फेसबुक पर अपना Online Business Promote करने की 7 Tips

Faceboook top popular social media sites me se ek hai. Jiski help se hum apne online business ka promotion kar sakte hai. Agar aap ek blogger hai to aap facebook par apne article share karke apni site ka traffic increase kar sakte hai. But aap agar direct post title ya link ke sath post share karne ki bajaye thoda carefully post share kare to aapko facebook se or jyada traffic mil sakta hai.

7 Tips to promote your online business on facebook

Kya aap nahi chahate ki jab aap facebook par apni koi post share karo to usse aapko jyada se jyada traffic mile? Ya fir aapke online business me facebook ka ahle role ho. Agar ha to aaj mai aapko is post me aysi tricks bta raha hu jinhe follow karke aap facebook se adhik traffic receive kar sakte ho or apne online business ko or jyada bada bana sakte ho.

Jis tarah khana pakane ke liye masale “spice” ki jarurat hoti hai. Masala use karne se khana or behtar ban jata hai. Same wese hi agar aap facebook par post status publish karte time facebook ke kuch or feature use kare to aapka content adhik eye catching ban jata hai or facebook aapke online business me char chand laga sakta hai.

Facebook ne increasing engagement ke bahut se feature diye huye hai. But hum unhe use nahi karte jisse hume facebook se jyada click handle nahi kar pate hai. Iske bina apne status ko viral karna bahut mushkil hai. Agar hum inhe follow kare to humari har post humare friends or other people ke liye top story ban jati hai. Jisse humara content jyada visible banta hai or hume jyada visitors milte hai.

Facebook Par Apne Online Business Ko Promote Karne Ki 7 Tips

Yaha di gayi humari tips padhiye or apne online business status update ko facebook par or viral banayiye. Ye tips na sirf aapki blogging me help karegi balki inhe aap apne kisi bhi online business promoting me try kar sakte hai.

1. Posting Time – पोस्ट करने का समय

Generally, aapne bahut bar dekha hoga ki jis time aapke friends and followers jyada online rahte hai us time post share karne se post ko jyada responsive milta hai. Post par jyada likes or comments aate hai or aapko traffic bhi adhik milta hai. Jabki yasa baki other time par post karne se nahi hota hai

Sabhi facebook user ke liye ek hi time fix nahi hota hai sabke friends alag alag time par online hote hai. But mere experience ke hisab se 6pm to 10pm ke beech post update karne se aapko better result mil sakta hai. Is time sabse jyada user online hote hai. But fir bhi mai aapko suggest karunga ki aap apne friends or apne followers ki activity ka reveiw karke apne liye posting time choose kare.

Yeh tips facebook par adhik promotion pane ka sabse important tarika hai. Agar aapko aysa nahi lagta hai fir bhi aap ek bar try jarur kare. Ho sakta hai ye trikc kaam kare or aapke online business ko iska fayda mil jaye.

2. Tag People in Your Post – लोगों का नाम दर्ज़ करना

Facebook par useless photos ya other status (like fake photos) me sabhi log apne friends ko tag karte hai. But jab apne blog ya website ki post ko share karte hai to bahut hi kam log us post me friends ko tag karte hai.

Tag your friends

As a result, apni post me dusro ko tag karna ab jyada effective nahi rah gaya hai lekin fir bhi post me friends ko tag karna aapke friends of friends ke liye post ko interesting bana sakta hai. Isse jyada se jyada logo ko aapki post updating ke bare me pata chalega or wo aapke online business se judna chahenge. So tagging ko ignore karne se acha hai apne kuch friends ko tag kiya jaye jisse kuch na kuch badiya result jarur milta hai. Ho sakta hai kisi ke liye aapki post important sabit ho jaye.

Mention Pages

Facebook photos and status me logo ko tag karne ke alawa aap important and post se related people and other category pages ko mention kar sakte hai. Iske liye aapko post me “@” ke us pages ke first word likhne hote hai. Upar aap iska screenshot dekh sakte hai. Jisme maine apne faceook page ko mention kiya hai.

3. Add A Location – एक स्थान जोड़ें

Apne status update me usse related location add kare. Isse post users ke liye jyada effective ban jati hai. Bahut se logo ne to abhi tak facebook ke is advantage feature ko use nahi kya hoga. Jis tarah humari body par dress kaam karti hai same wese hi location status ke liye kapdo ka kaam karti hai. Ek success online business karne ke liye aapko main location ko tag karna better hota ha.

Add location

Alternatively, Apne business place ke aas-pas (neighborhood) district or city ki location add kare. Isse us place ke people aapki post me jyada interest lete hai. Ya fir aap location me apne khud ke online business store ya office ka name select kar sakte hai. Iske alawa bhi location me or bhi bahut se effective place hote hai.

Example, aap apni party status me kisi hotel ya restaurant ki location add karenge to I sure aapke friends aapki post ko gahrayi se lenge or us par action jarur karenge. Iske alawa agar aap event, area and apne online business ke liye koi bhi status location choose kar sakte hai.

4. Target Specific Locations – विशिष्ट स्थानों को लक्ष्य

Facebook post me location choose karne ka ye ek or acha feature hai. Isme aap ye select kar sakte hai ki aap apni post ko kaha kaha or kis kis se share karna chahate hai. Isme aap status ko public, friends, only me, custom and other place ke sath share kar sakte hai.

Target Specific Locations

For example, Man lijiye aap product sell karne ka online business karte ho or aap apni facebook post ko sirf apne friends, apne business members ya kisi most place ke users ke sath share karna chahata hai to aap facebook ke is advanced feature ko use karke dusre logo se apni post ko hide kar sakta hai.

Ye trick aapke tab kaam aati hai jab log aapke sath facebook par galat behavior kar rahe ho or aapki post par galat comments kar rahe ho ya fir aap apne online business ko sirf apne logo ke sath share karna chahate hai. Is feature ko use karke aap ayse logo se apni post ko hide kar sakte ho. Iske liye aapko upar image me btaye anusar “public” option par click karke privacy location choose karni hai.

5. Scheduling – निर्धारण

Facebok ab pahle se likhi gayi post status ko update karna allow karta hai. Aap apni post ko ek fix time tak update kar sakte hai. Ye aapke liye tab bahut kaam ka ban jata hai jab aapke followers aapki post update chahate hai. Iske liye aap time icon par click kare or apni post ka time and date select kare.

Set date and time of your post

Jab aapke friends or follower aapki past time activities ke bare me janna chaahte hai to aap apne apni facebook status me time or date set kar sakte hai. Ye status me “prime time” ka kaam karti hai or isse aapki post un logo ke liye very interesting ban jati hai jo aapke bare me janna chahate hai.

6. Add Photos or Videos – फोटो या विडियो जोड़ें

Direct facebook par photo publish karna aam bat hai but agar agar aap apni status me photos or videos add kare to aapko bahut jyada effective results mil sakte hai. Mai aapko iske liye suggest karna chahunga kyuki isse aapke online business me logo ka bahut jyada interst badhega.

Add photos or videos on your post

Isse aapki post me jyada se jyada log interest lenge or post ko adhik like, comments and share milenge jisse jyada se jyada logo ko aapke online business ke bare me pata lagega. Aap post me jitni achi photos or vidoes add karoge aapki post facebook par utni hi jyada viral hogi. Aapko utna hi jyada benefit milega.

7. Facebook post advanced Features – फेसबुक पोस्ट उन्नत सुविधाये

Aapne bahut se blog or website ki post me dekha hoga ki unme videos add hote hai. But bahut kam sites par dekha hoga ki log facebook post ko embed karte hai. Mai aapko suggest karunga ki aap apni special post ko apne blog par embed kare. Jisse aapki facebook profile ya page par logo ka jyada interest badhega.

Facebook post advanced Features

Iske alawa aap apni post ko edit kar sakte hai uska time change kar sakte hai. Facebook ke in advanced features se bhi aapko kafi fayda mil sakta hai or aap badiya tarike se facebook ke in feature se apne online business ko or jyada effective bana sakte ho.

As you can see, aap upar di tips par ek bar ache se focus kijiye. Mujhe yakeen hai ki aapko inse better results milenge. Yakinn aap aysa kar sakte hai jisse aapko hi nahi aapke follower ko bhi iska fayda hoga or aapse facebook par adhik se adhik people contact karna pasand karenge. Ye na sirf aapke content ko viral banata hai balki aapko bhi social media par famous kar sakta hai. Log aapki har latest status ko special nazar se dekhna pasand karenge. Jisse aapko apne online business ko promote karne me help milegi.

I hope aapko ye article pasand aayega. So agar aapko ye jankari sachmuch useful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 93 )

  1. bahut behtarin post hai. is jankari ka use mai bhi apne blog ko promote karne ke lie use karuga. thanks bhai.

    Reply
  2. Hello Sir Mai Ye Janna Cahti Hu Ki FB Page Ko Main Account Se Kaise Chalaye Kyu Ki Jab Bhi Mei Kahi Bhi Comment Karti Hu To FB Page Ka Logo Show Hota Hai Mai Ye Cahti Hu Ki Profile Pic Show Ho

    Reply
    • कमेंट करते वक्त दाईं साइड में प्रोफाइल बदल ले

      Reply

Leave a Comment