Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Tarike

Jab post likhne ke bad use social media sites par share karne ki bat aati hai to aksar log isme laparawahi karte hai. Jiski wajah se unhe social networking site se adhik traffic nahi mil pata hai. Actually, Agar hum article ko social media par share karte time kuch bato ka khyal rakhe to hume social sites se 30% traffic mil sakta hai.

Top 5 Clever Ways To Get More Traffic From Social Media Sites

By the way, Social media par post content share karna to har koi janta hai. But uska fayda hi kya jab aap apni ugliyo ko taklif dena nahi chahate ho. My means post ko social sites par share karne par uske sath kuch heading lines share karna bhi jaruri hota hai. Sirf post title se aap logo ko aakarshak nahi kar sakte.

In this post, Is post me mai aapko social media sites par blog post share karne ki kuch tips bta raha hu. Jinhe follow kar ke aap social media se or jyada traffic receive kar sakte ho. Iske liye bas aapko post ke sath 3-4 lines share karni hogi.

Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Tarike

Mostly, Jab bhi hum apne blog ki post ko social site par share karte hai to uske sath sirf post title add karte hai. But agar hum social user ki choice ko dhyan me rakhte huye content ke sath kuch effactivate words bhi add kare to hume social media se or adhik traffic milne ke chance badh jate hai.

1. Motivational and inspirational quotes:

Motivational and inspirational quotes social media user par sabse jyada asar karti hai, Ye ek important reason hai. Mai ye bat guarantee ke sath ke sakta hu ki agar aap apni post ke sath kuch  Motivational lines bhi add karoge to 70% social user aapki post padhna pasnad karenge. Ye tricks mostly facebook user par jyada work karti hai.

Agar aap koi online bussiness handle karte ho to aap  Motivational and inspirational quotes share karna nahi  chahoge. Ayse mai aap apne bussiness se related visual quotes share kar sakte ho.

Examply, Agar aap ek blogger hai or blogging se related information share karte ho to aap blogging se related visual quotes share kar sakte ho. Aap post title ke sath post ke bare me kuch ayse shabd likhe ki user padhte hi aapki post padhna pasand kare. Iske liye aap kam se kam 3-4 lines me post heading add kare.

2. Add Effective Images:

Maine kei bar dekha hai ki image ka social media sites user par acha parbhav hota hai. Kei users aapki image dekh kar hi aapke content ko read karna chahate hai. Wstav me mai aapse kahna chahunga ki agar aapki post image effective hogi to log use jarur padna chahenge.

In my case, Mere sath kei bar aysa hua hai. “1 image 2000 words ke barabar hoti hai” Is bat se mai 10% agree hu. Agar aapko meri bat pasand aaye to mai aapko suggest karunga ki apni post ke liye badiya se badiya image create kare. Image itni better honi chahiye ki ek bar jo dekh le wo aapke talent ka deewana ho jaye.

3. Ask Question:

Aksar hum post title add karke hi post ko social media sites par share karte hai. Hum ye bhool jate hai ki social sites par sabse jyada sawal puchne wali post ans status share ki jati hai. But post jab adhik effective ban jati hai. Jab hum post me koi question add karte hai. Kyuki social media par log question ke answer dena jyada pasand karte hai.

Iska bahut simple tarika hai. Aap jis bare me post kar rahe ho us bare me 1-2 question post heading me add kare. Isse jin users ko un sawalo ke jawab nahi pata hoga. Wo aapki post ko jarur padhna chahega.

4. Make Highlight Top Keywords:

Post topic me keywords add karna kitna jaruri hota hai. Ye bat aap bih jante honge. Or agar aapko keywords ko highlight karne ka mouka mil jaye to use khona nahi chahiye.

Social media par hum kisi bhi word ke samne (#) character add karke highlight kar sakte hai. Jaise #blogging.

5. Post Sharing Time:

Bahut se blogger post likhne ke bad turant use social media par share kar dete hai. It’s bad work, Ye bilkul galat hai. Agar aapko social media se jyada click chahiye to aap us time post share kare. Jis time log social media par sabse jyada active rahte ho. Or jaha tak mujhe pata hai social media par 6pm to 11pm tak sabse jyada user online rahte hai. I promose aap is time me or baki time me post share karke dekh lijiye. Aapko 30% jyada traffic milega.

Inke alawa bhi abhi or bahut si tricks hai. Jinhe follow kar ke aap social media sites se jyada se jyada traffic pa sakte ho. Baki ke bare me hum aane wale time me bat karenge. Abhi aap inhe follow kare or result check kare.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends or other blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 69 )

  1. nitesh

    Bhaiya yadi hm apni website ki link ko kisi google+ community me reshare krte hai to kya admin ko problem hogi

    Reply
    • Jumedeen Khan

      No problem.

      Reply
  2. Suny jaan

    Sr kia mn notepad mn articals likh kr usa apna blog mn past kr skta hn koi problam to ni?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      No problem kar sakte ho.

      Reply
  3. Utpal Konwar

    Blog me post dalne ke bad social sites mei kaise auto post kare…. jaise google+ fb linkedin twitter pinterst

    Reply
  4. adish

    sir kya aap mujhe bata sakte he ki apne khud ke FB group se jyada trafic LA sakte he. targeted kitne member sufficient hote he content or support badane ke liye

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Adsih traffic jitna jyada ho utna hi better hai. Affiliate markeitng ke liye aapke pas logo ka support hona chahiye. I mean ki aap par wishwas karke kitne log product buy karte hai.

      Reply
  5. Deepak choudhary

    Hello sir maine apna ek blog bnaya h usme kuch artical bhi likhe h keyword bhi ache use kiye hai but google se traffic nhi mil rha h uske liye mai kya kru pls help

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Deepak humari SEO se rerlated post padho or unme btaye tarike follow karo.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...