Website or Blog Ki SEO Score Details Kaise Check Kare – Free Tools

90% blogger blogging se money earn karne me fail hote hai iski sabse badi wajah hoti hai unke blog par enough traffic increasing nahi hona. Blog par traffic ki kami tabhi hoti hai jab aap SEO ko avoid karte ho. Agar aap SEO ko follow karo to mai guarantee se kah sakta hu ki aapke blog par day by day traffic boost hoga or site ka SEO score better hoga.

Check your website SEO score details

Internet par bahut sari tools available hai jo aapko website and blog ki SEO performance report btati hai. But yaha mai aapko bahut sari tools ke bare me nahi sirf ek tool ke bare me bta raha hu jo site ka perfect SEO score btati hai.

Website or Blog Ki SEO Score Details Kaise Check Kare | Free Tools

Mai bat kar raha hu woorank.com tool ki jo aapki site ke SEO score ki bilkul sahi report show karti hai. Is par aap site ki report check karke site ko optimize kar sakte ho or apni site ki search rank better kar sakte ho.

  1. Sabse pahle aap woorank.com site par jaye or apni site ka url add karke review par click kare.
  2. Ab aapke blog / website ki SEO report kuch hi seconds me generate ho jyaegi.

Supportmeindia SEO score details

Ye tool aapki site ke bare me full information show karegi jisme backlinks, site speed, social connectiviy and other sari SEO report milegi. Is tool par aap most important ye information check kar sakte ho.

  1. Aap website ki estimated monthly traffic report check kar sakte ho.
  2. Website ki alexa rank and google pagerank.
  3. In-site SEO (Within your website) and OffiSite (Outside your website) SEO report.
  4. Google me indexed site ke total pages.
  5. Total backlins information.
  6. Website blog ki Social Media and different blog directories persence report.
  7. Title tag, meta description, alt attribute, google preview and heading score.
  8. Keyword cloud, keyword Consistency, robots.txt file, sitemap, google publisher, in page links and broken links.
  9. Website responsive report, mobile visibility, font style, desktop and mobile device site speed, framework etc.
  10. and inke alawa bhi bahut kuch SEO score details show hoti hai.

What score is good and what is bad: कितना SEO स्कोर सही होता है और कितना ख़राब

Is tool ki faq terms ke anusar aapki site ka SEO score aysa hona hota hai.

  • Less than 40 is bad.
  • 40 to 60 is good.
  • 60 to 80 is very good.
  • 80 plus is exceptional.

Finally, agar aapko ye tool pasand na aaye to aap kisi or SEO checker tool par apni website ki performance report jarur check kare or site me jaururi chanes karke use or jyada search engine optimized banaye. Jisse aapko search engine se adhik traffic mile or aane wale time me aap ek successful blogger ban sake.

Aap chaho to is report ko future ke liye PDF format file me download bhi kar sakte ho. Jisse aapko bar bar is site par report check nahi karni hogi. Isse aapka time west nahi ohga or aap PDF file ko dekh kar apni site ko optimize kar sakte ho.

To ab aap abhi woorank.com par apni site ki SEO report check kare or comment me iske bare me btaye ki ye tool aapko kiasi lagi sath hi is post ko social media par bhi share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (27)

  1. Avatar for Areesha KhanAreesha Khan

    Bhai meri site ka score 61 hai ayr ziada kaise improve karu…

  2. Avatar for Niraj YadavNiraj Yadav

    Wow mast post sir thanks for this article

  3. Avatar for lakshmanlakshman

    aapne jis seo cheker tool ke baare me bataya hai kya be sahi seo
    jankari deta hai blog ki .

  4. Avatar for PabanPaban

    Sir mere blog google search engine par jab connect karma hu to connect this hota kyu Apne jo tarika bataya hai maine sabhi follow kiya par blog google search console par add hota hai par veryfi nhi hota kyu please rply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Verify karne par kya error aata hai.

  5. Avatar for VishalVishal

    भाई क्या android मोबाइल से ब्लॉग चलाया जा सकता है ।
    क्या ब्लॉग्गिंग के लिए laptop होना जरुरी है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      मोबाइल से भी बना सकते हो मगर स्क्रीन छोटी होने से परेशानी होगी

  6. Avatar for Amit tripathiAmit tripathi

    Not a good site to check score , i check for my blog one time showing 70+ then 80+ and then 50+ , Moz score is far batter then this.
    i hope you will publish my comment.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Amit mere hisab se aap galat ho. Becoz is site ko mai kei bar use kar chuka hu. Y ek dam sahi report show karti hai. Really agar aap wishwas karo to jab aapki site ki report me difference show hota hai to aap uski details bhi check kiya karo ki iska kya reason hai. Seocnd ye site result show karne me kuch jyada time leti hai.

  7. Avatar for Irshad AhmadIrshad Ahmad

    BAhi mai ek puchna chata hu aapki har post me Share with your friends ye style achi lagti hai kya mai bhi aaise hi use kar sakta hu plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha bilkul kar sakte ho.

  8. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    Thanks Bhai, Mai Seo ko lekar hamesha chinta me rahta tha, is webste se check karne par mera score 62.6 aaya jis se muhje khusi hui,

    Bhai AdSense ke liye Keyword pure blog me ek hi tarah ke topic ke use karne chahiye ja kisi bhi topic ke kar sakte hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kisi bhi topic ke kar sakte ho.

  9. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    Sir woorank 67 ho to site Best Hai Isko improve kaise kre.. koi suggest kro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mahaveer aapko chahiye ki ek bar aap post ko pura padhe. I hope post padhne ke bad aap ye question nahi puchoge. By the way aap is tool par apni site ki kamiyo ko dekh kar solve karo ran badh jayegi.

  10. Avatar for pradeeppradeep

    Chitika ka code kis jagah dalna mujhe maloom nahi
    Please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Apni blog ki post me jao or html section par click karke kahi bhi ad code paste karo. iske alawa aap blog ke sidebar me ad laga sakte ho uske liye aap blogger dashboard >> layout par jao or widget par click karke html/javascript select karo or ad code add karo.

  11. Avatar for surendra rsdpsurendra rsdp

    really Isme Toh bhut saare took hai jo ki free hai . And I am Lucky my Woorank is 63.7

  12. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    bhai aapne meri comment delete kyon kar di maine aapse do baar question pucha tha aapne disclaimer page kaha se create kiya hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Umesh aap comment policy ko avoid karoge to aapki comment delete kar di jayegi. Mai iske bare me post likh chuka hu aap search box me search kar sakte ho. Post me jis site ke bare me btaya hai maine bhi usi se disclaimer page banaya hai. ye post padho Blog Ke Liye Disclaimer Page Kaise Banaye

  13. Avatar for IsmailIsmail

    Bhai ye tool mein chek kiya mera server ip other country ka bata raha hai aur wahi aapki site ka chek kiya to india dheli ka hai kaise change kare bhai server ip please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ismail aap tool par site ka url paste karke thoda wait karo isko full resuls show karne me thoda time lagta hai.

  14. Avatar for KabirKabir

    Bahut hi badhiya Tools hain Maine apni nayi website ko check kiya to mujhe 53 Score mila…. Thanks…

  15. Avatar for Sanket kumar gopeSanket kumar gope

    Mera ek blogspot se Adsense account approve ho chuka tha but usme pta nhi kch prblm ho gya hai to mai dusra email se dusra blog banana chahta hun domain kharid k aur Adsense fir se chalu karna chahta hun to hoga ya kuch problem hoga?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi problem nahi hogi aap aysa kar sakte ho.

  16. Avatar for Mahendra KumarMahendra Kumar

    Hello sir mujhe apne blog ke sabhi post ki category change karni hain, agar sabhi post ki category ek sath change karu toh mere blog ki ranking, traffic me kya change aayega. or ek blog me jyada se jyada kitni category rakhni sahi hoti hain.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Category change karne se aapke blog ki search rank me sirf itna fark padega ki jab tak aapki new category search engine me index na hogi aapko old category par error 404 page not found problem hogi. jise aap search console se fix kar sakte hai. aap blog me 20-30 category bana sakte ho or ek post me 2-5 category lable hi use karo.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...

Ad