YouTube Videos Ko OK Google Voice Commands Se Control Kaise Kare

Google’s voice commands ab pahle se jyada powerful ho gaya hai. Ab aap apne android mobile me YouTube videos ko bhi OK google voice commands se control kar sakte ho. Ab aapko YouTube videos ko play, pause, start, stop, Minimise and Maximise karne ke liye button prase nahi karna padega ab aap direct bol kar voice command se YouTube ko handle kar sakte ho. OK google ki recent update app se aap YouTube ke alawa other many application ko bhi contorl kar sakte ho. Is post me main aapko OK google voice commands se YouTube ko control karne ke bare me bta raha hu.

Control Youtube VIdeos With OK Google Voice Commands

OK google voice commands aapko YouTube videos ko voice se control karne ability offer karta hai. Aap jab koi jaruri kaam me busy hote ho to aap bol kar YouTube videos ko play, pause, stop and start kar sakte ho. Aapko bas YouTube ko bol kar order dena hoga. Agar aap button prase karne ki problem se chutkara chahate ho to aap is feature ka istemal kar sakte hai.

Main aapko iske bare me ek important bat bta dena chahunga ki jab aap speacker and earphone use kar rahe ho to ye feature mushkil work karega. But aap only mobile par video run kar rahe ho to ye feature easily properly work karega. Second iske liye aapko english words ko perfect and clear bolne ka experience hona chahiye.

Agar aapki voice clear nahi hai to ye feature work nahi karega or wrong command accept karega. Aap bologe kuch or OK google command kuch or hi dega. So clear command de or YouTube videos ko OG google voice commands ki help se control kare.

How to Control YouTube Videos Using OK Google Voice Commands

Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aap first apne android mobile me YouTube app and Google Voice app ko update kar le uske bad ye step follow kare.

Sabse pahle google play store par ja kar aap YouTube and google voice recorder apps ko update kar le uske bad google voice app ko open kare or OK, Google bol kar voice commands feature ko enable kare.

Ok, Google voice commands feature ko enable karne ke bad apne android mobile me YouTube ka latest updated app open kare or koi bhi video, movies, songs open kare voice command se YouTube ko control kare. Kis option ke liye kya command deni hogi iske bare me main aapko below points me bta raha hu.

Control Youtube With Ok Google Voice Commands:

  1. “Play”: Video ko play and resume karne ke liye.
  2. “Pause”: Video ko pauses karne ke liye.
  3. “Stop”: Video and quits buffering or switching another video ko stop karne ke liye.
  4. “Close Player”: Only video ko off karne ke liye.
  5. “Play on…”, or “Connect on…”: Kisi or device me video open karne ke liye, like TV but iske liye aapke mobile se other device already connect hona chahiye. Unfortunately, ye feature proper work nahi karta.
  6. “Disconnect from…”: Kisi or device me run video ko band karne ya mobile se device ko disconnect karne ke liye.
  7. “Skip Ads”: Video par show hone wale skip able ads ko skip karne ke liye.
  8. “Maximize”: Video ko full screen par play karne ke liye.
  9. “Minimize”: Video ke windows size ko smaller karne ya full screen me play video ko fit screen me karne ke liye. Iska istemal aap video ko minimize kar right side me karne ke liye bhi kar sakte ho.
  10. “Exit”: Video ko close karne or YouTube app ko band karne ke liye.

Ye voice commands especially tab bahut jyada useful and important hoti hai jab aap driving kar rahe hai ya aapke hand hath kisi or kaam me busy hai. Jaise aap computer par typing kar rahe ho ya home par koi or work kar rahe ho.

Agar aapko Ok google voice commands ke YouTube videos ko control karne ki koi or commands ka pata hai to aap uske bare me comment section me bta sakte hai or humare readers ki help kar sakte hai.

I hope aapko ye article pasand aayega or ab aap YouTube ko voice command se control kar sakoge so is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 62 )

  1. Brother aap apne post image ki size kaise kam karte ho ? means ki image file ki size kam kaise karte ho. kyu ki mai koi image create karta hu to wo 150kb se 200 kb size ka ho jata hai.online image compressor bahut se hai but samajh nahi aa raha ki kaun sa use karu. kyu ki compress karne par image quality bekar ho jati hai aur image clear ni dikhti.

    Reply
  2. to me kya karu bhai, bohot problem ho raha hai

    Reply
    • Iske liye aap error 404 page ko customize karo ya error 404 fix plugin use karo. Uske bad blog par error nahi aayega.

      Reply
  3. very useful information jume deen bhai, YouTube se related aisy or bhi information share jarur karte rehna.

    Reply
  4. bro hum apne subscriber kaiise check kar sakte hai ki hume kitne logo ne subscribe kiya hua hai …

    Reply
    • apne YouTube channel ko open karo aapke subscribe button ke samne subscribe number honge ya fir aap about par click karo subscriber, views and join date mil jayegi.

      Reply
  5. hello jumedeen bhai mene chitika me account open kiya or mene jaise hi a/c create kiya or approve bhi ho gya or ad code bhi mil gaye to mera question h kis ye sahi h kya kyu ki approve hone me 1-2 din ka time lagta h

    Reply
    • Agar aapki site par unique content hai to jaldi approve ho jata hai. Aap blgo par ad lagao or earning karo koi problem nahi hai.

      Reply
  6. To bhai aapne kya kia tha jab aapka blog blogger par tha uska post aapne kya kia

    Reply
    • Maine domain change kiya tha so domain ko new domain par forward kiya tha usse error nahi aata.

      Reply
  7. Aapne Jo post kiya hai SMI side bar follow widget kya ye real followers like …..

    Show krta hai

    Reply
    • Nahi follower manually set karne hote hai.

      Reply
  8. Bhai blogger post ko redirect kaise karu…
    Matlab agar koi mere blogger post me click kare to wo WordPress me pahuch jaaye…
    Abhi to 404 error dikha raha hai

    Reply
    • Iske liye koi perfect coding nahi hai but fir bhi aap english blog like shoutmeloud se iski coding le kar blg me add karo.

      Reply
  9. Hello Jumedeen bro how are u i am inder hindi me seekhna website ka owner hoon mai, bro aapka har ik post read kiya maine .mujhe ye bataye ki jabh koi new blogger WordPress par jata hai to wo konsa parmalink ko select kare month and name kare or custom structure kare no 2 WordPress par jane ke baad hamari all post me kitne din tak 404 eorro bana rahta hai.kyuki meri har ik post me 404 error aa raha hai abh mai ik ik post karke redirection kar raha hoon.
    ————————— ———————————————————-
    my last point ager aapke pass koi easy way hai to kirpeya mujhe jaroor batana aapka dost inder thank for viewing my important commment bye tc

    Reply
    • Post name permalink is best. Jab tak aapki new post google me index nahi ho jati.
      Apne WordPress blog ko google me submit karo or old blog ko google se hide karo.

      Reply

Leave a Comment