Google unnatural outbound link ki wajah se aapki site ko penalize kar sakta hai. Google team ne bahut sari websites ko manually action le kar unnatural outbound liking ke issue se penalty di hai. Hum sabhi jante hai ki unnatural link hume google se penalties dila sakte hai. So aaj main aapko isse bachne ke kuch tips bta raha hu jinse aap apni site ko outbound links se secure kar sakte ho or google penalty se bacha sakte ho.
Google aapko “Aap kis tarah others websites ke link apni site me add karte ho” par penalties de sakta hai so aapko pata hona chahiye ki google ki is penalty se kaise bacha jaye or unnatural outbound linking ko kaise avoid kiya jaye.
- Unlimited Backlinks Check Karne Ki Best Free Tools
- Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways
Yup, you sure can, aap aesa kar sakte ho or apni site ko “unnatural outbound links” issue se bacha sakte ho jo ki bilkul inbound link penalty ki tarah hai.
Table of Contents
Google Ne Meri Site Ko Penalize Kiya Hai Kaise Pata Kare?
Google ne aapko outbound linking ki wajah se penalies kiya hai ya nahi ye pata karne ke liye aap apne search console me jaye or all messages box option ko check kare. Yaha dekhiye koi notification to nahi hai. Google weekly outgoing linking search issues ke message send karta hai agar google ne aapko penalty di hogi to message aaya hoga.
Yaha aapko outbound links ke alawa other penalty like inbound links penalties ke bare me notification mil jati hai. So weekly google webmaster tool me messages box check karte rahe. Google ne is bare me koi comment nahi ki hai so main yaha jyada explain nahi kar sakta.
How to Avoid Unnatural Outbound Links Penalty From Google in Hindi
Maine bahut si websites or blogs par dekha hai ki spam commenting, spam guest posting and other method se humari site ko penalty mil sakti hai. Kyuki kuch user guest post or comments me bad links add kar dete hai. Jinki wajah se google aapko penalty de skta hai.
Links ka website par kya effect padta hain iske bare me maine Hard Truth About Links: Content Linking Ke Bare Me 10 Jaruri Bate post me details se already btaya hua hai. Agar aapko links ke bare me jyada jankari nahi hai to aapko ye post jarur padhni chahiye.
How to Avoid an Outbound Link Penalty:
- Avoid linking to low quality and spam websites.
- Bad web directory ko avoid kare.
- Guest posting me add links ko check kare or extra links ko remove kare.
- Nofollow links use kare or jitna ho sake user generate link ko allow nahi kare.
- Traffic increase karne wali websites me apni site ka links add na kare.
- Aesi websites ke link add na kare jo bahut jyada money earn karne or aesi hi other service provide karti ho.
- Kisi bhi referral link par aapko shaq hai to use ignore kare ya fir use istemal karna jaruri hai to pahle uska review kar le.
Google Se Outbound Linking Penalty Milne Par Kya Kare ?
Agar aapko google se outbound link penalty mili hai to in step ko follow karke problem ka resolution kar sakte ho.
- Sabse pahle aap external links pata kare jinki wajah se google ne aapko penalize kiya hai. Iske liye aap Screaming Frog tool ki help le sakte hai jo aapko external links ki report deta hai.
- Google webmasters guidelines read kare or apni problems ki identify kare.
- Google search console me reconsideration request submit kare. Ho sakta hai google aapki site pa se linking usse ko remove kar de. Iske liye aap details me feadback send kare.
- Problematic links ko remove kare or external link (jis par aapko suspicion ho) me nofollow tag add kare.
Aap is tarah se external links me nofollow tag add kar sakte ho.
<a href="example.com/xyz" rel="nofollow">external link</a>
Maine iske bare me bhi already details se btaya hai. Iske liye aap humari No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai post read kare.
Finally, Meri aapko yahi recommendation hai ki aap bina jarurat ke extra outbound links ko avoid kare or apni site me add na kare. Unnatural links se bache or apni site ko secure rakhe. Kyuki google all websites ke traffic ka main source hota hai. Aapki site ka bhi hoga.
- 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
- Duplicate Content Kya Hai ? SEO Me Hone Wale Fayde aur Nuksan
Agar aapko google ne penalties de di to aapki site ka 50% career kharab ho jayega. So is problem ko ignore na kare or is matter par seriously work kare. Ummid hai is post ko padhne ke bad aap ab koi mistake nahi karenge.
I hope ye article aapke liye helpful sabit hoga or aap google penalty se bach sakenge. So please apna 5 second ka time de kar is post ko other blogger ke sath share jarur kare.
Mere blog ka spam score moz site par 10% show kar raha hai. maine sabhi disawove sites aur urls ko google search engine me submit kardiya. but moz se wo 10% spam score nahi remove huwa hai abtak.
Mai kya karu kuch samajh nahi aa raha hai.
Wait isko update hone me time lagega.
fake page view par blog ka koi nuksan to nehi hoga na. hoga to kaise fake page view rokna chahiye ?
Bilkul hoga fake traffic se aapke blog ki value down ho jayegi. iske bare me maine post ki hai search box me search kar lo.
sir ek help kar do plz…Maine AdSense account par …Jaisa mera Adress h..buss stand Aise hoga…but Maine AdSense par….bas stand Aise likha hua hai…
matlv Maine stalling Wong likh diya… mera AdSense ka pin v mujhe mil gya but mai ye janna chahta hu mujhe isse payment lene me problem to nhi na hogi
Mil jayega wese pin verify karne ke bad aap wo galti theek ar sakte ho. Google policy ke anusar 1-2 spelling mistake tak jati hai.
mera blog par daily 200 page view ho raha tha lekin aaj Israel se 2600 se jyada viewer kaise ho gaya ? ye page view fake hai kya ?
yes ye fake traffic hai.