Hi friends aaj hum bat karenge ek ayse android apps ki jiske bare me bahut kam log jante hai. Snapchat kya hai? ye kaam kaise karta hai, is par account kaise banaye or se apne online business me kaise use kare. Agar aap in sabhi sawalo ke jawab janna chahate hai to is post ko carefully padihye.
Bahut se log iske bare me janna chahate hai or iska istemal karna chahate hai. But unhe iske bare me sahi information nahi mile ki wajah se wo ise use nahi kar pate hai. Actually snapchat jyada popular nahi hai. But agar hum iska sahi istemal kare to ye humare online business me humari bahut help kar sakta hai.
Snapchat Kya Hai Aur Ise Apne Online Business Me Kaise Use Kare?
Snapchat photo and video messaging send karne ka ek application hai. Jise 2011 me launch kiya gaya tha. is par aap apne friends ko text, drawings, photos and video message send kar sakte hai. Is par send ki gayi photos, images and videos kuch unique time ke liye available rahte hai uske bad humesha ke liye gayab (disappear) ho jate hai. Agar aap chahe to screenshot le kar unka backup bana sakte hai. 2014 me snapchat par ek day me 700 million message send kiye gaye the.
Is apps ki instant popularity ko dekhte huye facebook ne ise $3 billion me kharidne ka offer diya tha. Snapchat ne facebook ke is offer ko accept nahi kiya uske bad facebook ne isse related apps Slingshot launch kiya jo ki failded ho gaya.
1. Snapchat Ko Koun Use Kar Sakta Hai?
Everyone, Koi bhi snapchat ko istemal kar sakta hai lekin ye toward teens and adults person ke liye jyada better hai.
Snapchat ko aap apne friends ke sath apne online business notification share karne, online chatting karne and other ayse work me use kar sakte ho jisme online photos or videos send karne ki jarurat hoti ho. Ye bhi baki social media apps ki tarah hi hai. Jis par aap apne friends ke sath online connect ho sakte ho or apne thoughts share kar sakte ho. Bas fark (difference) sirf itna hai ki dusre sabhi chating apps par aap kabhi bhi apne old message padh sakte ho but is par kuch time bad aapki chating history delete ho jati hai. Snapchat par video send karne or dekhne ki process jyada better hoti hai.
2. Snapchat Terms:
Jaisa ki maine upar btaya hai ki snachat par send kiye gaye message kuch time bad remove kar diye jate hai to aap iska time jarur janna chahate honge. Chaliye mai aapko yaha ye bhi bta deta hu ki iska time kitna hota hai.
- Photos and Videos: Snapchat se send kiye gaye photos and videos aapke friends sirf 10 seconds tak dekh sakte hai uske bad message automatically humesha ke liye delete ho jayenge.
- Reply: Agar aap kisi ke message ka reply karte ho to wo only 24 hours tak available rahta hai.
- Privacy: Snapchat par aap apne message private and publicly rakh sakte hai.
- Live Video Chating: Is par aap bina message bheje live video chating kar sakte hai.
3. Kya Snapchat Free Hai?
Yes, Snapchat photos, videos, text, and drawings send karne ka ek free apps hai. Ise aap Iski official website snapchat.com se free me download kar sakte hai.
4. Snapchat Work Kaise Karta Hai?
Ek bar aap apne mobile me snapchat apps ko downlaod kar install kar lete hai to uske bad phone ke camera ke sath iske option icon show honge. Jisse aap direct photos le kar ya video bana kar share kar sakte hai. Iske option aapko camera ke right side me mil jayenge. Jisme aap or bhi settings kar sakte ho.
Camera screen me niche bich me bhi iska icon hoga. Jise dabaye rakhne se video recording hoti hai. Agar aapko photo leni hai to aap is button par click kar sakte hai. Left side me iske icon par aapko ye pata chalta rahega ki kitne snaps unread hai. Yahi se aap live video chat kar sakte hai.
- Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways
- Blog Me Font Awesome Social Follow Icon Kaise Add Kare
Finally, In sabke alawa bhi snapchat application me bahut sare features hai. Aap ise ek bar try karke dekh sakte hai. Really ye ek bahu badiya apps hai.
I hope aapko ye article pasand aayega. Agar ha to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Achcha baat, maiye Snapchat se kab se accused hoon. Par abhi kal post mein aise detail mein explain kiya, jisse main samajh gaya ki kya actual hota hai. Thanks for explaining it so well.
Hello sir isme last seen show kaise hota hai plz help me
Mera snapchat open hokar homescreen par back ho jata hai.. Aisa kyu?
maine apni blog me bidvertise ke ads lagaye hai lekin ads show nahi ho rahi bidvertise ac bi veryfy ho gaya hai
thoda wait karo hone lag jayenge.
Isme face change kese karte hai.jese kisi celebreti ya ghost me..
Bhai hum fir apne blog se AdSense ke code ko remove kar de ya laga rehne de
Tohde din ke liye hata do.