Aaj Mai Aapko Es Topic Ki Jankari Dunga Ki Apne Blog Ke Liye High CPC Or High Rank Wali Specific Country UK (United Kingdom) Or USA (United State of America) Jaisi Country Se Blog Ke Liye Traffic Kaise Target Kare. Yani Kisi Specific Country Se Apni Website Par Traffic Kaise Laye?
Dosto Jaisa Ki Aap Sab Jante Hai United Kingdom (UK) Or United State of America (USA) Jaisi International Country Ki CPC Bahut Jyada Hoti Hai Agar Waha Se Apne Adsense Ads Par Click Aate Hai To Hum Se Ek Click Pe 0.50 Doller Se 5$ Dollar Matlab 50-300 Rupaye Aaram se Kama Sakte Hai.
Ho Sakta Hai Isse Bhi Jyada Commission Mil Jaye To Dosto Ab To Aap Samajh Gaye Honge Ki International Traffic Apne Blog Ke Liye Kitna Jaruri Hota Hai.
- Google Webmaster Tools Ko Use Karne Ki 7 Important Tips
- Blog Par Without SEO Ke Traffic Kaise Badhaye 5 Badiya Tarike
Lekin Indian Blogger Ke Liye Ye itna Aasan Nhi Hota Hai Specially Hindi Blogger Ke Liye Magar Hum Kuch Easy Steps Follow Kar ke Aaram se In Country Se Traffic Target Kar Sakte Hai Or AdSense Se Achhi Income Kar Sakte hai! To Bina Time Waste Kiye Mai Point Par Aata hu.
Blog Ke Liye UK USA Country Se Traffic Target Karne Ki 5 Tips
Yaha Main Aapko 5+ Poitn Bta Raha Hu Jinse Aap Easily Other Specific Country Ko Target Kar Sakte Ho. Main Topic Ko jyada Lamba Nahi Karunga Short Me Bta Raha Hu Aap Samajh Jayiyega.
1. Search Console International Targeting:
Google Search Console Google Ki Ek Free Service Hai Jise Google Webmaster Tools Bhi Kahte Hai. Ye Blogger Ko International Country Target Karne Ki Permission Deta Hai. Es Tool Ki Help Se Aap Ye Choose Kar Sakte Hai Ki Aapko Apne Blog Par Kis Country Se Traffic Chahiye.
International Targeting Set Karne Ke Liye Sabse Pahle Apni Gmail ID Se Search Console Me Log-in Kare. Uske Baad Traffic Par Click Kare Or International Target Option Par Click Kare.
- Sabse Pahle Aap Google Webmaster Tools Par Jaye or Jis Property Ke Liye Specific Country Set Karna Hai Wo Select Kare.
- Left Sidebar Me Search Traffic Par Click Kare.
- Ab International Targeting Option Par Click Kare.
- Country Option Par Click Kare. Yaha Par Aap Apne According Specific Country Choose Kar Sakte Hai.
Adhik jankari ke liye aap ye post read kare.
2. International Backlinks:
Backlink Hamare Blog Ke Liye Bahut Important Or Hug Foctor Hoti Hai. Or Aap Jis Country Ko Target Kar Rahe Hai Agar Backlink Us Country Se Mile To Ye Aapke Liye Bahut Faydemand Ho Sakta Hai.
Maan Liliye Aap United State Country Ko Target Kar Rahe Ya Fir United Kingdom Ko To Aapko US Or UK Wale Domain Se Backlink Lene Ki Jyada Koshis Kare. Aapka Other Country Ke Kisi Blogger Ke Blog Par Guest Posting Kar Sakte Hai.
- Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai
- Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways
Iske liye Aap Alexa Ki Help Se In Country Ki Domain Ki List Aasani se Le Sakte Hai. Sath Hi Or Bhi Aesi Bahut Sari Tools Hai Jo USA Top Sites Ki Jankari Dete Hai. Aap Iske Liye Google Search Engine Ka Istemal Kar Skate Hai.
3. Submit Website To Search Engine and Top Web Directory:
Search Engine Or Web Directory Website Ko Globally Target Karti Hai. Agar Abhi Tak Aapne Website ko Search Engine Or Web Directory Me Submit Nahi Kiya Hai To Pahle Apni Website Ko Submission Kare. Jisse Aapko Other Countries Se Traffic Milne Ke Chancea Badh Jate Hai.
Iski Jankari Ke liye Aap Ye Article Read Kar Sakte Hai.
- Blog Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Bing Yahoo Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare Seo Ke Liye
4. Domain Extension:
Agar Aap Blogging Kar Rahe Hai To Aapko Domain Ke Bare Me Puri Janakri Hona Bahut Jaruri Hai. Jaise India Ki Baat Kare To India Most Domain Extension .in Hai Vaise India Me .com Or .org Wale Bhi Extension Bahut Famous Hai Or Jyadatar Blogger Inka Hi Use Karte Hai.
Lekin Agar Aapko Dusri Country Ko Target Kar Rahe Hai Yaa Fir Aapko Waha Se Traffic Chahiye To Aap .Uk, .Co.Uk, .us Extension Wale Domain Le Sakte Hai Esse Us Country Ke Search Engines Me Aapke Domain Ki Rank Achhi Banegi Or Aapko Waha Se jyada Traffic Milega.
5. Social Media:
Jaisa Ki Aap Sab Jante Facebook, Twitter, LinkedIn Globally Or World Wide Use Ki Jati Hai Or Har Country Se Million Log Social Networking Sites Ka Istemal Karte Hai To Waha Se Traffic Lena Bahut Easy Hai.
Jaise hum Baat Kar Rahe Hai United Kingdom Or United State Ki To Aap Facebook Pe In Country Ke Logo Ko Aasani Se Follow Kar Sakte Ha, Friend Bana Sakte Hai Or Facebook Par In Country Ke Facebook Groups Ko Join Kar Sakte Hai.
Facebook Par Aapko in Country Ke Hazaro Group Mil Jayege Jinko Aap Join Karke Apne Blog Ke Article Ko Share Kar Sakte Hai.
Hum Apne Blog Par Bahut Time Se Esi Trick Ko Follow Karte Or Humare Blog Par Traffic Bhi Accha Hai Or Income Bhi. Kyoki Agar Waha Se Visitor Aate Hai To Aapki CPC Bhi Increase Ho Jati Hai. India and UK, USA Location Par Adsense CPC Me Kagi Antar Hai.
Or Agar Aapka Blog English Me Hai To Aapko Bahut Benefit Mil Sakta Hai Lekin Hindi Blogger Ke Liye Ye Thoda Muskil Kaam Hai. Lekin Over All Baat Kare To Apko Facebook Se Bahut Jyada Benefit Mil Sakta Hai. Baki Aap Par Depend Karta Hai Ki Aap Kitna Achha Kar Pate Ho.
Inke Alawa Web Hosting Server Location Hamare Blog Ki Traffic Ke Liye Important Foctor Hoti Hai. Jaisa ki Aap Dusri Country Se Traffic Target Kar Rahe HaiTo Aap United State Server Location Par hi Apni Website Ko Host Karaye. Dusri Country Ki Hosting Aap Top Hosting Company Hostgator Or BlueHost Se Kharid Sakte Hai.
- Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways
- Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
To Friends Ye Kuch Steps ( Tricks ) thi Jinko Follow Kar ke Aap In Country Se Traffic Paa Sakte Ho. Dosto Mai Aapko 100% Gaarantee To Nahi De Sakta Magar Aap Agar In Steps Ko Follow Karte Hai To Aapko Bahut Jyada Benefit Milega Traffic Me Bhi Or Income Me Bhi.
Mai Aasha Karta hu Ki Aapko Meri Ye Post Jarur Pasand Aayi Hogi Agar Aapko Es Topic Se Related Koi Question Puchna Hai To Aap Comment Ke Through Puch Sakte Hai.
Post Pasand Aaye to Ise Social Media Par Share Jarur Kare.
Very nice article
Es article se bahut jaankari mili