SEM Kya Hai? Search Engine Marketing Kaam Kaise Karta Hai

What is SEO Kya Hai / Search Engine Optimization in Hindi post me maine aapko SEO ke bare me btaya tha. Aaj is tutorial me hum bat karenge ki SEM yani search engine marketing kya hai. Ye kaam kaise karta hai or aapke blog ke liye iski kyo jarurat hoti hai. Iske kya kya benefit hai sabki full information hindi me.

SEM Search engine marketing

SEO (search engine optimization) ka matlab hota hai search engine se free traffic receive karna or SEM (search engine marketring) ka matlab hota hai search engine se paid traffic receive karna.

SEM (Search Engine Marketing) Kya Hai?

SEM (Search Engine Marketing) is the process of gaining website traffic by purchasing ads on search engines.

SEM ka matlab hota hai “Search Engine Marketing” jise search marketing bhi kahte hai. Yani search engine ads se paid traffic prapt karna. Simple bhasha me search engine me show hone wale ads results SEM activities hoti hai. Ise is tarah samajha ja sakta hai.

  • Paid search ads
  • Paid search advertising
  • PPC (pay-per-click)
  • PPC (pay-per-call) – Mobile search users ke liye.
  • CPC (cost-per-click)
  • CPM (cost-per-thousand impressions)

SEM Ki Basic Information:

Google adwords most popular paid search platform hai. Search marketers search results me apne ads dikhane ke liye google adwords ka sabse jyada istemal karte hai. Adwords sirf google me hi nahi balki bing or yahoo me bhi paid advertisment ads offer karta hai. I mean aap google ke sath bing and yahoo me bhi apne ads dikha sakte ho.

Iske alawa, Aapko yaha “2nd tier PPC platforms” PPC advertising ads option milenge. Jinse aap paid traffic kama sakte ho. Aap SEM search engine marketing ke bare me video se samajhana chahate ho to google ka Insights on the AdWords Auction video dekh sakte ho. Google ne is video ko 2014 me share kiya tha.

Search engine marketing ek very broad term hai jiski bahut si different activities hai. Jaise:-

  • Search engine optimization (SEO)
  • Search retargeting
  • Submitting sites to directories
  • Managing paid listings in search engines (primarily pay per click, or PPC) Describing the development of many different online marketing strategies
  • Social media marketing

Mai iski garantee nahi deta but SEM ki activities upar diye gaye topics se related hi hoti hai. In simple language, Search engine marketing kuch bhi ho google, bing & yahoo me aapki site ki search rank ko increase karne or site par search traffic badhane me aapki achi help kar sakta hai. Halanki ye paid hai. But 70% online marketers apne business ko badhane ke liye SEM use karte hai.

Aap jab bhi google me koi keyword search karte ho to left side me search result show hote hai. Uske right side or first me jo paid advertisement results hote hai. Wo sab SEM activities hoti hai. Ye tabhi show hote hai jab aap koi certain keywords search karoge.

Kya Blog Ke Liye SEM Ki Jarurat Hoti Hai

Agar aap hobby website, family group site ya fir personal site jo sirf aapke friends of friends tak simit hai chahalte hai to aapko search engine marketing ki koi jarurat nahi hai. Sath hi agar aap koi blogger hai or ayse advertisment program use karte hai jo paid traffic allow nahi karte jaise google AdSense to bhi aapko SEM ko use karne ki koi jarurat nahi hai.

But lekin agar aapke pas koi business website hai ya aap profitable blog ke founder hai or online marketing karna chahate hai. Sath hi aaap kam time me apne business ko increase karna chahate hai to aapko SEM ki jarurat hai. Wakai ye aapke online business me 4 chand laga sakti hai. 2009 me paid advertising ads par $13 billion pay hote the jo ki 2014 me dugne $26 billion se bhi jyada hone lag gaye hai. Or is time ho sakta hai ye 30 million dollar se bhi jyada ho.

I hope SEM search engine marketing ke bare me aapko ye post pasand aayegi. So plz ise social media par share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 85 )

  1. Kumar

    Really Good article Jumedeen Sir! Awsm! SEM ki thodi knowledge to thi but ab or jyada ho gayi!

    Reply
  2. hariom awasthi

    bahut sundar lekh sir ji

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...