Unfriend all Facebook Friends One Click. Is post me main aapko all facebook friends ko ek sath unfriend karne ke bare me btaunga. Kai bar unknown persons se humari facebook friend list full ho jati hai. Isse hume kafi problem hoti hai. Magar sabhi friends ko ek sath friend list se remove karna thoda mushkil hota hai. Aese me aap yaha btayi trick istema kar apni facebook profile se extra unknown friends ko ek bar me unfriend kar friend-list ko clear kar sakte ho.
Oh! aap sachmuch pane facebook dosto se pareshan lagte ho or ab aap all facebook friends ko one click se unfriend karna chahate ho. No worry, yaha btayi gayi tricks aapka jyada tim waste nahi karegi aapko sirf ek click karna hai or aapki friend list se sabhi friends delete ho jayenge.
Aap chahe to manually ek ek karke sabhi friends ko unfriend kar sakte ho but isme bahut time lagta hai. Agar aapki facebook ID par 3,000 to 5,000 friends ho to ye bahut jyada mushkil kaam hoga. So aese time me aap is tips ka istemal kare or apni facebook friend list se unwanted unknown anjan logo ko alag kar de.
All Facebook Friends Ko One Click Se Unfriend Kaise Kare
Sabhi facebook friends ko ek sath unfriend kaise kare, Facebook friend list ko one click se clear kaise kare, all facebook friends ko ek bar me unfriend kaise kare ki jankari.
Step 1:
- Sabse pahle aap apne computer, laptop me chrome browser open kare.
- Ab chrome browser me facebook.com site par jaye or apni facebook ID se log in kare.
Step 2:
- Facebook par log in karne ke bad browser me Facebook Friend Remover ya fir Facebook Social Toolkit Extension install kare.
Step 3:
Inme se aapko jo extension best lage wo use kar sakte ho. Main yaha facebook friend remover ke steps bta raha hu.
- Browser me facebook friend remover extension add karne ke bad aapko browser ke right side top me tool ka icon dikhayi dega.
- Is Icon par click kare.
Step 4:
- Ab aapko jin jin friends ko unfriend karna hai unhe select kare.
- Ya fir aap sabhi friends ko remove karna chahate ho to Select all par click kare.
- Finally, Remove friends par click kare.
Now all done! ab kuch hi time me aapki facebook friend list se all friends remove ho jayenge. Is tarah se aap one click se all facebook friends ko unfriend kar sakte ho.
Iske alawa facebook par sabhi friends ko unfriend karne ke or bhi kai tarike hai jaise javascript ka istemal karna magar ye trick sabse better or aasan hai. Agar aapko aesi hi koi or trick pata ho to uske bare me comment me jarur btaye.
- 10 Cheeze Jo Social Media Par Kabhi Share Nahi Karni Chahiye
- Facebook Par Like Kaise Badhaye, Post Ko Viral Kaise Kare
I hope aapko ye post pasand aayegi agar ha to ise facebook par pane dosto ke sath share jarur kare taki wo bhi iske bare me jan sake.
Sir facebook app se ek sath sabhi friends ko unfriends kaise kare please reply sir.