam ho jayegi.

In fact, more ads can often mean less money in the long run.

Ye kaise ho sakta hai or humari site ko jyada ads se kya problem ho sakti hai? Aayiye iske bare me details me jante hai.

Are You Know, More Ads Killing Your Site & SEO

Advertisement Use Karne Se Site & SEO Par Kya Effect Padta Hai? Har ek blogger (Mostly AdSense user) iske bare me janna chahate hai. So aaj mai is post me aapko site par jyada advertising use karne se hone wale nuksan ke bare me bta raha hu. Taki kisi blogger ko earning karne or site par traffic kamane me problem na ho.

Agar aapki google AdSense CPC low hai or earning bahut kam ho rahi hai or aapki site par traffic badh nahi raha hai to uska inme se koi ek reason ho sakta hai.

1. Death by Numbers:

Google AdSense three per page ad limit khatm hone ka matlab hai aap jarur 3 ad unit se jyada ad use karoge. Ye soch kar ki shayad jyada ads use karne se jyada earning hogi or aap jyada paise kama sakoge. Magar google bahut smart hai, aap jitne jyada ads use karoge aapki CPC utni hi low ho jayegi. Yani valuable content ke bina adhik ad unit use karne se koi fayda nahi hai.

Second AdSense ads use karne par site ko open karte hai to ads background me load hote rahte hai. Isse site ki loading speed bahut kam ho jati hai. More ad use karne se more earning hogi ye ek short term hai jo 100% sahi nahi hai. Jyada ads page weight badhata hai or site open hone me time leti hai.

Desktop me ye trick better kaam kar sakti hai but mobile version ke liye ye bahut hi bura hai. Mobile version me jyada ads use karne se laoding speed bahut slow ho jati hai. Is wajah se user aapki site ko avoid karna shuru kar denge.

Visitor ko pages scrolling, shifting, and refreshing karne me jyada ads se problem hoti hai or ye ek tarah se poor user experience hota hai. Ek bahut jyada ads use karne wali site read able nahi hoti hai.

Of course, Reader ko to adhik ad placement se pareshani to hoti hi hai sath hi isse search engine visibilty par bad impact padta hai. Bahut sare logo ka kahna hai ki site loading speed high hone par user use ignore karne lagte hai sath hi search robots ko bhi us site ke pages ko index and crawl karne me problem hoti hai.

So finally more ads unit use karne par site and & SEO par bad effect padta hai.  Isiliye apni site par content quality ke anurap hisab se advertising program unit use kare.

2. Low CPC Issue:

Google adsene RPM ke bare me to aapne suna hi hoga. Agar nahi to aap humari Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare post padh kar iske bare me detailse se jankari prapt kar sakte ho.

  • Also read: Google Adsense Me CTR Kya Hai, Click through Rate Increase Kaise Kare

Har advertiser apne ads ka google ko difference payout karta hai. Jo advertiser high payment karte hai wo chahate hai ki unke advertisement quality content par show ho or unhe original traffic mile. Iske liye rules hote hai. Jab kisi site par ads show kiye jate hai to us site ki ads RPM count ki jati hai. I mean advertiser ko kitne pageviews par kitne click milte hai.

Suppose, agar kisi high CPC ads ko humari site par click nahi milte hai to ek nishichit time ke bad wo ads humari site par se hata liye jate hai or unki jagah koi or ads show kiye jate hai. That’s important ye ads low CPC wale hote hai.

Is tarah perfect RPM ke liye aapko site par kam ad unit use karne honge taki aapki site par high CPC ads show ho or aapki achhi earning ho. Agar aap jarurat se jyada ads unit use karoge or aapko pryapt click nahi mil pate hai to site par low CPC wale ad show honge or aapki CPC jarur low ho jayegi.

So agar aap chahate hai ki aapki site par high CPC wale ads show ho to aap limit ads unit hi use kare. Jyada ads use karne se aapki Low CPC ho jayegi or pahle se bhi kam earning hogi.

3. Site as hell, burn it:

Go to hell, burn it, burn it with fire. Yani bhad me jao, ise aag lagao, ise aag me jala do, Ye sab log kab istemal karte hai. Jab unhe koi takleef deta hai ya fir unhe kisi cheez se takleef hoti hai. I mean pareshan hone par log is tarah ke words use karte hai.

Jis site par bahut jyada advertising lage hote hai us site ke liye bhi log isi tarah ke words istemal karte hai or us site ko avoid karte huye dubara us site ko open na karne ki kasam kha lete hai.

Actually, some ads auto play with sound or auto play with witohut sound ke video ads hote hai. Jo site ko open karte hi start ho jate hai. Kuch visitors ko ye pasand nahi hote hai or wo inhe dekhte hi aapki site ko avoid kar dete hai.

Main aapko suggest karunga ki aap is tarah ke advertisement use na kare kyuki inhe user sirf dekhna pasand karte hai. Koi bhi in par click nahi karta or agar click hota bhi hai to wo video ki voice off and on karte time accident se ho jata hoga. Yaha mere kahne ka matlab ye nahi hai ki video ad par click nahi milte hai.

4. Fake Site look:

Blog par jarurat se jyada advertising use karne se site ka look bekar ho jata hai wo ekdam fake site ya only money earn karne ke liye banayi gayi bekar site nazar aati hai. Agar aapke visitors jante hai ki aap sirf paise kamane ke liye blogging kar rahe ho to wo usi time se aapko or aapki site ko avoid karna shuru kar denge.

I mean apni site par clearty rakho or kabhi bhi dhoke ko janm mat do. Warna isse aapki site visitors lagatar aana band kar denge or sirf majboori ya jarurat padne par hi aapki site par visit karenge.

Adhik ads use karne se search engine robots ko aapki site ke content ko index and & crawl karne me pareshani hoti hai. Google simple, clear or fast laoding site ko pasand karta hai. So apni site ko jitna ho sake clear rakhe taki googlebot use aasani se index kar sake.

Finally, hume jyada numbers me ads use karne se sirf nuksaan hai or koi fayda nahi hai, Agar aap sochte hai ki jyada ad use karne se earning better hogi to ye sirf ek galat fahmi hai baki kuch bhi nahi. Agar aapko believe hai to aap limit advertising hi use kare. Aesa karna na sirf aapke reader or aapki site ke liye behtar hoga balki google search engine yani SEO ke liye bhi better hoga. Sath hi aapki achhi earning bhi hogi.

So foolish worl chordiye or apni site par itne hi ad unit use kare jinse site ka look better bana rahe or ads RPM bhi normal ho taki aapki site par high CPC ads show hote rahe or aapko per click adhik se adhik payment mile.

Agar aapko ye content pasand aaye to ise social media par share jaru kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 35 )

  1. bohot achi information hai.. me b per page 3 se jyada ads use karta tha.

    Thanks

    Reply
  2. Hello sir…

    Website par ads galat lagne ki wajah se kya bounce rate badhta hai, yadi ads kam lage ho phhir bhi… Actually kuch time pahle meri website par invalid click hone ki wajah se maine apne ads band kar diye the lekin jab unhe phhir se lagaye tab se bounce rate 78-99% rooz rahta hai… please koi solution bataye, i want to solve this problem….

    Thank you………..

    Reply
    • Aap 1-3 ad unit use karo bounce rate problem nahi hogi.

      Reply
  3. Very helpful articles

    Reply
  4. Hi sir I search engine optimizer Dharmendra Yadav I need help which is like this I have seo all the websites. Writing sir I have a problem with php seo which is not able to rank my website, please sir Send some traffic sir, understand your younger brother.

    Reply
  5. Uc mini me Jo news Aata hai us me ek news Aaya tha ki paid 2 you tube se paise kamaye login and watch video 30 second (2) youkyuweg one click 0.005 present one hour in 200 click 67 rs per hour (3) sucsesbuk click and watch video per click 0.1 (4) slide joy app down lode this app and install Aap dekh ke batayen ye sahi hair ya nahi

    Reply
    • UC news ki sari news sahi nahi hoti, fake bhi hoti hai. You can avoid it.

      Reply
  6. Eid Mubarak bhai jan….

    Reply
    • Thanks bro

      Reply
  7. Visitors jyada ads ko pasand nahi karte. Khud ko Visitor ke place par rakh ke soche to ham bhi vo site dubara visit nahi karte jisme Popup ya jyada ad ho. Nice article 🙂

    Reply
    • You are right.

      Reply
  8. thanks bhai aapki help maine AdSense aprove kar li maine apni site par 2 ad lagaye aap dekh ke btao aur ek kaha lagau. bloglen.com

    Reply
    • Aap ek ads blog post me laga sakte ho. Second aap mujhe contact form me message send kijiye mujhe aapse jaruri bat karni hai.

      Reply
  9. Jumedeen Sir maine apne blog hinglishpedia.blogspot.com par 5 September 2016 ko Custom domain Set kar diya… jo ki Ab hinglishpedia.com ho gya hain. 7 September tak blog ke traffic mein koi kami ya effect nahi aaya, Lekin 8 September ke baad mere blog ka traffic 70% tak kam ho gya? Maine Google search Console mein New Sitemap ko submit bhi kar diya hain.

    Main yeh janna chahta hoon ki Google mere blog ka purana Traffic kab vaapis karega?

    Custom Domain set karne se pahle mere blog ke 15 se 20 hazaar daily Page dekhe jate thay, Lekin Custom Domain Set karne ke baad ab yeh simat kar 4 se 5 hazaar ke beech mein rah gya hain..

    Kya koi iska solution hain, Kya Google meri khoyi hui Rank mujhe vaapis karega, Ya Custom Domain Set karke maine bahut badi galti kar di hain?

    Kabhi kabhi lagta hain shayad maine apne blogging life mein Custom Domain set karke bahut badi galti kar di? Maine to bas yahi Soch kar Custom Domain Set kiya tha ki Isse Alexa rank Sudhar jayegi..

    Lekin is Alexa Rank ke chakkar mein Blog ka traffic loss ho gya hain?

    Kya Google meri help karega? Google ko yeh kyon samajh nahi aata hain ki yeh mera purana blog hi hain bus maine ispar custom domain set kar diya hain?

    Kya Google mere blog ko phir se support dega?

    Ek blogger ke life mein Bhagwaan kabhi aise din na dikhaaye?

    Pata nahi kab tak sab theek hoyega?

    Reply
    • Kabir ye sab aapki galatfahemi or andhwishawas hai. Aesa kuch bhi nahi hai. aap new domain ko search console me submit karo or sitemap bhi. next aap apne example.blogspot.com wale url se ek alag blog banao or usme redirection link add kar do jisse koi bhi user aapke old blog ko open karega to wo apaki new blog par aa jayega. Redirection code aapko is post me mil jayeg.a second wala use karna.
      Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Bad Kya Kare

      Reply

Leave a Comment