Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare

Aaj ke time me har kisi ko jaldi hoti hai. Itni jaldi ki hum apne aap ko bhi bhool jate hai. Ayse me apna smartphone kahi bhool aana aam bat hai or hume mobile lene wapis jana padta hai. But problem tab hoti hai jab hum apne mobile phone ko kahi rakh kar bhool jate hai ya fir mobile kahi par gi jata hai kho jata hai. But google ke pas iska bhi solution hai. Wo bhi aysa ki aapka phone aapko aasani se mil jayega.

Mobile Ka Pata Kaise Lagaye

Mai is post me aapko aysi trick bta raha u. Jisse aapko aasani se apna khoya hua phone mil jayega. Mera matlab hai ki hum google ki madad se apne phone ki location pata kar sakte hai. Google hume phone ki jo location btata hai uska dayra 24 meter ka hota hai. Or 24 meter ki jagah par hum aasani se apne mobile ka pata laga sakte hai.

But google se apne khoye huye mobile ka pata lagane ke liye aapke khoye huye mobile me kuch cheezo ka hona jaruri hai. Inke bina aap apne mobile ki location pata nahi kar sakte.

  1. Aapke khoye huye mobile me internet chalu hona chahiye.
  2. Mobile me location ki services activate honi chahiye.
  3. Mobile me google apps insall hona jaruri hai. Or latest version hona chaiye.

Agar aapke mobile me ye 3 option available hai to don;t worry aapka khoya hua mobile aasani se mil jayega. Bas aapko google ke kuch simple step follow karne hai. Jinke bare me mai aapko step by step bta raha hu.

Apne Khoye Huye Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye – Master Tricks, Track My Mobile, Find My Phone

Apne smartphone ka pata lagane ke liye aapko computer ki jarurat padegi kyuki Mobile me ye trick kaam nahi karegi. Mobile me aap android device manager use kar sakte ho.

  1. Sabse pahle aap google.com site par jaye or apni us gmail id se log in kare jisse aapne khoye huye mobile me log in kiya hua hai. log in karne ke bad google search box me “Track My Mobile” Likh kar search kare.
  2. Yaha check kare ki google aapka sahi mobile search kar raha hai ya nahi.
  3. Thodi der me google aapke mobile ki location track kar lega. Uske bad aap us jagah par jaye.
  4. Google ke btaye place par pahuchne ke bad aap Ring option par click kare. Isse aapke mobile me 5 minute tak full aawaz me rink hogi. Agar aapka mobile silent mode par hoga to bhi ring bajegi.

Track My Mobile phone

Google aapko mobile ki jo location btata hai wo 24 meter ke andar hoti hai. Agar aapko apna khoya hua mobile search karne me problem ho to aap pahle “mobile phone ka pata karne ke liye mobile me kya kya on hona chahiye uski jankari k liye yaha click kare. [link…]” par ja kar iske bare me puri jankari pata kar le.

Agar aapka is post se related koi sawal hai to aap comment me puch sakte ho. Or agar aapko janna hai ki mobile khone ya chori hone ke bad or kya kya karna chahiye to aap humari Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare 5 Jaruri Bate post padhe. Isme aapko sare sawalo ke jawab mil jayenge.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 69 )

  1. Raksha goutam

    Mere mobile se nahi ho raha hai

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...