Social Media Ke Bare Me 50+ Interesting Facts 2024 [Hindi]

Social media sites Facebook, Twitter, Instagram ke bare me to aap sabhi jante hi honge kyuki ye humari jindagi ka hissa jo ban gaye hai, inke bina rahna humare liye namumkin ho gaya hai. Aap social media ke bare me bahut kuch jante honge lekin aaj main aapko social media ke bare me kuch aesi bate (Social Media Facts) btane ja raha hu jinka aapko pata nahi honga.

Social Media Facts

Hum din rat social networking sites par online rahte hai. Is time me shayad hi koi hoga jo internet ka istemal karta ho aur uska social media sites par account na ho. Sabhi internet user social media ka use karte hai lekin social media ke bare me kuch hi logo ko jankari hoti hai.

Isiliye aaj main aapke liye le kar aaya hu social media ke bare me interesting and amazing facts jinke bare me aapko pata nahi hoga. Yaha main most popular social media site facebook, twitter, instagram ke bare me bta raha hu.

Social Media Ke Bare Me 10 Interesting and Amazing Facts (Hindi)

Aap ye post padh rahe hai matlab aap wakai social media ke bare me janna chahate hai, agar aapne abhi tak facebook twitter par account nahi banaya hai to in guidelines ko read kar abhi bana sakte ho.

Chaliye ab hum jante hai social media ke bare me amazing, interesting facts and stats ke bare me.

  1. Duniya bhar (worldwide) me 3.1 billion social media users hai.
  2. Sirf 0.6% desktop users aur 0.2% users share button par click karte hai.
  3. Instagram par 70% posts kabhi dekhi hi nahi jati hai.
  4. America me 83% women internet user facebook use karti hai jabki mans sirf 75% facebook istemal karte hai.
  5. 2012 se lagbhag 6% American adults Reddit ka istemal karte hai.
  6. 2024 se 68% american facebook, 28% instagram, 26% pinterest, 25% linkedin aur 21% twitter ka upyog karte hai.
  7. Donald Trump ke 42% aur Hillary Clinton ke 45% twitter followers fake hai.
  8. Katy Peryy ke twitter par sabse jyada (110 million) followers hai.
  9. 18-24 year ke 78%, 35-49 ke 60% aur 50+ year old 63% users apne smartphone me social media use karte hai.
  10. Facebook dunia ki sabse badi (largest) social media site hai.
  11. Facebook par monthly 2.1 billion aur daily 1.4 billion users active rahte hai.
  12. Twitter par monthly 330 million users active rahte hai.
  13. Instagram par monthly 800 million users active rahte hai.
  14. WhatsApp par monthly 1.3 billion users active rahte hai.
  15. Facebook messenger par monthly 1.3 billion users active rahte hai.
  16. YouTube par monthly 1.5 billion users active rahte hai.
  17. Linkedin par monthly 260 million users active rahte hai.
  18. SnapChat par monthly 255 million users active rahte hai.
  19. India me abse jyada internet user (250 million) facebook istemal karte hai.
  20. Facebook 2024 ke end tak 18-24 year ke 2 millions users ka lose ho jayega.
  21. Kisi bhi age ki tulna me 18 year old age ke log facebook sabse jyada use karte hai.
  22. 2024 me facebook  $1,265 per second, $109.3 million per day and $39.9 billion per month revenue generate karta tha.
  23. Puri duniya me 10,000+ publisher facebook instant articles istemal karte hai.
  24. 2024 se 19% marketers social media par weekly 20 hours spend karte hai.
  25. 2024 se 64% marketers 6 hours, 41% marketer 11 hours social media ka upyog karte hai.
  26. Amazon duniya ka sabse valuable brand hai lekin uske facebook page ko 9.4% customer, only 0.9% twitter aur 0.3% customer instagram account ko follow karte hai.
  27. 2024 se Pinterest per month 943 million, Reddit 1.70 billion, Instagram 2.89 billion, twitter 4.49 billion aur facebook 31.08 million users ko attract karta hai.
  28. Facebook ne advertisers se mojuda US users ki tulna me adhik users tak pahuch ka promise kiya hua hai.
  29. 18-24 year old people apne total time ka social media par per month 24%, 35-49 year old people 22% aur 50+ year old people 20% time spend karte hai.
  30. Christiano Ronaldo ke facebook page par sabse jyada (122 million) likes hai.
  31. 980 monthly active users ke sath WeChat china me most popular social media network hai.
  32. WeChat ki parent company Tencent 2024 me facebook ki tulna me jyada valuable company ban gayi thi. (Ye $500 billion market competition surpass karne wali first chinese company thi.)
  33. United State of America (USA) me sirf 5% people social media se mili jankari par bharosha karte hai.
  34. Online news padhne wale logo me se 36% direct social media site se news padhna pasand karte hai.
  35. Facebook advertisements (all industries) ka average CTR (click-through-rate) 0.9% hai.
  36. Facebook Ads ka highest CTR legal (1.61%), retail (1.59%), apparel (1.24%), beauty (1.16%) and technology (1.04%) hota hai.
  37. Social media tension ka sabse bada reason hai.
  38. Social media ki wajah se sabse jyada talak hote hai.
  39. Facebook par friday ko sabse jyada users online hote hai, kyuki is din jyadar log office ke kaam se free hote hai.
  40. Facebook par 30% se jyada logo ko privacy settings karni nahi aati hai, aur wo dusro ke sath apni personal details share kar dete hai.
  41. Student ko study karne se rokne me facebook ek bahut bada karan hai.
  42. Political leader aur bollywood starts facebook ki tulna me twitter use karna behtar samajhte hai.
  43. 90% instagram users ki age 35 se kam hai.
  44. World me lagbhag 80% leaders ka twitter par account hai.
  45. 15% se jyada american kaam ki wajah se twitter istemal nahi kar pate hai.
  46. Twitter advertisements ka average CTR 1-3% hota hai.
  47. Linkedin par per second 2 new user sign up karte hai.
  48. Ek american average 40 minute facebook par spend karta hai.
  49. Google+ ko facebook, twitter se takkar lene ke liye banya gaya tha lekin ye wo kamal nahi kar paya jitni google ne isse ummid ki thi.
  50. Duniya me 73.7 percent mans aur 26.3 percent womens google+ istemal karte hai.
  51. Google+ baki country ki tulna me america me sabse jyada istemal hota hai.
  52. YouTube par aadhe se jyada user mobile use karte hai.

Ye the 50+ social media facts jinke barem e bahut kam logo ko jankari hoti hai, is post ko padhne ke bad aapko sabkcuh malum ho gaya hoga aur ye baht interesting raha hoga.

I think inme se bahut se social media facts ke bare me aapko pata nahi hoga aur aapko jankar achha laga hoga. Agar haa to is post ko social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 18 )

  1. Very Nice n Useful Information About Social Media thanks Bro !

    Reply
  2. Hello Sir Main Apne Blog post ko Kahi bhi Promote ya share nahi karta hu kya main galat kr raha hu

    Reply
    • Yea.

      Reply
  3. ekdum sahi sir ki social media hi tension ka karan hai

    Reply
  4. Really nice article Bhai. Aapke blog me Blogging me sath sath hame dusri jankari bhe mil jati hain

    Reply
  5. Really amazing information. Shukriya Bhai is jankari ke liye.

    Reply

Leave a Comment