Site crawling SEO ka ek important hissa (aspect) hota hai. Agar aap crawl errors ko fix nahi karoge to aapki site ki search rank par negative effect pad sakta hai. Isi problem ki wajah se aapki site ke bahut se pages, posts google me index nahi ho pati hai. EWebsite blog ke liye ye jaruri hota hai ki uski post search engine me minuntes me index ho jaye. Is articles me mi aapko crawl rate increase karne ki kuch tips bta raha hu jinhe follow karne ke bad aapki site rank improve hogi or aapki post ko search engines jaldi index bhi karega.
Google crawl rate ko increase karne ke bahut se tarike hai but mai yaha aapko kuch aasan tricks bta raha hu. Jisse aapki site google search engines me fast indexing hogi. Search engine aapki site ko index karne ke liye spiders and robots ko use karta hai. Or jab user aapki site se related keywords and links search karte hai to google aapki site ke content ko search results me show karta hai.
Is articles me btayi tips ko follow karke aap apni site ki search ranking increase kar sakte ho or apni site ki google me visibility badha kar site ko search me or jyada popular kar sakte ho.
Blog Ki Google Crawl Rate Increase Karne Ki 10 Best Tips
Google crawl rate ko increase karne ke liye google webmaster tool aapki bahut help karta hai. Jaise aap crawl errors and URL parameters ko fix kar sakte hai. Iske alawa bhi aap apne blog par kuch or tarike se bhi crawl rate ko increase kar sakte ho. Aayiye iske bare me vistar se bat karte hai.
1. Update Articles Regularly
Google search engines ko wo site bahut pasand aati hai jin par regularly content update kiya jata hai. Or ji website par fresh and original content publish kiya jata hai google unhe or bhi jyada like karta hai sath hi ayse articles ko minutes me index karta hai.
Aap or hum sabhi apni site and blog par post publish karte hai but agar aap daily post share karne lag jaye or original content share kare to aapki site ki search engine rank 101% increase hogi.
Bahut se blogger apni blog par regular content update karte hai. But sirf yahi kafi nahi hai. Mai aapse kahna chahunga ki aap jitna kar sako Original Content hi publish kiya kare. I promise yeh tarika aapki site ke liye helpful sabit hoga.
2. Make Your Site Fast Loading
Google search engines and readers koi bhi downtime wali site ko like nahi karte hai. Ek servey ke anusar 90% peoples 4 second se kam time me open hone wali site ko hi pasand karte hai.
Agar aapki site open hone me adhik time leti hai to google robot ko aapki site ko index karne me time lagta hai. Or ho sakta hai search engine aapke latest articles ko slow loading ki wajah se ignore bhi kar de.
99% website or blog fast loading hoti hai. So agar aap chahate hai ki aapki site par jyada traffic aaye or aapki new post seconds me google me index ho to apni site ko abhi se optimize karna shuru kar de or site ka open hone ka time 4 seconds se jyada nahi hona chahiye. Aap pingdom or GTmetrix par apni site ka loading time check kar sakte ho.
3. Don’t Share Duplicate Content
Copied content se crawl rate humesha dcrease hoti hai. Search engine copy ki gayi post ko index nahi karta hai or ho sakta hai iski wajah se aapki site google search engine me se ban bhi ho jaye.
Dusro ki post content copy kar apne blog me publish karne se aapko kabhi bhi search engine se traffic nahi mil sakta. Isse aapki site ki search rank ghatati hai or aapki site ko google ignore karne lag jata hai.
Mai aapko suggest karunga ki humesha apni site par original or fresh content share kare. Or sabhi se alag sabhi se hat kar blogging kare. Jo user aapko or aapki post ko pasand kare. Sath hi search engine se adhik traffic pane ke liye aap apni post content ka search engine optimization kare.
Mai yaha aapko ek aasan solution btata hu. Aap apne blog ki post ki copyrighting check kare or apne talent ko dusro se alag karke apni alag pahchan banaye. Iske liye aap ye article follow kar sakte ho. Blog Content Kisi Or Se Match Ho Raha Ho To Kaise Pata kare.
4. Create and Submit Sitemap
Apni site ko google search engine me fastly index karane ke liye Sitemap submission most important part me se ek hai. Iske liye aapko 2 work karne hai. Sabse pahle apne blog ke lye sitemap create karn hai or uske bad sitemap ko google, bing and other search engines me submit karna hai.
Google webmaster tools me to site ka sitemap submit karna bahut jaruri hai. Isse google bots ko aapki site ke content ko samajhne me aasani hoti hai or aapke newest post bahut jald index ho jati hai.
Agar aap blogspot free blog user ho to aap iske liye Blogger sitemap ko google console me kaise submit kare post read kare. Or agar aap WordPress user ho to aap WordPress yoast SEO plugin use kare jiski jankari aapko humare english blog par How To Set Up Yoast SEO Plugin For Higher Search Ranking post me mil jayegi.
5. Block unwanted page via Robots.txt
Search engine crawl rate ko increase karne ka ye ek or best way hai. Aap unwanted access page or post ko robots.txt file se search engine se hide kar sakte ho. Jaise:-
- Blog admin pages.
- Delete kiya gaya post and apge content.
- Blog navigation pages.
- Personal content.
Maine in sabhi ke bare me Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – SEO Guide post already btaya hua hai. Or agar aap WordPress user hai to aap yoast seo plugin se aasani se in sabhi option ko search engine se hide kar sakte ho.
6. Add Internlinks in Your Post
Interlinks sirf aapki site par pageviews badhane ka kaam anhi karti hai. Balki isse aapki site ki crawl rate bhi increase hoti hai or aapko search engine se adhik clicks milte hai.
Ek post me dusri post ke links add karne se aapki site par pageviews to badhte hi hai sath hi aap jab kisi post me apni other post ka link add karenge to aap usme top keywords use kar sakte hai.
Isse jab koi aapki us post se related keyword search karega to aapki dusri post bhi search me aayegi. Example ke liye aap mere blog ka koi bhi topic search karke dekh le uske sath meri wo sabhi post bhi search me aayegi jinme maine aapke dwara search ki gayi post ka link add kiya hoga.
7. Optimize Your Blog Images
Crawler direct aapki post images ko read nahi kar sakta. Iske liye aapko image me alt tags or description add karni hogi. Agar aap apni post me photos use karte ho to ye aapke liye very important hai. Ek image 2000 words ke barabar hoti hai. But agar aap images ko optimize nahi karoge to image ko post me add karne se koi fayda nahi hota hai. Read this post Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye
So mai aapse kahna chahunga ki images ka bhi post ko jaldi index karane me major role hota hai. isliye aap post images ko search engine optimization yani SEO friendly banaye. Images ko optimize kar ke aap apni site ki search rank ko 20% tak increase kar sakte ho.
8. Add Sitemap and other links In Footer
Apne blog ke footer me sitemap links add karna bhi crawl rate increase karne ka ek best tarika hai. I hope har success blogger aysa karta hai. Isse visitor or google bots dono ko aapki site ke sitemap ko read karne me aasani hoti hai.
Or sabse badi bat agar aap footer me apne blog ke kuch or jaruri pages ke links add kare to isse user or search engines dono ka aapki site par wishwas badhta hai.
Agar aap baki links add nahi karna chaho to mai aapko suggest karunga ki blog footer me aap sitemap ka link to jarur add kare. Isse aapke reader or search robots ko aasani se aapki site ka sitemap mil jayega. Jisse google aapki sabhi posts ko ache se index kar sakta hai.
9. Choose Uptime Hosting Server
Agar aapka blog blogger par hai to aapko koi hosting server lene ki jarurat nahi hai. But agar aap WordPress user hai to aap better server select karke bhi apni site ki crawl rate increase kar sakte hai.
Ji ha, aapko ye sach nahi bhi lage par ye sach hai ki site ki crawl rank increase karne or search engine se better result pane ke liye aapki site ka uptime hona jaruri hai.
Isliye apne blog ke liye badiya web hosting server choose kare. Mere hisab se bluehost.com or hostgator.com good service deti hai. Halanki inse bhi badiya or bahut hai. But maine bahut se bloggers ko dekha hai jo jyadatar inhi par apn isite host karte hai.
10. Increase Crawl Rate Using Google Webmaster Tools
Finaly mai aapko site crawl rate increase karne ka ek free or easy way bta raha hu aap google webmaster tools par site ko optimize karke bhi site ki search rank ko improve kar sakte ho. Iske liye aap ye step follow kare.
- Sabse pahle aap google webmaster tool par jaye.
- Ab aapko jis site par crawl rate setting karni hai us par click kare.
- Ab right side me setting gear icon > site settings par click kare.
- Yaha “Limit Google’s maximum crawl rate” par click kare or apne hisab se crawl rate settings kare.
Google webmaster tools par crawl rate setting karne ki puri information ke liye aap change googlebot crawl rate help support form par jaye.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL]
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
To ye thi google crawl rate increase karne ki kuch tips jo aapki site ko google search engine me fast index karne me aapki help karegi or aapko search engine se adhik traffic mil sakega.
Agar aapko inke alawa kisi or tricks ke bare me pata hai to aap comment secton me apni thoughts share kar ke humare readers ki help kar sakte hai.
I hope aapko ye articles pasand aayega or aapko isme useful information milegi. Agar ha to is post ko social media par apne friends ke sath share kar ke humari bhi help kare.
Ap ne google crawl k zabar dast tips batay i liked it. mere ek Question hai ap se.
Ma off-page SEO kar sakta ho tu kya ma online off-page k zary pasy kama sak ta hon?
Yes.
Hello Dear Sir,
Webmaster tools per crawl rate change karne se kya benifit and kya lose hain ?
crawl error fix karne se aapki site ki search rank increase hoti hai. nahi karne se aapko search engine se kam traffic milta hai. Ye post padho Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare [GWT Guide]
Nahi sir maine puccha crawl rate on webmaster tools not for crawl error! crawl rate badane ya ghatane se site main kya profit aur kya lose hota hain ?
Suresh is post me yahi btaya gaya hai ki crawl rate kya hai or crawl rate increase karne se kya fayde hai. Read carefully.
hello sir mai mafi chata hu ki mai apko baar baar comment krke parwahan kr RHA hu sir mai ye janana chata hu ki fetch as. Google use krna ka koi nuksaan h kya.
Rahul gupta agar hum kisi bhi kaam ko jarurat se jyada karenge to usme nukshan hoga hi. Example aap bike drive karte ho or use 180 to 240 ki speed hoti hai. But kabhi aap use full speed me nahi chalate ho. Same wese hi gwt me fetch ka option isliye diya hai ki hum google ko ye bta sake ki aapke blog ko author, category, title and information kya kya hai. So simple hai ye aap ek do post se bhi kar sakte ho. har post ko fetch karne ki jarurat nahi hai.
sir Ap konsa AdSense plugin use krte ho aur kya vo apne app hi ad plugin krte h
Ad injection