Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare in Hindi

Blogspot blogging ki starting ke liye bahut badhiya blogging platform hai. But jab bat aati hai blogging ke online business ki to WordPress sabse pahli choice hota hai. Iska sabse bada karan ye hai ki blogspot par humara full control nahi hota hai. Google hume sirf limit control deta hai. Ek tarah se hum google ka hi blog chala rahe hote hai. But WordPress par humara full control hota hai. Us par hum chahe jo kar sakte hai. Is tutorial me mai aapko blogger blog ko blogspot se WordPress par import karne ki information bta raha hu. I sure aapko jarur pasand aayegi.

Import your blogger blog from blogspot to WordPress

Maine blogspot blog ko WordPress par transfer karne ke bare me complete information di huyi hai. Agar aapko blogger blog ko WordPress platform par migrate karne ki puri jankari chahiye to aap humara Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Karte Hai article padhiye.

Aap easily apne blogger blog ki posts, pages, comments and images ko WordPress platform par import kar sakte hai. Iske liye bas aapko apne blogger blog ke backup ki jarurat padegi.

Agar aapko blogger blog ka backup lene ki jankari chahiye to aap Blogspot Blog Ka Backup Data Kaise Download Kare  post padh kar pahle apne blog ka back up bana le.

Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Migrate Your Blog

Wese aap chahae to apne blogger blog ki only post ko bhi WordPress par move kar sakte hai. But agar aapke blogspot blog par acha traffic hai to aap full blog content hi WordPress par import kare.

Blogspot blog ko WordPress par import karna bahut hi aasan hai. iske liye sabse pahle aap apne blogger blog ka backup bana le ya fir aap niche diye image ko follow kare. Aapko sirf 2v hi step follow karne hai.

1. Download Backup Your Blogger Blog

Aap blogger dashboard > settings > other par jaye or Back up Content par click kar apne blog ka backup download kar le.

Back up Content of blogger

2. Guide To Import Your Blogspot Blog To WordPress

So ab mai manta hu ki aapke pas blogger blog ka backup bih hai or aap use WordPress par import karne ke liye ready hai. Ab aap apne WordPress par ja kar sign in ho kare. Uske bad niche diye step follow kijiye.

WordPress blog ke dashboard par jaye or Tools >> Import par click kijiye. Ab Blogger par click kijiye.

Import Blog

Jaise hi aap blogger option par click karoge to ek pop upplugin  page khulega. Jisme aapko blogger importer plugin install karne ke liye kaha jayega. Yaha par Install Now par click kare.

Blogger Importer

Plugin install hone ke bad “Activate Plugin & Run Importer” par click kare. Ab yaha par aapko apne blogger blog ka backup import karna hai. Iske liye Choose File par click kare or apne computer me se blogger blog ka back up select kare. Uske bad “Upload file and import” par click kare.

Import Blogger

Bas ab ek bar aapka data WordPress par import ho jaye. Isme kuch time lag sakta hai. Kitna time lagega ye aapke blogger blog ke backup par depend karta hai ki backup kitne MB ka hai. Uploading complete hone ke ad aap apne all data ko WordPress platform par use kar sakte ho.

By the way, Agar aapko koi data jaise age or commets WordPress par import na ho to aap blogger importer plugin ki jagah koi dusra plugin use kar sakte hai.

To friends dekha kitna aasan tha blogger ke blogspot blog ko WordPress par import karna. Hum is choti si techniq se ye kar sakte hai. Agar aapke pas isse bhi better koi or information hai to aap comment me humare sath apne thoughts share kar sakte ho.

Kya aapko is post me blogger blog ko WordPress par import karne ki complete jankari mili hai or aap is post ko padhne ke bad aasani se WordPress par apna blog import kar sakte ho.

Agar aapko ye article helpful lage to ise social sites facebook, twitter or google+ par apne friends and other blogger ke sath share jarur kare.