Kya Aap Successful Blogger Banna Chahate Hai – Success Baniye

Hello friends, Mai janta hoon ki is blog ke pratyek reader ko kuch Nayi or Upyogi jankari chahiye hoti hai. So aap is post ko jaroor padhna chahenge, Taki aap bhi Ise popular or successful ho sake. Of Course I’am Right. To chaliye aaj mai aapko btata hu ki ek successful blogger kaise ban sakte hai or blogging me success hone ke liye kya kya karna padta hai.

Become a successful blogger
Ek cheej jo me saaf kar dena chahta hu, ki Popular or Successful 2 alag alag shabd nahi hain darasal yah Same Words hain. Example ke liye yadi aap Popular hoge to Swabhavik hai ki Aap Successful bhi Honge. Friends Ab Ham Samajh Gaye Hai. Popular Person = Successful person Hota Hai.

Kya Aap Ek Successful Blogger Banna Chahte Hai

So Friends is post me, main na sirf aapko Successful hone ke Tips batane Ja Raha Hu balki Aap safal kaise ho Sakte Hai Ye bhi batane ja Raha hoon. So Friends Aaiye jante hai ki Aap Successful Blogger kaise ban sakte hai.

1. Personal Blog ke sath shuruaat kare

Friends yadi aap ek Successful Blogger banna chahte hain tab iska ek achha tarika hai ek Personal Blog Start Karna.
Personal Blog Isliye Kyonki yah Totally Aapke Baare Me Hoga Aur Iski Sabse Acchi Baat Yah hai ki Is Personal Blog Ki URL Blogger (Means Aapke Name) ke name per hogi. Jaise ki (Yourname.com)

Kintu me janta hoon ki aapme se bahut se log Aise hai Jinke Paas Personal Blog nahi hoga. To chinta mat kijiye aap iske bina bhi Successful Blogger ban sakte hai.

2. Apne Readers ki Problems Solve kare

Baise aapne is Sentence ko Other Websites Par Pehle hi padha hoga, Lekin viswash kijiye ki yah bahut hi Important or Effective hai. Friends Problem Solve karne wale Blogs or Website bahut hi kam samay me safalta pa lete he or Popular ho jate hain.
Kyoki Internet per log Aapki Website sirf Padhne ke liye Visit Nahi karte, balki be kuch Upyogi or Valuable Information pana chahte hain.
So Friends agar aap ek Popular or Successful Blogger bnana chahte hain To Apne Readers ki Problem solve kare.

3. Other Bloggers ke Friends bane

Friends Apni field ke anya logo ke sath Relationship Create karna bahut hi upyogi hota hai, yah ek Great Knowledge ka strot hai. So Friends anubhavi (Experienced) logo Se Baat kare. Aur Unki Asafaltaon Aur Galtiyon se seekh Le. Is Tarah se aap apne aap ko pehle se behtar bana sakte hai.

Friends Bloggers se Dosti Karne se jyada se jyada log aapke baare me jaan paayenge. Aur is tarah se jyada se jyada log jald hi aapko janane Lagenge Aur Tab Aap Ek Successful Blogger ban jaayenge.

4. Khud Ko Aur Apne Blog Ko Promote Kare

Friends promoting ek achha aur seedha tarika hota hai. Jisse aap khud ko or apne blog ko popular bana sakte hai. bahut se log hote hai jo is step ko chod dete hai or sochte hai ki yah Important nhi hai.

Lekin we bilkul galat hai. Promotion hi Only aisi cheej hoti hai jo ki kisi bhi Business ko Chamka Deti Hai.

Jo Ki Ek Movie Ko Box Office Par Top Me La Deti hai. Jo ki kisi Bhi Cheej Ko Popular bana Sakti Hai. So Friends Promotion karna Mat Chodiye.

Aaj promotion kisi bhi Bbog ke liye bahut Important hai. kyonki jaisa ki aap jaante hai ki internet par aaj aapke blog ke jaise hajaro blogs Hai aur In Blog se aage nikalna bahut Hi kathin kaam hai.

Aur aisa Karne ka ek maatra tarika hai. or wo hai quality content likhna or use promote karna sirf apne liye hi nhi balki apne Blog ke liye Bhi.

5. Visitors Ko Waiter Ki Tarah Serve kare

Friends yah aapko majak lagta hoga, Lekin yah bilkul sach hai. Friends Jab aap restaurant jaate hai tab aapne waha Kuch waiters jaroor dekhe hoge, jo ki aapko aapke naukar ki tarah khana paroste hai. To mera manana hai ki ek blogger ko apne Readers ko ek waiter Ki tarah serve karna chahiye.

Kyonki Sirf Readers Hi Ek Blog Ko Successful Aur Popular Bana Sakte Hai. Aur aap ho ya ham koi bhi bina Readers ke nhi rah sakta. So Friends visitors ko waiters ki tarah serve kare.

6. Ab Aapka Agla Kadam Kya Hoga

Friends sirf popular or successful banna hi Important nhi hai, Balki Aap logo ki kis tarah se madad karte hai yah asli Matter Hai. Aur jaisa ki maine is post me bataya ki internet par log sirf aapke blog ko dekhne nhi aate balki be kuch naya or interesting janana chahte hai.

To Friends ham yah keh sakte hai ki we selfish (swarthi) hote hai (Sorry Lekin yah sach hai).

To Friends hamesha utkrashta banne ki koshish kijiye na ki successful banne ki. kyonki utkrashtata hi only aisi cheej hai Jo aapko safalta Ki or agrasar kar sakti Hai.

Saath hi ek baat yaad rakhe ki safalta koi raato raat prapt hone wali process nhi hai. balki kabhi Kabhi to Isme bahut samay lag jaata hai. or kabhi kabhi to kuch dino me hi Aap Safal Ho jaate hai.

Aasha hai ki aapne meri is post se bahut kuch seekha hoga. Kya Aap Points Share Karna Chahte hai. To hamen Comment ke maadhyam se Jaroor bataye.

Is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Lalit Banjara

by: Lalit Banjara

If you are an engineer or a doctor, there is only one job you can do. But if you don’t have a degree, you can do anything.

Comments ( 19 )

  1. श्रीमान ब्लाग के शब्द संकेत के बारे में बतायें।

    Reply

Leave a Comment