Google ke free blogging platfrom BlogSpot par blog bana kar success ho sakte hai ya nahi. Har new blogger ko is sawal se confusing hoti hai or wo ye decide nahi par pate hai ki blogging kis platform par kare. Yaha main “Kya Blogger Platform Par Blogging Me Success Ho Sakte Hai” ko puri tarah se explain karunga taki aap sahi decision le sako.
Maine apna sabse pahla blog google service blogger platform par hi start kiya tha or next 3 month blogger par hi blogging ki mera wo safar bahut hi majedar or learning type ka raha. I hope aesa karne wala main akela nahi hu bahut se bloggers ne blogspot se starting ki hai.
“Sir kya main blogger par blogging kar success ho sakta hu” Ye sawal mujhse thousands people puch chuke hai. Maine 2024 me blogging me kadam rakha tha or mera makad tha newbie blogger ki help karna par pata nahi kaise mujhse ye topic chhoot gaya.
2024 aa gaya hai par aaj bhi bahut se new user ko is bare me sahi jankari nahi hai. Bahut si galat bato se wo misguide ho jate hai. Isiliye aaj main aapko iske bare me sahi jankari le kar aaya hu.
Kya Free Blogger Platform Par Success Ho Sakte Hai
Mostly, blogger starting to blogger par karte hai lekin jaise hi unhe self-hosted WordPress platform ke bare me pata chalta hai wo apna blog blogger se wordpress par shift kar lete hai. Newbie ko confuse karne ki ye sabse badi wajah hai.
Sabse pahle main aapko bta du ki blogspot hai kya?
Bahut time pahle google ke pas humare har sawal ka jawab nahi tha kyuki internet par bahut kam websites or web pages available the. Tab google ne 23 Augest 1999 me ek free service launch ki jiska name blogger tha ise blogspot bhi kahte hai.
Isse google ka maksad tha ki log aaye or uski is site par apni free blog banaye or apne thoughts internet par online public ke sath share kare.
Tab wordpress ka ata-pata bhi nahi tha. WordPress 27 May 2003 me aaya or agle kuch hi saalo me ye bloggers ki first choice ban gaya. Finally, aaj time ye hai ki bloggers decide nahi kar pate hai ki wo kisko select kare.
Important: WordPress par blog banane ke liye aapko domain and hosting leni hoti hai jabki blogger par aap without hosting or domain ke apna blog create kar sakte ho.
Simple jawab hai, Agar koi user jo pay karne me able hai wo wordpress choose kar sakta hai or jo pay nahi kar sakta wo blogspot free platfrom select kare.
Lekin yaha sawal wordpress or blogger me se kisi ek ko choose karne ka nahi blogger par success hone ka hai.
Actually, Aapki success platform par nahi aap or aapke kaam par depend karti hai. Agar aap behtar kar sakte hai to aap kisi bhi platform par success ho sakte ho.
Aap aapki website or blog ke owner hote hai or aap apni site par chahe jo kar sakte ho. Yani aapka site par 100% access hota hai. Blogger par aesa nahi hai.
Blogger ke features ki limit hoti hai or aap use chahe jaise manage nahi kar sakte ho jabki wordpress par aap chahe jo kar sakte ho. Yahi sabse badi wajah hai jab ek blogger ki jarruate blogspot se puri nahi hoti to wo koi or platform par shift ho jata hai.
Lekin har blogger ke liye ye important nahi hai. Uske liye us blogger ki jarurate important hai. Agar aapki jarurate blogger se puri ho jati hai to aapko kisi or platform par jane ki jarurat nahi hai.
Yani aapki jarurate hi aapki safalta ka hai. Isiliye blogger par safal hone ke bare me janne se pahle aapko ye pata hona chahiye ki aapki safalta kya hai
Success Kya Hai
Har blogger ka apna goal hota hai. Yaha ye matter sabse important hai ki aap apne blog se kya chahate hai. Main yaha kuch top goals ke bare me bta deta hu.
- Aapko personal blogging karni hai.
- Aapko business blogging karni hai.
- Aap apne aapko blog se famous karna chahate ho.
- Aapko apne blog ko most popular banana hai.
- Aap blog se paise kamana chahate hai.
- Aap blogging kar bahut sare logo ke sath kaam karna chahate hai.
Aese bahut se goal hai. I sure sabhi blogger ka goal ek nahi ho sakta hai har blogger different choices se blog banata hai.
Ho sakta hai aapko apne target ke bare me pata ho agar nahi hai to pata kar lo tabhi aap ye decide kar paoge ki kis platform par blogging karni hai.
Ab jab aap apne goals ke bare me pata kar lo to ye confirm karo ki blogging karne ke liye aapko kya kya chahiye or agar aapki jarurate blogger se puri ho jati hai to aap abhi se blogger par shuruaat kar sakte ho. But agar aapke goal ke liye blogger kafi nahi hai to aap wordpress platform select kare.
In simple words, agar aapko personally blogging karni hai to blogger or agar aapko professionally blogging karni hai to wordpress platform choose kare.
Kuch logo ka kahna hai ki blogger par rah kar aap google adsense, affiliate etc. se paisa nahi kama sakte. Ye bilkul galat hai. Agar aapko CSS, HTML ki basic knowledge bhi hai to bhi aap blogger me ad placement kar achhi earning kar sakte ho. Haa ye thoda mushkil hai par namumkeen nahi.
Main yaha ek jaruri nbat kahna chahunga “Agar aap professional blogger banna chahate hai to blogger par time west mat karo or agar aap personal blogging karna chahate ho to wordpress par money west mat karo.”
I hope aapke liye mera ye article helpful or useful sabit hoga or aap aasani se decide kar sakoge ki aapko kis platform ka use karna hai. Agar aapko blogger ya wordpress par blog banane ki jankari chahiye to huamri ye 2 post read kare.
- Blogger Par Free Blog Kaise Banaye – Puri Jankari Hindi Me
- WordPress Par Website Kaise Banaye – Step by Step Full Guide in Hindi
Agar haa to ise social media facebook, twitter, google+ par apne dosto or newbie ke sath share jarur kare.
Mai travel par blogg likhna chahti hu to iske liye blogger thik rahega? Kyoki isme kuch zyada professional nhi karna mujhe sirf travel place ki। Info dena hai and link dalna hai
Nice article for every blogger platform user sir keep it up it’s best
sir mene bloggger pr site banai hai prblm ye hai ki jb v koi post fb, whatsapp par share karte hai to link k santh me pic show nhi hoti h …………… pahle hua karti thi
pls guide me..
Featured image use karo
Hi Sir Mai Blogger(Blogspot) se paise earn Karna chahta hu 28 post likh chuka perday 12 view hote hain AdSense signup Ka option show ho raha hai kya signup se earning hogi .Help me I want to earn little bit….tell me
Thoda traffic aur badhao uske bad adsense signup karo. Isme ye psot apaki help karegi. Adsense Account Approve Kaise Karaye 2018