Smartphone m virus aane par hume mobile ko factory reset karke virus delete / remvoe karna padta hai jiski wajah se humare mobile ka all data photos, videos, movies, songs, music, games, important apps and other personal data delete ho jata hai. But aaj main aapko aesa tarika bta raha hu jisse aap bina phone ko reset kiye without antivirus ke virus delete kar sakte ho. Aap in aasan se step ko follow karke without reset kiye without format apne phone se virus delete kar sakte ho.
Yaha main aapko android phone se virus delete karne ki aesi jankari bta raha hu jisse aap bina kisi antivirus ke or bina phone ko factory reset kiye usme se vitrus ko delete / remove kar sakte ho. Ye processing safe hai or aapke phone ko isse koi nuksan nahi pahuchega.
- Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Use Lock Kaise Kare
- Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah
Main yaha aapko aesi trick bta raha hu jisme aapko na to phone ko factory reset karne ki jarurat hai jisse aapka sara data format ho jata hai or virus delete karne ke liye na hi aapko kisi antivirus ki jarurat padegi. Aap bas ye simple step follow karke apne phone se virus delete kar sakte hai.
Table of Contents
Smartphone Ko Factory Reset Kiye Bina Virus ko Delete Kaise Kare
How to Delete Smartphone Virus Without Using Any Antivirus:
Step 1:
Sabse pahle aap phone ko switch off kar ke Safe Mode start kare. Iske liye aap phone ki power button or hold valume down key (-) button ek sath dabaye phone ka safe mode open ho jayega.
- Mobile ko power off kare or kuch seconds wait kare.
- Ab on/off button or valume down key (-) dono ek sath press kare.
- Ab jaise hi screen par safe mode ka watermark ya koi command dekhe to camera key ya on/off ki button press kare.
- Ab aapke samne phone ke safe mode ke sare option honge.
Step 2:
- Ab safe mode active hone ke bad settings me jaye or Apps >> Downloaded par click kare.
- Ab yaha par un sabhi apps ko uninstall kar de jo aapne install nahi kiye hai.
- Iske liye aap us app par tap kare uske bad right side me uninstall ke option par click karke use uninstall kare.
Step 3:
- Ab phone ko reboot kar de. Ab aapko safe mode ki jarurat nahi hai.
- Ab ek bar fir se phone ki Settings >> Apps >> Dowloaded par jaye or check kare ki apps delete huya hai ya nahi.
Virus Delete Na Ho to Kya Kare
Agar kisi wajah se virus delete nahi bhi huya hai to aap pareshan na ho or ye step follow kare.
- Mobile ki Settings >> Security >> Device Administrators par jaye.
- Ab yaha se aap us virus ko uninstall kar deactivate kar sakte hai.
Is tarah se aap apne android phone me se without antivirus ke bina mobile ko factory reset kiye usme se virus delete kar sakte ho.
Is processing me aapko phone ko format karne ki jarurat bhi nahi padegi. Wese agar aapko kabhi lage ki phone sahi se work nahi kar raha hai or command lene me extra time leta hai to aap apne data ka backup le kar use factroy reset kar le.
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Battery Saver Android Apps
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Try Kiya Hai
Isse phone se har tarah ka virus delete ho jata hai or phone me sirf wohi features bachte hai jo company provide karti hai. Android mobile ki security ke liye ye jaruri hai. Iske alawa phone ke bluetooth ko open na rakhe kisi ke sath file exchange karne se bache taki aapko smartphone safe rahe.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise facebook, twitter social media par share jarur kare.
Amazing Sir Mere Phone Ka Virus Ht Gya Thank You Soo Much Love You Sir ur great sir ji