Blog Par SEO Friendly Article Kaise Likhe – 10 Best Tips 2024

Hello Friends aaj main aapko blog par seo friendly article likhne ke bare me btaunga. Is article me btayi gayi SEO tips ko follow karke aap blog (Blogger par ho ya wordpress) par search engine optimized content likh sakte ho.

SEO Friendly Article Kaise Likhe

Jab aap koi post likhte ho to uska seo karna jaruri hai taki aapki post google search results me top rank kar sake. Isse aapko jyada visitor milte hai or aapki site ki income bhi increase hoti hai agar aap apni blog ki all new and old post ko seo karna chahate ho to bhi hmara ye article aapke liye useful hai.

Agar aap apni site ko google me top position par dekhna chahate ho to SMI ki SEO category wali post continue read kiya kare, abhi bhi aapko is blog par kai sari seo post mil jayegi. To chaliye jante hai apne blog par seo friendly post kaise likhte hai?

Blog Par SEO Friendly Post Kaise Likhe – 10 Badiya Tips in Hindi

Website par SEO friendly article kaise likhe ki hindi jankari. Post content ko bad me SEO friendly kaise banaye, SEO ready article kaise likhe.

1. Post Title

Aapki post ko seo karne ke liye aapke post ka title ka bahut important role hota hai agar aap apne blog ka title seo karna sikh jate hai to aap aapni post ka 40% seo complete kar lete hai post ke title me kam se kam 1-2 keywords use karne chahiye or title me kuch special word bhi add kare jaise most, popular, top 10, latest etc.

Word use karne par kisi bhi post par 20% tak jyada clicks mil jate hai aapki post ka title jitna better hoga aapki post ka seo bhi utna hi batter hota jayega so sabse pahle aapko apne post title par focus karna chahiye aur attractive title choose karna hai.

2. Post Description

Jab aap search engine me post search karte hai to usme title ke just niche post link aur kuch line me word show hote hai vo post ka description hota hai Jo ki seo ke liye bahut important hai.

Aap apni post ko behtar seo karna chahte hai to aapko description bhi utna hi accha likhna hoga jab search engine par 40% log description dekh ke hi post open karte hai better SEO ke liye aap post meta description ke bare me 150-160 word me post ke bare me likhe.

3. Post Image

Jab aap koi post likhte ho to usme aapko image add karne ka option milta hai sabhi blogger apni post Me image use bhi karte hai par kai log apni post image ko seo nahi karte jisse unko acchi rank nahi mil pati hai.

Agar aap blog post me koi image add karte hai to vo image copyright nahi honi chahiye or use acchi tarah se design kar ke resize kare or iske bad use post me add kare.

4. Image Alt Tag

Kisi bhi post ke image ke SEO ke liye title tag or alt tag bahut important hote hai isse google aapki image ko acche se track kar pata hai or aapko better result bhi milte hai jab aap post me photo add karte ho to usme edit ke option me aapko title tag or alt tag use karne ka option milta hai.

Isme aap us post se related alt tag use kare or usmemain keyword ke sath kuch aur jaruri keywords bhi add kar de isse aapki post ki image bhi seo ready ban jati hai or puri post ko rank karane me help karti hai.

5. Internal Links

Blog post me visitor ko ek post se dusre post par transfer karne ke liye post me apne blog ki dusre dusre post ki link add ki jati hai use internal linking kahte hai.

Ise koi bhi visitor aapki ek post se dusri post par jaa sakta hai or jisse aapki site ki bounce rate aur traffic dono better hote hai or seo ke liye bhi internal link use karna bahut important hota hai ye aapki post ko rank karne me bahut help karta hai jab aap apni post likhte hai to usme aapko usse related dusri post ka link bhi jarur add karna chahiye.

6. Post Keywords

Post ko search result me top me lane ke liye keywords ka istelam karna jaruri hai. Koi bhi visitor search engine me konsa word jyada search karta hai search engine main word ko track kar leta hai vo keywords hote hai.

Aap Google keywords planner ya other kisi bhi tool se apne liye better keyword search kar sakte ho ye aapki post ke seo ke liye bahut jaruri hote hai jab aap post likhte hai to 1st and Last paragraph me jyada keywords ko use kare search engine se high traffic ke liye keywords ka bahut bada role hota hai.

7. Post Heading

Jab aap post likhte hai to uske paragraph ko samjane ke liye jo title aur headlines use karte hai use heading kahte hai. Isse visitor aapki post ko acche se samaj pate hai.

Blog post editor me H1 – H6 total 6 heading hoti hai jise aap apni jarurat ke hisab se use kar sakte hai ye seo ke liye bahut jaruri hai agar aap heading use nahi karte to post rank hona bahut muskil ho jata hai aapki post ki ranking or visitor ke liye heading ka bahut important role hota hai.

Heading ke alawa aap post me highlight words, bold, italic etc. ka bhi istemal kare, isse content attractive banta hai.

8. Post Sharing

Post likhne ke bad sabhi log apni post ko social media par jarur share karte hai jisse ki unke friends ko post ke bare me pata chal sake aur unko better result mil sake jab aap apni post ko social account jaise Facebook, twitter, google+ etc. par share karte hai to isse off page seo hota hai.

Ye aapke visitor badhane ke liye bahut jaruri hai or social media par post share kar ke aap apne blog ki Domain authority or page authority bhi increase kar sakte ho Jo 1st rank ke liye important hoti hai.

9. Post URL

Jab aap kisi post ka title likhte ho to uska URL permalink automatic generate ho jata hai par vo seo ke liye utna batter nahi hota iske liye aapko apne post URL ko manually generate karna chahiye.

Aap apne URL me keywords use kar ke apne post ko bahut achhe tarike se seo kar sakte hai jab aap post ka URL generate karo to usme 1-2 keywords hi use kare or seo ke liye better URL likhe or post URL aapke post title se related hona better hai.

10. Post Content Length

Aapki post ke seo ke liye aap kitne word ki post likhte ho ye bahut important hota hai agar aapki post kam word me likhi hui hai to use rank Milne me kafi time lag jata hai ya fir vo kabhi rank nahi ho pati hai.

Lekin agar aap minimum 700-1000 words tak ki post likhte hai to aapki post acche se seo ready ho jati hai or post rank hone me aasani hoti hai. Ab aap koi bhi post likhe to kam se kam 1000 word jarur use kare.

Note:- Post ko bada karne ke liye faltu word add naa kare post me Jo important hai vo hi paragraph likhe.

Ye thi blog par seo friendly post likhne ki information. Post me sabkuch short me btaya gaya hai, ummid hai aapko ye jankari pasand aayegi.

Agar aapko mera ye article achha lage to ise social media par share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Raghuveer Charan

About Raghuveer Charan

Hello Friends Mera name Raghuveer Charan hai or me Rajasthan ( Pali ) se hu and final year student hu me SMI Par Blogging se related articles Likhta hu

Comments ( 28 )

  1. Rohit Soni

    आपके इस आर्टिकल से हमको बहुत मदद मिली है पोस्ट लिखने मे धन्यवाद्

    Reply
  2. shubham verma

    आपके इस आर्टिकल से हमको बहुत मदद मिली है पोस्ट लिखने मे धन्यवाद्

    Reply
  3. chaudhary anil jaat

    maine abhi blog banaya hai apke post se mujhe bahut jaankari mili hai . thanks

    Reply
  4. Bhupendra Singh Lodhi

    Bahut hi helpful information sir

    Kya SEO ke liye keywords research abhi bhi work krti hai.

    Reply
  5. Afreen

    Full of information… maine hamesha hi iss trah ki jankari lene ke liye utsahit rahti hu, jo mujhe aur behtr banaye aur ismein wah sari batein thi jinki mujhe zaroorat hai so thank you so much

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...