Blogging Kya Hai? Blogging Se Related Question Answer in Hindi

Maine aaj tak blogging ke bare me bahut se articles likhe hai. Wese bhi mera sabse top topic bhi blogging hi hai. But blogging ke bare me btate btate ma iye btana bhool gaya ki “Blogging Kya Hai?” Actually is or mera dhyan hi nahi gaya. Magar aaj is post me mai aapko iske bare me kuch bate btane ja raha hu.

Blogging Quotes

1 may 2025 ko jab maine supportmeindia ki income report share ki to mujhe facebook par ek message aaya ki “Sir ye blogging hai kya kya aap mujhe iske bare me details se bta sakte ho.” Ek minute ke liye to mai sochne par majbur ho gaya ki is friend ko kya reply karu.

In this post, Mai blogging ke bare me kuch question answer or kuch important bate bta raha hu. So agar aap new blogger ho to ye bate aapke bahut kaam aa sakti hai.

Mujhe blogging me abhi jyada waqt nahi hua hai. Mai july 2025 se blogging kar raha hu. Is bich maine blogging ke bare me bahut kuch sikha or apne dosto ko bhi sikhaya. Meri humesha koshish rahti hai ki mai apne readers ko kuch behtar sikha saku.

But taklif jab hoti hai jab koi btane ke bavjud galat raste par jata hai. Aysa lagta hai jaise wo nahi mai galti kar raha hu. But kya kare kisi ke sath jabardasti to nahi kar sakte. Hum to sirf guide kar sakte hai.

Maine blogging ke career me ek bat to confirm ki hai ki jo blogger blogging se jyada paise ke piche bhagte hai. Unme se 90% fail hote hai. Yakin maniye ye bat bilkul sach hai. Jo paise ke piche bhagta hai use paisa kabhi nahi milta hai.

Blogging Kya hai? Blogging Se Related Important Question Answer in Hindi

Blogging Kya Hai? – Blogging ka arth sirf paise kamana nahi hota hai. Blogging ka matlab hota hai apne thoughts other people ke sath share karna or logo ko wo sikhana jo wo sikhna chahate hai. Wo nahi jo wo pahle se jante hai.

Bas jo inshan in do lines ko samajh lega wo blogging me 101% success hoga. Is bat ki gaurantee mai aapko deta hu. Money ke piche mat bhago fir dekhna paisa kaise aapke piche bhagta hai. ek kahawat hai.

Top quotes

Sabhi jante hai ki ye bat sach hai. So plz koi aysa kaam karo ki log aapko yaad kare. Or duniya aapko salo-sal tak bhoola na sake. Apni life ko sabse alag banane ki koshish karo. Na ki dusro ki tarah ban kar mar jao.

Jab maine blogging ki duniya me kadam rakha tha to mere pas koi idea nahi tha. Mujhse bahut si galtiya huyi. But aakhir me mujhe pata chala ki jo kjushi apni alag pahchan banane me hai wo dusre kaam me nahi mil sakti.

Mai fir se kahna chahunga ki blogging apne vichar dusro ke sath share karne ke liye hai. Agar aapko lagta hai ki aap wakai me dusro ko sikha sakte ho or aapki wajah se kisi ki help ho sakti hai to aapka swagat hai blogging aap jaise logo ke liye hi bani hai.

Blogging Se Hume Kya Kya Milta Hai?

Name:- Sabse first jab aap dusre logo ki help karoge to world me aapka name hoga. Log aapko ek ache inshan ke roop me pahchanenge. Shayad hi koi hoga jo aysa nahi chahata hoga. Agar aap blogging me acha kaam karoge to aap kuch hi time me duniya me popular ho sakte ho.

Paisa:- New blogger ke dimag me ye bat sabse pahle aati hai. Iska example aap mere blog ki income report dekh sakte ho. Blogging se paise kamane ke or bhi bahut se tarike hai. jaise google AdSense, affiliate marketing, infolinks and other product promotion services.

In sabki details me jankari mai already isi blog par share kar chuka hu. So iske bare me or  janne ke liye aap humari dusri post padhe. Finally mai aapse kahna chahunga ki blogging koi dhoka nahi hai. Duniya me bahut se ayse log hai jinhone aaj blogging ko apna career bana liya hai.

Blogging 2 Type Ki Hoti Hai?

Aap soch rahe ho ki ye mai aapko kya bta raha hu. Actually meri nazar me sirf 2 type ki blogging hoti hai. Good or bad. Aaj mai iske bare me aapko vistar se btata hu.

1. Good Blogging: Jab koi person blogging me mehanat or imandari se work karta hai or sache dil se logo ko sahi information deta hai. Use good blogging kahte hai. Ise samajhna mushkil nahi hai. Or jab humari ayse ache logo se mulakat hoti hai to hume bhi sachai par chalne ki sikh milti hai.

2. Bad Blogging: Internet par 60% websites fake hoti hai. Is bat me koi shaq nahi hai. Actually aaj ke is bure waqt me har jagah par burai faili huyi hai. In my case, Kuch log mujhe bhi bevkuf banane ki koshish kar chuke hai. In logo ke bare me mai aapko kuch poit btata hu.

  1. Ye log new user ko website banane ka lalch de kar usse 5000 to 10,000 loot lete hai.
  2. Or kuch log to inse bhi jyada paise le lete hai.
  3. Ye log aapko complete website or blog banane ka lalach dete hai. Or bad mai aapke sath dhoka karte hai.

So agar aap new blogger hai to mai aapse kahna chahunga ki aap blogger.com par free me blog bana sakte ho. Jisme aapka 1 paisa bhi nahi lagta hai. Sirf aapke pas internet connection hona jaruri hai. Maine iske bare me Website Blog Kaise Banate Hai post me details se btaya bhi hai. Isliye kabhi kisi ke behkave me mat aaye or kisi ko paise na de.

Finally, Blogging me success hona hai to dil laga kar mehanat karo or apni alag pahchan banao. Income ke bare me mat socho jab aap success hoge to paisa aapke piche chal kar aayega.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners.

Comments ( 73 )

  1. aaishakhan

    bro me domain set krna chala hu par mere pas bank account nahi hai
    kya ap muje domain set krke de sakte ho plz bro me apko recharge kra duga
    jetna domain ka lagega

    • Jumedeen Khan

      Nahi aap apne kisi family member ka atm card use kar sakte ho.

  2. Rohit

    mene domain leliya hu eske bad kya rku…?
    domain ko WordPress se kaise add kare ,
    Please Reply………

    • Jumedeen Khan

      Ab aap hostgator ya bluehost se hosting le lo.

  3. Kuldeep Singh

    hello khan saheb, jo meri site goharyana.in hai us par analytics returning visitor 29% dikha raha hai or new visitors 71% dikha raha hai returning visitor kum hai naa
    kya mere returning visitors jada hone chahiye yaa chal jayenge itne hi hone chahiye

    • Jumedeen Khan

      Sabke sath yahi hota hai. Its not problem.

  4. Narayan Soni

    Sir Apne Kaha Tha Esa Mene Kiya Mere Blog Ke Main Page Par Thumbnill To Aa Gaye Lekin Wo Choote He To Unhe Bada Kese Karu Or Mere Blog Par Logo Kese Dalu

    • Jumedeen Khan

      Iske liye aapko WordPress ki coding ki achi jankari hogi tabhi kar paoge.

      • Narayan Soni

        To Sir Aap Batado na Ki Kese Karu Mera Bhi Theme Ribbon Hi He Aap Wala To Mujhe Usme Logo Lagana He Kese Lagau or aap Ye Bhi Bata Do Ki Thumbnill Ko Bada Kese Karu

        • Jumedeen Khan

          Sorry bro mai coding me aapki help nahi kar sakta.

  5. Sandeep Kumar

    Bro jab Maine bhi blogging start kiya tha mujhse bhi 6000 rupees maga tha website banane ke liye

  6. Tushar Chauhan

    bro YouTube channel wale Google AdSense ki CPC kaise bhadate hai mujhe bus 0.03$ hi highest CPC mila h abtak aur jabki blogging se 0.10$ se bhi jyada milta hai.

    • Jumedeen Khan

      Jald hi iske bare me details se post likhunga.

  7. vivek choudhary

    me domain name kisi ke bhi Atm se le sakta hu kya

    • Jumedeen Khan

      Ha kisi ke bhi atm card se le sakte ho.

  8. murari

    sir mene WordPress par site banaya hai mene nato .com liya hai nato hosting li hai mere ko dono lena hai to me pahle kya lu or kese lu

    • Jumedeen Khan

      Pahle domain lo uske bad hosting.

    • murari

      to .com ko kese site se jore me wamp se WordPress chala laha hu

      • Jumedeen Khan

        Uske liye aapko hosting leni hogi

      • murari

        or sir hostgator me WordPress install karne se kya hota hai

        • Jumedeen Khan

          Bro WordPress install karke hi hum WordPress blog bana sakte hai.

  9. vijay panara

    Sir msi apni website ke liye best logo banana cahta hu to kaise banavu or is ko site mai kaise add karte hai ..

    • Jumedeen Khan

      Aap kisi bhi photo editer software se bana sakte ho. Blloger dashboard > layout > header par click karke add kar sakte ho.

  10. Ashu Jack

    Bahut atcha jankari diya hai aapne thanks bro

    Mera ek question hai jab hum log kisi kisi blog ya website par comment karte hai to hame usse back links milta hai ye mujhe pata hai lekin jab mai apna back links check karta hu to wo sirf 7 ya 8 site se hi batate hai kyo maine bahut sare top site par atche se comment kiya hai plz bataye mujhe ki mai kaise comment karu ki us comment se mujhe backlinks milna suru ho jaye

Comments are closed.

I need help with ...