Google search console ke bare me aap sabhi jante hai or use bhi karte hai. Lagbhag har blogger ko iske bare me pata hota hai. But humari bahut sari website hone par google webmaster tool me performance report check karne me problem hoti hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jisse aap sabhi sites ka GWT me ek group bana kar report check kar sakte ho.
Google webmaster tool me bahut sare features hai jo humari site ki SEO ranking increase karne me madad karte hai. Jaise hum google search console me Crawl errors and URL parameters ko fix kar ke site ki search rank badha sakte hai.
Iske liye aapko search console me sabhi blog ko alag-alag open karna padta hai. Magar ab google ne search console me property sets ka ek new feature add kiya hai. Jisme aap search console me sabhi site ke liye ek group bana sakte ho or usme apni sabhi sites ko set kar sakte ho. Uske bad aap all website ki search analytics report ek jagah par dekh sakte ho.
- 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
- Google Webmaster Guidelines Kya Hai or SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hai
Google ne is feature ko isliye launch kiya hai kyuki pahle google search console me site ki impressions, clicks and CTR report property by property show hoti thi. Magar google ke is new set me aap all data add karke sabhi search analytics report ko ek sath dekh sakte ho.
Google Search Console Me All Sites Ko Ek Group Me Kaise Set Kare
Google ke is new feature me aap multiple properties ka ek group bana sakte ho or sabhi site data ki ek jagah search report dekh sakte ho.
Step 1:
- Iske liye sabse pahle aap Google search console par jaye.
- Ab right side me add a property ke samne Create a set par click kare.
- Yaha par aap apne group set ka name type kare.
- Select a member to add par click karke aapko jo bhi site add karni hai wo select kare.
- Ab save changes par click kare.
Step 2:
Ab aap google search console ke homepage par jaye. Yaha par aapko sabhi website ke alawa ek alag property dikhayi degi jo kuch is tarah hogi.
Ab yaha par aap sabhi website blog ki search analytics report check kar sakte ho. Iski sabse achi bat ye hai ki isse aapka time west nahi hoga or aapko bar bar all site ko open nahi karna padega. Is feature me aap ek jagah par sabhi site ki report check kar sakte ho. But abhi aapko isme sabhi options nahi milenge. Ho sakta hai google aane wale time me isme baki feature bhi add kare.
- Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer List
- Google Search Engine Per Year Kitne Searches Handle Karta Hai
I hope aapko is post me ek bar fir google ke bare me news information milegi. So plz is post ko share jarur kare taki hum aapke liye aysi hi latest post likhte rahe.
Great article sir aap ke post mere liye hamesha ek inspiration bante hai jinse main kuch na kuch sikhti hu, thank you so much hamein guide karne ke liye:-)))
Sir bhut achha or unique articles
Kya hrr post ko index karana padta hai google search console mein?…please answer dena
nahi
Ye error aa rha he search console me add nhi ho rha blog
Using html file method (2 minute ago) we were unable to connect to your server. Verify your ownership.
Aapka internet connection work nahi kar raha hai fir se try karo ho jayega.
Sir g mai ek finance ka blog bana rahi hu jisme maine iRambo theam WordPress me select ki hai jise mai apne anusar modify karna chahti hu sath me kuch or function add karna chahti hu iske liye muze kya krna hoga. Plz help.
Aapko agar php or html coding aati hai to aap theme ko chaho jaise optimize kar sakti hai warna aap kisi theme designer se karwa sakti ho.
thanks sir please suggest me some some theam desiner jo jyada mehga na ho.
Sabse best theme genesis hai.
Bro ye google search console m add krne k liye seo k liye domain name jruri h kya?
WordPress k liye kese karu mai sir?
Mere m bar bar error a rha hai… Kya iske liye domain name wala url chhiye??
Aap WordPress blog me yoast seo plugin use karo. uski help se aap google webmaster tool me apna blog verify kar sakte ho.