Blog banana bahut aasan hai but use success banana bahut mushkil hai. New blog bana kar usme article publish karna bahut simple hai but kya aapko lagta hai ki aap real me successful blogger ban sakte hai. Or success blogger banne ke liye aapke kya thoughts hai. In this tutorial, Mai aapko kuch important success blogging tricks bta raha hu. Read carefully.
Bahut se blogger blogging se lakho rupees monthly kama rahe hai. Kya aap bhi unhi me se ek hai. Agar nahi to kyu, Aap aysa kyuk nahi kar rahe ho jabki aapko blogging me kei mahine ho gaye hai.
Mostly blogger mujhse puchte hai ki “Aakhir aapne aspne blog ko itne kam time me success kaise banaya“. Ye question wo blogger jyada puchte hai jinhe blogging me kei years ho gaye hai. Actually, Blogging ek aysi duniya hai jiske bare me puri jankari kisi ko bhi nahi ho sakti same wese hi jaise english language banane wale ko bhi full english nahi aati thi.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike
- Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye
Is article me mai aapko or un sabhi blogger ko apni success ke bare me kuch important things ke bare me bta raha hu. Ummid karta hu aap sabhi ko mere thoughts se kuch na kuch new sikhne ko milega. Or aapko blogging me successful hone ke liye kuch tricks bhi pata chalegi.
10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai
Yaha mai jo bhi bate btane ja raha hu wo mera experience or meri soch hai. Ho sakta hai aapko isme se koi tarika pasand na bhi aaye to aap use ignore kar sakte hai. Kyuki ye mere apne thoughts hai or mai sirf inhe isliye share kar raha hu. Jisse aapko koi na koi help mil jaye. By the way mujhe wishwas hai ki mere vichar aapke liye liye useful sabit honge.
1. Update Regularly:
Maine blogging me jitni bhi success payi hai. Uska sabse bada raj hai regularly update yani daily articles publish karna. Or jaha tak mujhe pata hai mera har ek reader daily meri post ka intjar karta hai. Ye bat meri confirm ki huyi hai. World ke top popular blogger jinke blog par monthlu millions traffic aata hai. Wo is tricks ko use karte hai. Reguaraly update karne se aapko ye fayde hai.
- Aapke audience aapke blog par per day visit karte hai. Jisse aapki site ka traffic badhta hai or aapki site or jyada popular hoti hai.
- Search engine aapki post ko jaldi index karta hai or aapko search engines se acha traffic milta hai.
- Intermet par aapki alag pahchan ban jati hai. Khud aapke visitors dusro se bolenge ki is blog par per day kuch na kuch sikhne ko milta hai.
- Aaj ke techniqal jamane me har koi kuch na kuch new sikhna chahata hai. World me 90% person yahi chahate hai. So aapki site par regular update hone se jo blogger ek bar site par aayega wo aapka regular visitor ban jayega. Isse aapki site ki Bounce Rate increase hoti hai.
- Maine iske bare me bahut success blogger se bat ki hai. Sabhi ka kahna hai ki wastav me regular update blogging me success ki pahli sidhi hai.
Ji ha, dosto blogging me success hone ka ye sabse acha tarika hai. But iska matlab ye nahi hai ki aap roj kuch bhi publish karte raho. Iske liye aapko apne readers ki pasand ke hisab se post likhni hai. Jisse wo aapko jyada se jyada pasand kare.
2. You Are Willing To Learn More:
Mai manta hu ki aapko bahut kuch aata hai or aap blogging ke bare me sabkuch sikh gaye ho. But apne aap ko bada mat mano. Aap kitne success hai ye bat aapke nahi aapke visitors ke muh se achi lagti hai. Apne aapko learner (Jise abhi bahut kuch sikhna hai) samajho. Aapko humesha kuch na kuch naya sikhni ki koshish karni chahiye.
Har blogger humesha kuch bhi sikhne ke liye taiyar rahta hai. Or aap bhi ek blogger ho, So apne aapko sahi raste se alag mat karo. Khud ko ek blogger mante huye dusro se acha sikhne ki koshish karo. In my case, Mai bhi apne aapko ek learner manta hu. Or mai humesha dusre blogger ke articles padhna pasand karta hu. Kyuki mujhe bhi aapki tarah daily kuch na kuch new sikhne ka shok hai hai.
Mostly blogger apne blog par apna experience share karte hai. Mai bhi unhi me se ek hu. Kyuki jab logo ki help karni hai to dil se karo. Aap bhi apne thoughts blog post, commenting and socail media sites par share kar sakte ho.
3. Publish Everyday Something New:
Aap or hum sab jante hai ki duniya ke 90% log new sikhna chahate hai. Or yaha hum bat kar rahe hai blogging ki me to har koi koi na koi new tips sikhna chahata hai. So ayse mai agar aap ek hi tarah ki post karte rahe to aapki site ka traffic kam ho jayega. Or user aapki site par visit karna band kar denge.
Sabse important bat aap dusro ko tabhi sikha sakte ho jab aapko kuch aata ho. So aap sabse pahle to up to date rahna shuru kar do. Yani aapko daily ki har most news ka or aapke wok ki last update ka pata hona chahiye. Example: agar aap blogger blogspot ke bare me information share karte ho to aapko blogger ki har last update ka pata hona chahiye.
In my case, Mujhe blogging me jitni bhi saflta mili hai. Usme is tricks se mujhe kafi help mili hai. Mere readers mujhse humesha kuch na kuch new tips pane ki ummid rakhte hai. Meri humesha hi koshish rahti hai ki mai apne reader ke liye koi new jankari publish karu.
Agar aap is tricks ko follow karne me kamyab ho gaye to agle kuch hi mahino me aapki site top ranking me hogi. Or aap syccess blogger kahlaoge.
4. Become a Good Communicator:
Agar aap ek ache Communicator (सन्देश वाहक) hai to aap bahut kam samay me successful blogger ban sakte ho. Mera kahne ka matlab hai ki agar aap articles likhne me, apne visitors ko dil jitne me expert ho to aapko success hone me koi pareshani nahi aayegi.
Log usi ko jyada pasand karte hai jo unke liye wo kar sake jo wo chahate ho. Kuch log sochte hai ki jo hum likhenge log use jarur pasand karenge. But ayse log galat hai. Jo aap likhoge log use pasand nahi karenge. Balki aapko wo likhna chahiye jise log pasand karte hai. Jiske bare me sabhi janna chahate hai.
Internet par achi pahchan banane ke liye aapko sabse alag or sabse hatke kuch naya karna hoga. Jo internet par pahle se na ho. Fir dekhna aap kitne ache Communicator ban jaoge. Yaha mai aapko recommend karunga ki aap apne blog par sabse alag pahchan banane ki koshish kare.
5. What do you want your visitors:
Aapke visitors aapse kya chahate hai. Unhe aapse kya chahiye or wo aapse kya ummid karte hai. Is bat ko jo samajh gaya uska blogging me success hona tay hai. Kyuki jab aapke visitors ko aapki site par unke kaam ki janakri milegi to wo aapke blog par sirf per day visit hi nahi karenge. Balki wo aapki site ka dusre logo ko bta kar promotion bhi karenge.
Agar aap visitors ki pasand ki ek post bhi likhte ho to or visitrs jise pasand na kare wesi 10 post likhte ho to aapko same result milegi. Or ho sakta hai aapki ek post das post se better page views recieve kar le.
Examply mujhe supportmeindia ko banaye kafi time ho gaya hai or mera har old reader janta hai ki “Blog kaise banate hai?” . Ab mai is topic par articles likhunga to koi bhi use padhna nahi chahega. Fir chahe us post me mai kitn i hi achi janakri share kyu na kar du.
6. Write For Your Readers:
Maine bahut bar apne visitors ke kahne par unke pasand ke topic par artivles likhe hai. Shayad iske bare me aap bhi jante hoge. Aaj tak maine jiske liye bhi post likhi hai wo mujhe mera regular reader ban jata hai. Or kuch logo ko to unke liye mera post likhna itna pasand aaya ki unhone meri site ke bare me apne friends ko bta kar bahut promotion kiya hai. Ye mera confirm kiya hua hai.
Agar aap chaho to meri is trick ko follow kar sakte ho. Mai humesha yahi karta hu. Apne har readers ke liye post likhne ki koshish karta hu. Yaha mai aapko iske kuch fayde bta deta hu.
- Aapko nrew post likhne ke liye topic mil jata hai. So aapko new post likhne me problem nahi hoti or new title search karne ki jarurat nahi hoti hai.
- Ek bar aapke readers ko iske bare me pata chal jaye to aapko daily new topics milne lag jayenge. In my case, Mujhe daily itne topic mil jate hai ki sab par post karne ke liye mujhe post likhne ke liye extra members ki jarurat padegi.
- Aap jab kisi ke liye articles likho to usme us visitors ka name bhi add kare. Isse wo aapki post ko 101% share karega. Jisse aapko double promotion milega.
- Aap jiske liye post likh rahe ho uske sath aapke ache relation banenge or wo aapka regular reader ban jayega.
- Agar future me use ya uske kisi friends ko koi information chahiye hogi to wo fir se aapke pas aayega.
Iske alawa bhi readers ke liye post likhne ke bahut sare fayde hai. Ye apne visitor ka dil jitne ka sabse acha or aasan tarika hai. Jise koi bhi follow kar sakta hai.
7. Don’t Repeat Stupid Mistakes:
Agar aapke readers ko aapka koi tarika, tips, trick ya aapki share ki gayi koi information buri lage. Ya fir aapne aysi koi janakri share ki hai Jisse aapke reader ka nukshan hai to aapki site bahut jald fail ho jayegi. So agar aapse aysi koi galti ho bhi jaye to use bar bar repeat mat karo.
“Excuse me for my word” Ye bat ek bar hi achi lagti hai. Ise bar bar dohrana pade aysa koi bhi kaam mat karo. Aapke blog se bahut sare readers jude huye hai. So post likhne se pahle ye tay kar le ki aapki post se kisi ka nukshan to nahi hai.
Agar aapko kisi topic ke bare me jankari nahi hai to aapke liye behtar hoga ki aap uske bare me jankari share na hi kare. Mai to aapse kahna chahunga ki agar aapko kisi question ka answer pata na ho to readers ko uske liye saf mana kar do ki aap ye sawal kisi or se puch le mujhe iske bare me jyada jankari nahi hai.
8. Make Yourself a Creative Person:
Article likhne ke liye writer ki creativity bahut important hoti hai. Creative content humesha viral hote hai or humesha hi inse better result milta hai. Or sabse achi bat creative articles reader ko sabse jyada pasand aate hai.
Har koi creative person (रचनात्मत्क व्यक्ति) nahi ban sakta hai. But lekin ye impossible bhi nahi hai. Bas aapko post likte time ye dhyan rakhna hoga ki aapki post ko reader easily samajh sake or unhe aapki post padhne me koi problem na ho.
Koi bhi reader jab aapki post padhta hai to wo chahata hai ki use har point ki clear or dusro se better information mile. Jise wo aasani se samajh sake or follow kar sake. Shayad aap bhi aysi site par jyada visit karte honge. Jis par aapko clear information milti hai.
Examply, Jab do person ek hi topic par post kare or ek ki likhi post me achi information na ho or extra words use kiye ho or dusre ki post clear likhi gayi ho to koi bhi extra words wali post ko pasand nahi karega.
9. Write All About and Everything
Jab bhi aap kisi topic par article likhe to uske bare me adhuri jankari share na kare. Balki aap jis post par articles likh rahe ho uske bare me details se full information likhne ki koshish kare. Fir chahe iske liye aapko post me kitne bhi words use karne pade.
Maine ayse bahut se blog dekhe hai jin par only 1o to 20 articles hai or unki ranking 100k se bhi kam hai. Important bat ye hai ki wo blogger sirf 10-20 post se lakho kamate hai. But unki ek post me 5000 se bhi jyada words hote hai or har topic ke bare me full jankari hoti hai wo bhi ekdam clear. Jiski wajah se unke ek articles par per day 2,00,000 se bhi jyada pageviews hote hai.
Maine unse bahut kuch sikha hai or mai manta hu ki ye possible hai. Aap 10 to 50 top list high quality articles se monthly 1,00,000 kama sakte ho. Isi tricks ki wajah se aaj mai apne blog se achi earning kar raha hu. Or inhi ki help se meri income har month increase hoti hai.
10. Make Good Relationship With Google:
Sab jante hai ki internet par google sabse jyada popular hai or pichle kei salo se ye world me no.1 raha hai. Aaj bhi google puri duniya me sabse jyada popular hai.
Google search engines humari site content ko index kar search result me dikhata hai. Jisse hume 50% traffic milta hai. My means agar google aapki site ko ban kar de to aapki site ka traffic 50% down ho jayega. Lagbhag har website or blog google ki help se success banta hai. In my case, Mere blog par bhi sabse jyada traffic google search engines se aata hai.
Google ne website ko search result me show karne ke kuch niyam bana rakhe hai. Jaise Google Webmaster Guidelines, Google terms and other policy. Jo website google ki terms ko follow karti hai. Uski search engine me no.1 ranking hoti hai.
So ayse mai agar aap google ki terms ko follow karke blogging karte ho to google aapko bahut kam samay me success nahi most successful blogger bana sakta hai. Kuch blogger google ko ignore karte hai .But mai is bat se 1% bhi agree nahi hu. Meri soch se usi ko follow karna chahiye.
Jo real me pahle se success ho. Kyuki jo khud success nahi hota hai wo aapko success nahi bana sakta. Now time, Google sabse no.1 hai isliye ise ignore karna sabse badi murkhta hogi.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- Micro-Niche Site Kaise Banaye $1000 Monthly Kamane Ke Liye
Post Summary:- Is articles me maine apne blogging experience or apni success ke hi tips btaye hai. Ummid karta hu aapko inse bahut help milegi. Yaha maine aapko jo 10 advices btayi hai. Wo sab mai already follow karta hu or in tricks se mujhe bahut help mili hai. Maine inhe follow karke hi apne blog ko yaha tak pahuchaya hai. Agar aapko inme se koi tricks achi na lage to use ignore kar sakte hai. Ya fir comment section me uske bare me mujhse bat kar sakte hai.
Agar aapko is article me share ki gayi information pasand aaye or aapko lage ki ye jankari aapke liye helpful hai to is spost ko social media par apne friendss and other blogger ke sath share jarur kare.
मैंने पहली बार राजनीति पर ब्लॉग बनाया है उसमें संसद में जो बढ़ रहा है उससे संसद की प्रासंगिकता बहुत कम होती जा रही है इससे सारे नेताओं पर जनता का विश्वास उठाता जा रहा है क्योंकि संसद पर आप हमारे टैक्स का करोड़ो रूपया लगता है परिणाम शोर ही शोर इनको हम चुनकर इसलिए भेजते है कि हमारे हित मे कानून बनाये और अपने क्षेत्र की जनता की समस्याओं को सुलझाने का काम करें मैं एक सीनियर सिटीजन हूँ पहली बार ब्लॉग लिखा है कृपया गाइड करें कि ज्यादा से ज्यादा लोगों तक कैसे पहुँचगा धन्यवाद
Jumedeen sir yeh kehna koi bdi baat ni hogi ki apki har post always lajawab hoti or es post ne to wakai dhamal macha dia hai apki.. esse new Bloggers ko ek alg he motive or mistakes ko sudharne ka shandar moka mila hai.. thank yuu sir..
( 1 ) or bhai meri choti sie problem hai ek baat btao bhai mera custom domain ke liye AdSense approval pending pda hai 4 months se.. apse bht baar pucha maine ki ab tak approval kyu nhi mila apne har bar suggest kia meko jo apne kaha mne wo sb kia but fir b approval nahi mila.. ab aap ek baat btao ky ham kisi or site ke ads lga kar earning kar sakte hai apni Website par. ya nahi kyuki AdSense blogspot.com domain par approve ho gya tha but .com domain par approval pending hai 4 month se to approval pending rehte hua bhi kisi or site ki ads lga sakte hai ky ham apno Website par itna hamko custom domain par AdSense ka approval nhi milta…. btao please…
(2). or ho sake to eska koi best solution bta do ki kaise jld se jld approval mil jye AdSense ka already bro 4 months ho gye pending pde hua ko..
(3). or ek br website check karke ke bhi bta do ki koi kami hai ya nahi Website meh please bro…
Laga sakte ho lekin adsense better hai, kar sako to domain change karke apply karo, approval mil jayega.
Bahot hi important tips jumedeen Sir aapki yeah conservative article reader ko bahot hi benefits degi thank you so much jumedeen Khan…..