Hindi blog par high traffic hona bahut mushkil hai. Kyuki hindi language all countries me available nahi hai. Hindi blog ka most target india hi hota hai or hindi blog par 70% traffic bhi india se hi milta hai. So important sawal ye hai ki Hindi Blog Par Traffic kaise Badhaye. Kya hindi blog par bhi hum high traffic bana sakte hai? Bilkul bana sakte hai but uske liye hume pahle hindi blogging ko ache se pahchanna hoga.

Jab maine blogging start ki thi to mujhe agle ek mahine me 300-500 pageviews per day milne lag gaye the. Mere blog par sabse jyada traffic search engine se aata tha or aaj bhi sabse jyada traffic search engine se hi milta hai.
Aaj mujhe blogging me 7 month ho gaye hai. Aaj 7 mahine bad mere blog par 8,000 to 10,000 pageviews per day hai yani in 7 mahino me mere blog ka traffic itna badha hai wo bhi ek hindi blog par. So mai si bat ko nahi manta ki hindi blog par high traffic nahi ho sakta.
- Micro-Niche Site Kaise Banaye $1000 Monthly Kamane Ke Liye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
Maine itne kam samay me apne blog ki traffic ko itna increase kaise kiya hai. Us sab ke bare me mai aapko is post me details se bta raha hu. I sure agar aap is post ko ache se follow karoge to aapke blog par mujhse bhi jyada traffic hoga.
Mai aysi ummid bhi rakhta hu ki mera har ek reader apne mission me success bane or meri mehanat ko safal banaye. To aayiye aaj hum bat karte hai ki ek hindi blog par high traffic kamane ke liye hum kya kya kar sakte hai.
Hindi Blog Par High Traffic Banane Ki 10 Important Tips
Is article me mai aapke sath aysi bate share kar raha hu. Jinhe follow kar ke maine https://www.supportmeindia.com ko yaha tak pahuchaya hai. But post padhne se pahle aap tay kar le ki aap achi mehanat karne wale ho kyuki bina mehanat ke aap kisi bhi trick se apni site ki traffic improve nahi kar sakte.
1. Choose Better Blogging Platform:
Jab maine apna blog banaya tha to mere samne sabse pahla sawal tha ki mai apna blog kis platform par banau. Maine iske bare me dusre blogger se pata kiya to sab ne mujhe google ki free service blogger.com or WordPress ko use karne ke liye kaha.
Ab mere liye ye sawal ban gaya ki in dono me se kounsa better hai or mai kis par blog banau. Mere dimag me ek idea aaya ki kyo na pahle google ki free servece blogger ko hi try kiya jaye or july 2015 ko maine blogger par apna free blog bana liya.
But 40-50 days me mai blogger ke bare me sabkuch jan gaya or mujhe ahsas hua ki blogger par hume apne blog ko control karne ki full permission nahi hoti hai. Isliye maine WordPress ko try kiya. Iske liye maine Digital Ocean 30 Days Free Hosting le kar WordPress blog banaya.
Fantastic, Wakai WordPress blogger se 1000 guna jyada better tha. Kyuki WordPress par unlimited features the or us par humara pura control tha. Bas maine apne Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer kar liya. Or aaj mai kah sakta hu ki agar blogger Silver hai to WordPress Gold hai.
Yani WordPress blogger se har tarah se better blogging platform hai. Aapko agar WordPress ki achi jankari hai to mai aapko suggest karunga ki aap WordPress par hi blog banaye. Or agar aap blogging me bilkul new ho to aap pahle blogger Free Blog bana kar kuch time blogging ko samajh le. Uske bad aap WordPress par move kar sakte hai.
2. Select Best Hindi Typing Tool:
Hindi blogging karne me sabse badi problem hoti hai ki hindi words me kaise likhe. Internet par aysi bahut si tools hai jin par aap hindi me typing kar sakte ho. But uske liye aapko bar bar hindi typing tool se copy paste karne ki problem hoti hai. Internet ne bhi aaj bahut tarakki kar li hai or aapko yaha aysi tools mil jayegi jinse aap offlines bhi type kar sakte hai.
Ji ha, Mai bat kar raha hu google ki Hindi Typing Offline Tools ki jisse aap bina internet on kiye apne computer ya laptop me kahi par bhi hindi me type kar sakte hai. Isse aapko hindi me blogging karne me aasani hogi or aapka waqt bhi west nahi hoga. Google hindi typing tool ko download karne e liye yaha click kare हिंदी भाषा में कैसे लिखे हिंदी में लिखने का ऑफलाइन टूल.
3. Select Best Blog Name & URL:
Blog ka badhiya name choose kare. Blog ka nae jitna Short, Simple, Eye Catching hona chahiye. Or sabse achi bat hogi agar aapke blog ke name se hi pata chal jaye ki aapke blog par kaisi jankari share ki jati hai. Blog ka jitna ho sake chota name choone or aysa name choose kare jise reader aasani se yaad rakh sake.
Jab maine blog banaya to mere blog ka name ajeeb tha. But ye bahut bada or isse mai apne blog par sirf helping articles hi likh sakta tha. Tab maine https://www.supportmeindia.com domain select kiya or mujhe lagta hai mai is name ke blog par blogging ke alawa other category ki jankari bhi share kar sakta hu.
4. Focus One Particuler Area:
Agar aap blog par har tarah ki jankari share kar rahe hai to savdhan ho jayiye. Aap galat raste par ja rae jo aapki manzil tak nahi jata hai. Blogging ki nahi aap koi bhi kaam karo to aapka ek focus topic hona chaiye. Aagar aap apne blog par har tarah ki jankari share karoge to aapko Regular Reader nahi milenge.
Examply jaise mai supportmeindia par blogging par post likhta hu, Mere regular visitors ko meri post ka daily intjar rahta hai ki is blog par roj koi na koi new post padhne ko milegi or agar me apna blogging ka topic chod kar jokes, shayari and other kisi topic par post karne lagu to koun meri site par regular aayega. Ulta mere regular reader mere blog par visit karna chod sakte hai.
Isliye blog par ek hi topic ko focus kar article likhe. Ye ek free tips hai blog par high traffic banane ki or apne audience ka dil jitne ki. Pichle kuch time se mai sirf blog SEO ke bare me articles likh raha hu. Jisse mere blog ka traffic per day increase ho raha hai. Or aane wale time me bhi mai blogging par hi focus kar blogging karunga. Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek particuler area fix kar sakte ho.
5. Make Better Your Feeling:
Maine ja blogging me kada me rakha to usi waqt soch liya tha ki ek din mujhe apne blog ko india ka No.1 Hindi Blog banana hai. Yakin maniye ye trick 100% wok karti hai. Isse hume blogging karne ki power milti hai or ek tarah se ye humar mission ban jata hai.
Example ke liye aap supportmeindia ko dekh sakte hai ki maine apne blog ko last 7 month me kitna increase kiya hai. Ye bat mere reader yani aap mujhse behtar jante hai. Or mujhe wishwas hai ki ek din mai apni manzil tak jarur pahuch jaunga.
Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek mission ban lijiye or fir dekhiye blogging karne me kitna maza aata hai. I promise aapka andaz hi badal jayega. Or aapka sapna ek din hakikat ban jayega. Bas iske liye aapko hard work kadi mehanat karni padegi.
6. Make Best Talent:
Talent ka matlab hota hai aapka post likhne ka tarika or har blogger janta hai ki blogging me blogger ka talent kitna important hota hai. Reader sabse jyada aapke talent ko hi pasand karte hai. So apne post likhne ke tarike ko jitna ho sake effective banaye. Jisse aapki post padhte hi user aapke fan ban jaye or aapki site par bar bar visit karna pasand kare. I promise agar reader ko aapka talent pasand aayega to wo aapka continue visitor ban jayega. Jisse aapke blog ki traffic kam samay me increase ho jayegi.
Aapka talent only visitors ke liye hi important nahi hai, Balki search engine bhi ache talent ki post ko jyada like karta hai or aapki post ko jaldi index karta hai. Isse aapke blog ki search engine ranking improve hogi.
7. Use High Ranking English Words:
Manta hu ki aap ek hindi blogger hai but apni post me english word use na karne ki Kasam na khaye. Search engine se better traffic pane ke liye post me Top Keywords ki jarurat hoti hai. Or high ranking keywords hum english me hi use kar sakte hai. Isliye post likhte time important words ko english me hi use kare. Isse aapki post ki value badhegi or aap post me ayse keywords aasani se use kar sakte ho. Jinhe log sabse jyada search karte hai.
Jo log internet use karte hai wo thodi bahut english to jante hi hai or mostly use hone wale english words jaise Advice, Post Content, Blogging, Popular, High Rank, Top List Article, Best Tips and other bahut sare words hai. Jinke bare me har koi samajhta hai. Agar aap in words ko english me use karoge to aapke visitors ko post padhne me koi problem nahi hogi or aapki site ki search ranking bhi better ho jayegi. Or sabse badi bat aapko bta du ki log hindi me padhna jarur chahate hai but sabhi search english me hi karte hai.
8. Make Blog Simple Design:
Blog ka design bhi blog par high traffic banane me help karta hai. Maine iske bare me bahut se success blogger or website owner se bat ki sabhi ka ek hi jawab tha ki blog ka simple design SEO ke liye jyada better hota hai. Iski sabse badi wajah hai visitors or search engine dono bahut jyada colorful design ko pasand nahi karte hai. Mai aapko yaha point de kar samajha raha hu.
- Blog par deep color use nahi kare. Kyuki gahre color se reader ki aankho par asar padta hai jisse koi bhi aapki site par visit karna pasand nahi karega.
- Blog design me 3-4 color se jyada color use na kare.
- Jaha tak ho sake blog me fika color hi use kare.
- White, Black, Red and Blue color websites par sabse jyada use kiye jate hai. So aap bhi inhi me se apna color select kar sakte hai.
- Blog par extra bina kaam ke product add na kare.
Blog ko itna jyada design na kare ki reader ko samajh me na aaye ki kaha kya hai or kya kaha hai. Mai aapko highly recommended karunga ki aap simple design hi use kare.
9. Don’t Create Many Blog:
Agar aap apne blog ko ek din top blog me dekhna chahate ho to ek samay me ek hi blog banaye. Jisse aap us blog par 100% focus kar sako or aapko ek se jyada blog manage karne ki problem na ho. Mai dusro ki bat nahi karunga apni hi bat karunga maine hindi.supportmeindia.com, https://www.supportmeindia.com or mozedia.com 3 blog banaye huye hai. Mujhe 3no blog ko manage karne me kitni problem hoti hai. Wo sab mai aapke sath share kar raha hu.
- Humara talent kharab ho jata hai. Kyuki hum sabhi websites par ek hi talent me post nahi kar sakte.
- Ek se adhik blog hone par humara dhyan bat jata hai. Jisse post likhne me problem hoti hai.
- Sab me alag alag janakri share karni padti hai. Isliye humara interest bigad jata hai.
- Jyada blog bane se hum kisi ek blog par focus nahi kar pate hai.
- Sabse badi problem hume visitors ki choice samajhane me problem hoti hai.
Mera yaha ye matlab nahi hai ki aap ek se jyada blog bana hi nahi sakte ho. Bana sakte ho. But pahle apne ek blog ko top ranking me pahuchao. 100,000 se kam ranking ke blog or website success mane jate hai.
10. Full Time Work:
Agar aap part time blogging kar ke success banna chahate hai to aap galat hai. Kyuki part time work kar ke aapko success hone me mahine nahi salo lag jayenge. Or 5-10 saal me success hona success hona nahi kahlta hai. Success hona use kahte hai jab hum saalo ka kaam mahino me kar ke success bante hai. Isliye meri aapko personal suggest hai ki koi bhi kaam karo to use puri mehanat or dil se karo.
Ye soch ke karo ki mujhe isme 101% pass hona hai. In my case mai jo bhi kaam karta hu yahi soch kar karta hu ki chahe kuch bhi ho jaye mai apne work ko pura kar ke hi chodunga. Agar aap bhi apne aap se kaam ko bich me na chodne ki kasam kha le to aap kabhi bhi or kisi bhi kaam me fail nahi ho sakte.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
- Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
I hope aapko ye article pasand aayega. Or aapko is article ki help se hindi blog par high traffic banane ki achi or important jankari milegi. Maine is post me sirf apna blogging exprience share kiya hai.
Aapko mera exprience kaisa laga iske bare me commnet me jarur btaye or is post ko social media par share kar ke or jyada motival banye. Thanks
abdul khan
good mrng sir ji……aapko to mene bataya tha sir ji kal hi ki addsense mera approve hogaya hai aap sabki dua se aur guidence se,, mujhe ek information ye chahiye tha ki agar mere website ka link me apne frnd yaa koi aur website pe pramoted karta hun ..wo website ka page rank bhi achha hai 3page rank hai…..agar waha se kuch log visit krte hain aage chalkar to koi problm hosakta hai kiya…ya AdSense ke liye koi problm hosakta hai kiya plz faast reply den aap…
Jumedeen Khan
Kar sakte ho koi problem nahi hai. bas s*xy, p*rn or baki bad site ka link add mat karna.
abdul khan
Thankyou so much bhai……………….subha se hi aapke cooment ka intijaar tha subha se 50 baar cooment dhekh chuka hun ki aapka kab reply aayega….bahut sukhriya sir ji……..
Coolz
Aur bhi aise hi apne blogging experience hamare sath share kiya kro bhai aur ek question hai maine aapka august 2015 ka income report dekha 14,500 tha aur aapka blog 14 june ko start hua aur bhai upar bata rahe ho ki next month se aapke blog pe 300-500 pageviews per day milne lage to kya aapko 300-500 pageview se hi 14,500 rupay AdSense se kamaye ?
Jumedeen Khan
Yes becoz AdSense ko kaise handle karna hai. ye mai aaj ache se jan gaya hu.
nimi verma
Thanks thanks thanks frnd jankari ke liye
Dosat maine samajikjankari.com ke nam se blog bnaya huaa hu or iko banaye hua karib 5 monts hi gye maine google webmaster or google analystic me bhi iiska account bna rkha hai. Har post ko google webmaster me bhi submit krta hu, yoast plugin use krta gu lekin in sab ke babjud visitor nhi aa rhe bilkul bhi 50 ke karib hi aate hai
Plz plz aap ek bar mera blog chek kr lo or mujhe iska karan btao apki bhut mehrbani hogi
Replay jarur krna dost
Jumedeen Khan
@Nimi
aapko har post ko google searcj console me submit karne ke jarurat nahi hai. or mai aapko visitors pane ka sabse aasan or free tarika bta raha hu. aap follow kar sakte ho. “apne blog par aysi post share karo jo pahle se internet par na ho.”
Nitesh Nayak
Bahut aachi post hai thanks for sharing jummedin sir…
Sir apne sidebar me kaun se size ads lagaya hai
vikram
सर मैंने एक डोमेन ख़रीदा है गो डेडी से myhinditube .in अब मैं इसे मेरे ब्लोगेर पर लगाना चाहता हु ….क्या मैं ऐसा कर सकता हु ??
या मुझे कोई नयी वेबसाइट बनाने के बारे मैं बता दो
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho ye post padho Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
vikram
सर नही लगा पा रहा आप लगा के दे सकते हो प्लीज ….जो आपने अपने ब्लॉग मैं तरीका बताया है उसके अनुसार नही हो रहा है
Jumedeen Khan
Kya error show hota hai.
dev
bhayi mughe bataiye ki me apni site par post alag alag ho or kuch keywords pichli post se milte ho to kya ye copyright hoga
Jumedeen Khan
Nahi.
hari narayan
Bhai mera blog dekh ke bataye ki isme kuchh kami hai kya..aur ek bat maine apne blog me computer,internet,security tips aur webdesign ke bare me post likhta hu to ye sahi hai na ki mai alag-alag chizo ke bare me post likh ke galat to nahi kar raha hu na.
Jumedeen Khan
Post to aap sahi likh rahe ho. but bro aapke sawal ka jawab aapke hi pas hai kyuki ye aapko hi pata hai ki aapke visitors aapki site par kis jankari ko sabse jyada pasand akrte hai. Aap apne readr ki pasand ki post karo. I promise bahut aage pahuch jaoge.
rohit
google web,master me target india kaise set kare
Jumedeen Khan
Iske bare me meri next post padh lena.
Sahil kumar
100% Quility post hai ye bhai. pahle to socha tha ke isme wahi purani wali battein hogi par jab ek bar padhna shuru kiya to end tak khatam kar dala.
Bhai par yadi ek topic par focus karne ki baat ki jaye to isme mera blog to nahi aata na, kyu main future me aur bhi sections add karunga,
Jumedeen Khan
Sahil,
Aapka work hai dusri site ka link add kar unka promotion karne ka, Show aap kisi bhi topic par jankari share kar sakte hai. Sabse achi bat aapka domain bhi aapke kaam par jamta hai.
Ravindra
Wow great post jume deen je
Apki yahi baat mhujhe achhi lagti hai Jo blogging secret log chupate hai usko aap etni asani shear kar dete Ho
Aap shai me apna fayda na dekhte huye jankari de rahe Ho….’ Great ‘ ..
Mo Aziz
JUMEDEEN Bhai
mere ads mobile me sho nahi ho rahe kya karu pls bataye
mai wait kar raha hoo
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard>>template par jao ro mobile preveiw disable karo. ads show hone lag jayenge. or ha bro aap 3 display ads ke sath 3 links add bhi blog me me laga sakte hai. links ads se jyada income hoti hai. Or ek suggestion aapko dusre blog par commnet karna chod kar blogging ko time do or traffic badhao. achi achi post likho warna AdSense disable ho jayega.
Mo Aziz
batane ke liye Thanks.
ye baat to apki theek but mai apki post ko jarur dekhta aur sonchta shayad aaj jumedeen bhai ne fir koi nayi post ki hogi jo mere aur hum sab ke kam aa sakti hai.
isliye mai comment bhi kar deta hoo.
fir bhi mujhe itna batane ke liye thanks.
surendra
impression post bro.
mujhe ek baat bataye agar ham ek blog me 1 post ko 2 bar public kare aor dono post me keyword bilkul alag – alg ( dono post ke keyword ek dusre se nahi milte hai )ho toh google AdSense isko copyright manta hai kya (
Jumedeen Khan
Ha copyrighting hogi. isse aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai. Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai post me maine iske bare me details se btaya hai.
Manish
Aap Apne blogging me safar me baare me likha kare usko padne me jyada maja aata hai
Jumedeen Khan
@Manish,
Mai apni har ek kamyabi apne readers ke sath share karta hu Monthly income report me. Just wait bahu jald ek special apne blogging exprience ke bare me post karunga.
Ashok Saini
Sir ji Muje apke jaisa Comment box banana hai apne Blog ke liye. Uske liye Blogger me konsa widget hai ya konsi setting hai,Plz links ke dwara bata dijiye plz..
Jumedeen Khan
Blogger blog par humara full control nahi hota hai. Isi ka ek hissa hai blogger commnet box jise hum change nahi kar sakte. Maine isi problem ki waja se WordPress par blog banaya hai.
Md ali
Mujhe apke blog jaisa comment box apne blog par lagana hai kaise lagau mera plateform blogger hai
Jumedeen Khan
Mera blog WordPress platform par hai blogger me hum aysa commnet box nahi laga sakte.
md ali
thanks sir
but fir mai aisa comment box blogger main kaise lagau
Jumedeen Khan
Aap disqus commnet box use kar sakte ho ya fir google+ commnets use kar sakte ho. ye post padho Blogger Ki Post Me Google+ Comment Enable Kaise Kare.
Md ali
Ok sir thanks very much main apne blog qureshiinfotech.com par disqus try karke dekhta hun
Ashok Saini
Thanks Sir. For Reply, Apki service bahut fast hai. apne to kuch second me hi Reply kar diya. Muje bahut kushi huyi.
Ashok Saini
Thank you Very Much Sir ji. Apka Ye Artical padkar to Dil kush ho Gaya. Aj mai apke Blog me first Time Comment kar raha hun. Jabki maine apke Blog ko Book mark kar rakha hai aur mai apke blog ko Daily visit bhi karta haun. Sayad apko yaad ho maine 3 month Pahele apko call karke apse bat bhi ki thi. Ashok Etuor blog banae ki bare mai. Maine bhi mera Blog bana liya hai sir ji jiska name hai ashoketutor.com. Aap ek bar dekh lijiye aur koi kami ho to muje bata dijiye sir ji. Please.
Thank You
Jumedeen Khan
Ha mujhe yaad hai. apne visitors ko koun bhool sakta hai. aapka blog maine check kiya hai. Bahut achi bat hai aapne blogging ko ache se samajhne ke bad blog banaya.
Ravi Kumar
wah bhaiya, Aap aise hi kuchh na kuchh naya experience share karte rahe, isse humlogo ka hosla badhta hai thanks jummedin bhaiya,
Mo Aziz
Bahut accha likha hai jumedenn bhai aapne iss article ke jariye apne 7 month ka experience share kara bahut badiya. isse naye blogger ko kafi kuch karne ki chahat badegi aur wo mehnat bhi kar sakenge aur mai bhi apki posts shuru se padhta a raha hU. bahut hi acchi SEO post hai.
Thanks Bro
Alpesh Desai
Good article
Bro aap ne aaj bahot badiya information di hai.mai apni site ko top par lana chahta hu.aap mujhe bataye kya mai 1&1 company se hosting lunga to better hoga.
Jumedeen Khan
Jis tarah blogger or WordPress 2 blogging platform fomus hai. bilkul wese hi bluehost or hostgator fomus hai. aap in dono me se kisi se hosting lo. Jisse future me aapko problem na ho. Kyuki inse har koi hosting leta hai or problem hone par unme se koi na koi aapki help kar sakta hai. but agar aap sanse alag hosting company ki hosting provide karoge to aapki help koi bhi blogger nahi kar payega.
Akshay Dhiman
Please New Bloggers ko Sasti Hosting Btaya kro Jaise NameCheap 700Rs/per Year
Jumedeen Khan
Saste ke chkkar me kabhi kabhi puri mehanat bekar ho jati hai or sara data lsot ho jata hai or main nahi chahata ki kisi ke sath aesa ho.