Google ne YouTube me background color design change karne ka naya feature add kiya hai. Aap apni pasand anusar Dark and Light background choose kar sakte ho. Pahle iske liye chrome extension kya dusre tarike istemal karne padte the but ab aap youtube par hi background theme change kar sakte ho. Chaliye jante hai iske bare me.
Aap online video, movie dekhte ho to jahir hai youtube ka istemal karte honge. Kya aapko youtube ke default design se boring hoti hai or kya apa youtube ka design badalna chahate hai. Agar haa to pura theme design to nahi main aapko youtube ka background color change karne ki trick bta sakta hai.
YouTube ka hi ek feature hai jisse aap youtube theme background color ko dark or light color me convert kar sakte ho. Is feature ka istemal kaise karna hai uske liye niche ke step follow kare.
YouTube Background Color Change Kaise Kare
Aap chahe to iske liye Dark Background for YouTube extension use kar sakte hai but ab iski jarurat nahi hai. Iska option aapko youtube me hi mil jayega.
Step 1:
Apne device me internet browser me youtube.com site open kare or gmail ID se login kare.
- Dark Theme: Off option par click kare.
Step 3:
Ab jo windows khule usme aap dark theme select kar sakte ho.
- Activate Dark Theme option ko on kare.
Ab fir se ligh theme use karne ke liye is option ko off kar sakte hai. Example, aap ye GIF dekh sakte hai.
Is tarah se aap youtube ka background color change kar sakte ho. Agar aap youtube par video dekhne par advertisement se pareshan hai to aap VLC Media player me bhi youtube video dekh sakte ho. Iske liye aap ye post read kare.
- Youtube Video Ko VLC Media Player Me Kaise Chalaye
- Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke Hindi Jankari
Agar aapko ye trick pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Great sir...
Sir mera ek question hai kya main apne website ke ad sense ko apne naye you tube channel ke saath add kar sakti hu....
Yes kar sakte ho.
Sir mera youtube chennal suspend ho gya h. M kya kru please help me.
Sir mujhe batao ki url kaha se adjust kru m or maine history bhi delet kr di h.please help me
Google ne aapka channel kyu suspend kiya hai or ab aapko kya karna hai iska mail send kiya hoga. Wo check karo ya mujhe dikhao.