Over-optimization Kya Hai Aur Isse Apni Website Ko Kaise Bachaye

SEO optimization website or blog ko google search me top me lane ke liye important hai lekin too much SEO over-optimization ka karan ban jata hai aur over optimizing ki wajah se aapki site ko google penalty mil sakti hai. Is post me main Over Optimization Kya Hai? Over-Optimization Se Website Ko Kaise Bachaye? ki guideline share kar raha hu jo aapki site ki search rank improve karne me help karegi.

Over-optimization

Jaha search engine optimization se humari site ki search rank better hoti hai wohi search engine over-optimization ya over-optimizing ki wajah se humari google me site ko top ranking nahi mil pati hai.

Life ke ek bitter truth hai “Bahut jyada achha bura hota hai.” SEO me bhi kuch aesa hi hai. Aap SEO karke site ko search engine me rank kara sakte ho lekin bahut jyada SEO karne se over-optimization ki problem hoti hai aur usse ulta aapki site ki search rank down ho jati hai.

Kya aapki post SEO optimization karne ke bad bhi google me rank nahi kar rahi hai? kya aapki site par seo friendly content hone par bhi uski search rank boost nahi ho rahi hai? Agar haa to aapki problem ka solution is post me hai.

Over-optimization Kya Hai?

What is over optimization in hindi: search engine over-optimization bahut saare SEO improvements ki practice hai jo website search ranking ko ruin yani barbad kar deta hai.

Hum sabhi apni website or blog ka SEO karte hai aur use search engine friendly banane ki koshish karte hai taki humari site google me top position me aa sake.

Lekin anjane me hum over-optimizing kar baithte hai, jisse humari site ki rank increase hone ki jagah decrease ho jati hai.

Apni website ka seo karte time humse over-optimization ho jati hai aur ek newbie blogger ya website owner ko iska pata bhi nahi chalta.

Wo sirf ye sochta rah jata hai ki aakhir mere site ka sahi se SEO karne par bhi meri site google me rank kyu nahi kar rahi hai.

Kaise pata kare ki meri website par over-optimization hua hai? don’t worry! is article me aapko iski puri jankari yani complete guide mil jayegi.

Yaha par main aapko over-optimization me hone ke kuch signs bta raha hu. Jinse aap pata kar sakte ho ki aapki website par over-optimization hai ya nahi.

Website or Blog Ko Over-optimization Se Kaise Bachaye

Apni website par over-optimization ko avoid kaise kare 2024 – complete guide in hindi. Ek time tha jab over-optimization site bhi google me rank kar jati thi aur SEO expert keyword stuffing kar aasani se search engines ko bevkoof bana dete the.

Us time aap keywords ka istemal kar aur spam linking kar apni site ko google search results me top par la sakte the, sabkuch bahut hi aasan tha.

Lekin ab aesa bilkul nahi hai, ab over-optimization aur kaam nahi karta. Google teji se badal raha hai aur apne search algorithm ko lagatar update kar raha hai. Ab over-optimize site ko google rank nahi deta hai.

2012 me google ne over-optimization websites ko penalty dena shuru kiya aur aesi sabhi sites ka google search result se safaya ho gaya.

Agar aap bhi jane-anjane me apni site par over-optimization kar lete ho to google aapki site ko bhi penalize kar sakta hai.

10 Sings Jo Btate Hai Ki Website Par Over-optimization Huyi Hai Ya Nahi

Yaha par main wo sab information bta raha hu jisse aap aasani se pata kar sakte ho ki aapki site par over-optimization hua hai ya nahi aur apni site ko google penalty se bacha sakte ho.

Ye signs btate hai ki aap apni website or blog par over-optimization kar rahe hai.

1. Non-relevant keywords

Un keywords ke liye traffic pane ki practice na kare jo aapki site ke liye relevant nahi hai. Agar aapke pas ek conversion optimization website hai to aap us par health se related article na likhe.

Jo log non-relevant keyword par content likhte hai unme main bta du ki ye off-niche over-optimization ka example hai.

Google aapki site ko crawl and index karta hai. Yeh aapke dwara pure domain me use hone wale keywords ko dhyan me rakhta hai, fir un keywords ke liye aapki site ko rank deta hai.

Non relevant content likhne se over-optimization hogi aur is wajah se aapki site ke baki pages or posts bhi google SERPs se alag ho jayenge.

Main aapko suggest karunga ki aap keval apne niche par focus kare taki aapki site ki search rank bani rahe. Aap apne keywords par hi bahut achha aur bahut sara content likh sakte ho.

2. Link Building

Agar aapne kabhi puri tarah se koi website nahi banayi hai to shayad hi aapko pata hoga ki hundreds links build kiye ja sakte hai.

Unfortunately, kai bar log ek type ki link building par jyada focus kar lete hai aur normally people unnatural links profile links banate hai.

For exmaple, commenting, forum, social profile etc. se apni site ke liye bahut saae nofollow backlinks bana lena lekin dofollow links banane par care nahi karna.

Hum jitne bhi tarike se apni site ke liye backlink banate hai unme se adhiktar tariko se nofollow backlink hi milte hai. Website par bahut jyada nofollow links aur bahut kam dofollow links hona over-optimization ki nishani hai.

Aesa hone par site ka spam score to badhta hi hai balki google search rank bhi down hoti hai. So isse bache aur apni site ke liye nofollow backlinks ke sath follow links bhi banane ki koshish kare.

3. Pointing all internal or external links to top-level navigation pages

Ek healthy website ke homepage aur navigation menu me internal pages and pointing links hote hai. Kuch website or blog ke home page ya nav menu me bahut saare links add hote hai.

Isse koi problem nahi hai lekin over-optimizing tab hoti hai jab website par about us, contact us etc. pages ke bahut saare links add karte hai.

Kuch blogger apni site ke navigation menu, homepage area, sidebar widget, footer widgets aur footer credit links me same link ko repeat karte hai. Isse over-optimization ki problem hoti hai.

Halanki google first link ko crawl karta hai aur baki links ko avoid kar deta hai lekin ye over-optimization ka ek karan hai, jisse problem ho sakti hai.

Aap internal linking karna chahate hai ya link add karna jaruri hai to aap khushi se kare lekin ek hi link ko bar-bar kai jagah par add karne ki jarurat nahi hoti hai.

Same aesa hi aapko post content me karna hai. Kisi ek post ya page ke link ko bar bar repeat nahi karna hai balki kisi achhi location par ek bar hi add karna hai.

4. Using Multiple H1 Heading

H1 tag page or post ki main headin yani title ke liye hota hai. Iska istemal post content me nahi karna chahiye. Post content me H1 tag ko chhod kar baki H2, H3, H4, H5, 6 ka use kar sakte ho lekin jarurat ke hisab se.

Jane-anjane me kuch webmaster mante hai ki H1 heading ka content me istemal karna SEO ke liye important hai aur wo aesa karte bhi hai.

Ye bilkul sahi nahi hai aur kisi page par H1 tag ka ek se jyada bar istemal karne se over-optimization hoti hai. Is rule ko yaad rakhe page me H”1″ yani 1 bar hi use hone wali heading.

Post ka title already H1 tag me hota hai so aapko content me H1 tag ka istemal karne ki koi jarurat nahi hai baki sabka istemal kar sakte ho.

5. Linking with Toxic Sites

Jin sites se aap apni site ko link karte ho wo website bahut important hai. Aapko humesha apni site se relevant, related content, good DA or PA wali site se linking karni chahiye.

Spam ,toxic, low DA or PA sites se backlink banana negative SEO practice hai aur isse aapki site ko google se penality bhi mil sakti hai.

Aesi website se backlink banaye jinki Domain Authority (DA) and Page Authority (PA) 20+ ho. Spamming site se linkins karne se over-optimization hoti hai.

Aap jis kisi website se linking karna chahate hai uske bare me achhe se review kar le aur sath hi relevant content wali site se hi backlink banaye.

Ek joke site ke liye health site se backlink banane se koi fayda nahi hoga utla nuksan hi hoga. So only related content wali site se hi backlink banaye.

6. Keyword Stuffed Footer

Bahut si websites ke footer me over-optimization ki gayi hoti hai. Footer me bahut saare keywords ka istemal kiya jata hai aur bahut saare pages ko link kiya hua hota hai.

Apni website ke footer me over-optimization karna apni site ke SEO ke pair me shoot karne ka shandar tarika hai. I hope aap samajh gaye honge, aesa nahi karna chahiye.

Google footer links ko devalue karta hai aur kisi page ke niche footer me add link ko kam se kam crawl karta hai. Sath hi footer links ka CTR bahut bad hota hai. Footer link se SEO me lagbhag na ke barbar fayda hota hai.

Agar aap apni site ki footer widgets me bahut jyada keywords aur links add karte hai to iska matlab aap over-optimizing kar rahe hai.

Website footer me jaruri page like about us, contact us, service, disclaimer, sitemap, phone number, contact number or email address etc. content ho sakta hai. Isme koi problem nahi hai.

Lekin footer me geo specific keywords ka istemal akrna galat hai. Ye over-optimization hai aur risky hai. Is bat ka vishesh dhyan rakhe.

7. Non-branded, Keyword-dense URLs

Ek powerful URL domain ke chakkar me kuch log healthy or balanced brand name ki jagah hyper-optimization URL choose karte hai.

Jaise ki aapki company ka name hai seo tips aur aap domain lete ho “superseotips.com” Ye choose kar aap apne aapko smart samajh sakte hai lekin ye domain aapko over-optimization ke liye high alert par rakhta hai.

Aap apni brand ke liye domain le sakte hai jaise ki best cheap hosting name ki company ke liye bestcheaphosting.com domain, ye better hai.

Apne brand ke liye ek keyword ke sath domain lena important hai lekin non-brand domain lene se over-optimization ki problem hoti hai.

Main aapko suggest karunga ki aapka brand name hi aapka URL hona chahiye. Ye SEO ke liye better hai.

8. Keyword-rich Anchors for Internal Links

Internal linking SEO ke liye beter hai lekin keyword-rich anchor text ke sath internal linking SEO ke liye bad hai. Kahne ka matlab link add karne ke liye simple text ki jagah keyword wale anchor text add karna.

Google aesi internal linking ko hate karta hai aur ise red flag ki tarah dekhta hai. Kai bar URL se match hone wale keyword ke sath internal linking SEO me beneficially sabit hota hai.

Lekin jab aap bahut jyada keywor-rich anchor text internal linking karte hai to usse over-optimization hota hai jo aapki site ki search rank ko down kar deta hai.

9. Backlink velocity

Kam time me bahut saare backlinks banana search engines ko suspicious lagta hai. Isiliye quickly backlink build karne ki jagag slowly backlink banao.

Jab tak google ki nazar me aapki site trustable ho jaye tab tak slow speed se quality backlink banana behtar hai. Agar aap 1 din me 5k to 10k backlink banaoge to google ise spam maan kar aapki site ki penalty de sakta hai.

So sabse behtar hai ki aap manually aur slowly high quality backlinks build kare aur spammin, paid links, link exchange jaisi method ko avoid kare.

10. Content Creation

Jab aap apne blog ke liye articles likh rahe hote ho to aapko over-optimization ke bare me careful rahna hoga. Content likhte time aapke dimag me ye na ho ki aap keywords, bots, search engine ke liye likh rahe hai balki users ke liye likh rahe hai hona chahiye.

Aapko natural value aur content ko unique and quality banane ki har possible koshish karni chahiye. SERPs me top position par rank karne ka Quality content hi ek matra tarika hai.

SEO rank increase karne ka best way hai, apne niche se related keywords par explained content likhna. Un topics par likhe jo aapke niche se related ho.

It’s true, kabhi kabhi is type ka content search engines me rank kar jata hai aur aapke dwara target kiye gaye gaye keyword par achha organic traffic aa jata hai.

Lekin yaad rahe google ka kaam apne users ko sabse best aur sahi jankari provide karne ka hai aur aap non-relevant ka istemal kar article rank karaoge to google ko jaise hi iske bare me pata chalega aapki site ki rank down kar dega.

Agar aap chahate hai ki aapki site par user wapis aaye to aapko quality content aur user ko satisfied karne wala content likhna hoga.

Conclusion

Over-optimization ek bahut ahem problem hai jiski wajah se bahut si website or blog SEO optimizing ke bad bhi google me rank nahi kar pate hai.

Jab hum site ka SEO karne me bahut jyada focus karte hai to jane-anjane me aesa ho jata hai lekin I’m sure post ko padhne ke bad aapko over optimization ke bare me sabkuch samajh aa gaya hoga aur ab aap ye mistake nahi karoge.

Site ka SEO karna achha hai lekin usme lage nahi rahna hai balki ek bar apni site ka SEO optimization karke aapko article likhne par focus karna chahiye.

I hope aapko mera article pasand aayega aur ye guideline aapke blog ko pahle se aur behtar banayegi. Agar aapko is bare me koi bhi sawal puchna ho to comment me puch sakte hai aur hume btaye ki aap in me se konsi galti kar rahe the.

Agar aapko ye guideline pasand aaye to apna 2 second ka time nikal kar is post ko share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 33 )

  1. Rakesh Razz

    Maine Bohot Kuchh Karne Ki Kosis kee…But Mai Nahi Kar Paa Raha Hu…???
    Maine 30+ Article Likha Hain Wo Bhee Up To 600 words…???But Meri Article Thoda Sa Bhee Rank Nahi Kar Rahi…??? Please Help

    Reply
    • Jumedeen khan

      Valuable content likho jarur rank karegi.

      Reply
  2. Anurag

    Hii,,
    Bhut hi badia article hai ,Isse hame kafi sari jankari prapt hui hai .Thanks .

    Reply
  3. Uttam Gupta

    Mera Question ye hai-
    1- H1 Posts ki Main Heading ke liye use karte hai ,to mujhe apni posts likhni hai aur usme links ye Heading use karna hai mujhe , How to Create paypal account, how to link bank accnt in paypal, How to link pancard in Paypal account ,how to transfer money from one Paypal account to another account, like mujhe es topic ke upr post likhna hai to esme mai ye kaise decide karu ki konsi Heading 2, konsi H3, H4.. ,

    Abhi tak mai ye karta tha , post tittle Main Heading H1, then usme jitni Heading use karni hai uske basis par H2,H3,H4 line se likh deta tha to Aap mujhe ye ki jais mene apni post mai h2 ek jaghe use karli to kya aur Heading mai use kar shkta hu ?? Please Reply jarur dena 1min. nikal ke.

    Reply
    • Jumedeen khan

      1. Inn sabke ke liye H2 ya H3 use karo.
      2. H2 heading ke sath 300 characters content hona chahiye, ek se jyada use kar sakte ho.

      Reply
      • Uttam Gupta

        H4, H5 kab use karte hai , mujhe ye question bhut phle puchna tha but pucha nahi kabhi,

        H2, H3 ye kaise decide karte hai es heading mai h2,h3 use karna hai ,kis mai H4, H5.. , use Karna hai ,pls iska reply aur dedena jisse mujhe aage confusion na ho .

        Reply
  4. Puran Mal Meena

    aapne bahut hi badhiya jankari share ki hai

    Reply
  5. bajrang Lal

    thanks sir aapne hamare liye bahut hi achi jankari share ki hai

    Reply
  6. Anil Kumar

    Good Article , Mene aapake blog me lagbag sabhi article pade hai wha bahut hi ache hai or hame unse blogging ke bare me kafi sara gyan bhi miltha hai ,Thanks Bro..
    Domain ko redirect karke traffic laya jaa saktha hai.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes aap apni old site ko new site par redirect kar traffic badha sakte ho.

      Reply
  7. rovin singh chauhan

    sir apke dwara likhe gayi har post me hume kuch naya he sikhne ko milta hai apka ye article bhi hamare liye bahut he valuable hai.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Thanks and please share it with your friends.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...