Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – SEO Guide

Blogspot blogging platform google ki ki free service hai or bahut se new blogger blogspot par hi new blog banate hai. But blogger blog search engines friendly nahi hota hai. Hume blogspot blog ko search engine friendly banane ke liye SEO setting karni padti hai. Google ne webmasters tools ki ek or service ki hai jo blogger ki blog ko seo friendly banane me help karta hai.

Guide for blogspot user to using webmaster tools

Blog ki seo setting me google webmasters tools aapko bahut sare Search Engine Optimization important feature provide karta hai. Is tutorial me mai aapko google search console ko use karne ki kuch tips bta raha hu jo blogspot user ke bahut kaam aa sakti hai.

Blogspot Blogger Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – Search Engine Optimize Guide

Mai yaha jo tips bta raha hu wo sirf blogspot users ke liye hai. Agar aap bhi ek blogger blog user hai to aap is post ko carefully padhe or ache se follow kare. I hope aapko is article se blogging seo ki achi jankari milegi.

1. Verify Your Site: Google Webmaster tools par jaye or aapko jis site ki setting karni hai uske URL par click kare. Agar aapne apna blog search console me add nahi kiya hai to pahle aap Blog Ko Google Webmaster Tools Me Submit Kaise Kare post padh kar apne blog ko google search console me add kare.

  1. Ab right side me setting icon par click kare. Fir Verification details par click kare.
  2. Yaha par check kare ki aapki site verify hai ya nahi, Verify hogi to aapko Already verified ka message milega. Jaisa image me dikhaya gaya hai. Agar nahi hai to site ko fir se verify kar le.
  3. Site verify karne ke liye aapko jo code mile wo blogger dashboard > Template > Edit HTML  par ja kar <head> code ke niche paste karna hai.

 Verification details

2. Submit & Check Sitemap: Google search console par jaye or Crawl > Sitemaps par click kare.

  1. Yaha check kare ki aapne site ke jo sitemap submit kiye hai. Unme koi error to nahi hai. Agar sitemap par error message show ho raha ho to sitemap ko resubmit kare. Iski jankari ke liye aap Blog Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare post follow kare.

3. Remove All Duplicate Content Links: Error 404 page not found problem lagbhag har blog or website par hoti hai. Ayse me inhe fix karna jaruri hota hai. Google search console isme bhi aapki help karta hai. Aap Google webmaster tools par Crawl > Crawl Errors URLs ko fix kar ke sitemap submit kare. Iski jankari ke liye ye post padhe. Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare. Kei bar inhi crawl errors se sitemap me error so hota hai. So agar aapke sath bhi aysa ho to aap crawl errors ko fix kar sitemap submit kare.

4. Setting up URL Parameters: Jab hum apni site ki post ko social sites par share karte hai to uske referral links ban jate hai. Or google unhe index kar leta hai. Inhi links ko parameters url kahte hai. Iski adhik jankari ke liye aap Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare post padhiye or post me btaye step follow kar ke url parameters ko fix kare. Iski help se aap search engine se duplicate links ko delete kar sakte hai.

5. Security Issues: Yaha par aap apni site ki security details dekh sakte hai. Agar aapki site par koi malware attack hua hoga ya fir aapki site ko kisi ne hack karne ki koshish ki hogi to aapko yaha uski warning information mil jayegi. Agar aapko yaha par warning message milta hai to wakai aapke liye pareshani ki bat hai. Iske liye aap google ko feedback bhej sakte hai ya kisi website developer se contact kar sakte hai. Aysa hone par jitni jaldi ho sake apne blog ka All Data Backup bana kar store kar le. Jisse aapko future me koi problem hone par apna blog data (All posts, pages, comments or images) khona na pade.

I hope aap is post ko like karoge or agar aapke pas iske alawa google webmaster tools ke bare me koi or guide hai jisse blogspot user ki help ho sake to aap niche comment me apni tips share kar sakte hai. Ya fir supportmeindia ke member ban guest posting se humare readers ki help kar sakte hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to is article ko social media par apne dosto or other bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 53 )

  1. Bhai thoda url structure kr bare me batao

    Reply
  2. Sir maine yesterday mere website google webmaster tools me add kiye hai aur today check kiye crawl erorr par dekhe hai red colour ki ! Symbal aur likha hai no data yet check back later plz help me yeh kaise thik kare. Yeh problem ki wajaise maine 3 website delet kiye hai. Ab wo hi problem plz solve it

    Reply
    • Search console problem ke sath uska solution bhi btata hai, aap ask.supportmeindia.com par error screenshot ke sath question pucho.

      Reply
  3. Sir mene jab blog ko search console me verify kiya tha tab domain nahi thaa.

    Ab mene domine purchase kiya he or setup bhi kiya hai…

    Bt mera question he ki kya mujhe search console me phir se verifie prosses karni padengi.

    Reply
    • Yes aapko ab domain bhi search console me submit karna hoga.

      Reply
      • Sir ji reply ke liye Thank you..

        Sir successful search console me domain ke sath verify ho gaya he bt problem ye he ki meri dono URL show ho rahi he.

        I maen dono property sub domain or custom domain kya blogspot vali property delet kar sakta hu

        Reply
        • Yea kar sakte ho.

          Reply
  4. Sir mera blog post ko google na translate karka visitors ko dikha rahi hai jiske awaz se visitors ko ads nahi dikh raha hai isko me kaise thik karu

    Reply
  5. Bhai Bahut Accha Samjhaya hai.. Thank You So Much Bhai.. Aap har baar bahut imp information share karte hai.

    Reply

Leave a Comment